Job 24 · 25 verses

अय्यूब 24 Job 24 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ayyoob 24.

1

सर्वशक्तिमान ने समय क्यों नहीं ठहराया, और जो लोग उसका ज्ञान रखते हैं वे उसके दिन क्यों देखने नहीं पाते?

Sarvashaktimaan ne samay kyon nahi thahraya, aur jo log uska gyaan rakhte hain ve uske din kyon dekhne nahi pate?

2

कुछ लोग भूमि की सीमा को बढ़ाते, और भेड़ बकरियां छीन कर चराते हैं।

Kuchh log bhoomi ki seema ko badhate, aur bhed bakriyan chheen kar charate hain.

3

वे अनाथों का गदहा हांक ले जाते, और विधवा का बैल बन्धक कर रखते हैं।

Ve anathon ka gadha haank le jate, aur vidhva ka bail bandhak kar rakhte hain.

4

वे दरिद्र लोगों को मार्ग से हटा देते, और देश के दीनों को इकट्ठे छिपना पड़ता है।

Ve daridra logon ko maarg se hata dete, aur desh ke deenon ko ikatthe chhipna padta hai.

5

देखो, वे जंगली गदहों की नाईं अपने काम को और कुछ भोजन यत्न से ढूंढ़ने को निकल जाते हैं; उनके लड़के-बालों का भोजन उन को जंगल से मिलता है।

Dekho, ve jangli gadhon ki nai apne kaam ko aur kuchh bhojan yatn se dhoondhne ko nikal jate hain; unke ladke-balon ka bhojan un ko jangal se milta hai.

6

उन को खेत में चारा काटना, और दुष्टों की बची बचाई दाख बटोरना पड़ता है।

Un ko khet mein chara katna, aur dushton ki bachi bachai daakh batorna padta hai.

7

रात को उन्हें बिना वस्त्र नंगे पड़े रहना और जाड़े के समय बिना ओढ़े पड़े रहना पड़ता है।

Raat ko unhein bina vastra nange pade rahna aur jade ke samay bina odhe pade rahna padta hai.

8

वे पहाड़ों पर की झड़ियों से भीगे रहते, और शरण न पाकर चट्टान से लिपट जाते हैं।

Ve pahadon par ki jhadiyon se bheege rahte, aur sharan na pakar chattaan se lipat jate hain.

9

कुछ लोग अनाथ बालक को माँ की छाती पर से छीन लेते हैं, और दीन लोगों से बन्धक लेते हैं।

Kuchh log anaath balak ko maa ki chhati par se chheen lete hain, aur deen logon se bandhak lete hain.

10

जिस से वे बिना वस्त्र नंगे फिरते हैं; और भूख के मारे, पूलियां ढोते हैं।

Jis se ve bina vastra nange phirte hain; aur bhookh ke mare, pooliyan dhote hain.

11

वे उनकी भीतों के भीतर तेल पेरते और उनके कुणडों में दाख रौंदते हुए भी प्यासे रहते हैं।

Ve unki bheeton ke bheetar tel perte aur unke kundon mein daakh raundte hue bhi pyase rahte hain.

12

वे बड़े नगर में कराहते हैं, और घायल किए हुओं का जी दोहाई देता है; परन्तु ईश्वर मूर्खता का हिसाब नहीं लेता।

Ve bade nagar mein karahte hain, aur ghayal kiye huon ka ji dohai deta hai; parantu ishwar moorkhata ka hisaab nahi leta.

13

फिर कुछ लोग उजियाले से बैर रखते, वे उसके मार्गों को नहीं पहचानते, और न उसके मार्गों में बने रहते हैं।

Phir kuchh log ujiyale se bair rakhte, ve uske margon ko nahi pahchante, aur na uske margon mein bane rahte hain.

