पुकार कर देख; क्या कोई है जो तुझे उत्तर देगा? और पवित्रों में से तू किस की ओर फिरेगा?
Pukaar kar dekh; kya koi hai jo tujhe uttar dega? Aur pavitron mein se tu kis ki or phirega?
Job 5 · 27 verses
पुकार कर देख; क्या कोई है जो तुझे उत्तर देगा? और पवित्रों में से तू किस की ओर फिरेगा?
Pukaar kar dekh; kya koi hai jo tujhe uttar dega? Aur pavitron mein se tu kis ki or phirega?
क्योंकि मूढ़ तो खेद करते करते नाश हो जाता है, और भोला जलते जलते मर मिटता है।
Kyonki moodh to khed karte karte naash ho jata hai, aur bhola jalte jalte mar mitta hai.
मैं ने मूढ़ को जड़ पकड़ते देखा है; परन्तु अचानक मैं ने उसके वासस्थान को धिक्कारा।
Main ne moodh ko jad pakadte dekha hai; parantu achanak main ne uske vasasthaan ko dhikkara.
उसके लड़के-बाले उद्धार से दूर हैं, और वे फाटक में पीसे जाते हैं, और कोई नहीं है जो उन्हें छुड़ाए।
Uske ladke-bale uddhaar se door hain, aur ve phatak mein peese jate hain, aur koi nahi hai jo unhein chhudaye.
उसके खेत की उपज भूखे लोग खा लेते हैं, वरन कटीली बाड़ में से भी निकाल लेते हैं; और प्यासा उनके धन के लिये फन्दा लगाता है।
Uske khet ki upaj bhookhe log kha lete hain, varan kateeli baad mein se bhi nikaal lete hain; aur pyasa unke dhan ke liye phanda lagata hai.
क्योंकि विपत्ति धूल से उत्पन्न नहीं होती, और न कष्ट भूमि में से उगता है;
Kyonki vipatti dhool se utpann nahi hoti, aur na kasht bhoomi mein se ugta hai;
परन्तु जैसे चिंगारियां ऊपर ही ऊपर को उड़ जाती हैं,वैसे ही मनुष्य कष्ट ही भोगने के लिये उत्पन्न हुआ है।
Parantu jaise chingariyan oopar hi oopar ko ud jati hain,vaise hi manushya kasht hi bhogne ke liye utpann huaa hai.
परन्तु मैं तो ईश्वर ही को खोजता रहूंगा और अपना मुक़द्दमा परमेश्वर पर छोड़ दूंगा।
Parantu main to ishwar hi ko khojta rahoonga aur apna muqaddama Parmeshwar par chhod doonga.
वह तो ऐसे बड़े काम करता है जिनकी थाह नहीं लगती, और इतने आश्चर्यकर्म करता है, जो गिने नहीं जाते।
Vah to aise bade kaam karta hai jinki thaah nahi lagti, aur itne aashcharyakarm karta hai, jo gine nahi jate.
वही पृथ्वी के ऊपर वर्षा करता, और खेतों पर जल बरसाता है।
Vahi prithvi ke oopar varsha karta, aur kheton par jal barsata hai.
इसी रीति वह नम्र लोगों को ऊंचे स्थान पर बिठाता है, और शोक का पहिरावा पहिने हुए लोग ऊंचे पर पहुँचकर बचते हैं।
Isi reeti vah namra logon ko oonche sthaan par bithata hai, aur shok ka pahirava pahine hue log oonche par pahunchkar bachte hain.
वह तो धूर्त्त लोगों की कल्पनाएं व्यर्थ कर देता है, और उनके हाथों से कुछ भी बन नहीं पड़ता।
Vah to dhoortt logon ki kalpanayen vyarth kar deta hai, aur unke hathon se kuchh bhi ban nahi padta.
वह बुद्धिमानों को उनकी धूर्त्तता ही में फंसाता है; और कुटिल लोगों की युक्ति दूर की जाती है।
Vah buddhimanon ko unki dhoorttata hi mein phansata hai; aur kutil logon ki yukti door ki jati hai.
