Isaiah 57 · 21 verses

यशायाह 57 Isaiah 57 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yashayaah 57.

1

धर्मी जन नाश होता है, और कोई इस बात की चिन्ता नहीं करता; भक्त मनुष्य उठा लिए जाते हैं, परन्तु कोई नहीं सोचता। धर्मी जन इसलिये उठा लिया गया कि आने वाली आपत्ति से बच जाए,

Dharmi jan naash hota hai, aur koi is baat ki chinta nahi karta; bhakt manushya utha liye jate hain, parantu koi nahi sochta. Dharmi jan isliye utha liya gaya ki aane vali aapatti se bach jaye,

2

वह शान्ति को पहुंचता है; जो सीधी चाल चलता है वह अपनी खाट पर विश्राम करता है॥

Vah shanti ko pahunchta hai; jo seedhi chaal chalta hai vah apni khaat par vishraam karta hai.

3

परन्तु तुम, हे जादूगरनी के पुत्रों, हे व्यभिचारी और व्यभिचारिणी की सन्तान, यहां निकट आओ।

Parantu tum, he jadoogarni ke putron, he vyabhichari aur vyabhicharini ki santaan, yahan nikat aao.

4

तुम किस पर हंसी करते हो? तुम किस पर मुंह खोल कर जीभ निकालते हो? क्या तुम पाखण्डी और झूठे के वंश नहीं हो,

Tum kis par hansi karte ho? Tum kis par munh khol kar jeebh nikalte ho? Kya tum pakhandi aur jhoothe ke vansh nahi ho,

5

तुम, जो सब हरे वृक्षों के तले देवताओं के कारण कामातुर होते और नालों में और चट्टानों की दरारों के बीच बाल-बच्चों को वध करते हो?

Tum, jo sab hare vrikshon ke tale devtaon ke karan kamatur hote aur nalon mein aur chattanon ki dararon ke beech baal-bachchon ko vadh karte ho?

6

नालों के चिकने पत्थर ही तेरा भाग और अंश ठहरे; तू ने उनके लिये तपावन दिया और अन्नबलि चढ़ाया है। क्या मैं इन बातों से शान्त हो जाऊं?

Nalon ke chikne patthar hi tera bhaag aur ansh thahre; tu ne unke liye tapavan diya aur annabli chadhaya hai. Kya main in baton se shaant ho jaun?

7

एक बड़े ऊंचे पहाड़ पर तू ने अपना बिछौना बिछाया है, वहीं तू बलि चढ़ाने को चढ़ गई।

Ek bade oonche pahaad par tu ne apna bichhauna bichhaya hai, vahi tu bali chadhane ko chadh gai.

8

तू ने अपनी चिन्हानी अपने द्वार के किवाड़ और चौखट की आड़ ही में रखी; मुझे छोड़ कर तू औरों को अपने तईं दिखाने के लिये चली, तू ने अपनी खाट चौड़ी की और उन से वाचा बान्ध ली, तू ने उनकी खाट को जहां देखा, पसन्द किया।

Tu ne apni chinhani apne dwaar ke kivaad aur chaukhat ki aad hi mein rakhi; mujhe chhod kar tu auron ko apne tai dikhane ke liye chali, tu ne apni khaat chaudi ki aur un se vacha baandh li, tu ne unki khaat ko jahan dekha, pasand kiya.

9

तू तेल लिए हुए राजा के पास गई और बहुत सुगन्धित तेल अपने काम में लाई; अपने दूत तू ने दूर तक भेजे और अधोलोक तक अपने को नीचा किया।

Tu tel liye hue raja ke paas gai aur bahut sugandhit tel apne kaam mein lai; apne doot tu ne door tak bheje aur adholok tak apne ko neecha kiya.

10

तू अपनी यात्रा की लम्बाई के कारण थक गई, तौभी तू ने न कहा कि यह व्यर्थ है; तेरा बल कुछ अधिक हो गया, इसी कारण तू नहीं थकी॥

Tu apni yatra ki lambai ke karan thak gai, taubhi tu ne na kaha ki yah vyarth hai; tera bal kuchh adhik ho gaya, isi karan tu nahi thaki.

11

तू ने किस के डर से झूठ कहा, और किसका भय मानकर ऐसा किया कि मुझ को स्मरण नहीं रखा न मुझ पर ध्यान दिया? क्या मैं बहुत काल से चुप नहीं रहा? इस कारण तू मेरा भय नहीं मानती।

Tu ne kis ke dar se jhooth kaha, aur kiska bhay mankar aisa kiya ki mujh ko smaran nahi rakha na mujh par dhyaan diya? Kya main bahut kaal se chup nahi raha? Is karan tu mera bhay nahi manti.

