Isaiah 29 · 24 verses

यशायाह 29 Isaiah 29 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yashayaah 29.

1

हाय, अरीएल, अरीएल, हाय उस नगर पर जिस में दाऊद छावनी किए हुए रहा! वर्ष पर वर्ष जाड़ते जाओ, उत्सव के पर्व अपने अपने समय पर मनाते जाओ।

Haay, areeyel, areeyel, haay us nagar par jis mein Daud chhavni kiye hue raha! Varsh par varsh jadte jao, utsav ke parva apne apne samay par manate jao.

2

तौभी मैं तो अरीएल को सकेती में डालूंगा, वहां रोना पीटना रहेगा, और वह मेरी दृष्टि में सचमुच अरीएल सा ठहरेगा।

Taubhi main to areeyel ko saketi mein daloonga, vahan rona peetna rahega, aur vah meri drishti mein sachmuch areeyel sa thahrega.

3

और मैं चारों ओर तेरे विरुद्ध छावनी कर के तुझे कोटों से घेर लूंगा, और तेरे विरुद्ध गढ़ भी बनाऊंगा।

Aur main charon or tere viruddh chhavni kar ke tujhe koton se gher loonga, aur tere viruddh gadh bhi banaoonga.

4

तब तू गिराकर भूमि में डाला जाएगा, और धूल पर से बोलेगा, और तेरी बात भूमि से धीमी धीमी सुनाई देगी; तेरा बोल भूमि पर से प्रेत का सा होगा, और तू धूल से गुनगुनाकर बोलेगा॥

Tab tu girakar bhoomi mein dala jayega, aur dhool par se bolega, aur teri baat bhoomi se dheemi dheemi sunai degi; tera bol bhoomi par se pret ka sa hoga, aur tu dhool se gungunakar bolega.

5

तब तेरे परदेशी बैरियों की भीड़ सूक्ष्म धूलि की नाईं, और उन भयानक लोगों की भीड़ भूसे की नाईं उड़ाईं जाएगी।

Tab tere pardeshi bairiyon ki bheed sookshm dhooli ki nai, aur un bhayanak logon ki bheed bhoose ki nai udai jayegi.

6

और सेनाओं का यहोवा अचानक बादल गरजाता, भूमि को कम्पाता, और महाध्वनि करता, बवण्डर और आंधी चलाता, और नाश करने वाली अग्नि भड़काता हुआ उसके पास आएगा।

Aur senaon ka Yahowa achanak badal garjata, bhoomi ko kampata, aur mahadhvani karta, bavandar aur aandhi chalata, aur naash karne vali agni bhadkata huaa uske paas aayega.

7

और जातियों की सारी भीड़ जो अरीएल से युद्ध करेगी, ओर जितने लोग उसके और उसके गढ़ के विरुद्ध लड़ेंगे और उसको सकेती में डालेंगे, वे सब रात के देखे हुए स्वप्न के समान ठहरेंगे।

Aur jatiyon ki sari bheed jo areeyel se yuddh karegi, or jitne log uske aur uske gadh ke viruddh ladenge aur usko saketi mein dalenge, ve sab raat ke dekhe hue swapn ke samaan thahrenge.

8

और जैसा कोई भूखा स्वपन में तो देखता है कि वह खा रहा है, परन्तु जाग कर देखता है कि उसका पेट भूखा ही है, वा कोई प्यासा स्वपन में देखें की वह पी रहा है, परन्तु जाग कर देखता है कि उसका गला सूखा जाता है और वह प्यासा मर रहा है; वैसी ही उन सब जातियों की भीड़ की दशा होगी जो सिय्योन पर्वत से युद्ध करेंगी॥

Aur jaisa koi bhookha swapan mein to dekhta hai ki vah kha raha hai, parantu jaag kar dekhta hai ki uska pet bhookha hi hai, va koi pyasa swapan mein dekhein ki vah pi raha hai, parantu jaag kar dekhta hai ki uska gala sookha jata hai aur vah pyasa mar raha hai; vaisi hi un sab jatiyon ki bheed ki dasha hogi jo siyyon parvat se yuddh karengi.

9

ठहर जाओ और चकित होओ! वे मतवाले तो हैं, परन्तु दाखमधु से नहीं, वे डगमगाते तो हैं, परन्तु मदिरा पीने से नहीं!

Thahar jao aur chakit hoo! Ve matvale to hain, parantu dakhamdhu se nahi, ve dagamgate to hain, parantu madira peene se nahi!

10

यहोवा ने तुम को भारी नींद में डाल दिया है और उसने तुम्हारी नबीरूपी आंखों को बन्द कर दिया है और तुम्हारे दर्शीरूपी सिरों पर पर्दा डाला है।

Yahowa ne tum ko bhari neend mein daal diya hai aur usne tumhari nabeeroopi aankhon ko band kar diya hai aur tumhare darsheeroopi siron par parda dala hai.

11

इसलिये सारे दर्शन तुम्हारे लिये एक लपेटी और मुहर की हुई पुस्तक की बातों के समान हैं, जिसे कोई पड़े-लिखे मनुष्य को यह कहकर दे, इसे पढ़, और वह कहे, मैं नहीं पढ़ सकता क्योंकि इस पर मुहर की हुई है।

Isliye sare darshan tumhare liye ek lapeti aur muhar ki hui pustak ki baton ke samaan hain, jise koi pade-likhe manushya ko yah kahkar de, ise padh, aur vah kahe, main nahi padh sakta kyonki is par muhar ki hui hai.

