Isaiah 39 · 8 verses

यशायाह 39 Isaiah 39 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yashayaah 39.

1

उस समय बलदान का पुत्र मरोदक बलदान, जो बाबुल का राजा था, उसने हिजकिय्याह के रोगी होने और फिर चंगे हो जाने की चर्चा सुनकर उसके पास पत्री और भेंट भेजी।

Us samay baldaan ka putra marodak baldaan, jo babul ka raja tha, usne hijkiyyaah ke rogi hone aur phir change ho jane ki charcha sunkar uske paas patri aur bhent bheji.

2

इन से हिजकिय्याह ने प्रसन्न हो कर अपने अनमोल पदार्थों का भण्डार और चान्दी, सोना, सुगन्ध द्रव्य, उत्तम तेल ओर भण्डारों में जो जो वस्तुएं थी, वे सब उन को दिखलाईं। हिजकिय्याह के भवन और राज्य भर में कोई ऐसी वस्तु नहीं रह गई जो उसने उन्हें न दिखाई हो।

In se hijkiyyaah ne prasann ho kar apne anmol padarthon ka bhandaar aur chandi, sona, sugandh dravya, uttam tel or bhandaron mein jo jo vastuein thi, ve sab un ko dikhlai. Hijkiyyaah ke bhavan aur rajya bhar mein koi aisi vastu nahi rah gai jo usne unhein na dikhai ho.

3

तब यशायाह नबी ने हिजकिय्याह राजा के पास जा कर पूछा, वे मनुष्य क्या कह गए? और वे कहां से तेरे पास आए थे? हिजकिय्याह ने कहा, वे तो दूर देश से अर्थात बाबुल से मेरे पास आए थे।

Tab yashayaah nabi ne hijkiyyaah raja ke paas ja kar poochha, ve manushya kya kah gaye? Aur ve kahan se tere paas aaye the? Hijkiyyaah ne kaha, ve to door desh se arthaat babul se mere paas aaye the.

4

फिर उसने पूछा, तेरे भवन में उन्होंने क्या क्या देखा है? हिजकिय्याह ने कहा, जो कुछ मेरे भवन में है वह सब उन्होंने देखे है; मेरे भण्डारों में कोई ऐसी वस्तु नहीं जो मैं ने उन्हें न दिखाई हो॥

Phir usne poochha, tere bhavan mein unhonne kya kya dekha hai? Hijkiyyaah ne kaha, jo kuchh mere bhavan mein hai vah sab unhonne dekhe hai; mere bhandaron mein koi aisi vastu nahi jo main ne unhein na dikhai ho.

5

तब यशायाह ने हिजकिय्याह से कहा, सेनाओं के यहोवा का यह वचन सुन ले:

Tab yashayaah ne hijkiyyaah se kaha, senaon ke Yahowa ka yah vachan sun le:

6

ऐसे दिन आने वाले हैं, जिन में जो कुछ तेरे भवन में है और जो कुछ आज के दिन तक तेरे पुरखाओं का रखा हुआ तेरे भण्डारों में हैं, वह सब बाबुल को उठ जाएगा; यहोवा यह कहता है कि कोई वस्तु न बचेगी।

Aise din aane vale hain, jin mein jo kuchh tere bhavan mein hai aur jo kuchh aaj ke din tak tere purkhaon ka rakha huaa tere bhandaron mein hain, vah sab babul ko uth jayega; Yahowa yah kahta hai ki koi vastu na bachegi.

7

और जो पुत्र तेरे वंश में उत्पन्न हों, उन में से भी कितनों को वे बंधुआई में ले जाएंगे; और वह खोजे बनकर बाबुल के राजभवन में रहेंगे।

Aur jo putra tere vansh mein utpann hon, un mein se bhi kitnon ko ve bandhuaai mein le jayenge; aur vah khoje bankar babul ke rajabhvan mein rahenge.

8

हिजकिय्याह ने यशायाह से कहा, यहोवा का वचन जो तू ने कहा है वह भला ही है। फिर उसने कहा, मेरे दिनों में तो शान्ति और सच्चाई बनी रहेगी॥

Hijkiyyaah ne yashayaah se kaha, Yahowa ka vachan jo tu ne kaha hai vah bhala hi hai. Phir usne kaha, mere dinon mein to shanti aur sachchai bani rahegi.