Job 37 · 24 verses

अय्यूब 37 Job 37 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ayyoob 37.

1

फिर इस बात पर भी मेरा हृदय कांपता है, और अपने स्थान से उछल पड़ता है।

Phir is baat par bhi mera hriday kampta hai, aur apne sthaan se uchhal padta hai.

2

उसके बोलने का शब्द तो सुनो, और उस शब्द को जो उसके मुंह से निकलता है सुनो।

Uske bolne ka shabd to suno, aur us shabd ko jo uske munh se nikalta hai suno.

3

वह उसको सारे आकाश के तले, और अपनी बिजली को पृथ्वी की छोर तक भेजता है।

Vah usko sare aakaash ke tale, aur apni bijli ko prithvi ki chhor tak bhejta hai.

4

उसके पीछे गरजने का शब्द होता है; वह अपने प्रतापी शब्द से गरजता है, और जब उसका शब्द सुनाईं देता है तब बिजली लगातार चमकने लगती है।

Uske peechhe garajne ka shabd hota hai; vah apne pratapi shabd se garajta hai, aur jab uska shabd sunai deta hai tab bijli lagataar chamakne lagti hai.

5

ईश्वर गरज कर अपना शब्द अद्भुत रीति से सुनाता है, और बड़े बड़े काम करता है जिन को हम नहीं समझते।

Ishwar garaj kar apna shabd adbhut reeti se sunata hai, aur bade bade kaam karta hai jin ko ham nahi samajhte.

6

वह तो हिम से कहता है, पृथ्वी पर गिर, और इसी प्रकार मेंह को भी और मूसलाधार वर्षा को भी ऐसी ही आज्ञा देता है।

Vah to him se kahta hai, prithvi par gir, aur isi prakaar menh ko bhi aur moosladhaar varsha ko bhi aisi hi aagya deta hai.

7

वह सब मनुष्यों के हाथ पर मुहर कर देता है, जिस से उसके बनाए हुए सब मनुष्य उसको पहचानें।

Vah sab manushyon ke haath par muhar kar deta hai, jis se uske banaye hue sab manushya usko pahchanein.

8

तब वनपशु गुफाओं में घुस जाते, और अपनी अपनी मांदों में रहते हैं।

Tab vanapshu guphaon mein ghus jate, aur apni apni mandon mein rahte hain.

9

दक्खिन दिशा से बवण्डर और उतरहिया से जाड़ा आता है।

Dakkhin disha se bavandar aur utarhiya se jada aata hai.

10

ईश्वर की श्वास की फूंक से बरफ पड़ता है, तब जलाशयों का पाट जम जाता है।

Ishwar ki shwaas ki phoonk se baraph padta hai, tab jalashyon ka paat jam jata hai.

11

फिर वह घटाओं को भाफ़ से लादता, और अपनी बिजली से भरे हुए उजियाले का बादल दूर तक फैलाता है।

Phir vah ghataon ko bhaaf se ladta, aur apni bijli se bhare hue ujiyale ka badal door tak phailata hai.

12

वे उसकी बुद्धि की युक्ति से इधर उधर फिराए जाते हैं, इसलिये कि जो आज्ञा वह उन को दे, उसी को वे बसाई हुई पृथ्वी के ऊपर पूरी करें।

Ve uski buddhi ki yukti se idhar udhar phiraye jate hain, isliye ki jo aagya vah un ko de, usi ko ve basai hui prithvi ke oopar poori karein.

13

चाहे ताड़ना देने के लिये, चाहे अपनी पृथ्वी की भलाई के लिये वा मनुष्यों पर करुणा करने के लिये वह उसे भेजे।

Chahe tadna dene ke liye, chahe apni prithvi ki bhalai ke liye va manushyon par karuna karne ke liye vah use bheje.

14

हे अय्यूब! इस पर कान लगा और सुन ले; चुपचाप खड़ा रह, और ईश्वर के आश्चर्यकर्मों का विचार कर।

He ayyoob! Is par kaan laga aur sun le; chupchaap khada rah, aur ishwar ke aashcharyakarmon ka vichaar kar.

15

क्या तू जानता है, कि ईश्वर क्योंकर अपने बादलों को आज्ञा देता, और अपने बादल की बिजली को चमकाता है?

Kya tu janta hai, ki ishwar kyonkar apne badlon ko aagya deta, aur apne badal ki bijli ko chamkata hai?

16

क्या तू घटाओं का तौलना, वा सर्वज्ञानी के आश्चर्यकर्म जानता है?

Kya tu ghataon ka taulna, va sarvagyani ke aashcharyakarm janta hai?

17

जब पृथ्वी पर दक्खिनी हवा ही के कारण से सन्नाटा रहता है तब तेरे वस्त्र क्यों गर्म हो जाते हैं?

Jab prithvi par dakkhini hava hi ke karan se sannata rahta hai tab tere vastra kyon garm ho jate hain?

18

फिर क्या तू उसके साथ आकाशमण्डल को तान सकता है, जो ढाले हुए दर्पण के तुल्य दृढ़ है?

Phir kya tu uske saath aakashmandal ko taan sakta hai, jo dhale hue darpan ke tulya dridh hai?

19

तू हमें यह सिखा कि उस से क्या कहना चाहिये? क्योंकि हम अन्धियारे के कारण अपना व्याख्यान ठीक नहीं रच सकते।

Tu hamein yah sikha ki us se kya kahna chahiye? Kyonki ham andhiyare ke karan apna vyakhyaan theek nahi rach sakte.

20

क्या उसको बताया जाए कि मैं बोलना चाहता हूँ? क्या कोई अपना सत्यानाश चाहता है?

Kya usko bataya jaye ki main bolna chahta hoon? Kya koi apna satyanaash chahta hai?

21

अभी तो आकाशमण्डल में का बड़ा प्रकाश देखा नहीं जाता जब वायु चलकर उसको शुद्ध करती है।

Abhi to aakashmandal mein ka bada prakaash dekha nahi jata jab vayu chalkar usko shuddh karti hai.

22

उत्तर दिशा से सुनहली ज्योति आती है ईश्वर भययोग्य तेज से आभूषित है।

Uttar disha se sunahli jyoti aati hai ishwar bhayyogya tej se aabhooshit hai.

23

सर्वशक्तिमान जो अति सामर्थी है, और जिसका भेद हम पा नहीं सकते, वह न्याय और पूर्ण धर्म को छोड़ अत्याचार नहीं कर सकता।

Sarvashaktimaan jo ati samarthi hai, aur jiska bhed ham pa nahi sakte, vah nyaay aur poorn dharm ko chhod atyachaar nahi kar sakta.

24

इसी कारण सज्जन उसका भय मानते हैं, और जो अपनी दृष्टि में बुद्धिमान हैं, उन पर वह दृष्टि नहीं करता।

Isi karan sajjan uska bhay mante hain, aur jo apni drishti mein buddhimaan hain, un par vah drishti nahi karta.