Isaiah 9 · 21 verses

यशायाह 9 Isaiah 9 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yashayaah 9.

1

तौभी संकट-भरा अन्धकार जाता रहेगा। पहिले तो उसने जबूलून और नप्ताली के देशों का अपमान किया, परन्तु अन्तिम दिनों में ताल की ओर यरदन के पार की अन्यजातियों के गलील को महिमा देगा।

Taubhi sankat-bhara andhakaar jata rahega. Pahile to usne jabooloon aur naptali ke deshon ka apmaan kiya, parantu antim dinon mein taal ki or yardan ke paar ki anyajatiyon ke galeel ko mahima dega.

2

जो लोग अन्धियारे में चल रहे थे उन्होंने बड़ा उजियाला देखा; और जो लोग घोर अन्धकार से भरे हुए मृत्यु के देश में रहते थे, उन पर ज्योति चमकी।

Jo log andhiyare mein chal rahe the unhonne bada ujiyala dekha; aur jo log ghor andhakaar se bhare hue mrityu ke desh mein rahte the, un par jyoti chamki.

3

तू ने जाति को बढ़ाया, तू ने उसको बहुत आनन्द दिया; वे तेरे साम्हने कटनी के समय का सा आनन्द करते हैं, और ऐसे मगन हैं जैसे लोग लूट बांटने के समय मगन रहते हैं।

Tu ne jati ko badhaya, tu ne usko bahut aanand diya; ve tere samhane katni ke samay ka sa aanand karte hain, aur aise magan hain jaise log loot bantne ke samay magan rahte hain.

4

क्योंकि तू ने उसकी गर्दन पर के भारी जूए और उसके बहंगे के बांस, उस पर अंधेर करने वाले की लाठी, इन सभों को ऐसा तोड़ दिया है जेसे मिद्यानियों के दिन में किया था।

Kyonki tu ne uski gardan par ke bhari jooye aur uske bahange ke baans, us par andher karne vale ki lathi, in sabhon ko aisa tod diya hai jese midyaniyon ke din mein kiya tha.

5

क्योंकि युद्ध में लड़ने वाले सिपाहियों के जूते और लोहू में लथड़े हुए कपड़े सब आग का कौर हो जाएंगे।

Kyonki yuddh mein ladne vale sipahiyon ke joote aur lohu mein lathde hue kapde sab aag ka kaur ho jayenge.

6

क्योंकि हमारे लिये एक बालक उत्पन्न हुआ, हमें एक पुत्र दिया गया है; और प्रभुता उसके कांधे पर होगी, और उसका नाम अद्भुत, युक्ति करने वाला, पराक्रमी परमेश्वर, अनन्तकाल का पिता, और शान्ति का राजकुमार रखा जाएगा।

Kyonki hamare liye ek balak utpann huaa, hamein ek putra diya gaya hai; aur prabhuta uske kandhe par hogi, aur uska naam adbhut, yukti karne vala, parakrami Parmeshwar, anantakaal ka pita, aur shanti ka rajkumaar rakha jayega.

7

उसकी प्रभुता सर्वदा बढ़ती रहेगी, और उसकी शान्ति का अन्त न होगा, इसलिये वे उसको दाऊद की राजगद्दी पर इस समय से ले कर सर्वदा के लिये न्याय और धर्म के द्वारा स्थिर किए ओर संभाले रहेगा। सेनाओं के यहोवा की धुन के द्वारा यह हो जाएगा॥

Uski prabhuta sarvada badhti rahegi, aur uski shanti ka ant na hoga, isliye ve usko Daud ki rajgaddi par is samay se le kar sarvada ke liye nyaay aur dharm ke dwara sthir kiye or sambhale rahega. Senaon ke Yahowa ki dhun ke dwara yah ho jayega.

8

प्रभु ने याकूब के पास एक संदेश भेजा है, और वह इस्राएल पर प्रगट हुआ है;

Prabhu ne Yakub ke paas ek sandesh bheja hai, aur vah Israel par pragat huaa hai;

9

और सारी प्रजा को, एप्रैमियों और शोमरोनवासियों मालूम हो जाएगा जो गर्व और कठोरता से बोलते हैं: ईंटें तो गिर गई हैं,

Aur sari praja ko, epraimiyon aur shomronvasiyon maloom ho jayega jo garva aur kathorta se bolte hain: intein to gir gai hain,

10

परन्तु हम गढ़े हुए पत्थरों से घर बनाएंगे; गूलर के वृक्ष तो कट गए हैं परन्तु हम उनकी सन्ती देवदारों से काम लेंगे।

Parantu ham gadhe hue pattharon se ghar banayenge; goolar ke vriksh to kat gaye hain parantu ham unki santi devdaron se kaam lenge.

