Isaiah 36 · 22 verses

यशायाह 36 Isaiah 36 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yashayaah 36.

1

हिजकिय्याह राजा के चौदहवें वर्ष में, अश्शूर के राजा सन्हेरीब ने यहूदा के सब गढ़ वाले नगरों पर चढ़ाई कर के उन को ले लिया।

Hijkiyyaah raja ke chaudahvein varsh mein, ashshoor ke raja sanhereeb ne Yahuda ke sab gadh vale nagron par chadhai kar ke un ko le liya.

2

और अश्शूर के राजा ने रबशाके को बड़ी सेना देकर लाकीश से यरूशलेम के पास हिजकिय्याह राजा के विरुद्ध भेज दिया। और वह उत्तरी पोखरे की नाली के पास धोबियों के खेत की सड़क पर जा कर खड़ा हुआ।

Aur ashshoor ke raja ne rabshake ko badi sena dekar lakeesh se Yerushalem ke paas hijkiyyaah raja ke viruddh bhej diya. Aur vah uttari pokhre ki nali ke paas dhobiyon ke khet ki sadak par ja kar khada huaa.

3

तब हिल्किय्याह का पुत्र एल्याकीम जो राजघराने के काम पर नियुक्त था, और शेब्ना जो मन्त्री था, और आसाप का पुत्र योआह जो इतिहास का लेखक था, ये तीनों उससे मिलने को बाहर निकल गए॥

Tab hilkiyyaah ka putra elyakeem jo rajaghrane ke kaam par niyukt tha, aur shebna jo mantri tha, aur aasaap ka putra yoaah jo itihaas ka lekhak tha, ye teenon usse milne ko bahar nikal gaye.

4

रबशाके ने उन से कहा, हिजकिय्याह से कहो, महाराजाधिराज अश्शूर का राजा यों कहता है कि तू किसका भरोसा किए बैठा है?

Rabshake ne un se kaha, hijkiyyaah se kaho, maharajadhiraaj ashshoor ka raja yon kahta hai ki tu kiska bharosa kiye baitha hai?

5

मेरा कहना है कि क्या मुंह से बातें बनाना ही युद्ध के लिये पराक्रम और युक्ति है? तू किस पर भरोसा रखता है कि तू ने मुझ से बलवा किया है?

Mera kahna hai ki kya munh se batein banana hi yuddh ke liye parakram aur yukti hai? Tu kis par bharosa rakhta hai ki tu ne mujh se balva kiya hai?

6

सुन, तू तो उस कुचले हुए नरकट अर्थात मिस्र पर भरोसा रखता है; उस पर यदि कोई टेक लगाए तो वह उसके हाथ में चुभकर छेद कर देगा। मिस्र का राजा फिरौन उन सब के साथ ऐसा ही करता है जो उस पर भरोसा रखते हैं।

Sun, tu to us kuchle hue narkat arthaat Misr par bharosa rakhta hai; us par yadi koi tek lagaye to vah uske haath mein chubhkar chhed kar dega. Misr ka raja Firaun un sab ke saath aisa hi karta hai jo us par bharosa rakhte hain.

7

फिर यदि तू मुझ से कहे, हमारा भरोसा अपने परमेश्वर यहोवा पर है, तो क्या वह वही नहीं है जिसके ऊंचे स्थानों और वेदियों को ढा कर हिजकिय्याह ने यहूदा और यरूशलेम के लोगों से कहा कि तुम इस वेदी के साम्हने दण्डवत किया करो?

Phir yadi tu mujh se kahe, hamara bharosa apne Parmeshwar Yahowa par hai, to kya vah vahi nahi hai jiske oonche sthanon aur vediyon ko dha kar hijkiyyaah ne Yahuda aur Yerushalem ke logon se kaha ki tum is vedi ke samhane dandavat kiya karo?

8

इसलिये अब मेरे स्वामी अश्शूर के राजा के साथ वाचा बान्ध तब मैं तुझे दो हजार घोड़े दूंगा यदि तू उन पर सवार चढ़ा सके।

Isliye ab mere swami ashshoor ke raja ke saath vacha baandh tab main tujhe do hajaar ghode doonga yadi tu un par savaar chadha sake.

9

फिर तू रथों और सवारों के लिये मिस्र पर भरोसा रखकर मेरे स्वामी के छोटे से छोटे कर्मचारी को भी कैसे हटा सकेगा?

Phir tu rathon aur savaron ke liye Misr par bharosa rakhkar mere swami ke chhote se chhote karmachari ko bhi kaise hata sakega?

10

क्या मैं ने यहोवा के बिना कहे इस देश को उजाड़ने के लिये चढ़ाई की है? यहोवा ने मुझ से कहा है, उस देश पर चढ़ाई कर के उसे उजाड़ दे॥

Kya main ne Yahowa ke bina kahe is desh ko ujadne ke liye chadhai ki hai? Yahowa ne mujh se kaha hai, us desh par chadhai kar ke use ujaad de.

11

तब एल्याकीम, शेब्ना और योआह ने रबशाके से कहा, अपने दासों से अरामी भाषा में बात कर क्योंकि हम उसे समझते हैं; हम से यहूदी भाषा में शहरपनाह पर बैठे हुए लोगों के सुनते बातें न कर।

Tab elyakeem, shebna aur yoaah ne rabshake se kaha, apne dason se arami bhasha mein baat kar kyonki ham use samajhte hain; ham se Yahudi bhasha mein shahrapnaah par baithe hue logon ke sunte batein na kar.

