फिर अय्यूब ने कहा,
Phir ayyoob ne kaha,
Job 6 · 30 verses
फिर अय्यूब ने कहा,
Phir ayyoob ne kaha,
भला होता कि मेरा खेद तौला जाता, और मेरी सारी विपत्ति तुला में धरी जाती!
Bhala hota ki mera khed taula jata, aur meri sari vipatti tula mein dhari jati!
क्योंकि वह समुद्र की बालू से भी भारी ठहरती; इसी कारण मेरी बातें उतावली से हुई हैं।
Kyonki vah samudra ki balu se bhi bhari thaharti; isi karan meri batein utavli se hui hain.
क्योंकि सर्वशक्तिमान के तीर मेरे अन्दर चुभे हैं; और उनका विष मेरी आत्मा में पैठ गया है; ईश्वर की भयंकर बात मेरे विरुद्ध पांति बान्धे है।
Kyonki sarvashaktimaan ke teer mere andar chubhe hain; aur unka vish meri aatma mein paith gaya hai; ishwar ki bhayankar baat mere viruddh panti bandhe hai.
जब बनैले गदहे को घास मिलती, तब क्या वह रेंकता है? और बैल चारा पाकर क्या डकारता है?
Jab banaile gadhe ko ghaas milti, tab kya vah renkta hai? Aur bail chara pakar kya dakarta hai?
जो फीका है वह क्या बिना नमक खाया जाता है? क्या अण्डे की सफेदी में भी कुछ स्वाद होता है?
Jo pheeka hai vah kya bina namak khaya jata hai? Kya ande ki saphedi mein bhi kuchh swaad hota hai?
जिन वस्तुओं को मैं छूना भी नहीं चाहता वही मानो मेरे लिये घिनौना आहार ठहरी हैं।
Jin vastuon ko main chhoona bhi nahi chahta vahi mano mere liye ghinauna aahaar thahri hain.
भला होता कि मुझे मुंह मांगा वर मिलता और जिस बात की मैं आशा करता हूँ वह ईश्वर मुझे दे देता!
Bhala hota ki mujhe munh manga var milta aur jis baat ki main aasha karta hoon vah ishwar mujhe de deta!
कि ईश्वर प्रसन्न हो कर मुझे कुचल डालता, और हाथ बढ़ा कर मुझे काट डालता!
Ki ishwar prasann ho kar mujhe kuchal dalta, aur haath badha kar mujhe kaat dalta!
यही मेरी शान्ति का कारण; वरन भारी पीड़ा में भी मैं इस कारण से उछल पड़ता; क्योंकि मैं ने उस पवित्र के वचनों का कभी इनकार नहीं किया।
Yahi meri shanti ka karan; varan bhari peeda mein bhi main is karan se uchhal padta; kyonki main ne us pavitra ke vachnon ka kabhi inkaar nahi kiya.
मुझ में बल ही क्या है कि मैं आशा रखूं? और मेरा अन्त ही क्या होगा, कि मैं धीरज धरूं?
Mujh mein bal hi kya hai ki main aasha rakhun? Aur mera ant hi kya hoga, ki main dheeraj dharun?
क्या मेरी दृढ़ता पत्थरों की सी है? क्या मेरा शरीर पीतल का है?
Kya meri dridhta pattharon ki si hai? Kya mera shareer peetal ka hai?
क्या मैं निराधार नहीं हूँ? क्या काम करने की शक्ति मुझ से दूर नहीं हो गई?
Kya main niradhaar nahi hoon? Kya kaam karne ki shakti mujh se door nahi ho gai?
जो पड़ोसी पर कृपा नहीं करता वह सर्वशक्तिमान का भय मानना छोड़ देता है।
Jo padosi par kripa nahi karta vah sarvashaktimaan ka bhay manna chhod deta hai.
