Isaiah 49 · 26 verses

यशायाह 49 Isaiah 49 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yashayaah 49.

1

हे द्वीपो, मेरी और कान लगाकर सुनो; हे दूर दूर के राज्यों के लोगों, ध्यान लगा कर मेरी सुनो! यहोवा ने मुझे गर्भ ही में से बुलाया, जब मैं माता के पेट में था, तब ही उसने मेरा नाम बताया।

He dweepo, meri aur kaan lagakar suno; he door door ke rajyon ke logon, dhyaan laga kar meri suno! Yahowa ne mujhe garbh hi mein se bulaya, jab main mata ke pet mein tha, tab hi usne mera naam bataya.

2

उसने मेरे मुंह को चोखी तलवार के समान बनाया और अपने हाथ की आड़ में मुझे छिपा रखा; उसने मुझ को चमकिला तीर बनाकर अपने तर्कश में गुप्त रखा।

Usne mere munh ko chokhi talvaar ke samaan banaya aur apne haath ki aad mein mujhe chhipa rakha; usne mujh ko chamkila teer banakar apne tarkash mein gupt rakha.

3

और मुझ से कहा, तू मेरा दास इस्राएल है, मैं तुझ में अपनी महिमा प्रगट करूंगा।

Aur mujh se kaha, tu mera daas Israel hai, main tujh mein apni mahima pragat karoonga.

4

तब मैं ने कहा, मैं ने तो व्यर्थ परिश्रम किया, मैं ने व्यर्थ ही अपना बल खो दिया है; तौभी निश्चय मेरा न्याय यहोवा के पास है और मेरे परिश्रम का फल मेरे परमेश्वर के हाथ में है॥

Tab main ne kaha, main ne to vyarth parishram kiya, main ne vyarth hi apna bal kho diya hai; taubhi nishchay mera nyaay Yahowa ke paas hai aur mere parishram ka phal mere Parmeshwar ke haath mein hai.

5

और अब यहोवा जिसने मुझे जन्म ही से इसलिये रख कि मैं उसका दास हो कर याकूब को उसकी ओर फेर ले आऊं अर्थात इस्राएल को उसके पास इकट्ठा करूं, क्योंकि यहोवा की दृष्टि में मैं आदरयोग्य हूं और मेरा परमेश्वर मेरा बल है,

Aur ab Yahowa jisne mujhe janm hi se isliye rakh ki main uska daas ho kar Yakub ko uski or pher le aaun arthaat Israel ko uske paas ikattha karun, kyonki Yahowa ki drishti mein main aadaryogya hoon aur mera Parmeshwar mera bal hai,

6

उसी ने मुझ से यह भी कहा है, यह तो हलकी सी बात है कि तू याकूब के गोत्रों का उद्धार करने और इस्राएल के रक्षित लोगों को लौटा ले आने के लिये मेरा सेवक ठहरे; मैं तुझे अन्यजातियों के लिये ज्योति ठहराऊंगा कि मेरा उद्धार पृथ्वी की एक ओर से दूसरी ओर तक फैल जाए॥

Usi ne mujh se yah bhi kaha hai, yah to halki si baat hai ki tu Yakub ke gotron ka uddhaar karne aur Israel ke rakshit logon ko lauta le aane ke liye mera sevak thahre; main tujhe anyajatiyon ke liye jyoti thahraoonga ki mera uddhaar prithvi ki ek or se doosri or tak phail jaye.

7

जो मनुष्यों से तुच्छ जाना जाता, जिस से जातियों को घृणा है, और, जो अपराधियों का दास है, इस्राएल का छुड़ाने वाला और उसका पवित्र अर्थात यहावो यों कहता है, कि राजा उसे देखकर खड़े हो जाएंगे और हाकिम दण्डवत करेंगे; यह यहोवा के निमित्त होगा, जो सच्चा और इस्राएल का पवित्र है और जिसने तुझे चुन लिया है॥

Jo manushyon se tuchchh jana jata, jis se jatiyon ko ghrina hai, aur, jo apradhiyon ka daas hai, Israel ka chhudane vala aur uska pavitra arthaat yahavo yon kahta hai, ki raja use dekhkar khade ho jayenge aur hakim dandavat karenge; yah Yahowa ke nimitt hoga, jo sachcha aur Israel ka pavitra hai aur jisne tujhe chun liya hai.

