फिर एलीहू इस प्रकार और भी कहता गया,
Phir eleehu is prakaar aur bhi kahta gaya,
Job 35 · 16 verses
फिर एलीहू इस प्रकार और भी कहता गया,
Phir eleehu is prakaar aur bhi kahta gaya,
कि क्या तू इसे अपना हक़ समझता है? क्या तू दावा करता है कि तेरा धर्म ईश्वर के धर्म से अधिक है?
Ki kya tu ise apna haq samajhta hai? Kya tu dava karta hai ki tera dharm ishwar ke dharm se adhik hai?
जो तू कहता है कि मुझे इस से क्या लाभ? और मुझे पापी होने में और न होने में कौन सा अधिक अन्तर है?
Jo tu kahta hai ki mujhe is se kya laabh? Aur mujhe papi hone mein aur na hone mein kaun sa adhik antar hai?
मैं तुझे और तेरे साथियों को भी एक संग उत्तर देता हूँ।
Main tujhe aur tere sathiyon ko bhi ek sang uttar deta hoon.
आकाश की ओर दृष्टि कर के देख; और आकाशमण्डल को ताक, जो तुझ से ऊंचा है।
Aakaash ki or drishti kar ke dekh; aur aakashmandal ko taak, jo tujh se ooncha hai.
यदि तू ने पाप किया है तो ईश्वर का क्या बिगड़ता है? यदि तेरे अपराध बहुत ही बढ़ जाएं तौभी तू उसके साथ क्या करता है?
Yadi tu ne paap kiya hai to ishwar ka kya bigadta hai? Yadi tere apraadh bahut hi badh jayen taubhi tu uske saath kya karta hai?
यदि तू धर्मी है तो उसको क्या दे देता है; वा उसे तेरे हाथ से क्या मिल जाता है?
Yadi tu dharmi hai to usko kya de deta hai; va use tere haath se kya mil jata hai?
तेरी दुष्टता का फल तुझ ऐसे ही पुरुष के लिये है, और तेरे धर्म का फल भी मनुष्य मात्र के लिये है।
Teri dushtata ka phal tujh aise hi purush ke liye hai, aur tere dharm ka phal bhi manushya matra ke liye hai.
बहुत अन्धेर होने के कारण वे चिल्लाते हैं; और बलवान के बाहुबल के कारण वे दोहाई देते हैं।
Bahut andher hone ke karan ve chillate hain; aur balvaan ke bahubal ke karan ve dohai dete hain.
तौभी कोई यह नहीं कहता, कि मेरा सृजने वाला ईश्वर कहां है, जो रात में भी गीत गवाता है,
Taubhi koi yah nahi kahta, ki mera srijne vala ishwar kahan hai, jo raat mein bhi geet gavata hai,
और हमें पृथ्वी के पशुओं से अधिक शिक्षा देता, और आकाश के पक्षियों से अधिक बुद्धि देता है?
Aur hamein prithvi ke pashuon se adhik shiksha deta, aur aakaash ke pakshiyon se adhik buddhi deta hai?
वे दोहाई देते हैं परन्तु कोई उत्तर नहीं देता, यह बुरे लोगों के घमण्ड के कारण होता है।
Ve dohai dete hain parantu koi uttar nahi deta, yah bure logon ke ghamand ke karan hota hai.
निश्चय ईश्वर व्यर्थ बातें कभी नहीं सुनता, और न सर्वशक्तिमान उन पर चित्त लगाता है।
Nishchay ishwar vyarth batein kabhi nahi sunta, aur na sarvashaktimaan un par chitt lagata hai.
तो तू क्यों कहता है, कि वह मुझे दर्शन नहीं देता, कि यह मुक़द्दमा उसके साम्हने है, और तू उसकी बाट जोहता हुआ ठहरा है?
To tu kyon kahta hai, ki vah mujhe darshan nahi deta, ki yah muqaddama uske samhane hai, aur tu uski baat johta huaa thahra hai?
परन्तु अभी तो उसने क्रोध कर के दण्ड नहीं दिया है, और अभिमान पर चित्त बहुत नहीं लगाया;
Parantu abhi to usne krodh kar ke dand nahi diya hai, aur abhimaan par chitt bahut nahi lagaya;
इस कारण अय्यूब व्यर्थ मुंह खोल कर अज्ञानता की बातें बहुत बनाता है।
Is karan ayyoob vyarth munh khol kar agyanta ki batein bahut banata hai.