14

खूनी, पह फटते ही उठ कर दीन दरिद्र मनुष्य को घात करता, और रात को चोर बन जाता है।

Khooni, pah phatte hi uth kar deen daridra manushya ko ghaat karta, aur raat ko chor ban jata hai.

15

व्यभिचारी यह सोच कर कि कोई मुझ को देखने न पाए, दिन डूबने की राह देखता रहता है, और वह अपना मुंह छिपाए भी रखता है।

Vyabhichari yah soch kar ki koi mujh ko dekhne na paye, din doobne ki raah dekhta rahta hai, aur vah apna munh chhipaye bhi rakhta hai.

16

वे अन्धियारे के समय घरों में सेंध मारते और दिन को छिपे रहते हैं; वे उजियाले को जानते भी नहीं।

Ve andhiyare ke samay gharon mein sendh marte aur din ko chhipe rahte hain; ve ujiyale ko jante bhi nahi.

17

इसलिये उन सभों को भोर का प्रकाश घोर अन्धकार सा जान पड़ता है, क्योंकि घोर अन्धकार का भय वे जानते हैं।

Isliye un sabhon ko bhor ka prakaash ghor andhakaar sa jaan padta hai, kyonki ghor andhakaar ka bhay ve jante hain.

18

वे जल के ऊपर हलकी वस्तु के सरीखे हैं, उनके भाग को पृथ्वी के रहने वाले कोसते हैं, और वे अपनी दाख की बारियों में लौटने नहीं पाते।

Ve jal ke oopar halki vastu ke sareekhe hain, unke bhaag ko prithvi ke rahne vale koste hain, aur ve apni daakh ki bariyon mein lautne nahi pate.

19

जैसे सूखे और घाम से हिम का जल सूख जाता है वैसे ही पापी लोग अधोलोक में सूख जाते हैं।

Jaise sookhe aur ghaam se him ka jal sookh jata hai vaise hi papi log adholok mein sookh jate hain.

20

माता भी उसको भूल जाती, और कीड़े उसे चूसते हैं, भविष्य में उसका स्मरण न रहेगा; इस रीति टेढ़ा काम करने वाला वृक्ष की नाईं कट जाता है।

Mata bhi usko bhool jati, aur keede use chooste hain, bhavishya mein uska smaran na rahega; is reeti tedha kaam karne vala vriksh ki nai kat jata hai.

21

वह बांज स्त्री को जो कभी नहीं जनी लूटता, और विधवा से भलाई करना नहीं चाहता है।

Vah baanj stri ko jo kabhi nahi jani lootta, aur vidhva se bhalai karna nahi chahta hai.

22

बलात्कारियों को भी ईश्वर अपनी शक्ति से खींच लेता है, जो जीवित रहने की आशा नहीं रखता, वह भी फिर उठ बैठता है।

Balatkariyon ko bhi ishwar apni shakti se kheench leta hai, jo jeevit rahne ki aasha nahi rakhta, vah bhi phir uth baithta hai.

23

उन्हें ऐसे बेखटके कर देता है, कि वे सम्भले रहते हैं; और उसकी कृपादृष्टि उनकी चाल पर लगी रहती है।

Unhein aise bekhatke kar deta hai, ki ve sambhale rahte hain; aur uski kripadrishti unki chaal par lagi rahti hai.

24

वे बढ़ते हैं, तब थोड़ी बेर में जाते रहते हैं, वे दबाए जाते और सभोंनकी नाईं रख लिये जाते हैं, और अनाज की बाल की नाईं काटे जाते हैं।

Ve badhte hain, tab thodi ber mein jate rahte hain, ve dabaye jate aur sabhonnki nai rakh liye jate hain, aur anaaj ki baal ki nai kate jate hain.

25

क्या यह सब सच नहीं! कौन मुझे झुठलाएगा? कौन मेरी बातें निकम्मी ठहराएगा?

Kya yah sab sach nahi! Kaun mujhe jhuthlayega? Kaun meri batein nikammi thahrayega?