तब यहोवा ने अय्यूब को आँधी में से यूं उत्तर दिया,
Tab Yahowa ne ayyoob ko aandhi mein se yun uttar diya,
Job 38 · 41 verses
तब यहोवा ने अय्यूब को आँधी में से यूं उत्तर दिया,
Tab Yahowa ne ayyoob ko aandhi mein se yun uttar diya,
यह कौन है जो अज्ञानता की बातें कहकर युक्ति को बिगाड़ना चाहता है?
Yah kaun hai jo agyanta ki batein kahkar yukti ko bigadna chahta hai?
पुरुष की नाईं अपनी कमर बान्ध ले, क्योंकि मैं तुझ से प्रश्न करता हूँ, और तू मुझे उत्तर दे।
Purush ki nai apni kamar baandh le, kyonki main tujh se prashn karta hoon, aur tu mujhe uttar de.
जब मैं ने पृथ्वी की नेव डाली, तब तू कहां था? यदि तू समझदार हो तो उत्तर दे।
Jab main ne prithvi ki nev dali, tab tu kahan tha? Yadi tu samajhdaar ho to uttar de.
उसकी नाप किस ने ठहराई, क्या तू जानता है उस पर किस ने सूत खींचा?
Uski naap kis ne thahrai, kya tu janta hai us par kis ne soot kheencha?
उसकी नेव कौन सी वस्तु पर रखी गई, वा किस ने उसके कोने का पत्थर बिठाया,
Uski nev kaun si vastu par rakhi gai, va kis ne uske kone ka patthar bithaya,
जब कि भोर के तारे एक संग आनन्द से गाते थे और परमेश्वर के सब पुत्र जयजयकार करते थे?
Jab ki bhor ke tare ek sang aanand se gate the aur Parmeshwar ke sab putra jayjaykaar karte the?
फिर जब समुद्र ऐसा फूट निकला मानो वह गर्भ से फूट निकला, तब किस ने द्वार मूंदकर उसको रोक दिया;
Phir jab samudra aisa phoot nikla mano vah garbh se phoot nikla, tab kis ne dwaar moondkar usko rok diya;
जब कि मैं ने उसको बादल पहिनाया और घोर अन्धकार में लपेट दिया,
Jab ki main ne usko badal pahinaya aur ghor andhakaar mein lapet diya,
और उसके लिये सिवाना बान्धा और यह कहकर बेंड़े और किवाड़े लगा दिए, कि
Aur uske liye sivana bandha aur yah kahkar bende aur kivade laga diye, ki
यहीं तक आ, और आगे न बढ़, और तेरी उमंडने वाली लहरें यहीं थम जाएं?
Yahi tak aa, aur aage na badh, aur teri umandne vali lahrein yahi tham jayen?
क्या तू ने जीवन भर में कभी भोर को आज्ञा दी, और पौ को उसका स्थान जताया है,
Kya tu ne jeevan bhar mein kabhi bhor ko aagya di, aur pau ko uska sthaan jataya hai,
ताकि वह पृथ्वी की छोरों को वश में करे, और दुष्ट लोग उस में से झाड़ दिए जाएं?
Taki vah prithvi ki chhoron ko vash mein kare, aur dusht log us mein se jhaad diye jayen?
वह ऐसा बदलता है जैसा मोहर के नीचे चिकनी मिट्टी बदलती है, और सब वस्तुएं मानो वस्त्र पहिने हुए दिखाई देती हैं।
Vah aisa badalta hai jaisa mohar ke neeche chikni mitti badalti hai, aur sab vastuein mano vastra pahine hue dikhai deti hain.
दुष्टों से उनका उजियाला रोक लिया जाता है, और उनकी बढ़ाई हुई बांह तोड़ी जाती है।
Dushton se unka ujiyala rok liya jata hai, aur unki badhai hui baanh todi jati hai.
क्या तू कभी समुद्र के सोतों तक पहुंचा है, वा गहिरे सागर की थाह में कभी चला फिरा है?
Kya tu kabhi samudra ke soton tak pahuncha hai, va gahire sagar ki thaah mein kabhi chala phira hai?
क्या मृत्यु के फाटक तुझ पर प्रगट हुए, क्या तू घोर अन्धकार के फाटकों को कभी देखने पाया है?
Kya mrityu ke phatak tujh par pragat hue, kya tu ghor andhakaar ke phatkon ko kabhi dekhne paya hai?
क्या तू ने पृथ्वी की चौड़ाई को पूरी रीति से समझ लिया है? यदि तू यह सब जानता है, तो बतला दे।
Kya tu ne prithvi ki chaudai ko poori reeti se samajh liya hai? Yadi tu yah sab janta hai, to batla de.
उजियाले के निवास का मार्ग कहां है, और अन्धियारे का स्थान कहां है?
Ujiyale ke nivaas ka maarg kahan hai, aur andhiyare ka sthaan kahan hai?
क्या तू उसे उसके सिवाने तक हटा सकता है, और उसके घर की डगर पहिचान सकता है?
