Isaiah 23 · 18 verses

यशायाह 23 Isaiah 23 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yashayaah 23.

1

सोर के विषय भारी वचन। हे तर्शीश के जहाजों हाय, हाय, करो; क्योंकि वह उजड़ गया; वहां न तो कोई घर और न कोई शरण का स्थान है! यह बात उन को कित्तियों के देश में से प्रगट की गई है।

Sor ke vishay bhari vachan. He tarsheesh ke jahajon haay, haay, karo; kyonki vah ujad gaya; vahan na to koi ghar aur na koi sharan ka sthaan hai! Yah baat un ko kittiyon ke desh mein se pragat ki gai hai.

2

हे समुद्र के तीर के रहने वालों, जिन को समुद्र के पार जाने वाले सीदोनी व्यापारियों ने धन से भर दिया है, चुप रहो!

He samudra ke teer ke rahne valon, jin ko samudra ke paar jane vale seedoni vyapariyon ne dhan se bhar diya hai, chup raho!

3

शीहोर का अन्न, और नील नदी के पास की उपज महासागर के मार्ग से उसको मिलती थी, क्योंकि वह और जातियों के लिये व्यापार का स्थान था।

Sheehor ka ann, aur neel nadi ke paas ki upaj mahasagar ke maarg se usko milti thi, kyonki vah aur jatiyon ke liye vyapaar ka sthaan tha.

4

हे सीदोन, लज्जित हो, क्योंकि समुद्र ने अर्थात समुद्र के दृढ़ स्थान ने यह कहा है, मैं ने न तो कभी जन्माने की पीड़ा जानी और न बालक को जन्म दिया, और न बेटों को पाला और न बेटियों को पोसा है।

He seedon, lajjit ho, kyonki samudra ne arthaat samudra ke dridh sthaan ne yah kaha hai, main ne na to kabhi janmane ki peeda jani aur na balak ko janm diya, aur na beton ko pala aur na betiyon ko posa hai.

5

जब सोर का समाचार मिस्र में पहुंचे, तब वे सुन कर संकट में पड़ेंगे।

Jab sor ka samachaar Misr mein pahunche, tab ve sun kar sankat mein padenge.

6

हे समुद्र के तीर के रहने वालों हाय, हाय, करो! पार हो कर तर्शीश को जाओ।

He samudra ke teer ke rahne valon haay, haay, karo! Paar ho kar tarsheesh ko jao.

7

क्या यह तुम्हारी प्रसन्नता से भरी हुई नगरी है जो प्राचीनकाल से बसी थी, जिसके पांव उसे बसने को दूर ले जाते थे?

Kya yah tumhari prasannata se bhari hui nagri hai jo pracheenkaal se basi thi, jiske paanv use basne ko door le jate the?

8

सोर जो राजाओं की गद्दी पर बैठाती थी, जिसके व्योपारी हाकिम थे, और जिसके महाजन पृथ्वी भर में प्रतिष्ठित थे, उसके विरुद्ध किस ने ऐसी युक्ति की है?

Sor jo rajaon ki gaddi par baithati thi, jiske vyopari hakim the, aur jiske mahajan prithvi bhar mein pratishthit the, uske viruddh kis ne aisi yukti ki hai?

9

सेनाओं के यहोवा ही ने ऐसी युक्ति की है कि समस्त गौरव के घमण्ड को तुच्छ कर दे और पृथ्वी के प्रतिष्ठितों का अपमान करवाए।

Senaon ke Yahowa hi ne aisi yukti ki hai ki samast gaurav ke ghamand ko tuchchh kar de aur prithvi ke pratishthiton ka apmaan karvaye.

10

हे तर्शीश के निवासियों नील नदी की नाईं अपने देश में फैल जाओ; अब कुछ बन्धन नहीं रहा।

He tarsheesh ke nivasiyon neel nadi ki nai apne desh mein phail jao; ab kuchh bandhan nahi raha.

11

उसने अपना हाथ समुद्र पर बढ़ाकर राज्यों को हिला दिया है; यहोवा ने कनान के दृढ़ किलों के नाश करने की आज्ञा दी है।

Usne apna haath samudra par badhakar rajyon ko hila diya hai; Yahowa ne kanaan ke dridh kilon ke naash karne ki aagya di hai.

12

और उसने कहा है, हे सीदोन, हे भ्रष्ट की हुई कुमारी, तू फिर प्रसन्न होने की नहीं; उठ, पार हो कर कित्तियों के पास जा, परन्तु वहां भी तुझे चैन न मिलेगा॥

Aur usne kaha hai, he seedon, he bhrasht ki hui kumari, tu phir prasann hone ki nahi; uth, paar ho kar kittiyon ke paas ja, parantu vahan bhi tujhe chain na milega.

13

कसदियों के देश को देखो, वह जाति अब न रही; अश्शूर ने उस देश को जंगली जन्तुओं का स्थान बनाया। उन्होंने अपने गुम्मट उठाए और राजभवनों को ढा दिया, और उसको खण्डहर कर दिया।

Kasdiyon ke desh ko dekho, vah jati ab na rahi; ashshoor ne us desh ko jangli jantuon ka sthaan banaya. Unhonne apne gummat uthaye aur rajbhavnon ko dha diya, aur usko khandahar kar diya.

14

हे तर्शीश के जहाजों, हाय, हाय, करो, क्योंकि तुम्हारा दृढ़ स्थान उजड़ गया है।

He tarsheesh ke jahajon, haay, haay, karo, kyonki tumhara dridh sthaan ujad gaya hai.

15

उस समय एक राजा के दिनों के अनुसार सत्तर वर्ष तक सोर बिसरा हुआ रहेगा। सत्तर वर्ष के बीतने पर सोर वेश्या की नाईं गीत गाने लगेगा।

Us samay ek raja ke dinon ke anusaar sattar varsh tak sor bisra huaa rahega. Sattar varsh ke beetne par sor veshya ki nai geet gane lagega.

16

हे बिसरी हुई वेश्या, वीणा ले कर नगर में घूम, भली भांति बजा, बहुत गीत गा, जिस से लोग फिर तुझे याद करें।

He bisri hui veshya, veena le kar nagar mein ghoom, bhali bhanti baja, bahut geet ga, jis se log phir tujhe yaad karein.

17

सत्तर वर्ष के बीतने पर यहोवा सोर की सुधि लेगा, और वह फिर छिनाले की कमाई पर मन लगा कर धरती भर के सब राज्यों के संग छिनाला करेगी।

Sattar varsh ke beetne par Yahowa sor ki sudhi lega, aur vah phir chhinale ki kamai par man laga kar dharti bhar ke sab rajyon ke sang chhinala karegi.

18

उसके व्यापार की प्राप्ति, और उसके छिनाले की कमाई, यहोवा के लिये पवित्र की जाएगी; वह न भण्डार में रखी जाएगी न संचय की जाएगी, क्योंकि उसके व्यापार की प्राप्ति उन्हीं के काम में आएगी जो यहोवा के साम्हने रहा करेंगे, कि उन को भरपूर भोजन और चमकीला वस्त्र मिले॥

Uske vyapaar ki prapti, aur uske chhinale ki kamai, Yahowa ke liye pavitra ki jayegi; vah na bhandaar mein rakhi jayegi na sanchay ki jayegi, kyonki uske vyapaar ki prapti unhi ke kaam mein aayegi jo Yahowa ke samhane raha karenge, ki un ko bharpoor bhojan aur chamkeela vastra mile.