Isaiah 5 · 30 verses

यशायाह 5 Isaiah 5 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yashayaah 5.

1

अब मैं अपने प्रिय के लिये और उसकी दाख की बारी के विषय में गीत गाऊंगा: एक अति उपजाऊ टीले पर मेरे प्रिय की एक दाख की बारी थी।

Ab main apne priya ke liye aur uski daakh ki bari ke vishay mein geet gaoonga: ek ati upjau teele par mere priya ki ek daakh ki bari thi.

2

उसने उसकी मिट्टी खोदी और उसके पत्थर बीनकर उस में उत्तम जाति की एक दाखलता लगाई; उसके बीच में उसने एक गुम्मट बनाया, और दाखरस के लिये एक कुण्ड भी खोदा; तब उसने दाख की आशा की, परन्तु उस में निकम्मी दाखें ही लगीं॥

Usne uski mitti khodi aur uske patthar beenkar us mein uttam jati ki ek dakhalta lagai; uske beech mein usne ek gummat banaya, aur dakhras ke liye ek kund bhi khoda; tab usne daakh ki aasha ki, parantu us mein nikammi dakhein hi lagi.

3

अब हे यरूशलेम के निवासियों और हे यहूदा के मनुष्यों, मेरे और मेरी दाख की बारी के बीच न्याय करो।

Ab he Yerushalem ke nivasiyon aur he Yahuda ke manushyon, mere aur meri daakh ki bari ke beech nyaay karo.

4

मेरी दाख की बारी के लिये और क्या करना रह गया जो मैं ने उसके लिये न किया हो? फिर क्या कारण है कि जब मैं ने दाख की आशा की तब उस में निकम्मी दाखें लगीं?

Meri daakh ki bari ke liye aur kya karna rah gaya jo main ne uske liye na kiya ho? Phir kya karan hai ki jab main ne daakh ki aasha ki tab us mein nikammi dakhein lagi?

5

अब मैं तुम को जताता हूं कि अपनी दाख की बारी से क्या करूंगा। मैं उसके कांटे वाले बाड़े को उखाड़ दूंगा कि वह चट की जाए, और उसकी भीत को ढा दूंगा कि वह रौंदी जाए।

Ab main tum ko jatata hoon ki apni daakh ki bari se kya karoonga. Main uske kante vale bade ko ukhaad doonga ki vah chat ki jaye, aur uski bheet ko dha doonga ki vah raundi jaye.

6

मैं उसे उजाड़ दूंगा; वह न तो फिर छांटी और न खोदी जाएगी और उस में भांति भांति के कटीले पेड़ उगेंगे; मैं मेघों को भी आज्ञा दूंगा कि उस पर जल न बरसाएं॥

Main use ujaad doonga; vah na to phir chhanti aur na khodi jayegi aur us mein bhanti bhanti ke kateele ped ugenge; main meghon ko bhi aagya doonga ki us par jal na barsayen.

7

क्योंकि सेनाओं के यहोवा की दाख की बारी इस्राएल का घराना, और उसका मनभाऊ पौधा यहूदा के लोग है; और उसने उन में न्याय की आशा की परन्तु अन्याय देख पड़ा; उसने धर्म की आशा की, परन्तु उसे चिल्लाहट ही सुन पड़ी!

Kyonki senaon ke Yahowa ki daakh ki bari Israel ka gharana, aur uska manbhau paudha Yahuda ke log hai; aur usne un mein nyaay ki aasha ki parantu anyaay dekh pada; usne dharm ki aasha ki, parantu use chillahat hi sun padi!

8

हाय उन पर जो घर से घर, और खेत से खेत यहां तक मिलाते जाते हैं कि कुछ स्थान नहीं बचता, कि तुम देश के बीच अकेले रह जाओ।

Haay un par jo ghar se ghar, aur khet se khet yahan tak milate jate hain ki kuchh sthaan nahi bachta, ki tum desh ke beech akele rah jao.

9

सेनाओं के यहोवा ने मेरे सुनते कहा है: निश्चय बहुत से घर सुनसान हो जाएंगे, और बड़ें बड़े और सुन्दर घर निर्जन हो जाएंगे।

Senaon ke Yahowa ne mere sunte kaha hai: nishchay bahut se ghar sunsaan ho jayenge, aur badein bade aur sundar ghar nirjan ho jayenge.

