Isaiah 66 · 24 verses

यशायाह 66 Isaiah 66 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yashayaah 66.

1

यहोवा यों कहता है, आकाश मेरा सिंहासन और पृथ्वी मेरे चरणों की चौकी है; तुम मेरे लिये कैसा भवन बनाओगे, और मेरे विश्राम का कौन सा स्थान होगा?

Yahowa yon kahta hai, aakaash mera sinhasan aur prithvi mere charnon ki chauki hai; tum mere liye kaisa bhavan banaoge, aur mere vishraam ka kaun sa sthaan hoga?

2

यहोवा की यह वाणी है, ये सब वस्तुएं मेरे ही हाथ की बनाई हुई हैं, सो ये सब मेरी ही हैं। परन्तु मैं उसी की ओर दृष्टि करूंगा जो दीन और खेदित मन का हो, और मेरा वचन सुनकर थरथराता हो॥

Yahowa ki yah vani hai, ye sab vastuein mere hi haath ki banai hui hain, so ye sab meri hi hain. Parantu main usi ki or drishti karoonga jo deen aur khedit man ka ho, aur mera vachan sunkar tharathrata ho.

3

बैल का बलि करने वाला मनुष्य के मार डालने वाले के समान है; जो भेड़ के चढ़ाने वाला है वह उसके समान है जो कुत्ते का गला काटता है; जो अन्नबलि चढ़ाता है वह मानो सूअर का लोहू चढ़ाने वाले के समान है; और, जो लोबान जलाता है, वह उसके समान है जो मूरत को धन्य कहता है। इन सभों ने अपना अपना मार्ग चुन लिया है, और घिनौनी वस्तुओं से उनके मन प्रसन्न होते हैं।

Bail ka bali karne vala manushya ke maar dalne vale ke samaan hai; jo bhed ke chadhane vala hai vah uske samaan hai jo kutte ka gala katta hai; jo annabli chadhata hai vah mano sooar ka lohu chadhane vale ke samaan hai; aur, jo lobaan jalata hai, vah uske samaan hai jo moorat ko dhanya kahta hai. In sabhon ne apna apna maarg chun liya hai, aur ghinauni vastuon se unke man prasann hote hain.

4

इसलिये मैं भी उनके लिये दु:ख की बातें निकालूंगा, और जिन बातों से वे डरते हैं उन्हीं को उन पर लाऊंगा; क्योंकि जब मैं ने उन्हें बुलाया, तब कोई न बोला, और जब मैं ने उन से बातें की, तब उन्होंने मेरी न सुनी; परन्तु जो मेरी दृष्टि में बुरा था वही वे करते रहे, और जिस से मैं अप्रसन्न होता था उसी को उन्होंने अपनाया॥ तुम जो यहोवा का वचन सुनकर थरथराते हो यहोवा का यह वचन सुनो:

Isliye main bhi unke liye dukh ki batein nikaloonga, aur jin baton se ve darte hain unhi ko un par laoonga; kyonki jab main ne unhein bulaya, tab koi na bola, aur jab main ne un se batein ki, tab unhonne meri na suni; parantu jo meri drishti mein bura tha vahi ve karte rahe, aur jis se main aprasann hota tha usi ko unhonne apnaya. Tum jo Yahowa ka vachan sunkar tharathrate ho Yahowa ka yah vachan suno:

5

तुम्हारे भाई जो तुम से बैर रखते और मेरे नाम के निमित्त तुम को अलग कर देते हैं उन्होंने कहा है, यहोवा की महिमा तो बढ़े, जिस से हम तुम्हारा आनन्द देखते पाएं; परन्तु उन्हीं को लज्जित होना पड़ेगा॥

Tumhare bhai jo tum se bair rakhte aur mere naam ke nimitt tum ko alag kar dete hain unhonne kaha hai, Yahowa ki mahima to badhe, jis se ham tumhara aanand dekhte payen; parantu unhi ko lajjit hona padega.

6

सुनो, नगर से कोलाहल की धूम, मन्दिर से एक शब्द, सुनाईं देता है! वह यहोवा का शब्द है, वह अपने शत्रुओं को उनकी करनी का फल दे रहा है!

Suno, nagar se kolahal ki dhoom, mandir se ek shabd, sunai deta hai! Vah Yahowa ka shabd hai, vah apne shatruon ko unki karni ka phal de raha hai!

7

उसकी पीड़ाएं उठाने से पहले ही उसने जन्मा दिया; उसको पीड़ाएं होने से पहिले ही उस से बेटा जन्मा।

Uski peedayen uthane se pahle hi usne janma diya; usko peedayen hone se pahile hi us se beta janma.

