Isaiah 6 · 13 verses

यशायाह 6 Isaiah 6 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yashayaah 6.

1

जिस वर्ष उज्जिय्याह राजा मरा, मैं ने प्रभु को बहुत ही ऊंचे सिंहासन पर विराजमान देखा; और उसके वस्त्र के घेर से मन्दिर भर गया।

Jis varsh ujjiyyaah raja mara, main ne Prabhu ko bahut hi oonche sinhasan par virajmaan dekha; aur uske vastra ke gher se mandir bhar gaya.

2

उस से ऊंचे पर साराप दिखाई दिए; उनके छ: छ: पंख थे; दो पंखों से वे अपने मुंह को ढांपे थे और दो से अपने पांवों को, और दो से उड़ रहे थे।

Us se oonche par saraap dikhai diye; unke chha: chha: pankh the; do pankhon se ve apne munh ko dhampe the aur do se apne panvon ko, aur do se ud rahe the.

3

और वे एक दूसरे से पुकार पुकारकर कह रहे थे: सेनाओं का यहोवा पवित्र, पवित्र, पवित्र है; सारी पृथ्वी उसके तेज से भरपूर है।

Aur ve ek doosre se pukaar pukarkar kah rahe the: senaon ka Yahowa pavitra, pavitra, pavitra hai; sari prithvi uske tej se bharpoor hai.

4

और पुकारने वाले के शब्द से डेवढ़ियों की नेवें डोल उठीं, और भवन धूंए से भर गया।

Aur pukarne vale ke shabd se devdhiyon ki nevein dol uthi, aur bhavan dhoonye se bhar gaya.

5

तब मैं ने कहा, हाय! हाय! मैं नाश हूआ; क्योंकि मैं अशुद्ध होंठ वाला मनुष्य हूं, और अशुद्ध होंठ वाले मनुष्यों के बीच में रहता हूं; क्योंकि मैं ने सेनाओं के यहोवा महाराजाधिराज को अपनी आंखों से देखा है!

Tab main ne kaha, haay! Haay! Main naash hooaa; kyonki main ashuddh honth vala manushya hoon, aur ashuddh honth vale manushyon ke beech mein rahta hoon; kyonki main ne senaon ke Yahowa maharajadhiraaj ko apni aankhon se dekha hai!

6

तब एक साराप हाथ में अंगारा लिए हुए, जिसे उसने चिमटे से वेदी पर से उठा लिया था, मेरे पास उड़ कर आया।

Tab ek saraap haath mein angara liye hue, jise usne chimte se vedi par se utha liya tha, mere paas ud kar aaya.

7

और उसने उस से मेरे मुंह को छूकर कहा, देख, इस ने तेरे होंठों को छू लिया है, इसलिये तेरा अधर्म दूर हो गया और तेरे पाप क्षमा हो गए।

Aur usne us se mere munh ko chhookar kaha, dekh, is ne tere honthon ko chhu liya hai, isliye tera adharm door ho gaya aur tere paap kshama ho gaye.

8

तब मैं ने प्रभु का यह वचन सुना, मैं किस को भेंजूं, और हमारी ओर से कौन जाएगा? तब मैं ने कहा, मैं यहां हूं! मुझे भेज

Tab main ne Prabhu ka yah vachan suna, main kis ko bhenjun, aur hamari or se kaun jayega? Tab main ne kaha, main yahan hoon! Mujhe bhej

9

उसने कहा, जा, और इन लोगों से कह, सुनते ही रहो, परन्तु न समझो; देखते ही रहो, परन्तु न बूझो।

Usne kaha, ja, aur in logon se kah, sunte hi raho, parantu na samjho; dekhte hi raho, parantu na boojho.

10

तू इन लोगों के मन को मोटे और उनके कानों को भारी कर, और उनकी आंखों को बन्द कर; ऐसा न हो कि वे आंखों से देखें, और कानों से सुनें, और मन से बूझें, और मन फिरावें और चंगे हो जाएं।

Tu in logon ke man ko mote aur unke kanon ko bhari kar, aur unki aankhon ko band kar; aisa na ho ki ve aankhon se dekhein, aur kanon se sunein, aur man se boojhein, aur man phiravein aur change ho jayen.

11

तब मैं ने पूछा, हे प्रभु कब तक? उसने कहा, जब तक नगर न उजड़े और उन में कोई रह न जाए, और घरों में कोई मनुष्य न रह जाए, और देश उजाड़ और सुनसान हो जाए,

Tab main ne poochha, he Prabhu kab tak? Usne kaha, jab tak nagar na ujde aur un mein koi rah na jaye, aur gharon mein koi manushya na rah jaye, aur desh ujaad aur sunsaan ho jaye,

12

और यहोवा मनुष्यों को उस में से दूर कर दे, और देश के बहुत से स्थान निर्जन हो जाएं।

Aur Yahowa manushyon ko us mein se door kar de, aur desh ke bahut se sthaan nirjan ho jayen.

13

चाहे उसके निवासियों का दसवां अंश भी रह जाए, तौभी वह नाश किया जाएगा, परन्तु जैसे छोटे वा बड़े बांजवृझ को काट डालने पर भी उसका ठूंठ बना रहता है, वैसे ही पवित्र वंश उसका ठूंठ ठहरेगा॥

Chahe uske nivasiyon ka dasvan ansh bhi rah jaye, taubhi vah naash kiya jayega, parantu jaise chhote va bade banjvrijh ko kaat dalne par bhi uska thoonth bana rahta hai, vaise hi pavitra vansh uska thoonth thahrega.