Isaiah 8 · 22 verses

यशायाह 8 Isaiah 8 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yashayaah 8.

1

फिर यहोवा ने मुझ से कहा, एक बड़ी पटिया ले कर उस पर साधारण अक्षरों से यह लिख: महेर्शालाल्हाशबज के लिये।

Phir Yahowa ne mujh se kaha, ek badi patiya le kar us par sadharan aksharon se yah likh: mahershalalhashbaj ke liye.

2

और मैं विश्वासयोग्य पुरूषों को अर्थात ऊरिय्याह याजक और जेबेरेक्याह के पुत्र जकर्याह को इस बात की साक्षी करूंगा।

Aur main vishwasyogya purooshon ko arthaat ooriyyaah yajak aur jeberekyaah ke putra jakaryaah ko is baat ki sakshi karoonga.

3

और मैं अपनी पत्नी के पास गया, और वह गर्भवती हुई और उसके पुत्र उत्पन्न हुआ। तब यहोवा ने मुझ से कहा, उसका नाम महेर्शालाल्हाशबज रख;

Aur main apni patni ke paas gaya, aur vah garbhavti hui aur uske putra utpann huaa. Tab Yahowa ne mujh se kaha, uska naam mahershalalhashbaj rakh;

4

क्योंकि इस से पहिले कि वह लड़का बापू और माँ पुकारना जाने, दमिश्क और शोमरोन दोनों की धन-सम्पत्ति लूट कर अश्शूर का राजा अपने देश को भेजेगा॥

Kyonki is se pahile ki vah ladka bapu aur maa pukarna jane, damishk aur shomron donon ki dhan-sampatti loot kar ashshoor ka raja apne desh ko bhejega.

5

यहोवा ने फिर मुझ से दूसरी बार कहा,

Yahowa ne phir mujh se doosri baar kaha,

6

इसलिये कि लोग शीलोह के धीरे धीरे बहने वाले सोते को निकम्मा जानते हैं, और रसीन और रमल्याह के पुत्र के संग एका कर के आनन्द करते हैं,

Isliye ki log sheeloh ke dheere dheere bahne vale sote ko nikamma jante hain, aur raseen aur ramalyaah ke putra ke sang eka kar ke aanand karte hain,

7

इस कारण सुन, प्रभु उन पर उस प्रबल और गहिरे महानद को, अर्थात अश्शूर के राजा को उसके सारे प्रताप के साथ चढ़ा लाएगा; और वह उनके सब नालों को भर देगा और सारे कड़ाड़ों से छलक कर बहेगा;

Is karan sun, Prabhu un par us prabal aur gahire mahanad ko, arthaat ashshoor ke raja ko uske sare prataap ke saath chadha layega; aur vah unke sab nalon ko bhar dega aur sare kadadon se chhalak kar bahega;

8

और वह यहूदा पर भी चढ़ आएगा, और बढ़ते बढ़ते उस पर चढ़ेगा और गले तक पहुंचेगा; और हे इम्मानुएल, तेरा समस्त देश उसके पंखों के फैलने से ढंप जाएगा॥

Aur vah Yahuda par bhi chadh aayega, aur badhte badhte us par chadhega aur gale tak pahunchega; aur he immanuel, tera samast desh uske pankhon ke phailne se dhamp jayega.

9

हे लोगों, हल्ला करो तो करो, परन्तु तुम्हारा सत्यानाश हो जाएगा। हे पृथ्वी के दूर दूर देश के सब लोगों कान लगा कर सुनो, अपनी अपनी कमर कसो तो कसो, परन्तु तुम्हारे टुकड़े टुकड़े किए जाएंगे; अपनी कमर कसो तो कसो, परन्तु तुम्हारा सत्यानाश हो जाएगा।

He logon, halla karo to karo, parantu tumhara satyanaash ho jayega. He prithvi ke door door desh ke sab logon kaan laga kar suno, apni apni kamar kaso to kaso, parantu tumhare tukde tukde kiye jayenge; apni kamar kaso to kaso, parantu tumhara satyanaash ho jayega.

10

तुम युक्ति करो तो करो, परन्तु वह निष्फल हो जाएगी, तुम कुछ भी कहो, परन्तु तुम्हारा कहा हुआ ठहरेगा नहीं, क्योंकि परमेश्वर हमारे संग है॥

Tum yukti karo to karo, parantu vah nishphal ho jayegi, tum kuchh bhi kaho, parantu tumhara kaha huaa thahrega nahi, kyonki Parmeshwar hamare sang hai.

