सुनो, यहोवा का हाथ ऐसा छोटा नहीं हो गया कि उद्धार न कर सके, न वह ऐसा बहिरा हो गया है कि सुन न सके;
Suno, Yahowa ka haath aisa chhota nahi ho gaya ki uddhaar na kar sake, na vah aisa bahira ho gaya hai ki sun na sake;
Isaiah 59 · 21 verses
सुनो, यहोवा का हाथ ऐसा छोटा नहीं हो गया कि उद्धार न कर सके, न वह ऐसा बहिरा हो गया है कि सुन न सके;
Suno, Yahowa ka haath aisa chhota nahi ho gaya ki uddhaar na kar sake, na vah aisa bahira ho gaya hai ki sun na sake;
परन्तु तुम्हारे अधर्म के कामों ने तुम को तुम्हारे परमेश्वर से अलग कर दिया है, और तुम्हारे पापों के कारण उस का मुँह तुम से ऐसा छिपा है कि वह नहीं सुनता।
Parantu tumhare adharm ke kamon ne tum ko tumhare Parmeshwar se alag kar diya hai, aur tumhare papon ke karan us ka munh tum se aisa chhipa hai ki vah nahi sunta.
क्योंकि तुम्हारे हाथ हत्या से और तुम्हारी अंगुलियां अधर्म के कर्मों से अपवित्र हो गईं हैं; तुम्हारे मुंह से तो झूठ और तुम्हारी जीभ से कुटिल बातें निकलती हैं।
Kyonki tumhare haath hatya se aur tumhari anguliyan adharm ke karmon se apvitra ho gai hain; tumhare munh se to jhooth aur tumhari jeebh se kutil batein nikalti hain.
कोई धर्म के साथ नालिश नहीं करता, न कोई सच्चाई से मुकद्दमा लड़ता है; वे मिथ्या पर भरोसा रखते हैं और झूठ बातें बकते हैं, उसको मानो उत्पात का गर्भ रहता, और वे अनर्थ को जन्म देते हैं।
Koi dharm ke saath nalish nahi karta, na koi sachchai se mukaddama ladta hai; ve mithya par bharosa rakhte hain aur jhooth batein bakte hain, usko mano utpaat ka garbh rahta, aur ve anarth ko janm dete hain.
वे सांपिन के अण्डे सेते और मकड़ी के जाले बनाते हैं; जो कोई उनके अण्डे खाता वह मर जाता है, और जब कोई एक को फोड़ता तब उस में से सपोला निकलता है।
Ve sampin ke ande sete aur makdi ke jale banate hain; jo koi unke ande khata vah mar jata hai, aur jab koi ek ko phodta tab us mein se sapola nikalta hai.
उनके जाले कपड़े का काम न देंगे, न वे अपने कामों से अपने को ढाप सकेंगे। क्योंकि उनके काम अनर्थ ही के होते हैं, और उनके हाथों से अपद्रव का काम होता है।
Unke jale kapde ka kaam na denge, na ve apne kamon se apne ko dhaap sakenge. Kyonki unke kaam anarth hi ke hote hain, aur unke hathon se apadrav ka kaam hota hai.
वे बुराई करने को दौड़ते हैं, और निर्दोष की हत्या करने को तत्पर रहते हैं; उनकी युक्तियां व्यर्थ हैं, उजाड़ और विनाश ही उनके मार्गों में हैं।
Ve burai karne ko daudte hain, aur nirdosh ki hatya karne ko tatpar rahte hain; unki yuktiyan vyarth hain, ujaad aur vinaash hi unke margon mein hain.
शान्ति का मार्ग वे जानते ही नहीं और न उनके व्यवहार में न्याय है; उनके पथ टेढ़े हैं, जो कोई उन पर चले वह शान्ति न पाएगा॥
Shanti ka maarg ve jante hi nahi aur na unke vyavhaar mein nyaay hai; unke path tedhe hain, jo koi un par chale vah shanti na payega.
इस कारण न्याय हम से दूर है, और धर्म हमारे समीप ही नहीं आता हम उजियाले की बाट तो जोहते हैं, परन्तु, देखो अन्धियारा ही बना रहता है, हम प्रकाश की आशा तो लगाए हैं, परन्तु, घोर अन्धकार ही में चलते हैं।
Is karan nyaay ham se door hai, aur dharm hamare sameep hi nahi aata ham ujiyale ki baat to johte hain, parantu, dekho andhiyara hi bana rahta hai, ham prakaash ki aasha to lagaye hain, parantu, ghor andhakaar hi mein chalte hain.
हम अन्धों के समान भीत टटोलते हैं, हां, हम बिना आंख के लोगों की नाईं टटोलते हैं; हम दिन-दोपहर रात की नाईं ठोकर खाते हैं, हृष्ट-पुष्टों के बीच हम मुर्दों के समान हैं।
Ham andhon ke samaan bheet tatolte hain, han, ham bina aankh ke logon ki nai tatolte hain; ham din-dophar raat ki nai thokar khate hain, hrisht-pushton ke beech ham murdon ke samaan hain.