10

क्योंकि दस बीघे की दाख की बारी से एक ही बत दाखमधु मिलेगा, और होमेर भर के बीच से एक ही एपा अन्न उत्पन्न होगा॥

Kyonki das beeghe ki daakh ki bari se ek hi bat dakhamdhu milega, aur homer bhar ke beech se ek hi epa ann utpann hoga.

11

हाय उन पर जो बड़े तड़के उठ कर मदिरा पीने लगते हैं और बड़ी रात तक दाखमधु पीते रहते हैं जब तक उन को गर्मी न चढ़ जाए!

Haay un par jo bade tadke uth kar madira peene lagte hain aur badi raat tak dakhamdhu peete rahte hain jab tak un ko garmi na chadh jaye!

12

उनकी जेवनारों में वीणा, सारंगी, डफ, बांसली और दाखमधु, ये सब पाए जाते हैं; परन्तु वे यहोवा के कार्य की ओर दृष्टि नहीं करते, और उसके हाथों के काम को नहीं देखते॥

Unki jevnaron mein veena, sarangi, daph, bansli aur dakhamdhu, ye sab paye jate hain; parantu ve Yahowa ke karya ki or drishti nahi karte, aur uske hathon ke kaam ko nahi dekhte.

13

इसलिये अज्ञानता के कारण मेरी प्रजा बंधुआई में जाती है, उसके प्रतिष्ठित पुरूष भूखों मरते और साधारण लोग प्यास से व्याकुल होते हैं।

Isliye agyanta ke karan meri praja bandhuaai mein jati hai, uske pratishthit puroosh bhookhon marte aur sadharan log pyaas se vyakul hote hain.

14

इसलिये अधोलोक ने अत्यन्त लालसा कर के अपना मुंह बेपरिमाण पसारा है, और उनका वैभव और भीड़ भाड़ और आनन्द करने वाले सब के सब उसके मुंह में जा पड़ते हैं।

Isliye adholok ne atyant lalsa kar ke apna munh beprimaan pasara hai, aur unka vaibhav aur bheed bhaad aur aanand karne vale sab ke sab uske munh mein ja padte hain.

15

साधारण मनुष्य दबाए जाते और बड़े मनुष्य नीचे किए जाते हैं, और अभिमानियों की आंखें नीची की जाती हैं।

Sadharan manushya dabaye jate aur bade manushya neeche kiye jate hain, aur abhimaniyon ki aankhein neechi ki jati hain.

16

परन्तु सेनाओं का यहोवा न्याय करने के कारण महान ठहरता, और पवित्र परमेश्वर धर्मी होने के कारण पवित्र ठहरता है!

Parantu senaon ka Yahowa nyaay karne ke karan mahaan thaharta, aur pavitra Parmeshwar dharmi hone ke karan pavitra thaharta hai!

17

तब भेड़ों के बच्चे मानो अपने खेत में चरेंगे, परन्तु हृष्टपुष्टों के उजड़े स्थान परदेशियों को चराई के लिये मिलेंगे॥

Tab bhedon ke bachche mano apne khet mein charenge, parantu hrishtapushton ke ujde sthaan pardeshiyon ko charai ke liye milenge.

18

हाय उन पर जो अधर्म को अनर्थ की रस्सियों और पाप को मानो गाड़ी के रस्से से खींच ले आते हैं,

Haay un par jo adharm ko anarth ki rassiyon aur paap ko mano gadi ke rasse se kheench le aate hain,

19

जो कहते हैं, वह फुर्ती करे और अपने काम को शीघ्र करे कि हम उसको देखें; और इस्राएल के पवित्र की युक्ति प्रगट हो, वह निकट आए कि हम उसको समझें!

Jo kahte hain, vah phurti kare aur apne kaam ko sheeghra kare ki ham usko dekhein; aur Israel ke pavitra ki yukti pragat ho, vah nikat aaye ki ham usko samjhein!

20

हाय उन पर जो बुरे को भला और भले को बुरा कहते, जो अंधियारे को उजियाला और उजियाले को अंधियारा ठहराते, और कडुवे को मीठा और मीठे को कड़वा कर के मानते हैं!

Haay un par jo bure ko bhala aur bhale ko bura kahte, jo andhiyare ko ujiyala aur ujiyale ko andhiyara thahrate, aur kaduve ko meetha aur meethe ko kadva kar ke mante hain!