11

इस कारण यहोवा उन पर रसीन के बैरियों को प्रबल करेगा,

Is karan Yahowa un par raseen ke bairiyon ko prabal karega,

12

और उनके शत्रुओं को अर्थात पहिले आराम को और तब पलिश्तियों को उभारेगा, और वे मुंह खोल कर इस्राएलियों को निगल लेंगे। इतने पर भी उसका क्रोध शान्त नहीं हुआ और उसका हाथ अब तक बढ़ा हुआ है॥

Aur unke shatruon ko arthaat pahile aaraam ko aur tab palishtiyon ko ubharega, aur ve munh khol kar Israeliyon ko nigal lenge. Itne par bhi uska krodh shaant nahi huaa aur uska haath ab tak badha huaa hai.

13

तौभी ये लोग अपने मारने वाले की ओर नहीं फिरे और न सेनाओं के यहोवा की खोज करते हैं।

Taubhi ye log apne marne vale ki or nahi phire aur na senaon ke Yahowa ki khoj karte hain.

14

इस कारण यहोवा इस्राएल में से सिर और पूंछ को, खजूर की डालियों और सरकंडे को, एक ही दिन में काट डालेगा।

Is karan Yahowa Israel mein se sir aur poonchh ko, khajoor ki daliyon aur sarkande ko, ek hi din mein kaat dalega.

15

पुरनिया और प्रतिष्ठित पुरूष तो सिर हैं, और झूठी बातें सिखाने वाला नबी पूंछ है;

Purniya aur pratishthit puroosh to sir hain, aur jhoothi batein sikhane vala nabi poonchh hai;

16

क्योंकि जो इन लोगों की अगुवाई करते हैं वे इन को भटका देते हैं, और जिनकी अगुवाई होती है वे नाश हो जाते हैं।

Kyonki jo in logon ki aguvai karte hain ve in ko bhatka dete hain, aur jinki aguvai hoti hai ve naash ho jate hain.

17

इस कारण प्रभु न तो इनके जवानों से प्रसन्न होगा, और न इनके अनाथ बालकों और विधवाओं पर दया करेगा; क्योंकि हर एक भक्तिहीन और कुकर्मी है, और हर एक के मुख से मूर्खता की बातें निकलती हैं। इतने पर भी उसका क्रोध शान्त नहीं हुआ और उसका हाथ अब तक बढ़ा हुआ है॥

Is karan Prabhu na to inke javanon se prasann hoga, aur na inke anaath balkon aur vidhvaon par daya karega; kyonki har ek bhaktiheen aur kukarmi hai, aur har ek ke mukh se moorkhata ki batein nikalti hain. Itne par bhi uska krodh shaant nahi huaa aur uska haath ab tak badha huaa hai.

18

क्योंकि दुष्टता आग की नाईं धधकती है, वह ऊंटकटारों और कांटों को भस्म करती है, वरन वह घने वन की झाड़ियों में आग लगाती है और वह धुंआ में चकरा चकराकर ऊपर की ओर उठती है।

Kyonki dushtata aag ki nai dhadhakti hai, vah oontaktaron aur kanton ko bhasm karti hai, varan vah ghane van ki jhadiyon mein aag lagati hai aur vah dhunaa mein chakra chakrakar oopar ki or uthti hai.

19

सेनाओं के यहोवा के रोष के मारे यह देश जलाया गया है, और ये लोग आग की ईंधन के समान हैं; वे आपस में एक दूसरे से दया का व्यवहार नहीं करते।

Senaon ke Yahowa ke rosh ke mare yah desh jalaya gaya hai, aur ye log aag ki indhan ke samaan hain; ve aapas mein ek doosre se daya ka vyavhaar nahi karte.

20

वे दाहिनी ओर से भोजनवस्तु छीन कर भी भूखे रहते, और बायें ओर से खाकर भी तृप्त नहीं होते; उन में से प्रत्येक मनुष्य अपनी अपनी बांहों का मांस खाता है,

Ve dahini or se bhojanvastu chheen kar bhi bhookhe rahte, aur bayein or se khakar bhi tript nahi hote; un mein se pratyek manushya apni apni banhon ka maans khata hai,

21

मनश्शे एप्रैम को और एप्रैम मनश्शे को खाता है, और वे दोनों मिलकर यहूदा के विरुद्ध हैं इतने पर भी उसका क्रोध शान्त नहीं हुआ, और उसका हाथ अब तक बढ़ा हुआ है॥

Manashshe epraim ko aur epraim manashshe ko khata hai, aur ve donon milkar Yahuda ke viruddh hain itne par bhi uska krodh shaant nahi huaa, aur uska haath ab tak badha huaa hai.