मेरे भाई नाले के समान विश्वासघाती हो गए हैं, वरन उन नालों के समान जिनकी धार सूख जाती है;
Mere bhai nale ke samaan vishwasghati ho gaye hain, varan un nalon ke samaan jinki dhaar sookh jati hai;
और वे बरफ के कारण काले से हो जाते हैं, और उन में हिम छिपा रहता है।
Aur ve baraph ke karan kale se ho jate hain, aur un mein him chhipa rahta hai.
परन्तु जब गरमी होने लगती तब उनकी धाराएं लोप हो जाती हैं, और जब कड़ी धूप पड़ती है तब वे अपनी जगह से उड़ जाते हैं
Parantu jab garmi hone lagti tab unki dharayen lop ho jati hain, aur jab kadi dhoop padti hai tab ve apni jagah se ud jate hain
वे घूमते घूमते सूख जातीं, और सुनसान स्थान में बहकर नाश होती हैं।
Ve ghoomte ghoomte sookh jati, aur sunsaan sthaan mein bahkar naash hoti hain.
तेमा के बनजारे देखते रहे और शबा के काफिले वालों ने उनका रास्ता देखा।
Tema ke banjare dekhte rahe aur shaba ke kaphile valon ne unka rasta dekha.
वे लज्जित हुए क्योंकि उन्होंने भरोसा रखा था और वहां पहुँचकर उनके मुंह सूख गए।
Ve lajjit hue kyonki unhonne bharosa rakha tha aur vahan pahunchkar unke munh sookh gaye.
उसी प्रकार अब तुम भी कुछ न रहे; मेरी विपत्ति देखकर तुम डर गए हो।
Usi prakaar ab tum bhi kuchh na rahe; meri vipatti dekhkar tum dar gaye ho.
क्या मैं ने तुम से कहा था, कि मुझे कुछ दो? वा अपनी सम्पत्ति में से मेरे लिये घूस दो?
Kya main ne tum se kaha tha, ki mujhe kuchh do? Va apni sampatti mein se mere liye ghoos do?
वा मुझे सताने वाले के हाथ से बचाओ? वा उपद्रव करने वालों के वश से छुड़ा लो?
Va mujhe satane vale ke haath se bachao? Va upadrav karne valon ke vash se chhuda lo?
मुझे शिक्षा दो और मैं चुप रहूंगा; और मुझे समझाओ, कि मैं ने किस बान में चूक की है।
Mujhe shiksha do aur main chup rahoonga; aur mujhe samjhao, ki main ne kis baan mein chook ki hai.
सच्चाई के वचनों में कितना प्रभाव होता है, परन्तु तुम्हारे विवाद से क्या लाभ होता है?
Sachchai ke vachnon mein kitna prabhaav hota hai, parantu tumhare vivaad se kya laabh hota hai?
क्या तुम बातें पकड़ने की कल्पना करते हो? निराश जन की बातें तो वायु की सी हैं।
Kya tum batein pakadne ki kalpana karte ho? Niraash jan ki batein to vayu ki si hain.
तुम अनाथों पर चिट्ठी डालते, और अपने मित्र को बेचकर लाभ उठाने वाले हो।
Tum anathon par chitthi dalte, aur apne mitra ko bechkar laabh uthane vale ho.
इसलिये अब कृपा कर के मुझे देखो; निश्चय मैं तुम्हारे साम्हने कदापि झूठ न बोलूंगा।
Isliye ab kripa kar ke mujhe dekho; nishchay main tumhare samhane kadapi jhooth na boloonga.
फिर कुछ अन्याय न होने पाए; फिर इस मुक़द्दमे में मेरा धर्म ज्यों का त्यों बना है, मैं सत्य पर हूँ।
Phir kuchh anyaay na hone paye; phir is muqaddame mein mera dharm jyon ka tyon bana hai, main satya par hoon.
क्या मेरे वचनों में कुछ कुटिलता है? क्या मैं दुष्टता नहीं पहचान सकता?
Kya mere vachnon mein kuchh kutilta hai? Kya main dushtata nahi pahchaan sakta?