जब हिजकिय्याह राजा ने यह सुना, तब वह अपने वस्त्र फाड़ और टाट ओढ़ कर यहोवा के भवन में गया।
Jab hijkiyyaah raja ne yah suna, tab vah apne vastra phaad aur taat odh kar Yahowa ke bhavan mein gaya.
Isaiah 37 · 38 verses
जब हिजकिय्याह राजा ने यह सुना, तब वह अपने वस्त्र फाड़ और टाट ओढ़ कर यहोवा के भवन में गया।
Jab hijkiyyaah raja ne yah suna, tab vah apne vastra phaad aur taat odh kar Yahowa ke bhavan mein gaya.
और उसने एल्याकीम को जो राजघराने के काम पर नियुक्त था और शेब्ना मन्त्री को और याजकों के पुरनियों को जो सब टाट ओढ़े हुए थे, आमोस के पुत्र यशायाह नबी के पास भेज दिया।
Aur usne elyakeem ko jo rajaghrane ke kaam par niyukt tha aur shebna mantri ko aur yajkon ke purniyon ko jo sab taat odhe hue the, aamos ke putra yashayaah nabi ke paas bhej diya.
उन्होंने उस से कहा, हिजकिय्याह यों कहता है कि आज का दिन संकट और उलहने और निन्दा का दिन है, बच्चे जन्मने पर हुए पर जच्चा को जनने का बल न रहा।
Unhonne us se kaha, hijkiyyaah yon kahta hai ki aaj ka din sankat aur ulahne aur ninda ka din hai, bachche janmane par hue par jachcha ko janne ka bal na raha.
सम्भव है कि तेरे परमेश्वर यहोवा ने रबशाके की बातें सुनी जिसे उसके स्वामी अश्शूर के राजा ने जीवते परमेश्वर की निन्दा करने को भेजा है, और जो बातें तेरे परमेश्वर यहोवा ने सुनी हैं उन्हें दपटे; सो तू इन बचे हुओं के लिये जो रह गए हैं, प्रार्थना कर॥
Sambhav hai ki tere Parmeshwar Yahowa ne rabshake ki batein suni jise uske swami ashshoor ke raja ne jeevte Parmeshwar ki ninda karne ko bheja hai, aur jo batein tere Parmeshwar Yahowa ne suni hain unhein dapte; so tu in bache huon ke liye jo rah gaye hain, prarthana kar.
जब हिजकिय्याह राजा के कर्मचारी यशायाह के पास आए।
Jab hijkiyyaah raja ke karmachari yashayaah ke paas aaye.
तब यशायाह ने उन से कहा, अपने स्वामी से कहो, यहोवा यों कहता है कि जो वचन तू ने सुने हैं जिनके द्वारा अश्शूर के राजा के जनों में मेरी निन्दा की है, उनके कारण मत डर।
Tab yashayaah ne un se kaha, apne swami se kaho, Yahowa yon kahta hai ki jo vachan tu ne sune hain jinke dwara ashshoor ke raja ke janon mein meri ninda ki hai, unke karan mat dar.
सुन, मैं उसके मन में प्रेरणा करूंगा जिस से वह कुछ समचार सुनकर अपने देश को लौट जाए; और मैं उसको उसी देश में तलवार से मरवा डालूंगा॥
Sun, main uske man mein prerna karoonga jis se vah kuchh samchaar sunkar apne desh ko laut jaye; aur main usko usi desh mein talvaar se marva daloonga.
तब रबशाके ने लौटकर अश्शूर के राजा को लिब्ना नगर से युद्ध करते पाया; क्योंकि उसने सुना था कि वह लाकीश के पास से उठ गया है।
Tab rabshake ne lautkar ashshoor ke raja ko libna nagar se yuddh karte paya; kyonki usne suna tha ki vah lakeesh ke paas se uth gaya hai.
उसने कूश के राजा तिर्हाका के विषय यह सुना कि वह उस से लड़ने को निकला है। तब उसने हिजकिय्याह के पास दूतों को यह कहकर भेजा।
Usne koosh ke raja tirhaka ke vishay yah suna ki vah us se ladne ko nikla hai. Tab usne hijkiyyaah ke paas dooton ko yah kahkar bheja.
