Isaiah 30 · 33 verses

यशायाह 30 Isaiah 30 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yashayaah 30.

1

यहोवा की यह वाणी है, हाय उन बलवा करने वाले लड़कों पर जो युक्ति तो करते परन्तु मेरी ओर से नहीं; वाचा तो बान्धते परन्तु मेरे आत्मा के सिखाये नहीं; और इस प्रकार पाप पर पाप बढ़ाते हैं।

Yahowa ki yah vani hai, haay un balva karne vale ladkon par jo yukti to karte parantu meri or se nahi; vacha to bandhate parantu mere aatma ke sikhaye nahi; aur is prakaar paap par paap badhate hain.

2

वे मुझ से बिन पूछे मिस्र को जाते हैं कि फिरौन की रक्षा में रहे और मिस्र की छाया में शरण लें।

Ve mujh se bin poochhe Misr ko jate hain ki Firaun ki raksha mein rahe aur Misr ki chhaya mein sharan lein.

3

इसलिये फिरौन का शरणस्थान तुम्हारी लज्जा का, और मिस्र की छाया में शरण लेना तुम्हारी निन्दा का कारण होगा।

Isliye Firaun ka sharnasthaan tumhari lajja ka, aur Misr ki chhaya mein sharan lena tumhari ninda ka karan hoga.

4

उसके हाकिम सोअन में आए तो हैं और उसके दूत अब हानेस में पहुंचे हैं।

Uske hakim soan mein aaye to hain aur uske doot ab hanes mein pahunche hain.

5

वे सब एक ऐसी जाति के कारण लज्जित होंगे जिस से उनका कुछ लाभ न होगा, जो सहायता और लाभ के बदले लज्जा और नामधराई का कारण होगी॥

Ve sab ek aisi jati ke karan lajjit honge jis se unka kuchh laabh na hoga, jo sahayta aur laabh ke badle lajja aur namadhrai ka karan hogi.

6

दक्खिन देश के पशुओं के विषय भारी वचन। वे अपनी धन सम्पति को जवान गदहों की पीठ पर, और अपने खजानों को ऊंटों के कूबड़ों पर लादे हुए, संकट और सकेती के देश में हो कर, जहां सिंह और सिंहनी, नाग और उड़ने वाले तेज विषधर सर्प रहते हैं, उन लोगों के पास जा रहे हैं जिन से उन को लाभ न होगा।

Dakkhin desh ke pashuon ke vishay bhari vachan. Ve apni dhan sampati ko javaan gadhon ki peeth par, aur apne khajanon ko oonton ke koobdon par lade hue, sankat aur saketi ke desh mein ho kar, jahan sinh aur sinhni, naag aur udne vale tej vishdhar sarp rahte hain, un logon ke paas ja rahe hain jin se un ko laabh na hoga.

7

क्योंकि मिस्र की सहायता व्यर्थ और निकम्मी है, इस कारण मैं ने उसको बैठी रहने वाली रहब कहा है॥

Kyonki Misr ki sahayta vyarth aur nikammi hai, is karan main ne usko baithi rahne vali rahab kaha hai.

8

अब जाकर इस को उनके साम्हने पत्थर पर खोद, और पुस्तक में लिख, कि वह भविष्य के लिये वरन सदा के लिये साक्षी बनी रहे।

Ab jakar is ko unke samhane patthar par khod, aur pustak mein likh, ki vah bhavishya ke liye varan sada ke liye sakshi bani rahe.

9

क्योंकि वे बलवा करने वाले लोग और झूठ बोलने वाले लड़के हैं जो यहोवा की शिक्षा को सुनना नहीं चाहते।

Kyonki ve balva karne vale log aur jhooth bolne vale ladke hain jo Yahowa ki shiksha ko sunna nahi chahte.

10

वे दर्शियों से कहते हैं, दर्शी मत बनो; और नबियों से कहते हैं, हमारे लिये ठीक नबूवत मत करो; हम से चिकनी चुपड़ी बातें बोलो, धोखा देने वाली नबूवत करो।

Ve darshiyon se kahte hain, darshi mat bano; aur nabiyon se kahte hain, hamare liye theek naboovat mat karo; ham se chikni chupdi batein bolo, dhokha dene vali naboovat karo.

11

मार्ग से मुड़ो, पथ से हटो, और इस्राएल के पवित्र को हमारे साम्हने से दूर करो।

Maarg se mudo, path se hato, aur Israel ke pavitra ko hamare samhane se door karo.