11

क्योंकि यहोवा दृढ़ता के साथ मुझ से बोला और इन लोगों की सी चाल चलने को मुझे मना किया,

Kyonki Yahowa dridhta ke saath mujh se bola aur in logon ki si chaal chalne ko mujhe mana kiya,

12

और कहा, जिस बात को यह लोग राजद्रोह कहें, उसको तुम राजद्रोह न कहना, और जिस बात से वे डरते हैं उस से तुम न डरना और न भय खाना।

Aur kaha, jis baat ko yah log rajadroh kahein, usko tum rajadroh na kahna, aur jis baat se ve darte hain us se tum na darna aur na bhay khana.

13

सेनाओं के यहोवा ही को पवित्र जानना; उसी का डर मानना, और उसी का भय रखना।

Senaon ke Yahowa hi ko pavitra janna; usi ka dar manna, aur usi ka bhay rakhna.

14

और वह शरणस्थान होगा, परन्तु इस्राएल के दोनों घरानों के लिये ठोकर का पत्थर और ठेस की चट्टान, और यरूशलेम के निवासियों के लिये फन्दा और जाल होगा।

Aur vah sharnasthaan hoga, parantu Israel ke donon gharanon ke liye thokar ka patthar aur thes ki chattaan, aur Yerushalem ke nivasiyon ke liye phanda aur jaal hoga.

15

और बहुत से लोग ठोकर खाएंगे; वे गिरेंगे और चकनाचूर होंगे; वे फन्दे में फसेंगे और पकड़े जाएंगे।

Aur bahut se log thokar khayenge; ve girenge aur chaknachoor honge; ve phande mein phasenge aur pakde jayenge.

16

चितौनी का पत्र बन्द कर दो, मेरे चेलों के बीच शिक्षा पर छाप लगा दो।

Chitauni ka patra band kar do, mere chelon ke beech shiksha par chhaap laga do.

17

मैं उस यहोवा की बाट जोहता रहूंगा जो अपने मुंह को याकूब के घराने से छिपाये है, और मैं उसी पर आशा लगाए रहूंगा।

Main us Yahowa ki baat johta rahoonga jo apne munh ko Yakub ke gharane se chhipaye hai, aur main usi par aasha lagaye rahoonga.

18

देख, मैं और जो लड़के यहोवा ने मुझे सौंपे हैं, उसी सेनाओं के यहोवा की ओर से जो सिय्योन पर्वत पर निवास किए रहता है इस्राएलियों के लिये चिन्ह और चमत्कार हैं।

Dekh, main aur jo ladke Yahowa ne mujhe saumpe hain, usi senaon ke Yahowa ki or se jo siyyon parvat par nivaas kiye rahta hai Israeliyon ke liye chinh aur chamatkaar hain.

19

जब लोग तुम से कहें कि ओझाओं और टोन्हों के पास जा कर पूछो जो गुनगुनाते और फुसफुसाते हैं, तब तुम यह कहना कि क्या प्रजा को अपने परमेश्वर ही के पास जा कर न पूछना चाहिये? क्या जीवतों के लिये मुर्दों से पूछना चाहिये?

Jab log tum se kahein ki ojhaon aur tonhon ke paas ja kar poochho jo gungunate aur phusphusate hain, tab tum yah kahna ki kya praja ko apne Parmeshwar hi ke paas ja kar na poochhna chahiye? Kya jeevton ke liye murdon se poochhna chahiye?

20

व्यवस्था और चितौनी ही की चर्चा किया करो! यदि वे लोग इस वचनों के अनुसार न बोलें तो निश्चय उनके लिये पौ न फटेगी

Vyavastha aur chitauni hi ki charcha kiya karo! Yadi ve log is vachnon ke anusaar na bolein to nishchay unke liye pau na phategi

21

वे इस देश में क्लेशित और भूखे फिरते रहेंगे; और जब वे भूखे होंगे, तब वे क्रोध में आकर अपने राजा और अपने परमेश्वर को शाप देंगे, और अपना मुख ऊपर आकाश की ओर उठाएंगे;

Ve is desh mein kleshit aur bhookhe phirte rahenge; aur jab ve bhookhe honge, tab ve krodh mein aakar apne raja aur apne Parmeshwar ko shaap denge, aur apna mukh oopar aakaash ki or uthayenge;

22

तब वे पृथ्वी की ओर दृष्टि करेंगे परन्तु उन्हें सकेती और अन्धियारा अर्थात संकट भरा अन्धकार ही देख पड़ेगा; और वे घोर अन्धकार में ढकेल दिए जाएंगे॥

Tab ve prithvi ki or drishti karenge parantu unhein saketi aur andhiyara arthaat sankat bhara andhakaar hi dekh padega; aur ve ghor andhakaar mein dhakel diye jayenge.