कि तुम यहूदा के राजा हिजकिय्याह से यों कहना, तेरा परमेश्वर जिस पर तू भरोसा करता है, यह कहकर तुझे धोखा न देने पाए कि यरूशलेम अश्शूर के राजा के वश में न पड़ेगा।
Ki tum Yahuda ke raja hijkiyyaah se yon kahna, tera Parmeshwar jis par tu bharosa karta hai, yah kahkar tujhe dhokha na dene paye ki Yerushalem ashshoor ke raja ke vash mein na padega.
देख, तू ने सुना है कि अश्शूर के राजाओं ने सब देशों से कैसा व्यवहार किया कि उन्हें सत्यानाश ही कर दिया।
Dekh, tu ne suna hai ki ashshoor ke rajaon ne sab deshon se kaisa vyavhaar kiya ki unhein satyanaash hi kar diya.
फिर क्या तू बच जाएगा? गोज़ान और हारान और रेसेप में रहने वाली जिन जातियों को और तलस्सार में रहने वाले एदेनी लोगों को मेरे पुरखाओं ने नाश किया, क्या उनके देवताओं ने उन्हें बचा लिया?
Phir kya tu bach jayega? Gozaan aur haraan aur resep mein rahne vali jin jatiyon ko aur talassaar mein rahne vale edeni logon ko mere purkhaon ne naash kiya, kya unke devtaon ne unhein bacha liya?
हमात का राजा, अर्पाद का राजा, सपर्वैम नगर का राजा, और हेना और इव्वा के राजा, ये सब कहां गए?
Hamaat ka raja, arpaad ka raja, saparvaim nagar ka raja, aur hena aur ivva ke raja, ye sab kahan gaye?
इस पत्री को हिजकिय्याह ने दूतों के हाथ से ले कर पढ़ा; तब उसने यहोवा के भवन में जा कर उस पत्री को यहोवा के साम्हने फैला दिया।
Is patri ko hijkiyyaah ne dooton ke haath se le kar padha; tab usne Yahowa ke bhavan mein ja kar us patri ko Yahowa ke samhane phaila diya.
और यहोवा से यह प्रार्थना की,
Aur Yahowa se yah prarthana ki,
हे सेनाओं के यहोवा, हे करूबों पर विराजमान इस्राएल के परमेश्वर, पृथ्वी के सब राज्यों के ऊपर केवल तू ही परमेश्वर है; आकाश और पृथ्वी को तू ही ने बनाया है।
He senaon ke Yahowa, he karoobon par virajmaan Israel ke Parmeshwar, prithvi ke sab rajyon ke oopar keval tu hi Parmeshwar hai; aakaash aur prithvi ko tu hi ne banaya hai.
हे यहोवा, कान लगाकर सुन; यहोवा आंख खोल कर देख; और सन्हेरीब के सब वचनों को सुन ले, जिसने जीवते परमेश्वर की निन्दा करने को लिख भेजा है।
He Yahowa, kaan lagakar sun; Yahowa aankh khol kar dekh; aur sanhereeb ke sab vachnon ko sun le, jisne jeevte Parmeshwar ki ninda karne ko likh bheja hai.
हे यहोवा, सच तो है कि अश्शूर के राजाओं ने सब जातियों के देशों को उजाड़ा है
He Yahowa, sach to hai ki ashshoor ke rajaon ne sab jatiyon ke deshon ko ujada hai
और उनके देवताओं को आग में झोंका है; क्योंकि वे ईश्वर न थे, वे केवल मनुष्यों की कारीगरी, काठ और पत्थर ही थे; इस कारण वे उन को नाश कर सके।
Aur unke devtaon ko aag mein jhonka hai; kyonki ve ishwar na the, ve keval manushyon ki kareegri, kaath aur patthar hi the; is karan ve un ko naash kar sake.
अब हे हमारे परमेश्वर यहोवा, तू हमें उसके हाथ से बचा जिस से पृथ्वी के राज्य राज्य के लोग जान लें कि केवल तू ही यहोवा है॥
Ab he hamare Parmeshwar Yahowa, tu hamein uske haath se bacha jis se prithvi ke rajya rajya ke log jaan lein ki keval tu hi Yahowa hai.