12

इस कारण इस्राएल का पवित्र यों कहता है, तुम लोग जो मेरे इस वचन को निकम्मा जानते और अन्धेर और कुटिलता पर भरोसा कर के उन्हीं पर टेक लगाते हो;

Is karan Israel ka pavitra yon kahta hai, tum log jo mere is vachan ko nikamma jante aur andher aur kutilta par bharosa kar ke unhi par tek lagate ho;

13

इस कारण यह अधर्म तुम्हारे लिये ऊंची भीत का टूटा हुआ भाग होगा जो फटकर गिरने पर हो, और वह अचानक पल भर में टूटकर गिर पड़ेगा,

Is karan yah adharm tumhare liye oonchi bheet ka toota huaa bhaag hoga jo phatkar girne par ho, aur vah achanak pal bhar mein tootkar gir padega,

14

और कुम्हार के बर्तन की नाईं फूट कर ऐसा चकनाचूर होगा कि उसके टुकड़ों का एक ठीकरा भी न मिलेगा जिस से अंगेठी में से आग ली जाए वा हौद में से जल निकाला जाए॥

Aur kumhaar ke bartan ki nai phoot kar aisa chaknachoor hoga ki uske tukdon ka ek theekra bhi na milega jis se angethi mein se aag li jaye va haud mein se jal nikala jaye.

15

प्रभु यहोवा, इस्राएल का पवित्र यों कहता है, लौट आने और शान्त रहने में तुम्हारा उद्धार है; शान्त रहते और भरोसा रखने में तुम्हारी वीरता है। परन्तु तुम ने ऐसा नहीं किया,

Prabhu Yahowa, Israel ka pavitra yon kahta hai, laut aane aur shaant rahne mein tumhara uddhaar hai; shaant rahte aur bharosa rakhne mein tumhari veerta hai. Parantu tum ne aisa nahi kiya,

16

तुम ने कहा, नहीं, हम तो घोड़ों पर चढ़ कर भागेंगे, इसलिये तुम भागोगे; और यह भी कहा कि हम तेज सवारी पर चलेंगे, सो तुम्हारा पीछा करने वाले उस से भी तेज होंगे।

Tum ne kaha, nahi, ham to ghodon par chadh kar bhagenge, isliye tum bhagoge; aur yah bhi kaha ki ham tej savari par chalenge, so tumhara peechha karne vale us se bhi tej honge.

17

एक ही की धमकी से एक हजार भागेंगे, और पांच की धमकी से तुम ऐसा भागोगे कि अन्त में तुम पहाड़ की चोटी के डण्डे वा टीले के ऊपर की ध्वजा के समान रह जाओगे जो चिन्ह के लिये गाड़े जाते हैं।

Ek hi ki dhamki se ek hajaar bhagenge, aur paanch ki dhamki se tum aisa bhagoge ki ant mein tum pahaad ki choti ke dande va teele ke oopar ki dhvaja ke samaan rah jaoge jo chinh ke liye gade jate hain.

18

तौभी यहोवा इसलिये विलम्ब करता है कि तुम पर अनुग्रह करे, और इसलिये ऊंचे उठेगा कि तुम पर दया करे। क्योंकि यहोवा न्यायी परमेश्वर है; क्या ही धन्य हैं वे जो उस पर आशा लगाए रहते हैं॥

Taubhi Yahowa isliye vilamb karta hai ki tum par anugrah kare, aur isliye oonche uthega ki tum par daya kare. Kyonki Yahowa nyayi Parmeshwar hai; kya hi dhanya hain ve jo us par aasha lagaye rahte hain.

19

हे सिय्योन के लोगों तुम यरूशलेम में बसे रहो; तुम फिर कभी न रोओगे, वह तुम्हारी दोहाई सुनते ही तुम पर निश्चय अनुग्रह करेगा: वह सुनते ही तुम्हारी मानेगा।

He siyyon ke logon tum Yerushalem mein base raho; tum phir kabhi na rooge, vah tumhari dohai sunte hi tum par nishchay anugrah karega: vah sunte hi tumhari manega.

20

और चाहे प्रभु तुम्हें विपत्ति की रोटी और दु:ख का जल भी दे, तौभी तुम्हारे उपदेशक फिर न छिपें, और तुम अपनी आंखों से अपने उपदेशकों को देखते रहोगे।

Aur chahe Prabhu tumhein vipatti ki roti aur dukh ka jal bhi de, taubhi tumhare updeshak phir na chhipein, aur tum apni aankhon se apne updeshkon ko dekhte rahoge.

21

और जब कभी तुम दाहिनी वा बाईं ओर मुड़ने लगो, तब तुम्हारे पीछे से यह वचन तुम्हारे कानों में पड़ेगा, मार्ग यही है, इसी पर चलो।

Aur jab kabhi tum dahini va bai or mudne lago, tab tumhare peechhe se yah vachan tumhare kanon mein padega, maarg yahi hai, isi par chalo.

22

तब तुम वह चान्दी जिस से तुम्हारी खुदी हुई मूत्तियां मढ़ी हैं, और वह सोना जिस से तुम्हारी ढली हुई मूत्तियां आभूषित हैं, अशुद्ध करोगे। तुम उन को मैले कुचैले वस्त्र की नाईं फेंक दोगे और कहोगे, दूर हो।

Tab tum vah chandi jis se tumhari khudi hui moottiyan madhi hain, aur vah sona jis se tumhari dhali hui moottiyan aabhooshit hain, ashuddh karoge. Tum un ko maile kuchaile vastra ki nai phenk doge aur kahoge, door ho.