उन पर दिन को अन्धेरा छा जाता है, और दिन दुपहरी में वे रात की नाईं टटोलते फिरते हैं।
Un par din ko andhera chha jata hai, aur din dupahri mein ve raat ki nai tatolte phirte hain.
परन्तु वह दरिद्रों को उनके वचनरुपी तलवार से और बलवानों के हाथ से बचाता है।
Parantu vah daridron ko unke vachanrupi talvaar se aur balvanon ke haath se bachata hai.
इसलिये कंगालों को आशा होती है, और कुटिल मनुष्यों का मुंह बन्द हो जाता है।
Isliye kangalon ko aasha hoti hai, aur kutil manushyon ka munh band ho jata hai.
देख, क्या ही धन्य वह मनुष्य, जिस को ईश्वर ताड़ना देता है; इसलिये तू सर्वशक्तिमान की ताड़ना को तुच्छ मत जान।
Dekh, kya hi dhanya vah manushya, jis ko ishwar tadna deta hai; isliye tu sarvashaktimaan ki tadna ko tuchchh mat jaan.
क्योंकि वही घायल करता, और वही पट्टी भी बान्धता है; वही मारता है, और वही अपने हाथों से चंगा भी करता है।
Kyonki vahi ghayal karta, aur vahi patti bhi bandhata hai; vahi marta hai, aur vahi apne hathon se changa bhi karta hai.
वह तुझे छ: विपत्तियों से छुड़ाएगा; वरन सात से भी तेरी कुछ हानि न होने पाएगी।
Vah tujhe chha: vipattiyon se chhudayega; varan saat se bhi teri kuchh hani na hone payegi.
अकाल में वह तुझे मृत्यु से, और युद्ध में तलवार की धार से बचा लेगा।
Akaal mein vah tujhe mrityu se, aur yuddh mein talvaar ki dhaar se bacha lega.
तू वचनरूपी कोड़े से बचा रहेगा और जब विनाश आए, तब भी तुझे भय न होगा।
Tu vachanroopi kode se bacha rahega aur jab vinaash aaye, tab bhi tujhe bhay na hoga.
तू उजाड़ और अकाल के दिनों में हँसमुख रहेगा, और तुझे बनैले जन्तुओं से डर न लगेगा।
Tu ujaad aur akaal ke dinon mein hansmukh rahega, aur tujhe banaile jantuon se dar na lagega.
वरन मैदान के पत्थर भी तुझ से वाचा बान्धे रहेंगे, और वनपशु तुझ से मेल रखेंगे।
Varan maidaan ke patthar bhi tujh se vacha bandhe rahenge, aur vanapshu tujh se mel rakhenge.
और तुझे निश्चय होगा, कि तेरा डेरा कुशल से है, और जब तू अपने निवास में देखे तब कोई वस्तु खोई न होगी।
Aur tujhe nishchay hoga, ki tera dera kushal se hai, aur jab tu apne nivaas mein dekhe tab koi vastu khoi na hogi.
तुझे यह भी निश्चित होगा, कि मेरे बहुत वंश होंगे। और मेरे सन्तान पृथ्वी की घास के तुल्य बहुत होंगे।
Tujhe yah bhi nishchit hoga, ki mere bahut vansh honge. Aur mere santaan prithvi ki ghaas ke tulya bahut honge.
जैसे पूलियों का ढेर समय पर खलिहान में रखा जाता है, वैसे ही तू पूरी अवस्था का हो कर क़ब्र को पहुंचेगा।
Jaise pooliyon ka dher samay par khalihaan mein rakha jata hai, vaise hi tu poori avastha ka ho kar qabra ko pahunchega.
देख, हम ने खोज खोजकर ऐसा ही पाया है; इसे तू सुन, और अपने लाभ के लिये ध्यान में रख।
Dekh, ham ne khoj khojkar aisa hi paya hai; ise tu sun, aur apne laabh ke liye dhyaan mein rakh.