Job 36 · 33 verses

अय्यूब 36 Job 36 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ayyoob 36.

1

फिर एलीहू ने यह भी कहा,

Phir eleehu ne yah bhi kaha,

2

कुछ ठहरा रह, और मैं तुझ को समझाऊंगा, क्योंकि ईश्वर के पक्ष में मुझे कुछ और भी कहना है।

Kuchh thahra rah, aur main tujh ko samjhaoonga, kyonki ishwar ke paksh mein mujhe kuchh aur bhi kahna hai.

3

मैं अपने ज्ञान की बात दूर से ले आऊंगा, और अपने सिरजनहार को धर्मी ठहराऊंगा।

Main apne gyaan ki baat door se le aaoonga, aur apne sirjanhaar ko dharmi thahraoonga.

4

निश्चय मेरी बातें झूठी न होंगी, वह जो तेरे संग है वह पूरा ज्ञानी है।

Nishchay meri batein jhoothi na hongi, vah jo tere sang hai vah poora gyani hai.

5

देख, ईश्वर सामर्थी है, और किसी को तुच्छ नहीं जानता; वह समझने की शक्ति में समर्थ है।

Dekh, ishwar samarthi hai, aur kisi ko tuchchh nahi janta; vah samajhne ki shakti mein samarth hai.

6

वह दुष्टों को जिलाए नहीं रखता, और दीनों को उनका हक देता है।

Vah dushton ko jilaye nahi rakhta, aur deenon ko unka hak deta hai.

7

वह धर्मियों से अपनी आंखें नहीं फेरता, वरन उन को राजाओं के संग सदा के लिये सिंहासन पर बैठाता है, और वे ऊंचे पद को प्राप्त करते हैं।

Vah dharmiyon se apni aankhein nahi pherta, varan un ko rajaon ke sang sada ke liye sinhasan par baithata hai, aur ve oonche pad ko praapt karte hain.

8

ओर चाहे वे बेड़ियों में जकड़े जाएं और दु:ख की रस्सियों से बान्धे जाएं,

Or chahe ve bediyon mein jakde jayen aur dukh ki rassiyon se bandhe jayen,

9

तौभी ईश्वर उन पर उनके काम, और उनका यह अपराध प्रगट करता है, कि उन्होंने गर्व किया है।

Taubhi ishwar un par unke kaam, aur unka yah apraadh pragat karta hai, ki unhonne garva kiya hai.

10

वह उनके कान शिक्षा सुनने के लिये खोलता है, और आज्ञा देता है कि वे बुराई से परे रहें।

Vah unke kaan shiksha sunne ke liye kholta hai, aur aagya deta hai ki ve burai se pare rahein.

11

यदि वे सुन कर उसकी सेवा करें, तो वे अपने दिन कल्याण से, और अपने वर्ष सुख से पूरे करते हैं।

Yadi ve sun kar uski seva karein, to ve apne din kalyaan se, aur apne varsh sukh se poore karte hain.

12

परन्तु यदि वे न सुनें, तो वे खड़ग से नाश हो जाते हैं, और अज्ञानता में मरते हैं।

Parantu yadi ve na sunein, to ve khadag se naash ho jate hain, aur agyanta mein marte hain.

13

परन्तु वे जो मन ही मन भक्तिहीन हो कर क्रोध बढ़ाते, और जब वह उन को बान्धता है, तब भी दोहाई नहीं देते,

Parantu ve jo man hi man bhaktiheen ho kar krodh badhate, aur jab vah un ko bandhata hai, tab bhi dohai nahi dete,

14

वे जवानी में मर जाते हैं और उनका जीवन लूच्चों के बीच में नाश होता है।

Ve javani mein mar jate hain aur unka jeevan loochchon ke beech mein naash hota hai.

15

वह दुखियों को उनके दु:ख से छुड़ाता है, और उपद्रव में उनका कान खोलता है।

Vah dukhiyon ko unke dukh se chhudata hai, aur upadrav mein unka kaan kholta hai.

16

परन्तु वह तुझ को भी क्लेश के मुंह में से निकाल कर ऐसे चौड़े स्थान में जहां सकेती नहीं है, पहुंचा देता है, और चिकना चिकना भोजन तेरी मेज पर परोसता है।

Parantu vah tujh ko bhi klesh ke munh mein se nikaal kar aise chaude sthaan mein jahan saketi nahi hai, pahuncha deta hai, aur chikna chikna bhojan teri mej par parosta hai.