8

ऐसी बात किस ने कभी सुनी? किस ने कभी ऐसी बातें देखी? क्या देश एक ही दिन में उत्पन्न हो सकता है? क्या एक जाति क्षण मात्र में ही उत्पन्न हो सकती है? क्योंकि सिय्योन की पीड़ाएं उठी ही थीं कि उस से सन्तान उत्पन्न हो गए।

Aisi baat kis ne kabhi suni? Kis ne kabhi aisi batein dekhi? Kya desh ek hi din mein utpann ho sakta hai? Kya ek jati kshan matra mein hi utpann ho sakti hai? Kyonki siyyon ki peedayen uthi hi thi ki us se santaan utpann ho gaye.

9

यहोवा कहता है, क्या मैं उसे जन्माने के समय तक पहुंचाकर न जन्माऊं? तेरा परमेश्वर कहता है, मैं जो गर्भ देता हूं क्या मैं कोख बन्द करूं?

Yahowa kahta hai, kya main use janmane ke samay tak pahunchakar na janmaun? Tera Parmeshwar kahta hai, main jo garbh deta hoon kya main kokh band karun?

10

हे यरूशलेम से सब प्रेम रखने वालो, उसके साथ आनन्द करो और उसके कारण मगन हो; हे उसके विषय सब विलाप करने वालो उसके साथ हर्षित हो!

He Yerushalem se sab prem rakhne valo, uske saath aanand karo aur uske karan magan ho; he uske vishay sab vilaap karne valo uske saath harshit ho!

11

जिस से तुम उसके शान्तिरूपी स्तन से दूध पी पीकर तृप्त हो; और दूध पीकर उसकी महिमा की बहुतायत से अत्यन्त सुखी हो॥

Jis se tum uske shantiroopi stan se doodh pi peekar tript ho; aur doodh peekar uski mahima ki bahutayat se atyant sukhi ho.

12

क्योंकि यहोवा यों कहता है, देखो, मैं उसकी ओर शान्ति को नदी की नाईं, और अन्यजातियों के धन को नदी की बाढ़ के समान बहा दूंगा; और तुम उस से पीओगे, तुम उसकी गोद में उठाए जाओगे और उसके घुटनों पर कुदाए जाओगे।

Kyonki Yahowa yon kahta hai, dekho, main uski or shanti ko nadi ki nai, aur anyajatiyon ke dhan ko nadi ki baadh ke samaan baha doonga; aur tum us se peeoge, tum uski god mein uthaye jaoge aur uske ghutnon par kudaye jaoge.

13

जिस प्रकार माता अपने पुत्र को शान्ति देती है, वैसे ही मैं भी तुम्हें शान्ति दूंगा; तुम को यरूशलेम ही में शान्ति मिलेगी।

Jis prakaar mata apne putra ko shanti deti hai, vaise hi main bhi tumhein shanti doonga; tum ko Yerushalem hi mein shanti milegi.

14

तुम यह देखोगे और प्रफुल्लित होगे; तुम्हारी हड्डियां घास की नाईं हरी भरी होंगी; और यहोवा का हाथ उसके दासों के लिये प्रगट होगा, और, उसके शत्रुओं के ऊपर उसका क्रोध भड़केगा॥

Tum yah dekhoge aur praphullit hoge; tumhari haddiyan ghaas ki nai hari bhari hongi; aur Yahowa ka haath uske dason ke liye pragat hoga, aur, uske shatruon ke oopar uska krodh bhadkega.

15

क्योंकि देखो, यहोवा आग के साथ आएगा, और उसके रथ बवण्डर के समान होंगे, जिस से वह अपने क्रोध को जलजलाहट के साथ और अपनी चितौनी को भस्म करने वाली आग की लपट में प्रगट करे।

Kyonki dekho, Yahowa aag ke saath aayega, aur uske rath bavandar ke samaan honge, jis se vah apne krodh ko jalajlahat ke saath aur apni chitauni ko bhasm karne vali aag ki lapat mein pragat kare.

16

क्योंकि यहोवा सब प्राणियों का न्याय आग से और अपनी तलवार से करेगा; और यहोवा के मारे हुए बहुत होंगे॥

Kyonki Yahowa sab praniyon ka nyaay aag se aur apni talvaar se karega; aur Yahowa ke mare hue bahut honge.

17

जो लोग अपने को इसलिये पवित्र और शुद्ध करते हैं कि बारियों में जाएं और किसी के पीछे खड़े हो कर सूअर वा चूहे का मांस और और घृणित वस्तुएं खाते हैं, वे एक ही संग नाश हो जाएंगे, यहोवा की यही वाणी है॥

Jo log apne ko isliye pavitra aur shuddh karte hain ki bariyon mein jayen aur kisi ke peechhe khade ho kar sooar va choohe ka maans aur aur ghrinit vastuein khate hain, ve ek hi sang naash ho jayenge, Yahowa ki yahi vani hai.

