Isaiah 56 · 12 verses

यशायाह 56 Isaiah 56 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yashayaah 56.

1

यहोवा यों कहता है, न्याय का पालन करो, और धर्म के काम करो; क्योंकि मैं शीघ्र तुम्हारा उद्धार करूंगा, और मेरा धर्मी होना प्रगट होगा।

Yahowa yon kahta hai, nyaay ka palan karo, aur dharm ke kaam karo; kyonki main sheeghra tumhara uddhaar karoonga, aur mera dharmi hona pragat hoga.

2

क्या ही धन्य है वह मनुष्य जो ऐसा ही करता, और वह आदमी जो इस पर स्थिर रहता है, जो विश्रामदिन को पवित्र मानता और अपवित्र करने से बचा रहता है, और अपने हाथ को सब भांति की बुराई करने से रोकता है।

Kya hi dhanya hai vah manushya jo aisa hi karta, aur vah aadmi jo is par sthir rahta hai, jo vishramdin ko pavitra manta aur apvitra karne se bacha rahta hai, aur apne haath ko sab bhanti ki burai karne se rokta hai.

3

जो परदेशी यहोवा से मिल गए हैं, वे न कहें कि यहोवा हमें अपनी प्रजा से निश्चय अलग करेगा; और खोजे भी न कहें कि हम तो सूखे वृक्ष हैं।

Jo pardeshi Yahowa se mil gaye hain, ve na kahein ki Yahowa hamein apni praja se nishchay alag karega; aur khoje bhi na kahein ki ham to sookhe vriksh hain.

4

क्योंकि जो खोजे मेरे विश्रामदिन को मानते और जिस बात से मैं प्रसन्न रहता हूं उसी को अपनाते और मेरी वाचा को पालते हैं, उनके विषय यहोवा यों कहता है

Kyonki jo khoje mere vishramdin ko mante aur jis baat se main prasann rahta hoon usi ko apnate aur meri vacha ko palte hain, unke vishay Yahowa yon kahta hai

5

कि मैं अपने भवन और अपनी शहर-पनाह के भीतर उन को ऐसा नाम दूंगा जो पुत्र-पुत्रियों से कहीं उत्तम होगा; मैं उनका नाम सदा बनाए रखूंगा और वह कभी न मिटाया जाएगा।

Ki main apne bhavan aur apni shahar-panaah ke bheetar un ko aisa naam doonga jo putra-putriyon se kahi uttam hoga; main unka naam sada banaye rakhoonga aur vah kabhi na mitaya jayega.

6

परदेशी भी जो यहोवा के साथ इस इच्छा से मिले हुए हैं कि उसकी सेवा टहल करें और यहोवा के नाम से प्रीति रखें और उसके दास हो जाएं, जितने विश्रामदिन को अपवित्र करने से बचे रहते और मेरी वाचा को पालते हैं,

Pardeshi bhi jo Yahowa ke saath is ichchha se mile hue hain ki uski seva tahal karein aur Yahowa ke naam se preeti rakhein aur uske daas ho jayen, jitne vishramdin ko apvitra karne se bache rahte aur meri vacha ko palte hain,

7

उन को मैं अपने पवित्र पर्वत पर ले आकर अपने प्रार्थना के भवन में आनन्दित करूंगा; उनके होमबलि और मेलबलि मेरी वेदी पर ग्रहण किए जाएंगे; क्योंकि मेरा भवन सब देशों के लोगों के लिये प्रार्थना का घर कहलाएगा।

Un ko main apne pavitra parvat par le aakar apne prarthana ke bhavan mein aanandit karoonga; unke homabli aur melabli meri vedi par grahan kiye jayenge; kyonki mera bhavan sab deshon ke logon ke liye prarthana ka ghar kahlayega.

8

प्रभु यहोवा, जो निकाले हुए इस्राएलियों को इकट्ठे करने वाला है, उसकी यह वाणी है कि जो इकट्ठे किए गए हैं उनके साथ मैं औरों को भी इकट्ठे कर के मिला दूंगा॥

Prabhu Yahowa, jo nikale hue Israeliyon ko ikatthe karne vala hai, uski yah vani hai ki jo ikatthe kiye gaye hain unke saath main auron ko bhi ikatthe kar ke mila doonga.

9

हे मैदान के सब जन्तुओं, हे वन के सब पशुओं, खाने के लिये आओ।

He maidaan ke sab jantuon, he van ke sab pashuon, khane ke liye aao.

10

उसके पहरूए अन्धे हैं, वे सब के सब अज्ञानी हैं, वे सब के सब गूंगे कुत्ते हैं जो भूंक नहीं सकते; वे स्वप्न देखने वाले और लेटे रहकर सोते रहना चाहते हैं।

Uske pahrooye andhe hain, ve sab ke sab agyani hain, ve sab ke sab goonge kutte hain jo bhoonk nahi sakte; ve swapn dekhne vale aur lete rahkar sote rahna chahte hain.

11

वे मरभूखे कुत्ते हैं जो कभी तृप्त नहीं होते। वे चरवाहे हें जिन में समझ ही नहीं; उन सभों ने अपने अपने लाभ के लिये अपना अपना मार्ग लिया है।

Ve marbhookhe kutte hain jo kabhi tript nahi hote. Ve charvahe hein jin mein samajh hi nahi; un sabhon ne apne apne laabh ke liye apna apna maarg liya hai.

12

वे कहते हैं कि आओ, हम दाखमधु ले आएं, आओ मदिरा पीकर छक जाएं; कल का दिन भी तो आज ही के समान अत्यन्त सुहावना होगा॥

Ve kahte hain ki aao, ham dakhamdhu le aayen, aao madira peekar chhak jayen; kal ka din bhi to aaj hi ke samaan atyant suhavna hoga.