तब शूही बिल्दद ने कहा,
Tab shoohi bildad ne kaha,
Job 25 · 6 verses
तब शूही बिल्दद ने कहा,
Tab shoohi bildad ne kaha,
प्रभुता करना और डराना यह उसी का काम है; वह अपने ऊंचे ऊंचे स्थानों में शान्ति रखता है।
Prabhuta karna aur darana yah usi ka kaam hai; vah apne oonche oonche sthanon mein shanti rakhta hai.
क्या उसकी सेनाओं की गिनती हो सकती? और कौन है जिस पर उसका प्रकाश नहीं पड़ता?
Kya uski senaon ki ginti ho sakti? Aur kaun hai jis par uska prakaash nahi padta?
फिर मनुष्य ईश्वर की दृष्टि में धर्मी क्योंकर ठहर सकता है? और जो स्त्री से उत्पन्न हुआ है वह क्योंकर निर्मल हो सकता है?
Phir manushya ishwar ki drishti mein dharmi kyonkar thahar sakta hai? Aur jo stri se utpann huaa hai vah kyonkar nirmal ho sakta hai?
देख, उसकी दृष्टि में चन्द्रमा भी अन्धेरा ठहरता, और तारे भी निर्मल नहीं ठहरते।
Dekh, uski drishti mein chandrama bhi andhera thaharta, aur tare bhi nirmal nahi thaharte.
फिर मनुष्य की क्या गिनती जो कीड़ा है, और आदमी कहां रहा जो केंचुआ है!
Phir manushya ki kya ginti jo keeda hai, aur aadmi kahan raha jo kenchuaa hai!