Jeremiah 1 · 19 verses

यिर्मयाह 1 Jeremiah 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yirmayaah 1.

1

हिल्किय्याह का पुत्र यिर्मयाह जो बिन्यामीन देश के अनातोत में रहने वाले याजकों में से था, उसी के ये वचन हैं।

Hilkiyyaah ka putra yirmayaah jo binyameen desh ke anatot mein rahne vale yajkon mein se tha, usi ke ye vachan hain.

2

यहोवा का वचन उसके पास आमोन के पुत्र यहूदा के राजा योशिय्याह के दिनों में उसके राज्य के तेरहवें वर्ष में पहुंचा।

Yahowa ka vachan uske paas aamon ke putra Yahuda ke raja yoshiyyaah ke dinon mein uske rajya ke terahvein varsh mein pahuncha.

3

इसके बाद योशिय्याह के पुत्र यहूदा के राजा यहोयाकीम के दिनों में, और योशिय्याह के पुत्र यहूदा के राजा सिदकिय्याह के राज्य के ग्यारहवें वर्ष के अन्त तक भी प्रगट होता रहा जब तक उसी वर्ष के पांचवें महीने में यरूशलेम के निवासी बंधुआई में न चले गए।

Iske baad yoshiyyaah ke putra Yahuda ke raja yahoyakeem ke dinon mein, aur yoshiyyaah ke putra Yahuda ke raja sidkiyyaah ke rajya ke gyarahvein varsh ke ant tak bhi pragat hota raha jab tak usi varsh ke panchvein maheene mein Yerushalem ke nivasi bandhuaai mein na chale gaye.

4

तब यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Tab Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

5

गर्भ में रचने से पहिले ही मैं ने तुझ पर चित्त लगाया, और उत्पन्न होने से पहिले ही मैं ने तुझे अभिषेक किया; मैं ने तुझे जातियों का भविष्यद्वक्ता ठहराया।

Garbh mein rachne se pahile hi main ne tujh par chitt lagaya, aur utpann hone se pahile hi main ne tujhe abhishek kiya; main ne tujhe jatiyon ka bhavishyadwakta thahraya.

6

तब मैं ने कहा, हाय, प्रभु यहोवा! देख, मैं तो बोलना ही नहीं जानता, क्योंकि मैं लड़का ही हूँ।

Tab main ne kaha, haay, Prabhu Yahowa! Dekh, main to bolna hi nahi janta, kyonki main ladka hi hoon.

7

परन्तु यहोवा ने मुझ से कहा, मत कह कि मैं लड़का हूँ; क्योंकि जिस किसी के पास मैं तुझे भेजूं वहां तू जाएगा, और जो कुछ मैं तुझे आज्ञा दूं वही तू कहेगा।

Parantu Yahowa ne mujh se kaha, mat kah ki main ladka hoon; kyonki jis kisi ke paas main tujhe bhejun vahan tu jayega, aur jo kuchh main tujhe aagya dun vahi tu kahega.

8

तू उनके मुख को देखकर मत डर, क्योंकि तुझे छुड़ाने के लिये मैं तेरे साथ हूँ, यहोवा की यही वाणी है।

Tu unke mukh ko dekhkar mat dar, kyonki tujhe chhudane ke liye main tere saath hoon, Yahowa ki yahi vani hai.

9

तब यहोवा ने हाथ बढ़ाकर मेरे मुंह को छुआ; और यहोवा ने मुझ से कहा, देख, मैं ने अपने वचन तेरे मुंह में डाल दिये हैं।

Tab Yahowa ne haath badhakar mere munh ko chhuaa; aur Yahowa ne mujh se kaha, dekh, main ne apne vachan tere munh mein daal diye hain.

10

सुन, मैं ने आज के दिन तुझे जातियों और राज्यों पर अधिकारी ठहराया है; उन्हें गिराने और ढा देने के लिये, नाश करने और काट डालने के लिये, या उन्हें बनाने और रोपने के लिये।

Sun, main ne aaj ke din tujhe jatiyon aur rajyon par adhikari thahraya hai; unhein girane aur dha dene ke liye, naash karne aur kaat dalne ke liye, ya unhein banane aur ropne ke liye.

