तौभी हे अय्यूब! मेरी बातें सुन ले, और मेरे सब वचनों पर कान लगा।
Taubhi he ayyoob! Meri batein sun le, aur mere sab vachnon par kaan laga.
Job 33 · 33 verses
तौभी हे अय्यूब! मेरी बातें सुन ले, और मेरे सब वचनों पर कान लगा।
Taubhi he ayyoob! Meri batein sun le, aur mere sab vachnon par kaan laga.
मैं ने तो अपना मुंह खोला है, और मेरी जीभ मुंह में चुलबुला रही है।
Main ne to apna munh khola hai, aur meri jeebh munh mein chulbula rahi hai.
मेरी बातें मेरे मन की सिधाई प्रगट करेंगी; जो ज्ञान मैं रखता हूं उसे खराई के साथ कहूंगा।
Meri batein mere man ki sidhai pragat karengi; jo gyaan main rakhta hoon use kharai ke saath kahoonga.
मुझे ईश्वर की आत्मा ने बनाया है, और सर्वशक्तिमान की सांस से मुझे जीवन मिलता है।
Mujhe ishwar ki aatma ne banaya hai, aur sarvashaktimaan ki saans se mujhe jeevan milta hai.
यदि तू मुझे उत्तर दे सके, तो दे; मेरे साम्हने अपनी बातें क्रम से रच कर खड़ा हो जा।
Yadi tu mujhe uttar de sake, to de; mere samhane apni batein kram se rach kar khada ho ja.
देख मैं ईश्वर के सन्मुख तेरे तुल्य हूँ; मैं भी मिट्टी का बना हुआ हूँ।
Dekh main ishwar ke sanmukh tere tulya hoon; main bhi mitti ka bana huaa hoon.
सुन, तुझे मेरे डर के मारे घबराना न पड़ेगा, और न तू मेरे बोझ से दबेगा।
Sun, tujhe mere dar ke mare ghabrana na padega, aur na tu mere bojh se dabega.
नि:सन्देह तेरी ऐसी बात मेरे कानों में पड़ी है और मैं ने तेरे वचन सुने हैं, कि
Nisandeh teri aisi baat mere kanon mein padi hai aur main ne tere vachan sune hain, ki
मैं तो पवित्र और निरपराध और निष्कलंक हूँ; और मुझ में अर्ध्म नहीं है।
Main to pavitra aur nirapraadh aur nishkalank hoon; aur mujh mein ardhm nahi hai.
देख, वह मुझ से झगड़ने के दांव ढूंढ़ता है, और मुझे अपना शत्रु समझता है;
Dekh, vah mujh se jhagadne ke daanv dhoondhta hai, aur mujhe apna shatru samajhta hai;
वह मेरे दोनों पांवों को काठ में ठोंक देता है, और मेरी सारी चाल की देखभाल करता है।
Vah mere donon panvon ko kaath mein thonk deta hai, aur meri sari chaal ki dekhbhaal karta hai.
देख, मैं तुझे उत्तर देता हूँ, इस बात में तू सच्चा नहीं है। क्योंकि ईश्वर मनुष्य से बड़ा है।
Dekh, main tujhe uttar deta hoon, is baat mein tu sachcha nahi hai. Kyonki ishwar manushya se bada hai.
तू उस से क्यों झगड़ता है? क्योंकि वह अपनी किसी बात का लेखा नहीं देता।
Tu us se kyon jhagadta hai? Kyonki vah apni kisi baat ka lekha nahi deta.
क्योंकि ईश्वर तो एक क्या वरन दो बार बोलता है, परन्तु लोग उस पर चित्त नहीं लगाते।
Kyonki ishwar to ek kya varan do baar bolta hai, parantu log us par chitt nahi lagate.
स्वप्न में, वा रात को दिए हुए दर्शन में, जब मनुष्य घोर निद्रा में पड़े रहते हैं, वा बिछौने पर सोते समय,
Swapn mein, va raat ko diye hue darshan mein, jab manushya ghor nidra mein pade rahte hain, va bichhaune par sote samay,
तब वह मनुष्यों के कान खोलता है, और उनकी शिक्षा पर मुहर लगाता है,
Tab vah manushyon ke kaan kholta hai, aur unki shiksha par muhar lagata hai,
जिस से वह मनुष्य को उसके संकल्प से रोके और गर्व को मनुष्य में से दूर करे।
Jis se vah manushya ko uske sankalp se roke aur garva ko manushya mein se door kare.