23

और वह तुम्हारे लिये जल बरसाएगा कि तुम खेत में बीज बो सको, और भूमि की उपज भी उत्तम और बहुतायत से होगी। उस समय तुम्हारे जानवरों को लम्बी-चौड़ी चराई मिलेगी।

Aur vah tumhare liye jal barsayega ki tum khet mein beej bo sako, aur bhoomi ki upaj bhi uttam aur bahutayat se hogi. Us samay tumhare janavron ko lambi-chaudi charai milegi.

24

और बैल और गदहे जो तुम्हारी खेती के काम में आएंगे, वे सूप और डलिया से फटका हुआ स्वादिष्ट चारा खाएंगे।

Aur bail aur gadhe jo tumhari kheti ke kaam mein aayenge, ve soop aur daliya se phatka huaa swadisht chara khayenge.

25

और उस महासंहार के समय जब गुम्मट गिर पड़ेंगे, सब ऊंचे ऊंचे पहाड़ों और पहाड़ियों पर नालियां और सोते पाए जाएंगे।

Aur us mahasanhaar ke samay jab gummat gir padenge, sab oonche oonche pahadon aur pahadiyon par naliyan aur sote paye jayenge.

26

उस समय यहोवा अपनी प्रजा के लोगों का घाव बान्धेगा और उनकी चोट चंगा करेगा; तब चन्द्रमा का प्रकाश सूर्य का सा, और सूर्य का प्रकाश सातगुना होगा, अर्थात अठवारे भर का प्रकाश एक दिन में होगा॥

Us samay Yahowa apni praja ke logon ka ghaav bandhega aur unki chot changa karega; tab chandrama ka prakaash soorya ka sa, aur soorya ka prakaash satguna hoga, arthaat athvare bhar ka prakaash ek din mein hoga.

27

देखो, यहोवा दूर से चला आता है, उसका प्रकोप भड़क उठा है, और धूएं का बादल उठ रहा है; उसके होंठ क्रोध से भरे हुए और उसकी जीभ भस्म करने वाली आग के समान है।

Dekho, Yahowa door se chala aata hai, uska prakop bhadak utha hai, aur dhooyen ka badal uth raha hai; uske honth krodh se bhare hue aur uski jeebh bhasm karne vali aag ke samaan hai.

28

उसकी सांस ऐसी उमण्डनेवाली नदी के समान है जो गले तक पहुंचती है; वह सब जातियों को नाश के सूप से फटकेगा, और देश देश के लोगों को भटकाने के लिये उनके जभड़ों में लगाम लगाएगा॥

Uski saans aisi umandanevali nadi ke samaan hai jo gale tak pahunchti hai; vah sab jatiyon ko naash ke soop se phatkega, aur desh desh ke logon ko bhatkane ke liye unke jabhdon mein lagaam lagayega.

29

तब तुम पवित्र पर्व की रात का सा गीत गाओगे, और जैसा लोग यहोवा के पर्वत की ओर उस से मिलने को, जो इस्राएल की चट्टान है, बांसुली बजाते हुए जाते हैं, वैसे ही तुम्हारे मन में भी आनन्द होगा।

Tab tum pavitra parva ki raat ka sa geet gaoge, aur jaisa log Yahowa ke parvat ki or us se milne ko, jo Israel ki chattaan hai, bansuli bajate hue jate hain, vaise hi tumhare man mein bhi aanand hoga.

30

और यहोवा अपनी प्रतापीवाणी सुनाएगा, और अपना क्रोध भड़काता और आग की लौ से भस्म करता हुआ, और प्रचण्ड आन्धी और अति वर्षा और ओलों के साथ अपना भुजबल दिखाएगा।

Aur Yahowa apni pratapeevani sunayega, aur apna krodh bhadkata aur aag ki lau se bhasm karta huaa, aur prachand aandhi aur ati varsha aur olon ke saath apna bhujbal dikhayega.

31

अश्शूर यहोवा के शब्द की शक्ति से नाश हो जाएगा, वह उसे सोंटे से मारेगा।

Ashshoor Yahowa ke shabd ki shakti se naash ho jayega, vah use sonte se marega.

32

और जब जब यहोवा उसको दण्ड देगा, तब तब साथ ही डफ और वीणा बजेंगी; और वह हाथ बढ़ा कर उसको लगातार मारता रहेगा।

Aur jab jab Yahowa usko dand dega, tab tab saath hi daph aur veena bajengi; aur vah haath badha kar usko lagataar marta rahega.

33

बहुत काल से तोपेत तैयार किया गया है, वह राजा ही के लिये ठहराया गया है, वह लम्बा चौड़ा और गहिरा भी बनाया गया है, वहां की चिता में आग और बहुत सी लकड़ी हैं; यहोवा की सांस जलती हुई गन्धक की धारा की नाईं उसको सुलगाएगी॥

Bahut kaal se topet taiyaar kiya gaya hai, vah raja hi ke liye thahraya gaya hai, vah lamba chauda aur gahira bhi banaya gaya hai, vahan ki chita mein aag aur bahut si lakdi hain; Yahowa ki saans jalti hui gandhak ki dhara ki nai usko sulgayegi.