तब अय्यूब ने कहा,
Tab ayyoob ne kaha,
Job 21 · 34 verses
तब अय्यूब ने कहा,
Tab ayyoob ne kaha,
चित्त लगाकर मेरी बात सुनो; और तुम्हारी शान्ति यही ठहरे।
Chitt lagakar meri baat suno; aur tumhari shanti yahi thahre.
मेरी कुछ तो सहो, कि मैं भी बातें करूं; और जब मैं बातें कर चुकूं, तब पीछे ठट्ठा करना।
Meri kuchh to saho, ki main bhi batein karun; aur jab main batein kar chukun, tab peechhe thattha karna.
क्या मैं किसी मनुष्य की दोहाई देता हूँ? फिर मैं अधीर क्यों न होऊं?
Kya main kisi manushya ki dohai deta hoon? Phir main adheer kyon na houn?
मेरी ओर चित्त लगाकर चकित हो, और अपनी अपनी उंगली दांत तले दबाओ।
Meri or chitt lagakar chakit ho, aur apni apni ungli daant tale dabao.
जब मैं स्मरण करता तब मैं घबरा जाता हूँ, और मेरी देह में कंपकंपी लगती है।
Jab main smaran karta tab main ghabra jata hoon, aur meri deh mein kampkampi lagti hai.
क्या कारण है कि दुष्ट लोग जीवित रहते हैं, वरन बूढ़े भी हो जाते, और उनका धन बढ़ता जाता है?
Kya karan hai ki dusht log jeevit rahte hain, varan boodhe bhi ho jate, aur unka dhan badhta jata hai?
उनकी सन्तान उनके संग, और उनके बाल-बच्चे उनकी आंखों के साम्हने बने रहते हैं।
Unki santaan unke sang, aur unke baal-bachche unki aankhon ke samhane bane rahte hain.
उनके घर में भयरहित कुशल रहता है, और ईश्वर की छड़ी उन पर नहीं पड़ती।
Unke ghar mein bhayarhit kushal rahta hai, aur ishwar ki chhadi un par nahi padti.
उनका सांड़ गाभिन करता और चूकता नहीं, उनकी गायें बियाती हैं और बच्चा कभी नहीं गिरातीं।
Unka saand gabhin karta aur chookta nahi, unki gayein biyati hain aur bachcha kabhi nahi girati.
वे अपने लड़कों को झुण्ड के झुण्ड बाहर जाने देते हैं, और उनके बच्चे नाचते हैं।
Ve apne ladkon ko jhund ke jhund bahar jane dete hain, aur unke bachche nachte hain.
वे डफ और वीणा बजाते हुए गाते, और बांसुरी के शब्द से आनन्दित होते हैं।
Ve daph aur veena bajate hue gate, aur bansuri ke shabd se aanandit hote hain.
वे अपने दिन सुख से बिताते, और पल भर ही में अधोलोक में उतर जाते हैं।
Ve apne din sukh se bitate, aur pal bhar hi mein adholok mein utar jate hain.
तौभी वे ईश्वर से कहते थे, कि हम से दूर हो! तेरी गति जानने की हम को इच्छा नहीं रहती।
Taubhi ve ishwar se kahte the, ki ham se door ho! Teri gati janne ki ham ko ichchha nahi rahti.
सर्वशक्तिमान क्या है, कि हम उसकी सेवा करें? और जो हम उस से बिनती भी करें तो हमें क्या लाभ होगा?
Sarvashaktimaan kya hai, ki ham uski seva karein? Aur jo ham us se binti bhi karein to hamein kya laabh hoga?
देखो, उनका कुशल उनके हाथ में नहीं रहता, दुष्ट लोगों का विचार मुझ से दूर रहे।
Dekho, unka kushal unke haath mein nahi rahta, dusht logon ka vichaar mujh se door rahe.
कितनी बार दुष्टों का दीपक बुझ जाता है, और उन पर विपत्ति आ पड़ती है; और ईश्वर क्रोध कर के उनके बांट में शोक देता है,
Kitni baar dushton ka deepak bujh jata hai, aur un par vipatti aa padti hai; aur ishwar krodh kar ke unke baant mein shok deta hai,
और वे वायु से उड़ाए हुए भूसे की, और बवण्डर से उड़ाई हुई भूसी की नाईं होते हैं।
Aur ve vayu se udaye hue bhoose ki, aur bavandar se udai hui bhoosi ki nai hote hain.