तब आमोस के पुत्र यशायाह ने हिजकिय्याह के पास यह कहला भेजा, इस्राएल का परमेश्वर यहोवा यों कहता है, तू ने जो अश्शूर के राजा सन्हेरीब के विषय में मुझ से प्रार्थना की है,
Tab aamos ke putra yashayaah ne hijkiyyaah ke paas yah kahla bheja, Israel ka Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, tu ne jo ashshoor ke raja sanhereeb ke vishay mein mujh se prarthana ki hai,
उसके विषय यहोवा ने यह वचन कहा है, सिय्योन की कुमारी कन्या तुझे तुच्छ जानती है और ठट्ठों में उड़ाती है; यरूशलेम की पुत्री तुझ पर सिर हिलाती है॥
Uske vishay Yahowa ne yah vachan kaha hai, siyyon ki kumari kanya tujhe tuchchh janti hai aur thatthon mein udati hai; Yerushalem ki putri tujh par sir hilati hai.
तू ने किस की नामधराई और निन्दा की है? और तू जो बड़ा बोल बोला और घमण्ड किया है, वह किस के विरुद्ध किया है? इस्राएल के पवित्र के विरुद्ध!
Tu ne kis ki namadhrai aur ninda ki hai? Aur tu jo bada bol bola aur ghamand kiya hai, vah kis ke viruddh kiya hai? Israel ke pavitra ke viruddh!
अपने कर्मचारियों के द्वारा तू ने प्रभु की निन्दा कर के कहा है कि बहुत से रथ ले कर मैं पर्वतों की चोटियों पर वरन लबानोन के बीच तक चढ़ आया हूं; मैं उसके ऊंचे ऊंचे देवदारों और अच्छे अच्छे सनौबरों को काट डालूंगा और उसके दूर दूर के ऊंचे स्थानों में और उसके वन की फलदाई बारियों में प्रवेश करूंगा।
Apne karmachariyon ke dwara tu ne Prabhu ki ninda kar ke kaha hai ki bahut se rath le kar main parvaton ki chotiyon par varan labanon ke beech tak chadh aaya hoon; main uske oonche oonche devdaron aur achchhe achchhe sanaubron ko kaat daloonga aur uske door door ke oonche sthanon mein aur uske van ki phaldai bariyon mein pravesh karoonga.
मैं ने खुदवा कर पानी पिया और मिस्र की नहरों में पांव धरते ही उन्हें सुखा दिया।
Main ne khudva kar pani piya aur Misr ki nahron mein paanv dharte hi unhein sukha diya.
क्या तू ने नहीं सुना कि प्राचीनकाल से मैं ने यही ठाना और पूर्वकाल से इसकी तैयारी की थी? इसलिये अब मैं ने यह पूरा भी किया है कि तू गढ़ वाले नगरों को खण्डहर की खण्डहर कर दे।
Kya tu ne nahi suna ki pracheenkaal se main ne yahi thana aur poorvakaal se iski taiyari ki thi? Isliye ab main ne yah poora bhi kiya hai ki tu gadh vale nagron ko khandahar ki khandahar kar de.
इसी कारण उनके रहने वालों का बल घट गया और वे विस्मित और लज्जित हुए: वे मैदान के छोटे छोटे पेड़ों और हरी घास और छत पर की घास और ऐसे अनाज के समान हो गए जो बढ़ने से पहिले ही सूख जाता है॥
Isi karan unke rahne valon ka bal ghat gaya aur ve vismit aur lajjit hue: ve maidaan ke chhote chhote pedon aur hari ghaas aur chhat par ki ghaas aur aise anaaj ke samaan ho gaye jo badhne se pahile hi sookh jata hai.
मैं तो तेरा बैठना, कूच करना और लौट आना जानता हूं; और यह भी कि तू मुझ पर अपना क्रोध भड़काता है।
Main to tera baithna, kooch karna aur laut aana janta hoon; aur yah bhi ki tu mujh par apna krodh bhadkata hai.