वह उसके प्राण को गढ़हे से बचाता है, और उसके जीवन को खड़ग की मार से बचाता है।
Vah uske praan ko gadhhe se bachata hai, aur uske jeevan ko khadag ki maar se bachata hai.
उसे ताड़ना भी होती है, कि वह अपने बिछौने पर पड़ा पड़ा तड़पता है, और उसकी हड्डी हड्डी में लगातार झगड़ा होता है
Use tadna bhi hoti hai, ki vah apne bichhaune par pada pada tadapta hai, aur uski haddi haddi mein lagataar jhagda hota hai
यहां तक कि उसका प्राण रोटी से, और उसका मन स्वादिष्ट भोजन से घृणा करने लगता है।
Yahan tak ki uska praan roti se, aur uska man swadisht bhojan se ghrina karne lagta hai.
उसका मांस ऐसा सूख जाता है कि दिखाई नहीं देता; और उसकी हड्डियां जो पहिले दिखाई नहीं देती थीं निकल आती हैं।
Uska maans aisa sookh jata hai ki dikhai nahi deta; aur uski haddiyan jo pahile dikhai nahi deti thi nikal aati hain.
निदान वह कबर के निकट पहुंचता है, और उसका जीवन नाश करने वालों के वश में हो जाता है।
Nidaan vah kabar ke nikat pahunchta hai, aur uska jeevan naash karne valon ke vash mein ho jata hai.
यदि उसके लिये कोई बिचवई स्वर्ग दूत मिले, जो हजार में से एक ही हो, जो भावी कहे। और जो मनुष्य को बताए कि उसके लिये क्या ठीक है।
Yadi uske liye koi bichvai swarg doot mile, jo hajaar mein se ek hi ho, jo bhavi kahe. Aur jo manushya ko bataye ki uske liye kya theek hai.
तो वह उस पर अनुग्रह कर के कहता है, कि उसे गढ़हे में जाने से बचा ले, मुझे छुड़ौती मिली है।
To vah us par anugrah kar ke kahta hai, ki use gadhhe mein jane se bacha le, mujhe chhudauti mili hai.
तब उस मनुष्य की देह बालक की देह से अधिक स्वस्थ और कोमल हो जाएगी; उसकी जवानी के दिन फिर लौट आएंगे।
Tab us manushya ki deh balak ki deh se adhik swasth aur komal ho jayegi; uski javani ke din phir laut aayenge.
वह ईश्वर से बिनती करेगा, और वह उस से प्रसन्न होगा, वह आनन्द से ईश्वर का दर्शन करेगा, और ईश्वर मनुष्य को ज्यों का त्यों धर्मी कर देगा।
Vah ishwar se binti karega, aur vah us se prasann hoga, vah aanand se ishwar ka darshan karega, aur ishwar manushya ko jyon ka tyon dharmi kar dega.
वह मनुष्यों के साम्हने गाने और कहने लगता है, कि मैं ने पाप किया, और सच्चाई को उलट पुलट कर दिया, परन्तु उसका बदला मुझे दिया नहीं गया।
Vah manushyon ke samhane gane aur kahne lagta hai, ki main ne paap kiya, aur sachchai ko ulat pulat kar diya, parantu uska badla mujhe diya nahi gaya.
उसने मेरे प्राण क़ब्र में पड़ने से बचाया है, मेरा जीवन उजियाले को देखेगा।
Usne mere praan qabra mein padne se bachaya hai, mera jeevan ujiyale ko dekhega.
देख, ऐसे ऐसे सब काम ईश्वर पुरुष के साथ दो बार क्या वरन तीन बार भी करता है,
Dekh, aise aise sab kaam ishwar purush ke saath do baar kya varan teen baar bhi karta hai,
जिस से उसको क़ब्र से बचाए, और वह जीवनलोक के उजियाले का प्रकाश पाए।
Jis se usko qabra se bachaye, aur vah jeevanlok ke ujiyale ka prakaash paye.
हे अय्यूब! कान लगा कर मेरी सुन; चुप रह, मैं और बोलूंगा।
He ayyoob! Kaan laga kar meri sun; chup rah, main aur boloonga.
यदि तुझे बात कहनी हो, तो मुझे उत्तर दे; बोल, क्योंकि मैं तुझे निर्दोष ठहराना चाहता हूँ।
Yadi tujhe baat kahni ho, to mujhe uttar de; bol, kyonki main tujhe nirdosh thahrana chahta hoon.
यदि नहीं, तो तु मेरी सुन; चुप रह, मैं तुझे बुद्धि की बात सिखाऊंगा।
Yadi nahi, to tu meri sun; chup rah, main tujhe buddhi ki baat sikhaoonga.