Isaiah 31 · 9 verses

यशायाह 31 Isaiah 31 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yashayaah 31.

1

हाय उन पर जो सहायता पाने के लिये मिस्र को जाते हैं और घोड़ों का आसरा करते हैं; जो रथों पर भरोसा रखते क्योंकि वे बहुत हैं, और सवारों पर, क्योंकि वे अति बलवान हैं, पर इस्राएल के पवित्र की ओर दृष्टि नहीं करते और न यहोवा की खोज करते हैं!

Haay un par jo sahayta pane ke liye Misr ko jate hain aur ghodon ka aasra karte hain; jo rathon par bharosa rakhte kyonki ve bahut hain, aur savaron par, kyonki ve ati balvaan hain, par Israel ke pavitra ki or drishti nahi karte aur na Yahowa ki khoj karte hain!

2

परन्तु वह भी बुद्धिमान है और दु:ख देगा, वह अपने वचन न टालेगा, परन्तु उठ कर कुकर्मियों के घराने पर और अनर्थकारियों के सहायकों पर भी चढ़ाई करेगा।

Parantu vah bhi buddhimaan hai aur dukh dega, vah apne vachan na talega, parantu uth kar kukarmiyon ke gharane par aur anarthakariyon ke sahaykon par bhi chadhai karega.

3

मिस्री लोग ईश्वर नहीं, मनुष्य ही हैं; और उनके घोड़े आत्मा नहीं, मांस ही हैं। जब यहोवा हाथ बढ़ाएगा, तब सहायता करने वाले और सहायता चाहने वाले दोनों ठोकर खाकर गिरेंगे, और वे सब के सब एक संग नष्ट हो जाएंगे।

Misri log ishwar nahi, manushya hi hain; aur unke ghode aatma nahi, maans hi hain. Jab Yahowa haath badhayega, tab sahayta karne vale aur sahayta chahne vale donon thokar khakar girenge, aur ve sab ke sab ek sang nasht ho jayenge.

4

फिर यहोवा ने मुझ से यों कहा, जिस प्रकार सिंह वा जवान सिंह जब अपने अहेर पर गुर्राता हो, और चरवाहे इकट्ठे हो कर उसके विरुद्ध बड़ी भीड़ लगाएं, तौभी वह उनके बोल से न घबराएगा और न उनके कोलाहल के कारण दबेगा, उसी प्रकार सेनाओं का यहोवा, सिय्योन पर्वत और यरूशलेम की पहाड़ी पर, युद्ध करने को उतरेगा।

Phir Yahowa ne mujh se yon kaha, jis prakaar sinh va javaan sinh jab apne aher par gurrata ho, aur charvahe ikatthe ho kar uske viruddh badi bheed lagayen, taubhi vah unke bol se na ghabrayega aur na unke kolahal ke karan dabega, usi prakaar senaon ka Yahowa, siyyon parvat aur Yerushalem ki pahadi par, yuddh karne ko utrega.

5

पंख फैलाई हुई चिड़ियों की नाईं सेनाओं का यहोवा यरूशलेम की रक्षा करेगा; वह उसकी रक्षा कर के बचाएगा, और उसको बिन छूए ही उद्धार करेगा॥

Pankh phailai hui chidiyon ki nai senaon ka Yahowa Yerushalem ki raksha karega; vah uski raksha kar ke bachayega, aur usko bin chhooye hi uddhaar karega.

6

हे इस्राएलियों, जिसके विरुद्ध तुम ने भारी बलवा किया है, उसी की ओर फिरो।

He Israeliyon, jiske viruddh tum ne bhari balva kiya hai, usi ki or phiro.

7

उस समय तुम लोग सोने चान्दी की अपनी अपनी मूर्तियों से जिन्हें तुम बनाकर पापी हो गए हो घृणा करोगे।

Us samay tum log sone chandi ki apni apni moortiyon se jinhein tum banakar papi ho gaye ho ghrina karoge.

8

तब अश्शूर उस तलवार से गिराया जाएगा जो मनुष्य की नहीं; वह उस तलवार का कौर हो जाएगा जो आदमी की नहीं; और वह तलवार के साम्हने से भागेगा और उसके जवान बेगार में पकड़े जाएंगे।

Tab ashshoor us talvaar se giraya jayega jo manushya ki nahi; vah us talvaar ka kaur ho jayega jo aadmi ki nahi; aur vah talvaar ke samhane se bhagega aur uske javaan begaar mein pakde jayenge.

9

वह भय के मारे अपने सुन्दर भवन से जाता रहेगा, और उसके हाकिम घबराहट के कारण ध्वजा त्याग कर भाग जाएंगे, यहोवा जिस की अग्नि सिय्योन में और जिसका भट्ठा यरूशलेम में हैं, उसी की यह वाणी है॥

Vah bhay ke mare apne sundar bhavan se jata rahega, aur uske hakim ghabrahat ke karan dhvaja tyaag kar bhaag jayenge, Yahowa jis ki agni siyyon mein aur jiska bhattha Yerushalem mein hain, usi ki yah vani hai.