इस कारण कि तू मुझ पर अपना क्रोध भड़काता और तेरे अभिमान की बातें मेरे कानों में पड़ी हैं, मैं तेरी नाक में नकेल डालकर और तेरे मुंह में अपनी लगाम लगाकर जिस मार्ग से तू आया है उसी मार्ग से तुझे लौटा दूंगा॥
Is karan ki tu mujh par apna krodh bhadkata aur tere abhimaan ki batein mere kanon mein padi hain, main teri naak mein nakel dalkar aur tere munh mein apni lagaam lagakar jis maarg se tu aaya hai usi maarg se tujhe lauta doonga.
और तेरे लिये यह चिन्ह होगा कि इस वर्ष तो तुम उसे खाओगे जो आप से आप उगे, और दूसरे वर्ष वह जो उस से उत्पन्न हो, और तीसरे वर्ष बीज बोकर उसे लवने पाओगे और दाख की बारियां लगाने और उनका फल खाने पाओगे।
Aur tere liye yah chinh hoga ki is varsh to tum use khaoge jo aap se aap uge, aur doosre varsh vah jo us se utpann ho, aur teesre varsh beej bokar use lavne paoge aur daakh ki bariyan lagane aur unka phal khane paoge.
और यहूदा के घराने के बचे हुए लोग फिर जड़ पकड़ेंगे और फूलें-फलेंगे;
Aur Yahuda ke gharane ke bache hue log phir jad pakdenge aur phoolein-phalenge;
क्योंकि यरूशलेम से बचे हुए और सिय्योन पर्वत से भागे हुए लोग निकलेंगे। सेनाओं का यहोवा अपनी जलन के कारण यह काम करेगा॥
Kyonki Yerushalem se bache hue aur siyyon parvat se bhage hue log niklenge. Senaon ka Yahowa apni jalan ke karan yah kaam karega.
इसलिये यहोवा अश्शूर के राजा कि विषय यों कहता है कि वह इस नगर में प्रवेश करने, वरन इस पर एक तीर भी मारने न पाएगा; और न वह ढाल ले कर इसके साम्हने आने वा इसके विरुद्ध दमदमा बान्धने पाएगा।
Isliye Yahowa ashshoor ke raja ki vishay yon kahta hai ki vah is nagar mein pravesh karne, varan is par ek teer bhi marne na payega; aur na vah dhaal le kar iske samhane aane va iske viruddh damadma bandhane payega.
जिस मार्ग से वह आया है उसी से वह लौट भी जाएगा और इस नगर में प्रवेश न करने पाएगा, यहोवा की यही वाणी है।
Jis maarg se vah aaya hai usi se vah laut bhi jayega aur is nagar mein pravesh na karne payega, Yahowa ki yahi vani hai.
क्योंकि मैं अपने निमित्त और अपने दास दाऊद के निमित्त, इस नगर की रक्षा कर के उसे बचाऊंगा॥
Kyonki main apne nimitt aur apne daas Daud ke nimitt, is nagar ki raksha kar ke use bachaoonga.
तब यहोवा के दूत ने निकलकर अश्शूरियों की छावनी में एक लाख पचासी हजार पुरूषों को मारा; और भोर को जब लोग सवेरे उठे तब क्या देखा कि लोथ ही लोथ पड़ी हैं।
Tab Yahowa ke doot ne nikalkar ashshooriyon ki chhavni mein ek laakh pachasi hajaar purooshon ko mara; aur bhor ko jab log savere uthe tab kya dekha ki loth hi loth padi hain.
तब अश्शूर का राजा सन्हेरीब चल दिया और लौटकर नीनवे में रहने लगा।
Tab ashshoor ka raja sanhereeb chal diya aur lautkar neenve mein rahne laga.
वहां वह अपने देवता निस्रोक के मन्दिर में दण्डवत कर रहा था कि इतने में उसके पुत्र अद्रम्मेलेक और शरेसेन ने उसको तलवार से मारा और अरारात देश में भाग गए। और उसका पुत्र एसर्हद्दोन उसके स्थान पर राज्य करने लगा॥
Vahan vah apne devta nisrok ke mandir mein dandavat kar raha tha ki itne mein uske putra adrammelek aur sharesen ne usko talvaar se mara aur araraat desh mein bhaag gaye. Aur uska putra esarhaddon uske sthaan par rajya karne laga.