12

मैं आप तेरे धर्म और कर्मों का वर्णन करूंगा, परन्तु, उन से तुझे कुछ लाभ न होगा।

Main aap tere dharm aur karmon ka varnan karoonga, parantu, un se tujhe kuchh laabh na hoga.

13

जब तू दोहाई दे, तब जिन मूर्तियों को तू ने जमा किया है वह ही तुझे छुड़ाएं! वे तो सब की सब वायु से वरन एक ही फूंक से उड़ जाएंगी। परन्तु जो मेरी शरण लेगा वह देश का अधिकारी होगा, और मेरे पवित्र पर्वत को भी अधिकारी होगा॥

Jab tu dohai de, tab jin moortiyon ko tu ne jama kiya hai vah hi tujhe chhudayen! Ve to sab ki sab vayu se varan ek hi phoonk se ud jayengi. Parantu jo meri sharan lega vah desh ka adhikari hoga, aur mere pavitra parvat ko bhi adhikari hoga.

14

और यह कहा जाएगा, पांति बान्ध बान्धकर राजमार्ग बनाओ, मेरी प्रजा के मार्ग में से हर एक ठोकर दूर करो।

Aur yah kaha jayega, panti baandh bandhakar rajmaarg banao, meri praja ke maarg mein se har ek thokar door karo.

15

क्योंकि जो महान और उत्तम और सदैव स्थिर रहता, और जिसका नाम पवित्र है, वह यों कहता है, मैं ऊंचे पर और पवित्र स्थान में निवास करता हूं, और उसके संग भी रहता हूं, जो खेदित और नम्र हैं, कि, नम्र लोगों के हृदय और खेदित लोगों के मन को हर्षित करूं।

Kyonki jo mahaan aur uttam aur sadaiv sthir rahta, aur jiska naam pavitra hai, vah yon kahta hai, main oonche par aur pavitra sthaan mein nivaas karta hoon, aur uske sang bhi rahta hoon, jo khedit aur namra hain, ki, namra logon ke hriday aur khedit logon ke man ko harshit karun.

16

मैं सदा मुकद्दमा न लड़ता रहूंगा, न सर्वदा क्रोधित रहूंगा; क्योंकि आत्मा मेरे बनाए हुए हैं और जीव मेरे साम्हने मूर्च्छित हो जाते हैं।

Main sada mukaddama na ladta rahoonga, na sarvada krodhit rahoonga; kyonki aatma mere banaye hue hain aur jeev mere samhane moorchchhit ho jate hain.

17

उसके लोभ के पाप के कारण मैं ने क्रोधित हो कर उसको दु:ख दिया था, और क्रोध के मारे उस से मुंह छिपाया था; परन्तु वह अपने मनमाने मार्ग में दूर भटकता चला गया था।

Uske lobh ke paap ke karan main ne krodhit ho kar usko dukh diya tha, aur krodh ke mare us se munh chhipaya tha; parantu vah apne manmane maarg mein door bhatakta chala gaya tha.

18

मैं उसकी चाल देखता आया हूं, तौभी अब उसको चंगा करूंगा; मैं उसे ले चलूंगा और विशेष कर के उसके शोक करने वालों को शान्ति दूंगा।

Main uski chaal dekhta aaya hoon, taubhi ab usko changa karoonga; main use le chaloonga aur vishesh kar ke uske shok karne valon ko shanti doonga.

19

मैं मुंह के फल का सृजनहार हूं; यहोवा ने कहा है, जो दूर और जो निकट हैं, दोनों को पूरी शान्ति मिले; और मैं उसको चंगा करूंगा।

Main munh ke phal ka srijanhaar hoon; Yahowa ne kaha hai, jo door aur jo nikat hain, donon ko poori shanti mile; aur main usko changa karoonga.

20

परन्तु दुष्ट तो लहराते समुद्र के समान है जो स्थिर नहीं रह सकता; और उसका जल मैल और कीच उछालता है।

Parantu dusht to lahrate samudra ke samaan hai jo sthir nahi rah sakta; aur uska jal mail aur keech uchhalta hai.

21

दुष्टों के लिये शान्ति नहीं है, मेरे परमेश्वर का यही वचन है॥

Dushton ke liye shanti nahi hai, mere Parmeshwar ka yahi vachan hai.