ईश्वर उसके अधर्म का दण्ड उसके लड़के-बालों के लिये रख छोड़ता है, वह उसका बदला उसी को दे, ताकि वह जान ले।
Ishwar uske adharm ka dand uske ladke-balon ke liye rakh chhodta hai, vah uska badla usi ko de, taki vah jaan le.
दुष्ट अपना नाश अपनी ही आंखों से देखे, और सर्वशक्तिमान की जलजलाहट में से आप पी ले।
Dusht apna naash apni hi aankhon se dekhe, aur sarvashaktimaan ki jalajlahat mein se aap pi le.
क्योंकि जब उसके महीनों की गिनती कट चुकी, तो अपने बाद वाले घराने से उसका क्या काम रहा।
Kyonki jab uske maheenon ki ginti kat chuki, to apne baad vale gharane se uska kya kaam raha.
क्या ईश्वर को कोई ज्ञान सिखाएगा? वह तो ऊंचे पद पर रहने वालों का भी न्याय करता है।
Kya ishwar ko koi gyaan sikhayega? Vah to oonche pad par rahne valon ka bhi nyaay karta hai.
कोई तो अपने पूरे बल में बड़े चैन और सुख से रहता हुआ मर जाता है।
Koi to apne poore bal mein bade chain aur sukh se rahta huaa mar jata hai.
उसकी दोहनियां दूध से और उसकी हड्डियां गूदे से भरी रहती हैं।
Uski dohniyan doodh se aur uski haddiyan goode se bhari rahti hain.
और कोई अपने जीव में कुढ़ कुढ़कर बिना सुख भोगे मर जाता है।
Aur koi apne jeev mein kudh kudhkar bina sukh bhoge mar jata hai.
वे दोनों बराबर मिट्टी में मिल जाते हैं, और कीड़े उन्हें ढांक लेते हैं।
Ve donon barabar mitti mein mil jate hain, aur keede unhein dhaank lete hain.
देखो, मैं तुम्हारी कल्पनाएं जानता हूँ, और उन युक्तियों को भी, जो तुम मेरे विषय में अन्याय से करते हो।
Dekho, main tumhari kalpanayen janta hoon, aur un yuktiyon ko bhi, jo tum mere vishay mein anyaay se karte ho.
तुम कहते तो हो कि रईस का घर कहां रहा? दुष्टों के निवास के डेरे कहां रहे?
Tum kahte to ho ki rais ka ghar kahan raha? Dushton ke nivaas ke dere kahan rahe?
परन्तु क्या तुम ने बटोहियों से कभी नहीं पूछा? क्या तुम उनके इस विषय के प्रमाणों से अनजान हो,
Parantu kya tum ne batohiyon se kabhi nahi poochha? Kya tum unke is vishay ke pramanon se anjaan ho,
कि विपत्ति के दिन के लिये दुर्जन रखा जाता है; और महाप्रलय के समय के लिये ऐसे लोग बचाए जाते हैं?
Ki vipatti ke din ke liye durjan rakha jata hai; aur mahapralay ke samay ke liye aise log bachaye jate hain?
उसकी चाल उसके मुंह पर कौन कहेगा? और उसने जो किया है, उसका पलटा कौन देगा?
Uski chaal uske munh par kaun kahega? Aur usne jo kiya hai, uska palta kaun dega?
तौभी वह क़ब्र को पहुंचाया जाता है, और लोग उस क़ब्र की रखवाली करते रहते हैं।
Taubhi vah qabra ko pahunchaya jata hai, aur log us qabra ki rakhvali karte rahte hain.
नाले के ढेले उसको सुखदायक लगते हैं; और जैसे पूर्वकाल के लोग अनगिनित जा चुके, वैसे ही सब मनुष्य उसके बाद भी चले जाएंगे।
Nale ke dhele usko sukhdayak lagte hain; aur jaise poorvakaal ke log anginit ja chuke, vaise hi sab manushya uske baad bhi chale jayenge.
तुम्हारे उत्तरों में तो झूठ ही पाया जाता है, इसलिये तुम क्यों मुझे व्यर्थ शान्ति देते हो?
Tumhare uttaron mein to jhooth hi paya jata hai, isliye tum kyon mujhe vyarth shanti dete ho?