18

क्योंकि मैं उनके काम और उनकी कल्पनाएं, दोनों अच्छी रीति से जानता हूं। और वह समय आता है जब मैं सारी जातियों और भिन्न भिन्न भाषा बोलने वालों को इकट्ठा करूंगा; और वे आकर मेरी महिमा देखेंगे।

Kyonki main unke kaam aur unki kalpanayen, donon achchhi reeti se janta hoon. Aur vah samay aata hai jab main sari jatiyon aur bhinn bhinn bhasha bolne valon ko ikattha karoonga; aur ve aakar meri mahima dekhenge.

19

और मैं उन से एक चिन्ह प्रगट करूंगा; और उनके बचे हुओं को मैं उन अन्यजातियों के पास भेजूंगा जिन्होंने न तो मेरा समाचार सुना है और न मेरी महिमा देखी है, अर्थात तर्शीशियों और धनुर्धारी पूलियों और लूदियों के पास, और तबलियों और यूनानियों और दूर द्वीपवासियों के पास भी भेज दूंगा और वे अन्यजातियों में मेरी महिमा का वर्णन करेंगे।

Aur main un se ek chinh pragat karoonga; aur unke bache huon ko main un anyajatiyon ke paas bhejoonga jinhonne na to mera samachaar suna hai aur na meri mahima dekhi hai, arthaat tarsheeshiyon aur dhanurdhari pooliyon aur loodiyon ke paas, aur tabliyon aur yoonaniyon aur door dweepvasiyon ke paas bhi bhej doonga aur ve anyajatiyon mein meri mahima ka varnan karenge.

20

और जैसे इस्राएली लोग अन्नबलि को शुद्ध पात्र में धरकर यहोवा के भवन में ले आते हैं, वैसे ही वे तुम्हारे सब भाइयों को घोड़ों, रथों, पालकियों, खच्चरों और साड़नियों पर चढ़ा चढ़ाकर मेरे पवित्र पर्वत यरूशलेम पर यहोवा की भेंट के लिये ले आएंगे, यहोवा का यही वचन है।

Aur jaise Israeli log annabli ko shuddh patra mein dharkar Yahowa ke bhavan mein le aate hain, vaise hi ve tumhare sab bhaiyon ko ghodon, rathon, palkiyon, khachcharon aur sadniyon par chadha chadhakar mere pavitra parvat Yerushalem par Yahowa ki bhent ke liye le aayenge, Yahowa ka yahi vachan hai.

21

और उन में से मैं कितने लोगों को याजक और लेवीय पद के लिये भी चुन लूंगा॥

Aur un mein se main kitne logon ko yajak aur leveeya pad ke liye bhi chun loonga.

22

क्योंकि जिस प्रकार नया आकाश और नई पृथ्वी, जो मैं बनाने पर हूं, मेरे सम्मुख बनी रहेगी, उसी प्रकार तुम्हारा वंश और तुम्हारा नाम भी बना रहेगा; यहोवा की यही वाणी है।

Kyonki jis prakaar naya aakaash aur nai prithvi, jo main banane par hoon, mere sammukh bani rahegi, usi prakaar tumhara vansh aur tumhara naam bhi bana rahega; Yahowa ki yahi vani hai.

23

फिर ऐसा होगा कि एक नये चांद से दूसरे नये चांद के दिन तक और एक विश्राम दिन से दूसरे विश्राम दिन तक समस्त प्राणी मेरे साम्हने दण्डवत करने को आया करेंगे; यहोवा का यही वचन है॥

Phir aisa hoga ki ek naye chaand se doosre naye chaand ke din tak aur ek vishraam din se doosre vishraam din tak samast prani mere samhane dandavat karne ko aaya karenge; Yahowa ka yahi vachan hai.

24

तब वे निकल कर उन लोगों की लोथों पर जिन्होंने मुझ से बलवा किया दृष्टि डालेंगे; क्योंकि उन में पड़े हुए कीड़े कभी न मरेंगे, उनकी आस कभी न बुझेगी, और सारे मनुष्यों को उन से अत्यन्त घृणा होगी॥

Tab ve nikal kar un logon ki lothon par jinhonne mujh se balva kiya drishti dalenge; kyonki un mein pade hue keede kabhi na marenge, unki aas kabhi na bujhegi, aur sare manushyon ko un se atyant ghrina hogi.