Kya tu use uske sivane tak hata sakta hai, aur uske ghar ki dagar pahichaan sakta hai?
नि:सन्देह तू यह सब कुछ जानता होगा! क्योंकि तू तो उस समय उत्पन्न हुआ था, और तू बहुत आयु का है।
Nisandeh tu yah sab kuchh janta hoga! Kyonki tu to us samay utpann huaa tha, aur tu bahut aayu ka hai.
फिर क्या तू कभी हिम के भणडार में पैठा, वा कभी ओलों के भणडार को तू ने देखा है,
Phir kya tu kabhi him ke bhandaar mein paitha, va kabhi olon ke bhandaar ko tu ne dekha hai,
जिस को मैं ने संकट के समय और युद्ध और लड़ाई के दिन के लिये रख छोड़ा है?
Jis ko main ne sankat ke samay aur yuddh aur ladai ke din ke liye rakh chhoda hai?
किस मार्ग से उजियाला फैलाया जाता है, ओर पुरवाई पृथ्वी पर बहाई जाती है?
Kis maarg se ujiyala phailaya jata hai, or purvai prithvi par bahai jati hai?
महावृष्टि के लिये किस ने नाला काटा, और कड़कने वाली बिजली के लिये मार्ग बनाया है,
Mahavrishti ke liye kis ne nala kata, aur kadakne vali bijli ke liye maarg banaya hai,
कि निर्जन देश में और जंगल में जहां कोई मनुष्य नहीं रहता मेंह बरसाकर,
Ki nirjan desh mein aur jangal mein jahan koi manushya nahi rahta menh barsakar,
उजाड़ ही उजाड़ देश को सींचे, और हरी घास उगाए?
Ujaad hi ujaad desh ko seenche, aur hari ghaas ugaye?
क्या मेंह का कोई पिता है, और ओस की बूंदें किस ने उत्पन्न की?
Kya menh ka koi pita hai, aur os ki boondein kis ne utpann ki?
किस के गर्भ से बर्फ निकला है, और आकाश से गिरे हुए पाले को कौन उत्पन्न करता है?
Kis ke garbh se barph nikla hai, aur aakaash se gire hue pale ko kaun utpann karta hai?
जल पत्थर के समान जम जाता है, और गहिरे पानी के ऊपर जमावट होती है।
Jal patthar ke samaan jam jata hai, aur gahire pani ke oopar jamavat hoti hai.
क्या तू कचपचिया का गुच्छा गूंथ सकता वा मृगशिरा के बन्धन खोल सकता है?
Kya tu kachapchiya ka guchchha goonth sakta va mrigshira ke bandhan khol sakta hai?
क्या तू राशियों को ठीक ठीक समय पर उदय कर सकता, वा सप्तर्षि को साथियों समेत लिए चल सकता है?
Kya tu rashiyon ko theek theek samay par uday kar sakta, va saptarshi ko sathiyon samet liye chal sakta hai?
क्या तू आकाशमण्डल की विधियां जानता और पृथ्वी पर उनका अधिकार ठहरा सकता है?
Kya tu aakashmandal ki vidhiyan janta aur prithvi par unka adhikaar thahra sakta hai?
क्या तू बादलों तक अपनी वाणी पहुंचा सकता है ताकि बहुत जल बरस कर तुझे छिपा ले?
Kya tu badlon tak apni vani pahuncha sakta hai taki bahut jal baras kar tujhe chhipa le?
क्या तू बिजली को आज्ञा दे सकता है, कि वह जाए, और तुझ से कहे, मैं उपस्थित हूँ?
Kya tu bijli ko aagya de sakta hai, ki vah jaye, aur tujh se kahe, main upasthit hoon?
किस ने अन्त:करण में बुद्धि उपजाई, और मन में समझने की शक्ति किस ने दी है?
Kis ne antakran mein buddhi upjai, aur man mein samajhne ki shakti kis ne di hai?
कौन बुद्धि से बादलों को गिन सकता है? और कौन आकाश के कुप्पों को उण्डेल सकता है,
Kaun buddhi se badlon ko gin sakta hai? Aur kaun aakaash ke kuppon ko undel sakta hai,
जब धूलि जम जाती है, और ढेले एक दूसरे से सट जाते हैं?
Jab dhooli jam jati hai, aur dhele ek doosre se sat jate hain?
क्या तू सिंहनी के लिये अहेर पकड़ सकता, और जवान सिंहों का पेट भर सकता है,
Kya tu sinhni ke liye aher pakad sakta, aur javaan sinhon ka pet bhar sakta hai,
जब वे मांद में बैठे हों और आड़ में घात लगाए दबक कर बैठे हों?
Jab ve maand mein baithe hon aur aad mein ghaat lagaye dabak kar baithe hon?
फिर जब कौवे के बच्चे ईश्वर की दोहाई देते हुए निराहार उड़ते फिरते हैं, तब उन को आहार कौन देता है?
Phir jab kauve ke bachche ishwar ki dohai dete hue nirahaar udte phirte hain, tab un ko aahaar kaun deta hai?