12

रबशाके ने कहा, क्या मेरे स्वामी ने मुझे तेरे स्वामी ही के वा तुम्हारे ही पास ये बातें कहने को भेजा है? क्या उसने मुझे उन लोगों के पास नहीं भेजा जो शहरपनाह पर बैठे हैं जिन्हें तुम्हारे संग अपनी विष्ठा खाना और अपना मूत्र पीना पड़ेगा?

Rabshake ne kaha, kya mere swami ne mujhe tere swami hi ke va tumhare hi paas ye batein kahne ko bheja hai? Kya usne mujhe un logon ke paas nahi bheja jo shahrapnaah par baithe hain jinhein tumhare sang apni vishtha khana aur apna mootra peena padega?

13

तब रबशाके ने खड़े हो कर यहूदी भाषा में ऊंचे शब्द से कहा, महाराजाधिराज अश्शूर के राजा की बातें सुनो!

Tab rabshake ne khade ho kar Yahudi bhasha mein oonche shabd se kaha, maharajadhiraaj ashshoor ke raja ki batein suno!

14

राजा यों कहता है, हिजकिय्याह तुम को धोखा न दे, क्योंकि वह तुम्हें बचा न सकेगा।

Raja yon kahta hai, hijkiyyaah tum ko dhokha na de, kyonki vah tumhein bacha na sakega.

15

ऐसा न हो कि हिजकिय्याह तुम से यह कहकर भुलवा दे कि यहोवा निश्चय हम को बचाएगा कि यह नगर अश्शूर के राजा के वश में न पड़ेगा।

Aisa na ho ki hijkiyyaah tum se yah kahkar bhulva de ki Yahowa nishchay ham ko bachayega ki yah nagar ashshoor ke raja ke vash mein na padega.

16

हिजकिय्याह की मत सुनो; अश्शूर का राजा कहता है, भेंट भेज कर मुझे प्रसन्न करो और मेरे पास निकल आओ; तब तुम अपनी अपनी दाखलता और अंजीर के वृक्ष के फल खा पाओगे, और अपने अपने कुण्ड का पानी पिया करोगे;

Hijkiyyaah ki mat suno; ashshoor ka raja kahta hai, bhent bhej kar mujhe prasann karo aur mere paas nikal aao; tab tum apni apni dakhalta aur anjeer ke vriksh ke phal kha paoge, aur apne apne kund ka pani piya karoge;

17

जब तक मैं आकर तुम को ऐसे देश में न ले जाऊं जो तुम्हारे देश के समान अनाज और नये दाखमधु का देश और रोटी और दाख की बारियों का देश है।

Jab tak main aakar tum ko aise desh mein na le jaun jo tumhare desh ke samaan anaaj aur naye dakhamdhu ka desh aur roti aur daakh ki bariyon ka desh hai.

18

ऐसा न हो कि हिजकिय्याह यह कहकर तुम को बहकाए कि यहोवा हम को बचाएगा। क्या और जातियों के देवताओं ने अपने अपने देश को अश्शूर के राजा के हाथ से बचाया है?

Aisa na ho ki hijkiyyaah yah kahkar tum ko bahkaye ki Yahowa ham ko bachayega. Kya aur jatiyon ke devtaon ne apne apne desh ko ashshoor ke raja ke haath se bachaya hai?

19

हमात और अर्पाद के देवता कहां रहे? सपर्वैम के देवता कहां रहे? क्या उन्होंने शोमरोन को मेरे हाथ से बचाया?

Hamaat aur arpaad ke devta kahan rahe? Saparvaim ke devta kahan rahe? Kya unhonne shomron ko mere haath se bachaya?

20

देश देश के देवताओं में से ऐसा कौन है जिसने अपने देश को मेरे हाथ से बचाया हो? फिर क्या यहोवा यरूशलेम को मेरे हाथ से बचाएगा?

Desh desh ke devtaon mein se aisa kaun hai jisne apne desh ko mere haath se bachaya ho? Phir kya Yahowa Yerushalem ko mere haath se bachayega?

21

परन्तु वे चुप रहे और उसके उत्तर में एक बात भी न कही, क्योंकि राजा की ऐसी आज्ञा थी कि उसको उत्तर न देना।

Parantu ve chup rahe aur uske uttar mein ek baat bhi na kahi, kyonki raja ki aisi aagya thi ki usko uttar na dena.

22

तब हिल्किय्याह का पुत्र एल्याकीम जो राजघराने के काम पर नियुक्त था और शेब्ना जो मन्त्री था और आसाप का पुत्र योआह जो इतिहास का लेखक था, इन्होंने हिजकिय्याह के पास वस्त्र फाड़े हुए जा कर रबशाके की बातें कह सुनाईं॥

Tab hilkiyyaah ka putra elyakeem jo rajaghrane ke kaam par niyukt tha aur shebna jo mantri tha aur aasaap ka putra yoaah jo itihaas ka lekhak tha, inhonne hijkiyyaah ke paas vastra phade hue ja kar rabshake ki batein kah sunai.