8

यहोवा यों कहता है, अपनी प्रसन्नता के समय मैं ने तेरी सुन ली, उद्धार करने के दिन मैं ने तेरी सहायता की है; मैं तेरी रक्षा कर के तुझे लोगों के लिये एक वाचा ठहराऊंगा, ताकि देश को स्थिर करे और उजड़े हुए स्थानों को उनके अधिकारियों के हाथ में दे दे; और बंधुओं से कहे, बन्दीगृह से निकल आओ;

Yahowa yon kahta hai, apni prasannata ke samay main ne teri sun li, uddhaar karne ke din main ne teri sahayta ki hai; main teri raksha kar ke tujhe logon ke liye ek vacha thahraoonga, taki desh ko sthir kare aur ujde hue sthanon ko unke adhikariyon ke haath mein de de; aur bandhuon se kahe, bandeegrih se nikal aao;

9

और जो अन्धियारे में हैं उन से कहे, अपने आप को दिखलाओ! वे मार्गों के किनारे किनारे पेट भरने पाएंगे, सब मुण्डे टीलों पर भी उन को चराई मिलेगी।

Aur jo andhiyare mein hain un se kahe, apne aap ko dikhlao! Ve margon ke kinare kinare pet bharne payenge, sab munde teelon par bhi un ko charai milegi.

10

वे भूखे और प्यासे होंगे, न लूह और न घाम उन्हें लगेगा, क्योंकि, वह जो उन पर दया करता है, वही उनका अगुवा होगा, और जल के सोतों के पास उन्हें ले चलेगा।

Ve bhookhe aur pyase honge, na looh aur na ghaam unhein lagega, kyonki, vah jo un par daya karta hai, vahi unka aguva hoga, aur jal ke soton ke paas unhein le chalega.

11

और, मैं अपने सब पहाड़ों को मार्ग बना दूंगा, और मेरे राजमार्ग ऊंचे किए जाएंगे।

Aur, main apne sab pahadon ko maarg bana doonga, aur mere rajmaarg oonche kiye jayenge.

12

देखो, ये दूर से आएंगे, और, ये उत्तर और पच्छिम से और सीनियों के देश से आएंगे।

Dekho, ye door se aayenge, aur, ye uttar aur pachchhim se aur seeniyon ke desh se aayenge.

13

हे आकाश, जयजयकार कर, हे पृथ्वी, मगन हो; हे पहाड़ों, गला खोल कर जयजयकार करो! क्योंकि यहोवा ने अपनी प्रजा को शान्ति दी है और अपने दीन लोगों पर दया की है॥

He aakaash, jayjaykaar kar, he prithvi, magan ho; he pahadon, gala khol kar jayjaykaar karo! Kyonki Yahowa ne apni praja ko shanti di hai aur apne deen logon par daya ki hai.

14

परन्तु सिय्योन ने कहा, यहोवा ने मुझे त्याग दिया है, मेरा प्रभु मुझे भूल गया है।

Parantu siyyon ne kaha, Yahowa ne mujhe tyaag diya hai, mera Prabhu mujhe bhool gaya hai.

15

क्या यह हो सकता है कि कोई माता अपने दूधपिउवे बच्चे को भूल जाए और अपने जन्माए हुए लड़के पर दया न करे? हां, वह तो भूल सकती है, परन्तु मैं तुझे नहीं भूल सकता।

Kya yah ho sakta hai ki koi mata apne doodhpiuve bachche ko bhool jaye aur apne janmaye hue ladke par daya na kare? Han, vah to bhool sakti hai, parantu main tujhe nahi bhool sakta.

16

देख, मैं ने तेरा चित्र हथेलियों पर खोदकर बनाया है; तेरी शहरपनाह सदैव मेरी दृष्टि के साम्हने बनी रहती है।

Dekh, main ne tera chitra hatheliyon par khodkar banaya hai; teri shahrapnaah sadaiv meri drishti ke samhane bani rahti hai.

17

तेरे लड़के फुर्ती से आ रहे हैं और खण्डहर बनाने वाले और उजाड़ने वाले तेरे बीच से निकले जा रहे हैं।

Tere ladke phurti se aa rahe hain aur khandahar banane vale aur ujadne vale tere beech se nikle ja rahe hain.

18

अपनी आंखें उठा कर चारों ओर देख, वे सब के सब इकट्ठे हो कर तेरे पास आ रहे हैं। यहोवा की यह वाणी है कि मेरे जीवन की शपथ, तू निश्चय उन सभों को गहने के समान पहिल लेगी, तू दुल्हिन की नाईं अपने शरीर में उन सब को बान्ध लेगी॥

Apni aankhein utha kar charon or dekh, ve sab ke sab ikatthe ho kar tere paas aa rahe hain. Yahowa ki yah vani hai ki mere jeevan ki shapath, tu nishchay un sabhon ko gahne ke samaan pahil legi, tu dulhin ki nai apne shareer mein un sab ko baandh legi.

