Job 28 · 28 verses

अय्यूब 28 Job 28 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ayyoob 28.

1

चांदी की खानि तो होती है, और सोने के लिये भी स्थान होता है जहां लोग ताते हैं।

Chandi ki khani to hoti hai, aur sone ke liye bhi sthaan hota hai jahan log tate hain.

2

लोहा मिट्टी में से निकाला जाता और पत्थर पिघलाकर पीतल बनाया जाता है

Loha mitti mein se nikala jata aur patthar pighlakar peetal banaya jata hai

3

मनुष्य अन्धियारे को दूर कर, दूर दूर तक खोद खोद कर, अन्धियारे ओर घोर अन्धकार में पत्थर ढूंढ़ते हैं।

Manushya andhiyare ko door kar, door door tak khod khod kar, andhiyare or ghor andhakaar mein patthar dhoondhte hain.

4

जहां लोग रहते हैं वहां से दूर वे खानि खोदते हैं वहां पृथ्वी पर चलने वालों के भूले बिसरे हुए वे मनुष्यों से दूर लटके हुए झूलते रहते हैं।

Jahan log rahte hain vahan se door ve khani khodte hain vahan prithvi par chalne valon ke bhoole bisre hue ve manushyon se door latke hue jhoolte rahte hain.

5

यह भूमि जो है, इस से रोटी तो मिलती है, परन्तु उसके नीचे के स्थान मानो आग से उलट दिए जाते हैं।

Yah bhoomi jo hai, is se roti to milti hai, parantu uske neeche ke sthaan mano aag se ulat diye jate hain.

6

उसके पत्थर नीलमणि का स्थान हैं, और उसी में सोने की धूलि भी है।

Uske patthar neelamni ka sthaan hain, aur usi mein sone ki dhooli bhi hai.

7

उसका मार्ग कोई मांसाहारी पक्षी नहीं जानता, और किसी गिद्ध की दृष्टि उस पर नहीं पड़ी।

Uska maarg koi mansahari pakshi nahi janta, aur kisi giddh ki drishti us par nahi padi.

8

उस पर अभिमानी पशुओं ने पांव नहीं धरा, और न उस से हो कर कोई सिंह कभी गया है।

Us par abhimani pashuon ne paanv nahi dhara, aur na us se ho kar koi sinh kabhi gaya hai.

9

वह चकमक के पत्थर पर हाथ लगाता, और पहाड़ों को जड़ ही से उलट देता है।

Vah chakmak ke patthar par haath lagata, aur pahadon ko jad hi se ulat deta hai.

10

वह चट्टान खोद कर नालियां बनाता, और उसकी आंखों को हर एक अनमोल वस्तु दिखाई पड़ती है।

Vah chattaan khod kar naliyan banata, aur uski aankhon ko har ek anmol vastu dikhai padti hai.

11

वह नदियों को ऐसा रोक देता है, कि उन से एक बूंद भी पानी नहीं टपकता और जो कुछ छिपा है उसे वह उजियाले में निकालता है।

Vah nadiyon ko aisa rok deta hai, ki un se ek boond bhi pani nahi tapakta aur jo kuchh chhipa hai use vah ujiyale mein nikalta hai.

12

परन्तु बुद्धि कहां मिल सकती है? और समझ का स्थान कहां है?

Parantu buddhi kahan mil sakti hai? Aur samajh ka sthaan kahan hai?

13

उसका मोल मनुष्य को मालूम नहीं, जीवनलोक में वह कहीं नहीं मिलती!

Uska mol manushya ko maloom nahi, jeevanlok mein vah kahi nahi milti!

14

अथाह सागर कहता है, वह मुझ में नहीं है, और समुद्र भी कहता है, वह मेरे पास नहीं है।

Athaah sagar kahta hai, vah mujh mein nahi hai, aur samudra bhi kahta hai, vah mere paas nahi hai.

15

चोखे सोने से वह मोल लिया नहीं जाता। और न उसके दाम के लिये चान्दी तौली जाती है।

Chokhe sone se vah mol liya nahi jata. Aur na uske daam ke liye chandi tauli jati hai.

16

न तो उसके साथ ओपीर के कुन्दन की बराबरी हो सकती है; और न अनमोल सुलैमानी पत्थर वा नीलमणि की।

Na to uske saath opeer ke kundan ki barabri ho sakti hai; aur na anmol sulaimani patthar va neelamni ki.

17

न सोना, न कांच उसके बराबर ठहर सकता है, कुन्दन के गहने के बदले भी वह नहीं मिलती।

Na sona, na kaanch uske barabar thahar sakta hai, kundan ke gahne ke badle bhi vah nahi milti.

18

मूंगे और स्फटिकमणि की उसके आगे क्या चर्चा! बुद्धि का मोल माणिक से भी अधिक है।

Moonge aur sphatikamni ki uske aage kya charcha! Buddhi ka mol manik se bhi adhik hai.

19

कूश देश के पद्मराग उसके तुल्य नहीं ठहर सकते; और न उस से चोखे कुन्दन की बराबरी हो सकती है।

Koosh desh ke padmaraag uske tulya nahi thahar sakte; aur na us se chokhe kundan ki barabri ho sakti hai.

20

फिर बुद्धि कहां मिल सकती है? और समझ का स्थान कहां?

Phir buddhi kahan mil sakti hai? Aur samajh ka sthaan kahan?

21

वह सब प्राणियों की आंखों से छिपी है, और आकाश के पक्षियों के देखने में नहीं आती।

Vah sab praniyon ki aankhon se chhipi hai, aur aakaash ke pakshiyon ke dekhne mein nahi aati.

22

विनाश ओर मृत्यु कहती हैं, कि हमने उसकी चर्चा सुनी है।

Vinaash or mrityu kahti hain, ki hamne uski charcha suni hai.

23

परन्तु परमेश्वर उसका मार्ग समझता है, और उसका स्थान उसको मालूम है।

Parantu Parmeshwar uska maarg samajhta hai, aur uska sthaan usko maloom hai.

24

वह तो पृथ्वी की छोर तक ताकता रहता है, और सारे आकाशमण्डल के तले देखता भालता है।

Vah to prithvi ki chhor tak takta rahta hai, aur sare aakashmandal ke tale dekhta bhalta hai.

25

जब उसने वायु का तौल ठहराया, और जल को नपुए में नापा,

Jab usne vayu ka taul thahraya, aur jal ko napue mein napa,

26

और मेंह के लिये विधि और गर्जन और बिजली के लिये मार्ग ठहराया,

Aur menh ke liye vidhi aur garjan aur bijli ke liye maarg thahraya,

27

तब उसने बुद्धि को देखकर उसका बखान भी किया, और उसको सिद्ध कर के उसका पूरा भेद बूझ लिया।

Tab usne buddhi ko dekhkar uska bakhaan bhi kiya, aur usko siddh kar ke uska poora bhed boojh liya.

28

तब उस न मनुष्य से कहा, देख, प्रभु का भय मानना यही बुद्धि है: और बुराई से दूर रहना यही समझ है।

Tab us na manushya se kaha, dekh, Prabhu ka bhay manna yahi buddhi hai: aur burai se door rahna yahi samajh hai.