17

परन्तु तू ने दुष्टों का सा निर्णय किया है इसलिये निर्णय और न्याय तुझ से लिपटे रहते है।

Parantu tu ne dushton ka sa nirnay kiya hai isliye nirnay aur nyaay tujh se lipte rahte hai.

18

देख, तू जलजलाहट से उभर के ठट्ठा मत कर, और न प्रायश्चित्त को अधिक बड़ा जान कर मार्ग से मुड़।

Dekh, tu jalajlahat se ubhar ke thattha mat kar, aur na prayashchitt ko adhik bada jaan kar maarg se mud.

19

क्या तेरा रोना वा तेरा बल तुझे दु:ख से छुटकारा देगा?

Kya tera rona va tera bal tujhe dukh se chhutkara dega?

20

उस रात की अभिलाषा न कर, जिस में देश देश के लोग अपने अपने स्थान से मिटाए जाते हैं।

Us raat ki abhilasha na kar, jis mein desh desh ke log apne apne sthaan se mitaye jate hain.

21

चौकस रह, अनर्थ काम की ओर मत फिर, तू ने तो दु:ख से अधिक इसी को चुन लिया है।

Chaukas rah, anarth kaam ki or mat phir, tu ne to dukh se adhik isi ko chun liya hai.

22

देख, ईश्वर अपने सामर्थ्य से बड़े बड़े काम करता है, उसके समान शिक्षक कौन है?

Dekh, ishwar apne samarthya se bade bade kaam karta hai, uske samaan shikshak kaun hai?

23

किस ने उसके चलने का मार्ग ठहराया है? और कौन उस से कह सकता है, कि तू ने अनुचित काम किया है?

Kis ne uske chalne ka maarg thahraya hai? Aur kaun us se kah sakta hai, ki tu ne anuchit kaam kiya hai?

24

उसके कामों की महिमा और प्रशंसा करने को स्मरण रख, जिसकी प्रशंसा का गीत मनुष्य गाते चले आए हैं।

Uske kamon ki mahima aur prashansa karne ko smaran rakh, jiski prashansa ka geet manushya gate chale aaye hain.

25

सब मनुष्य उसको ध्यान से देखते आए हैं, और मनुष्य उसे दूर दूर से देखता है।

Sab manushya usko dhyaan se dekhte aaye hain, aur manushya use door door se dekhta hai.

26

देख, ईश्वर महान और हमारे ज्ञान से कहीं परे है, और उसके वर्ष की गिनती अनन्त है।

Dekh, ishwar mahaan aur hamare gyaan se kahi pare hai, aur uske varsh ki ginti anant hai.

27

क्योंकि वह तो जल की बूंदें ऊपर को खींच लेता है वे कुहरे से मेंह हो कर टपकती हैं,

Kyonki vah to jal ki boondein oopar ko kheench leta hai ve kuhre se menh ho kar tapakti hain,

28

वे ऊंचे ऊंचे बादल उंडेलते हैं और मनुष्यों के ऊपर बहुतायत से बरसाते हैं।

Ve oonche oonche badal undelte hain aur manushyon ke oopar bahutayat se barsate hain.

29

फिर क्या कोई बादलों का फैलना और उसके मण्डल में का गरजना समझ सकता है?

Phir kya koi badlon ka phailna aur uske mandal mein ka garajna samajh sakta hai?

30

देख, वह अपने उजियाले को चहुँ ओर फैलाता है, और समुद्र की थाह को ढांपता है।

Dekh, vah apne ujiyale ko chahun or phailata hai, aur samudra ki thaah ko dhampta hai.

31

क्योंकि वह देश देश के लोगों का न्याय इन्हीं से करता है, और भोजन वस्तुएं बहुतायत से देता है।

Kyonki vah desh desh ke logon ka nyaay inhi se karta hai, aur bhojan vastuein bahutayat se deta hai.

32

वह बिजली को अपने हाथ में ले कर उसे आज्ञा देता है कि दुश्मन पर गिरे।

Vah bijli ko apne haath mein le kar use aagya deta hai ki dushman par gire.

33

इसकी कड़क उसी का समाचार देती है पशु भी प्रगट करते हैं कि अन्धड़ चढ़ा आता है।

Iski kadak usi ka samachaar deti hai pashu bhi pragat karte hain ki andhad chadha aata hai.