Job 12 · 25 verses

अय्यूब 12 Job 12 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Ayyoob 12.

1

तब अय्यूब ने कहा;

Tab ayyoob ne kaha;

2

नि:सन्देह मनुष्य तो तुम ही हो और जब तुम मरोगे तब बुद्धि भी जाती रहेगी।

Nisandeh manushya to tum hi ho aur jab tum maroge tab buddhi bhi jati rahegi.

3

परन्तु तुम्हारी नाईं मुझ में भी समझ है, मैं तुम लोगों से कुछ नीचा नहीं हूँ कौन ऐसा है जो ऐसी बातें न जानता हो?

Parantu tumhari nai mujh mein bhi samajh hai, main tum logon se kuchh neecha nahi hoon kaun aisa hai jo aisi batein na janta ho?

4

मैं ईश्वर से प्रार्थना करता था, और वह मेरी सुन लिया करता था; परन्तु अब मेरे पड़ोसी मुझ पर हंसते हैं; जो धर्मी और खरा मनुष्य है, वह हंसी का कारण हो गया है।

Main ishwar se prarthana karta tha, aur vah meri sun liya karta tha; parantu ab mere padosi mujh par hanste hain; jo dharmi aur khara manushya hai, vah hansi ka karan ho gaya hai.

5

दु:खी लोग तो सुखियों की समझ में तुच्छ जाने जाते हैं; और जिनके पांव फिसला चाहते हैं उनका अपमान अवश्य ही होता है।

Dukhi log to sukhiyon ki samajh mein tuchchh jane jate hain; aur jinke paanv phisla chahte hain unka apmaan avashya hi hota hai.

6

डाकुओं के डेरे कुशल क्षेम से रहते हैं, और जो ईश्वर को क्रोध दिलाते हैं, वह बहुत ही निडर रहते हैं; और उनके हाथ में ईश्वर बहुत देता है।

Dakuon ke dere kushal kshem se rahte hain, aur jo ishwar ko krodh dilate hain, vah bahut hi nidar rahte hain; aur unke haath mein ishwar bahut deta hai.

7

पशुओं से तो पूछ और वे तुझे दिखाएंगे; और आकाश के पक्षियों से, और वे तुझे बता देंगे।

Pashuon se to poochh aur ve tujhe dikhayenge; aur aakaash ke pakshiyon se, aur ve tujhe bata denge.

8

पृथ्वी पर ध्यान दे, तब उस से तुझे शिक्षा मिलेगी; ओर समुद्र की मछलियां भी तुझ से वर्णन करेंगी।

Prithvi par dhyaan de, tab us se tujhe shiksha milegi; or samudra ki machhliyan bhi tujh se varnan karengi.

9

कौन इन बातों को नहीं जानता, कि यहोवा ही ने अपने हाथ से इस संसार को बनाया है।

Kaun in baton ko nahi janta, ki Yahowa hi ne apne haath se is sansaar ko banaya hai.

10

उसके हाथ में एक एक जीवधारी का प्राण, और एक एक देहधारी मनुष्य की आत्मा भी रहती है।

Uske haath mein ek ek jeevdhari ka praan, aur ek ek dehdhari manushya ki aatma bhi rahti hai.

11

जैसे जीभ से भोजन चखा जाता है, क्या वैसे ही कान से वचन नहीं परखे जाते?

Jaise jeebh se bhojan chakha jata hai, kya vaise hi kaan se vachan nahi parkhe jate?

12

बूढ़ों में बुद्धि पाई जाती है, और लम्बी आयु वालों में समझ होती तो है।

Boodhon mein buddhi pai jati hai, aur lambi aayu valon mein samajh hoti to hai.

13

ईश्वर में पूरी बुद्धि और पराक्रम पाए जाते हैं; युक्ति और समझ उसी में हैं।

Ishwar mein poori buddhi aur parakram paye jate hain; yukti aur samajh usi mein hain.

14

देखो, जिस को वह ढा दे, वह फिर बनाया नहीं जाता; जिस मनुष्य को वह बन्द करे, वह फिर खोला नहीं जाता।

Dekho, jis ko vah dha de, vah phir banaya nahi jata; jis manushya ko vah band kare, vah phir khola nahi jata.

15

देखो, जब वह वर्षा को रोक रखता है तो जल सूख जाता है; फिर जब वह जल छोड़ देता है तब पृथ्वी उलट जाती है।

Dekho, jab vah varsha ko rok rakhta hai to jal sookh jata hai; phir jab vah jal chhod deta hai tab prithvi ulat jati hai.

16

उस में सामर्थ्य और खरी बुद्धि पाई जाती है; धोखा देने वाला और धोखा खाने वाला दोनों उसी के हैं।

Us mein samarthya aur khari buddhi pai jati hai; dhokha dene vala aur dhokha khane vala donon usi ke hain.

17

वह मंत्रियों को लूटकर बन्धुआई में ले जाता, और न्यायियों को मूर्ख बना देता है।

Vah mantriyon ko lootkar bandhuaai mein le jata, aur nyayiyon ko moorkh bana deta hai.

18

वह राजाओं का अधिकार तोड़ देता है; और उनकी कमर पर बन्धन बन्धवाता है।

Vah rajaon ka adhikaar tod deta hai; aur unki kamar par bandhan bandhavata hai.

19

वह याजकों को लूटकर बन्धुआई में ले जाता और सामर्थियों को उलट देता है।

Vah yajkon ko lootkar bandhuaai mein le jata aur samarthiyon ko ulat deta hai.

20

वह विश्वासयोग्य पुरुषों से बोलने की शक्ति और पुरनियों से विवेक की शक्ति हर लेता है।

Vah vishwasyogya purushon se bolne ki shakti aur purniyon se vivek ki shakti har leta hai.

21

वह हाकिमों को अपमान से लादता, और बलवानों के हाथ ढीले कर देता है।

Vah hakimon ko apmaan se ladta, aur balvanon ke haath dheele kar deta hai.

22

वह अन्धियारे की गहरी बातें प्रगट करता, और मृत्यु की छाया को भी प्रकाश में ले आता है।

Vah andhiyare ki gahri batein pragat karta, aur mrityu ki chhaya ko bhi prakaash mein le aata hai.

23

वह जातियों को बढ़ाता, और उन को नाश करता है; वह उन को फैलाता, और बन्धुआई में ले जाता है।

Vah jatiyon ko badhata, aur un ko naash karta hai; vah un ko phailata, aur bandhuaai mein le jata hai.

24

वह पृथ्वी के मुख्य लोगों की बुद्धि उड़ा देता, और उन को निर्जन स्थानों में जहां रास्ता नहीं है, भटकाता है।

Vah prithvi ke mukhya logon ki buddhi uda deta, aur un ko nirjan sthanon mein jahan rasta nahi hai, bhatkata hai.

25

वे बिन उजियाले के अन्धेरे में टटोलते फिरते हैं; और वह उन्हें ऐसा बना देता है कि वे मतवाले की नाईं डगमगाते हुए चलते हैं।

Ve bin ujiyale ke andhere mein tatolte phirte hain; aur vah unhein aisa bana deta hai ki ve matvale ki nai dagamgate hue chalte hain.