हम सब के सब रीछों की नाईं चिल्लाते हैं और पण्डुकों के समान च्यूं च्यूं करते हैं; हम न्याय की बाट तो जोहते हैं, पर वह कहीं नहीं; और उद्धार की बाट जोहते हैं पर वह हम से दूर ही रहता है।
Ham sab ke sab reechhon ki nai chillate hain aur pandukon ke samaan chyun chyun karte hain; ham nyaay ki baat to johte hain, par vah kahi nahi; aur uddhaar ki baat johte hain par vah ham se door hi rahta hai.
क्योंकि हमारे अपराध तेरे साम्हने बहुत हुए हैं, हमारे पाप हमारे विरुद्ध साक्षी दे रहे हैं; हमारे अपराध हमारे संग हैं और हम अपने अधर्म के काम जानते हैं:
Kyonki hamare apraadh tere samhane bahut hue hain, hamare paap hamare viruddh sakshi de rahe hain; hamare apraadh hamare sang hain aur ham apne adharm ke kaam jante hain:
हम ने यहोवा का अपराध किया है, हम उस से मुकर गए और अपने परमेश्वर के पीछे चलना छोड़ दिया, हम अन्धेर करने लगे और उलट फेर की बातें कहीं, हम ने झूठी बातें मन में गढ़ीं और कही भी हैं।
Ham ne Yahowa ka apraadh kiya hai, ham us se mukar gaye aur apne Parmeshwar ke peechhe chalna chhod diya, ham andher karne lage aur ulat pher ki batein kahi, ham ne jhoothi batein man mein gadhi aur kahi bhi hain.
न्याय तो पीछे हटाया गया और धर्म दूर खड़ा रह गया; सच्चाई बाजार में गिर पड़ी और सिधाई प्रवेश नहीं करने पाती।
Nyaay to peechhe hataya gaya aur dharm door khada rah gaya; sachchai bajaar mein gir padi aur sidhai pravesh nahi karne pati.
हां, सच्चाई खोई, और जो बुराई से भागता है सो शिकार हो जाता है॥ यह देखकर यहोवा ने बुरा माना, क्योंकि न्याय जाता रहा,
Han, sachchai khoi, aur jo burai se bhagta hai so shikaar ho jata hai. Yah dekhkar Yahowa ne bura mana, kyonki nyaay jata raha,
उसने देखा कि कोई भी पुरूष नहीं, और इस से अचम्भा किया कि कोई बिनती करने वाला नहीं; तब उसने अपने ही भुजबल से उद्धार किया, और अपने धर्मी होने के कारण वह सम्भल गया।
Usne dekha ki koi bhi puroosh nahi, aur is se achambha kiya ki koi binti karne vala nahi; tab usne apne hi bhujbal se uddhaar kiya, aur apne dharmi hone ke karan vah sambhal gaya.
उसने धर्म को झिलम की नाईं पहिन लिया, और उसके सिर पर उद्धार का टोप रखा गया; उसने पलटा लेने का वस्त्र धारण किया, और जलजलाहट को बागे की नाईं पहिन लिया है।
Usne dharm ko jhilam ki nai pahin liya, aur uske sir par uddhaar ka top rakha gaya; usne palta lene ka vastra dharan kiya, aur jalajlahat ko bage ki nai pahin liya hai.
उनके कर्मों के अनुसार वह उन को फल देगा, अपने द्रोहियों पर वह अपना क्रोध भड़काएगा और अपने शत्रुओं को उनकी कमाई देगा; वह द्वीप वासियों को भी उनकी कमाई भर देगा।
Unke karmon ke anusaar vah un ko phal dega, apne drohiyon par vah apna krodh bhadkayega aur apne shatruon ko unki kamai dega; vah dweep vasiyon ko bhi unki kamai bhar dega.
तब पश्चिम की ओर लोग यहोवा के नाम का, और पूर्व की ओर उसकी महिमा का भय मानेंगे; क्योंकि जब शत्रु महानद की नाईं चढ़ाई करेंगे तब यहोवा का आत्मा उसके विरुद्ध झण्डा खड़ा करेगा॥
Tab pashchim ki or log Yahowa ke naam ka, aur poorva ki or uski mahima ka bhay manenge; kyonki jab shatru mahanad ki nai chadhai karenge tab Yahowa ka aatma uske viruddh jhanda khada karega.
और याकूब में जो अपराध से मन फिराते हैं उनके लिये सिय्योन में एक छुड़ाने वाला आएगा, यहोवा की यही वाणी है।
Aur Yakub mein jo apraadh se man phirate hain unke liye siyyon mein ek chhudane vala aayega, Yahowa ki yahi vani hai.
और यहोवा यह कहता है, जो वाचा मैं ने उन से बान्धी है वह यह है, कि मेरा आत्मा तुझ पर ठहरा है, और अपने वचन जो मैं ने तेरे मुंह में डाले हैं अब से ले कर सर्वदा तक वे मेरे मुंह से, और, तेरे पुत्रों और पोतों के मुंह से भी कभी न हटेंगे॥
Aur Yahowa yah kahta hai, jo vacha main ne un se bandhi hai vah yah hai, ki mera aatma tujh par thahra hai, aur apne vachan jo main ne tere munh mein dale hain ab se le kar sarvada tak ve mere munh se, aur, tere putron aur poton ke munh se bhi kabhi na hatenge.