तब तेमानी एलीपज ने कहा,
Tab temani eleepaj ne kaha,
Job 15 · 35 verses
तब तेमानी एलीपज ने कहा,
Tab temani eleepaj ne kaha,
क्या बुद्धिमान को उचित है कि अज्ञानता के साथ उत्तर दे, वा अपने अन्त:करण को पूरबी पवन से भरे?
Kya buddhimaan ko uchit hai ki agyanta ke saath uttar de, va apne antakran ko poorbi pavan se bhare?
क्या वह निष्फल वचनों से, वा व्यर्थ बातों से वादविवाद करे?
Kya vah nishphal vachnon se, va vyarth baton se vadvivaad kare?
वरन तू भय मानना छोड़ देता, और ईश्वर का ध्यान करना औरों से छुड़ाता है।
Varan tu bhay manna chhod deta, aur ishwar ka dhyaan karna auron se chhudata hai.
तू अपने मुंह से अपना अधर्म प्रगट करता है, और धूर्त्त लोगों के बोलने की रीति पर बोलता है।
Tu apne munh se apna adharm pragat karta hai, aur dhoortt logon ke bolne ki reeti par bolta hai.
मैं तो नहीं परन्तु तेरा मुंह ही तुझे दोषी ठहराता है; और तेरे ही वचन तेरे विरुद्ध साक्षी देते हैं।
Main to nahi parantu tera munh hi tujhe doshi thahrata hai; aur tere hi vachan tere viruddh sakshi dete hain.
क्या पहिला मनुष्य तू ही उत्पन्न हुआ? क्या तेरी उत्पत्ति पहाड़ों से भी पहिले हुई?
Kya pahila manushya tu hi utpann huaa? Kya teri utpatti pahadon se bhi pahile hui?
क्या तू ईश्वर की सभा में बैठा सुनता था? क्या बुद्धि का ठेका तू ही ने ले रखा है?
Kya tu ishwar ki sabha mein baitha sunta tha? Kya buddhi ka theka tu hi ne le rakha hai?
तू ऐसा क्या जानता है जिसे हम नहीं जानते? तुझ में ऐसी कौन सी समझ है जो हम में नहीं?
Tu aisa kya janta hai jise ham nahi jante? Tujh mein aisi kaun si samajh hai jo ham mein nahi?
हम लोगों में तो पक्के बाल वाले और अति पुरनिये मनुष्य हैं, जो तेरे पिता से भी बहुत आयु के हैं।
Ham logon mein to pakke baal vale aur ati purniye manushya hain, jo tere pita se bhi bahut aayu ke hain.
ईश्वर की शान्तिदायक बातें, और जो वचन तेरे लिये कोमल हैं, क्या ये तेरी दृष्टि में तुच्छ हैं?
Ishwar ki shantidayak batein, aur jo vachan tere liye komal hain, kya ye teri drishti mein tuchchh hain?
तेरा मन क्यों तुझे खींच ले जाता है? और तू आंख से क्यों सैन करता है?
Tera man kyon tujhe kheench le jata hai? Aur tu aankh se kyon sain karta hai?
तू भी अपनी आत्मा ईश्वर के विरुद्ध करता है, और अपने मुंह से व्यर्थ बातें निकलने देता है।
Tu bhi apni aatma ishwar ke viruddh karta hai, aur apne munh se vyarth batein nikalne deta hai.
मनुष्य है क्या कि वह निष्कलंक हो? और जो स्त्री से उत्पन्न हुआ वह है क्या कि निर्दोष हो सके?
Manushya hai kya ki vah nishkalank ho? Aur jo stri se utpann huaa vah hai kya ki nirdosh ho sake?
देख, वह अपने पवित्रों पर भी विश्वास नहीं करता, और स्वर्ग भी उसकी दृष्टि में निर्मल नहीं है।
Dekh, vah apne pavitron par bhi vishwaas nahi karta, aur swarg bhi uski drishti mein nirmal nahi hai.
फिर मनुष्य अधिक घिनौना और मलीन है जो कुटिलता को पानी की नाईं पीता है।
Phir manushya adhik ghinauna aur maleen hai jo kutilta ko pani ki nai peeta hai.
मैं तुझे समझा दूंगा, इसलिये मेरी सुन ले, जो मैं ने देखा है, उसी का वर्णन मैं करता हूँ।
Main tujhe samjha doonga, isliye meri sun le, jo main ne dekha hai, usi ka varnan main karta hoon.
(वे ही बातें जो बुद्धिमानों ने अपने पुरखाओं से सुन कर बिना छिपाए बताया है।
(ve hi batein jo buddhimanon ne apne purkhaon se sun kar bina chhipaye bataya hai.
