मनुष्य जो स्त्री से उत्पन्न होता है, वह थोड़े दिनों का और दुख से भरा रहता है।
Manushya jo stri se utpann hota hai, vah thode dinon ka aur dukh se bhara rahta hai.
Job 14 · 22 verses
मनुष्य जो स्त्री से उत्पन्न होता है, वह थोड़े दिनों का और दुख से भरा रहता है।
Manushya jo stri se utpann hota hai, vah thode dinon ka aur dukh se bhara rahta hai.
वह फूल की नाईं खिलता, फिर तोड़ा जाता है; वह छाया की रीति पर ढल जाता, और कहीं ठहरता नहीं।
Vah phool ki nai khilta, phir toda jata hai; vah chhaya ki reeti par dhal jata, aur kahi thaharta nahi.
फिर क्या तू ऐसे पर दृष्टि लगाता है? क्या तू मुझे अपने साथ कचहरी में घसीटता है?
Phir kya tu aise par drishti lagata hai? Kya tu mujhe apne saath kachahri mein ghaseetta hai?
अशुद्ध वस्तु से शुद्ध वस्तु को कौन निकाल सकता है? कोई नहीं।
Ashuddh vastu se shuddh vastu ko kaun nikaal sakta hai? Koi nahi.
मनुष्य के दिन नियुक्त किए गए हैं, और उसके महीनों की गिनती तेरे पास लिखी है, और तू ने उसके लिये ऐसा सिवाना बान्धा है जिसे वह पार नहीं कर सकता,
Manushya ke din niyukt kiye gaye hain, aur uske maheenon ki ginti tere paas likhi hai, aur tu ne uske liye aisa sivana bandha hai jise vah paar nahi kar sakta,
इस कारण उस से अपना मुंह फेर ले, कि वह आराम करे, जब तक कि वह मजदूर की नाईं अपना दिन पूरा न कर ले।
Is karan us se apna munh pher le, ki vah aaraam kare, jab tak ki vah majdoor ki nai apna din poora na kar le.
वृक्ष की तो आशा रहती है, कि चाहे वह काट डाला भी जाए, तौभी फिर पनपेगा और उस से नर्म नर्म डालियां निकलती ही रहेंगी।
Vriksh ki to aasha rahti hai, ki chahe vah kaat dala bhi jaye, taubhi phir panpega aur us se narm narm daliyan nikalti hi rahengi.
चाहे उसकी जड़ भूमि में पुरानी भी हो जाए, और उसका ठूंठ मिट्टी में सूख भी जाए,
Chahe uski jad bhoomi mein purani bhi ho jaye, aur uska thoonth mitti mein sookh bhi jaye,
तौभी वर्षा की गन्ध पाकर वह फिर पनपेगा, और पौधे की नाईं उस से शाखाएं फूटेंगी।
Taubhi varsha ki gandh pakar vah phir panpega, aur paudhe ki nai us se shakhayen phootengi.
परन्तु पुरुष मर जाता, और पड़ा रहता है; जब उसका प्राण छूट गया, तब वह कहां रहा?
Parantu purush mar jata, aur pada rahta hai; jab uska praan chhoot gaya, tab vah kahan raha?
जैसे नील नदी का जल घट जाता है, और जैसे महानद का जल सूखते सूखते सूख जाता है,
Jaise neel nadi ka jal ghat jata hai, aur jaise mahanad ka jal sookhte sookhte sookh jata hai,
वैसे ही मनुष्य लेट जाता और फिर नहीं उठता; जब तक आकाश बना रहेगा तब तक वह न जागेगा, और न उसकी नींद टूटेगी।
Vaise hi manushya let jata aur phir nahi uthta; jab tak aakaash bana rahega tab tak vah na jagega, aur na uski neend tootegi.
भला होता कि तू मुझे अधोलोक में छिपा लेता, और जब तक तेरा कोप ठंढा न हो जाए तब तक मुझे छिपाए रखता, और मेरे लिये समय नियुक्त कर के फिर मेरी सुधि लेता।
Bhala hota ki tu mujhe adholok mein chhipa leta, aur jab tak tera kop thandha na ho jaye tab tak mujhe chhipaye rakhta, aur mere liye samay niyukt kar ke phir meri sudhi leta.
यदि मनुष्य मर जाए तो क्या वह फिर जीवित होगा? जब तक मेरा छुटकारा न होता तब तक मैं अपनी कठिन सेवा के सारे दिन आशा लगाए रहता।
Yadi manushya mar jaye to kya vah phir jeevit hoga? Jab tak mera chhutkara na hota tab tak main apni kathin seva ke sare din aasha lagaye rahta.
तू मुझे बुलाता, और मैं बोलता; तुझे अपने हाथ के बनाए हुए काम की अभिलाषा होती।
Tu mujhe bulata, aur main bolta; tujhe apne haath ke banaye hue kaam ki abhilasha hoti.
परन्तु अब तू मेरे पग पग को गिनता है, क्या तू मेरे पाप की ताक में लगा नहीं रहता?
Parantu ab tu mere pag pag ko ginta hai, kya tu mere paap ki taak mein laga nahi rahta?
मेरे अपराध छाप लगी हुई थैली में हैं, और तू ने मेरे अधर्म को सी रखा है।
Mere apraadh chhaap lagi hui thaili mein hain, aur tu ne mere adharm ko si rakha hai.
और निश्चय पहाड़ भी गिरते गिरते नाश हो जाता है, और चट्टान अपने स्थान से हट जाती है;
Aur nishchay pahaad bhi girte girte naash ho jata hai, aur chattaan apne sthaan se hat jati hai;
और पत्थर जल से घिस जाते हैं, और भूमि की धूलि उसकी बाढ़ से बहाई जाती है; उसी प्रकार तू मनुष्य की आशा को मिटा देता है।
Aur patthar jal se ghis jate hain, aur bhoomi ki dhooli uski baadh se bahai jati hai; usi prakaar tu manushya ki aasha ko mita deta hai.
तू सदा उस पर प्रबल होता, और वह जाता रहता है; तू उसका चिहरा बिगाड़कर उसे निकाल देता है।
Tu sada us par prabal hota, aur vah jata rahta hai; tu uska chihra bigadkar use nikaal deta hai.
उसके पुत्रों की बड़ाई होती है, और यह उसे नहीं सूझता; और उनकी घटी होती है, परन्तु वह उनका हाल नहीं जानता।
Uske putron ki badai hoti hai, aur yah use nahi soojhta; aur unki ghati hoti hai, parantu vah unka haal nahi janta.
केवल अपने ही कारण उसकी देह को दु:ख होता है; और अपने ही कारण उसका प्राण अन्दर ही अन्दर शोकित रहता है।
Keval apne hi karan uski deh ko dukh hota hai; aur apne hi karan uska praan andar hi andar shokit rahta hai.