11

और यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा, हे यिर्मयाह, तुझे क्या दिखाई पड़ता है? मैं ने कहा, मुझे बादाम की एक टहनी दिखाई पड़ती है।

Aur Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha, he yirmayaah, tujhe kya dikhai padta hai? Main ne kaha, mujhe badaam ki ek tahni dikhai padti hai.

12

तब यहोवा ने मुझ से कहा, तुझे ठीक दिखाई पड़ता है, क्योंकि मैं अपने वचन को पूरा करने के लिये जागृत हूँ।

Tab Yahowa ne mujh se kaha, tujhe theek dikhai padta hai, kyonki main apne vachan ko poora karne ke liye jagrit hoon.

13

फिर यहोवा का वचन दूसरी बार मेरे पास पहंचा, और उसने पूछा, तुझे क्या दिखाई पड़ता है? मैं ने कहा, मुझे उबलता हुआ एक हण्डा दिखाई पड़ता है जिसका मुंह उत्तर दिशा की ओर से है।

Phir Yahowa ka vachan doosri baar mere paas pahancha, aur usne poochha, tujhe kya dikhai padta hai? Main ne kaha, mujhe ubalta huaa ek handa dikhai padta hai jiska munh uttar disha ki or se hai.

14

तब यहोवा ने मुझ से कहा, इस देश के सब रहने वालों पर उत्तर दिशा से विपत्ति आ पड़ेगी।

Tab Yahowa ne mujh se kaha, is desh ke sab rahne valon par uttar disha se vipatti aa padegi.

15

यहोवा की यह वाणी है, मैं उत्तर दिशा के राज्यों और कुलों को बुलाऊंगा; और वे आकर यरूशलेम के फाटकों में और उसके चारों ओर की शहरपनाह, और यहूदा के और सब नगरों के साम्हने अपना अपना सिंहासन लगाएंगे।

Yahowa ki yah vani hai, main uttar disha ke rajyon aur kulon ko bulaoonga; aur ve aakar Yerushalem ke phatkon mein aur uske charon or ki shahrapnaah, aur Yahuda ke aur sab nagron ke samhane apna apna sinhasan lagayenge.

16

और उनकी सारी बुराई के कारण मैं उन पर दण्ड की आज्ञा दूंगा; क्योंकि उन्होंने मुझे त्यागकर दूसरे देवताओं के लिये धूप जलाया और अपनी बनाई हुई वस्तुओं को दण्डवत किया है।

Aur unki sari burai ke karan main un par dand ki aagya doonga; kyonki unhonne mujhe tyagkar doosre devtaon ke liye dhoop jalaya aur apni banai hui vastuon ko dandavat kiya hai.

17

इसलिये तू अपनी कमर कस कर उठ; और जो कुछ कहने की मैं तुझे आज्ञा दूं वही उन से कह। तू उनके मुख को देख कर न घबराना, ऐसा न हो कि मैं तुझे उनके साम्हने घबरा दूं।

Isliye tu apni kamar kas kar uth; aur jo kuchh kahne ki main tujhe aagya dun vahi un se kah. Tu unke mukh ko dekh kar na ghabrana, aisa na ho ki main tujhe unke samhane ghabra dun.

18

क्योंकि सुन, मैं ने आज तुझे इस सारे देश और यहूद के राजाओं, हाकिमों, और याजकों और साधारण लोगों के विरुद्ध गढ़वाला नगर, और लोहे का खम्भा, और पीतल की शहरपनाह बनाया है।

Kyonki sun, main ne aaj tujhe is sare desh aur yahood ke rajaon, hakimon, aur yajkon aur sadharan logon ke viruddh gadhvala nagar, aur lohe ka khambha, aur peetal ki shahrapnaah banaya hai.

19

वे तुझ से लड़ेंगे तो सही, परन्तु तुझ पर प्रबल न होंगे, क्योंकि बचाने के लिये मैं तेरे साथ हूँ, यहोवा की यही वाणी है।

Ve tujh se ladenge to sahi, parantu tujh par prabal na honge, kyonki bachane ke liye main tere saath hoon, Yahowa ki yahi vani hai.