केवल उन्हीं को देश दिया गया था, और उनके मध्य में कोई विदेशी आता जाता नहीं था।)
Keval unhi ko desh diya gaya tha, aur unke madhya mein koi videshi aata jata nahi tha.)
दुष्ट जन जीवन भर पीड़ा से तड़पता है, और बलात्कारी के वर्षों की गिनती ठहराई हुई है।
Dusht jan jeevan bhar peeda se tadapta hai, aur balatkari ke varshon ki ginti thahrai hui hai.
उसके कान में डरावना शब्द गूंजता रहता है, कुशल के समय भी नाशक उस पर आ पड़ता है।
Uske kaan mein daravna shabd goonjta rahta hai, kushal ke samay bhi nashak us par aa padta hai.
उसे अन्धियारे में से फिर निकलने की कुछ आशा नहीं होती, और तलवार उसकी घात में रहती है।
Use andhiyare mein se phir nikalne ki kuchh aasha nahi hoti, aur talvaar uski ghaat mein rahti hai.
वह रोटी के लिये मारा मारा फिरता है, कि कहां मिलेगी। उसे निश्चय रहता है, कि अन्धकार का दिन मेरे पास ही है।
Vah roti ke liye mara mara phirta hai, ki kahan milegi. Use nishchay rahta hai, ki andhakaar ka din mere paas hi hai.
संकट और दुर्घटना से उस को डर लगता रहता है, ऐसे राजा की नाईं जो युद्ध के लिये तैयार हो, वे उस पर प्रबल होते हैं।
Sankat aur durghatna se us ko dar lagta rahta hai, aise raja ki nai jo yuddh ke liye taiyaar ho, ve us par prabal hote hain.
उसने तो ईश्वर के विरुद्ध हाथ बढ़ाया है, और सर्वशक्तिमान के विरुद्ध वह ताल ठोंकता है,
Usne to ishwar ke viruddh haath badhaya hai, aur sarvashaktimaan ke viruddh vah taal thonkta hai,
और सिर उठा कर और अपनी मोटी मोटी ढालें दिखाता हुआ घमण्ड से उस पर धावा करता है;
Aur sir utha kar aur apni moti moti dhalein dikhata huaa ghamand se us par dhava karta hai;
इसलिये कि उसके मुंह पर चिकनाईं छा गई है, और उसकी कमर में चर्बी जमी है।
Isliye ki uske munh par chiknai chha gai hai, aur uski kamar mein charbi jami hai.
और वह उजाड़े हुए नगरों में बस गया है, और जो घर रहने योग्य नहीं, और खण्डहर होने को छोड़े गए हैं, उन में बस गया है।
Aur vah ujade hue nagron mein bas gaya hai, aur jo ghar rahne yogya nahi, aur khandahar hone ko chhode gaye hain, un mein bas gaya hai.
वह धनी न रहेगा, और न उसकी सम्पत्ति बनी रहेगी, और ऐसे लोगों के खेत की उपज भूमि की ओर न झुकने पाएगी।
Vah dhani na rahega, aur na uski sampatti bani rahegi, aur aise logon ke khet ki upaj bhoomi ki or na jhukne payegi.
वह अन्धियारे से कभी न निकलेगा, और उसकी डालियां आग की लपट से झुलस जाएंगी, और ईश्वर के मुंह की श्वास से वह उड़ जाएगा।
Vah andhiyare se kabhi na niklega, aur uski daliyan aag ki lapat se jhulas jayengi, aur ishwar ke munh ki shwaas se vah ud jayega.
वह अपने को धोखा देकर व्यर्थ बातों का भरोसा न करे, क्योंकि उसका बदला धोखा ही होगा।
Vah apne ko dhokha dekar vyarth baton ka bharosa na kare, kyonki uska badla dhokha hi hoga.
वह उसके नियत दिन से पहिले पूरा हो जाएगा; उसकी डालियां हरी न रहेंगी।
Vah uske niyat din se pahile poora ho jayega; uski daliyan hari na rahengi.
दाख की नाईं उसके कच्चे फल झड़ जाएंगे, और उसके फूल जलपाई के वृक्ष के से गिरेंगे।
Daakh ki nai uske kachche phal jhad jayenge, aur uske phool jalpai ke vriksh ke se girenge.
क्योंकि भक्तिहीन के परिवार से कुछ बन न पड़ेगा, और जो घूस लेते हैं, उनके तम्बू आग से जल जाएंगे।
Kyonki bhaktiheen ke parivaar se kuchh ban na padega, aur jo ghoos lete hain, unke tambu aag se jal jayenge.
उनके उपद्रव का पेट रहता, और अनर्थ उत्पन्न होता है: और वे अपने अन्त:करण में छल की बातें गढ़ते हैं।
Unke upadrav ka pet rahta, aur anarth utpann hota hai: aur ve apne antakran mein chhal ki batein gadhte hain.