Job 26 · 14 verses

अय्यूब 26 Job 26 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ayyoob 26.

1

तब अय्यूब ने कहा,

Tab ayyoob ne kaha,

2

निर्बल जन की तू ने क्या ही बड़ी सहायता की, और जिसकी बांह में सामर्थ्य नहीं, उसको तू ने कैसे सम्भाला है?

Nirbal jan ki tu ne kya hi badi sahayta ki, aur jiski baanh mein samarthya nahi, usko tu ne kaise sambhala hai?

3

निर्बुद्धि मनुष्य को तू ने क्या ही अच्छी सम्मति दी, और अपनी खरी बुद्धि कैसी भली भांति प्रगट की है?

Nirbuddhi manushya ko tu ne kya hi achchhi sammati di, aur apni khari buddhi kaisi bhali bhanti pragat ki hai?

4

तू ने किसके हित के लिये बातें कही? और किसके मन की बातें तेरे मुंह से निकलीं?

Tu ne kiske hit ke liye batein kahi? Aur kiske man ki batein tere munh se nikli?

5

बहुत दिन के मरे हुए लोग भी जलनिधि और उसके निवासियों के तले तड़पते हैं।

Bahut din ke mare hue log bhi jalnidhi aur uske nivasiyon ke tale tadapte hain.

6

अधोलोक उसके साम्हने उघड़ा रहता है, और विनाश का स्थान ढंप नहीं सकता।

Adholok uske samhane ughda rahta hai, aur vinaash ka sthaan dhamp nahi sakta.

7

वह उत्तर दिशा को निराधार फैलाए रहता है, और बिना टेक पृथ्वी को लटकाए रखता है।

Vah uttar disha ko niradhaar phailaye rahta hai, aur bina tek prithvi ko latkaye rakhta hai.

8

वह जल को अपनी काली घटाओं में बान्ध रखता, और बादल उसके बोझ से नहीं फटता।

Vah jal ko apni kali ghataon mein baandh rakhta, aur badal uske bojh se nahi phatta.

9

वह अपने सिंहासन के साम्हने बादल फैला कर उसको छिपाए रखता है।

Vah apne sinhasan ke samhane badal phaila kar usko chhipaye rakhta hai.

10

उजियाले और अन्धियारे के बीच जहां सिवाना बंधा है, वहां तक उसने जलनिधि का सिवाना ठहरा रखा है।

Ujiyale aur andhiyare ke beech jahan sivana bandha hai, vahan tak usne jalnidhi ka sivana thahra rakha hai.

11

उसकी घुड़की से आकाश के खम्भे थरथरा कर चकित होते हैं।

Uski ghudki se aakaash ke khambhe tharathra kar chakit hote hain.

12

वह अपने बल से समुद्र को उछालता, और अपनी बुद्धि से घमण्ड को छेद देता है।

Vah apne bal se samudra ko uchhalta, aur apni buddhi se ghamand ko chhed deta hai.

13

उसकी आत्मा से आकाशमण्डल स्वच्छ हो जाता है, वह अपने हाथ से वेग भागने वाले नाग को मार देता है।

Uski aatma se aakashmandal swachchh ho jata hai, vah apne haath se veg bhagne vale naag ko maar deta hai.

14

देखो, ये तो उसकी गति के किनारे ही हैं; और उसकी आहट फुसफुसाहट ही सी तो सुन पड़ती है, फिर उसके पराक्रम के गरजने का भेद कौन समझ सकता है?

Dekho, ye to uski gati ke kinare hi hain; aur uski aahat phusphusahat hi si to sun padti hai, phir uske parakram ke garajne ka bhed kaun samajh sakta hai?