21

हाय उन पर जो अपनी दृष्टि में ज्ञानी और अपने लेखे बुद्धिमान हैं!

Haay un par jo apni drishti mein gyani aur apne lekhe buddhimaan hain!

22

हाय उन पर जो दाखमधु पीने में वीर और मदिरा को तेज बनाने में बहादुर हैं,

Haay un par jo dakhamdhu peene mein veer aur madira ko tej banane mein bahadur hain,

23

जो घूस ले कर दुष्टों को निर्दोष, और निर्दोषों को दोषी ठहराते हैं!

Jo ghoos le kar dushton ko nirdosh, aur nirdoshon ko doshi thahrate hain!

24

इस कारण जैसे अग्नि की लौ से खूंटी भस्म होती है और सूखी घास जल कर बैठ जाती है, वैसे ही उनकी जड़ सड़ जाएगी और उनके फूल धूल हो कर उड़ जाएंगे; क्योंकि उन्होंने सेनाओं के यहोवा की व्यवस्था को निकम्मी जाना, और इस्राएल के पवित्र के वचन को तुच्छ जाना है।

Is karan jaise agni ki lau se khoonti bhasm hoti hai aur sookhi ghaas jal kar baith jati hai, vaise hi unki jad sad jayegi aur unke phool dhool ho kar ud jayenge; kyonki unhonne senaon ke Yahowa ki vyavastha ko nikammi jana, aur Israel ke pavitra ke vachan ko tuchchh jana hai.

25

इस कारण यहोवा का क्रोध अपनी प्रजा पर भड़का है, और उसने उनके विरुद्ध हाथ बढ़ा कर उन को मारा है, और पहाड़ कांप उठे; और लोगों की लोथें सड़कों के बीच कूड़ा सी पड़ी हैं। इतने पर भी उसका क्रोध शान्त नहीं हुआ और उसका हाथ अब तक बढ़ा हुआ है॥

Is karan Yahowa ka krodh apni praja par bhadka hai, aur usne unke viruddh haath badha kar un ko mara hai, aur pahaad kaamp uthe; aur logon ki lothein sadkon ke beech kooda si padi hain. Itne par bhi uska krodh shaant nahi huaa aur uska haath ab tak badha huaa hai.

26

वह दूर दूर की जातियों के लिये झण्डा खड़ा करेगा, और सींटी बजाकर उन को पृथ्वी की छोर से बुलाएगा; देखो, वे फुर्ती कर के वेग से आएंगे!

Vah door door ki jatiyon ke liye jhanda khada karega, aur seenti bajakar un ko prithvi ki chhor se bulayega; dekho, ve phurti kar ke veg se aayenge!

27

उन में कोई थका नहीं न कोई ठोकर खाता है; कोई ऊंघने वा सोने वाला नहीं, किसी का फेंटा नहीं खुला, और किसी के जूतों का बन्धन नहीं टूटा;

Un mein koi thaka nahi na koi thokar khata hai; koi oonghne va sone vala nahi, kisi ka phenta nahi khula, aur kisi ke jooton ka bandhan nahi toota;

28

उनके तीर चोखे और धनुष चढ़ाए हुए हैं, उनके घोड़ों के खुर वज्र के से और रथों के पहिये बवण्डर सरीखे हैं।

Unke teer chokhe aur dhanush chadhaye hue hain, unke ghodon ke khur vajra ke se aur rathon ke pahiye bavandar sareekhe hain.

29

वे सिंह वा जवान सिंह की नाईं गरजते हैं; वे गुर्राकर अहेर को पकड़ लेते और उसको ले भागते हैं, और कोई उसे उन से नहीं छुड़ा सकता।

Ve sinh va javaan sinh ki nai garajte hain; ve gurrakar aher ko pakad lete aur usko le bhagte hain, aur koi use un se nahi chhuda sakta.

30

उस समय वे उन पर समुद्र के गर्जन की नाईं गर्जेंगे और यदि कोई देश की ओर देखे, तो उसे अन्धकार और संकट देख पड़ेगा और ज्योति मेघों से छिप जाएगी॥

Us samay ve un par samudra ke garjan ki nai garjenge aur yadi koi desh ki or dekhe, to use andhakaar aur sankat dekh padega aur jyoti meghon se chhip jayegi.