19

तेरे जो स्थान सुनसान और उजड़े हैं, और तेरे जो देश खण्डहर ही खण्डहर हैं, उन में अब निवासी न समाएंगे, और, तुझे नष्ट करने वाले दूर हो जाएंगे।

Tere jo sthaan sunsaan aur ujde hain, aur tere jo desh khandahar hi khandahar hain, un mein ab nivasi na samayenge, aur, tujhe nasht karne vale door ho jayenge.

20

तेरे पुत्र जो तुझ से ले लिए गए वे फिर तेरे कान में कहने पाएंगे कि यह स्थान हमारे लिये सकेत है, हमें और स्थान दे कि उस में रहें।

Tere putra jo tujh se le liye gaye ve phir tere kaan mein kahne payenge ki yah sthaan hamare liye saket hai, hamein aur sthaan de ki us mein rahein.

21

तब तू मन में कहेगी, किस ने इन को मेरे लिये जन्माया? मैं तो पुत्रहीन और बांझ हो गई थी, दासत्व में और यहां वहां मैं घूमती रही, इन को किस ने पाला? देख, मैं अकेली रह गई थी; फिर ये कहां थे?

Tab tu man mein kahegi, kis ne in ko mere liye janmaya? Main to putraheen aur baanjh ho gai thi, dasatva mein aur yahan vahan main ghoomti rahi, in ko kis ne pala? Dekh, main akeli rah gai thi; phir ye kahan the?

22

प्रभु यहोवा यों कहता है, देख, मैं अपना हाथ जाति जाति के लोगों की ओर उठाऊंगा, और देश देश के लोगों के साम्हने अपना झण्डा खड़ा करूंगा; तब वे तेरे पुत्रों को अपनी गोद में लिए आएंगे, और तेरी पुत्रियों को अपने कन्धे पर चढ़ाकर तेरे पास पहुंचाएंगे।

Prabhu Yahowa yon kahta hai, dekh, main apna haath jati jati ke logon ki or uthaoonga, aur desh desh ke logon ke samhane apna jhanda khada karoonga; tab ve tere putron ko apni god mein liye aayenge, aur teri putriyon ko apne kandhe par chadhakar tere paas pahunchayenge.

23

राजा तेरे बच्चों के निज-सेवक और उनकी रानियां दूध पिलाने के लिये तेरी धाइयां होंगी। वे अपनी नाक भूमि पर रगड़ कर तुझे दण्डवत करेंगे और तेरे पांवों की धूलि चाटेंगे। तब तू यह जान लेगी कि मैं ही यहोवा हूं; मेरी बाट जोहने वाले कभी लज्जित न होंगे॥

Raja tere bachchon ke nij-sevak aur unki raniyan doodh pilane ke liye teri dhaiyan hongi. Ve apni naak bhoomi par ragad kar tujhe dandavat karenge aur tere panvon ki dhooli chatenge. Tab tu yah jaan legi ki main hi Yahowa hoon; meri baat johne vale kabhi lajjit na honge.

24

क्या वीर के हाथ से शिकार छीना जा सकता है? क्या दुष्ट के बंधुए छुड़ाए जा सकते हैं?

Kya veer ke haath se shikaar chheena ja sakta hai? Kya dusht ke bandhue chhudaye ja sakte hain?

25

तौभी यहोवा यों कहता है, हां, वीर के बंधुए उस से छीन लिए जांएगे, और बलात्कारी का शिकार उसके हाथ से छुड़ा लिया जाएगा, क्योंकि जो तुझ से लड़ते हैं उन से मैं आप मुकद्दमा लडूंगा, और तेरे लड़के-बालों का मैं उद्धार करूंगा।

Taubhi Yahowa yon kahta hai, han, veer ke bandhue us se chheen liye janyege, aur balatkari ka shikaar uske haath se chhuda liya jayega, kyonki jo tujh se ladte hain un se main aap mukaddama ladoonga, aur tere ladke-balon ka main uddhaar karoonga.

26

जो तुझ पर अन्धेर करते हैं उन को मैं उन्हीं का मांस खिलाऊंगा, और, वे अपना लोहू पीकर ऐसे मत वाले होंगे जैसे नये दाखमधु से होते हैं। तब सब प्राणी जान लेंगे कि तेरा उद्धारकर्ता यहोवा और तेरा छुड़ाने वाला, याकूब का शक्तिमान मैं ही हूं॥

Jo tujh par andher karte hain un ko main unhi ka maans khilaoonga, aur, ve apna lohu peekar aise mat vale honge jaise naye dakhamdhu se hote hain. Tab sab prani jaan lenge ki tera uddharkarta Yahowa aur tera chhudane vala, Yakub ka shaktimaan main hi hoon.