12

तब वही पुस्तक अनपढ़े को यह कह कर दी जाए, इसे पढ़, और वह कहे, मैं तो अनपढ़ हूं॥

Tab vahi pustak anapdhe ko yah kah kar di jaye, ise padh, aur vah kahe, main to anpadh hoon.

13

और प्रभु ने कहा, ये लोग जो मुंह से मेरा आदर करते हुए समीप आते परन्तु अपना मन मुझ से दूर रखते हैं, और जो केवल मनुष्यों की आज्ञा सुन सुनकर मेरा भय मानते हैं।

Aur Prabhu ne kaha, ye log jo munh se mera aadar karte hue sameep aate parantu apna man mujh se door rakhte hain, aur jo keval manushyon ki aagya sun sunkar mera bhay mante hain.

14

इस कारण सुन, मैं इनके साथ अद्भुत काम वरन अति अद्भुत और अचम्भे का काम करूंगा; तब इनके बुद्धिमानों की बुद्धि नष्ट होगी, और इनके प्रवीणों की प्रवीणता जाती रहेगी॥

Is karan sun, main inke saath adbhut kaam varan ati adbhut aur achambhe ka kaam karoonga; tab inke buddhimanon ki buddhi nasht hogi, aur inke praveenon ki praveenta jati rahegi.

15

हाय उन पर जो अपनी युक्ति को यहोवा से छिपाने का बड़ा यत्न करते, और अपने काम अन्धेरे में कर के कहते हैं, हम को कौन देखता है? हम को कौन जानता है?

Haay un par jo apni yukti ko Yahowa se chhipane ka bada yatn karte, aur apne kaam andhere mein kar ke kahte hain, ham ko kaun dekhta hai? Ham ko kaun janta hai?

16

तुम्हारी कैसी उलटी समझ है! क्या कुम्हार मिट्टी के तुल्य गिना जाएगा? क्या बनाई हुई वस्तु अपने कर्त्ता के विषय कहे कि उसने मुझे नहीं बनाया, वा रची हुई वस्तु अपने रचने वाले के विषय कहे, कि वह कुछ समझ नहीं रखता?

Tumhari kaisi ulti samajh hai! Kya kumhaar mitti ke tulya gina jayega? Kya banai hui vastu apne kartta ke vishay kahe ki usne mujhe nahi banaya, va rachi hui vastu apne rachne vale ke vishay kahe, ki vah kuchh samajh nahi rakhta?

17

क्या अब थोड़े ही दिनों के बीतने पर लबानोन फिर फलदाई बारी न बन जाएगा, और फलदाई बारी जंगल न गिनी जाएगी?

Kya ab thode hi dinon ke beetne par labanon phir phaldai bari na ban jayega, aur phaldai bari jangal na gini jayegi?

18

उस समय बहिरे पुस्तक की बातें सुनने लगेंगे, और अन्धे जिन्हें अब कुछ नहीं सूझता, वे देखने लगेंगे।

Us samay bahire pustak ki batein sunne lagenge, aur andhe jinhein ab kuchh nahi soojhta, ve dekhne lagenge.

19

नम्र लोग यहोवा के कारण फिर आनन्दित होंगे, और दरिद्र मनुष्य इस्राएल के पवित्र के कारण मगन होंगे।

Namra log Yahowa ke karan phir aanandit honge, aur daridra manushya Israel ke pavitra ke karan magan honge.

20

क्योंकि उपद्रवी फिर न रहेंगे और ठट्ठा करने वालों का अन्त होगा, और जो अनर्थ करने के लिये जागते रहते हैं, जो मनुष्यों को वचन में फंसाते हैं,

Kyonki upadravi phir na rahenge aur thattha karne valon ka ant hoga, aur jo anarth karne ke liye jagte rahte hain, jo manushyon ko vachan mein phansate hain,

21

और जो सभा में उलहना देते उनके लिये फंदा लगाते, और धर्म को व्यर्थ बात के द्वारा बिगाड़ देते हैं, वे सब मिट जाएंगे॥

Aur jo sabha mein ulahna dete unke liye phanda lagate, aur dharm ko vyarth baat ke dwara bigaad dete hain, ve sab mit jayenge.

22

इस कारण इब्राहीम का छुड़ाने वाला यहोवा, याकूब के घराने के विषय यों कहता है, याकूब को फिर लज्जित होना न पड़ेगा, उसका मुख फिर नीचा न होगा।

Is karan Ibrahim ka chhudane vala Yahowa, Yakub ke gharane ke vishay yon kahta hai, Yakub ko phir lajjit hona na padega, uska mukh phir neecha na hoga.

23

क्योंकि जब उसके सन्तान मेरा काम देखेंगे, जो मैं उनके बीच में करूंगा, तब वे मेरे नाम को पवित्र मानेंगे, और इस्राएल के परमेश्वर का अति भय मानेंगे।

Kyonki jab uske santaan mera kaam dekhenge, jo main unke beech mein karoonga, tab ve mere naam ko pavitra manenge, aur Israel ke Parmeshwar ka ati bhay manenge.

24

उस समय जिनका मन भटका हो वे बुद्धि प्राप्त करेंगे, और जो कुड़कुड़ाते हैं वह शिक्षा ग्रहण करेंगे॥

Us samay jinka man bhatka ho ve buddhi praapt karenge, aur jo kudkudate hain vah shiksha grahan karenge.