Isaiah 22 · 25 verses

यशायाह 22 Isaiah 22 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yashayaah 22.

1

दर्शन की तराई के विषय में भारी वचन। तुम्हें क्या हुआ कि तुम सब के सब छतों पर चढ़ गए हो,

Darshan ki tarai ke vishay mein bhari vachan. Tumhein kya huaa ki tum sab ke sab chhaton par chadh gaye ho,

2

हे कोलाहल और ऊधम से भरी प्रसन्न नगरी? तुझ में जो मारे गए हैं वे न तो तलवार से और न लड़ाई में मारे गए हैं।

He kolahal aur oodham se bhari prasann nagri? Tujh mein jo mare gaye hain ve na to talvaar se aur na ladai mein mare gaye hain.

3

तेरे सब न्यायी एक संग भाग गए और धनुर्धारियों से बान्धे गए हैं। और तेरे जितने शेष पाए गए वे एक संग बान्धे गए, वे दूर भागे थे।

Tere sab nyayi ek sang bhaag gaye aur dhanurdhariyon se bandhe gaye hain. Aur tere jitne shesh paye gaye ve ek sang bandhe gaye, ve door bhage the.

4

इस कारण मैं ने कहा, मेरी ओर से मुंह फेर लो कि मैं बिलक बिलककर रोऊं; मेरे नगर सत्यनाश होने के शोक में मुझे शान्ति देने का यत्न मत करो॥

Is karan main ne kaha, meri or se munh pher lo ki main bilak bilakkar roun; mere nagar satyanaash hone ke shok mein mujhe shanti dene ka yatn mat karo.

5

क्योंकि सेनाओं के प्रभु यहोवा का ठहराया हुआ दिन होगा, जब दर्शन की तराई में कोलाहल और रौंदा जाना और बेचैनी होगी; शहरपनाह में सुरंग लगाई जाएगी और दोहाई का शब्द पहाड़ों तक पहुंचेगा।

Kyonki senaon ke Prabhu Yahowa ka thahraya huaa din hoga, jab darshan ki tarai mein kolahal aur raunda jana aur bechaini hogi; shahrapnaah mein surang lagai jayegi aur dohai ka shabd pahadon tak pahunchega.

6

और एलाम पैदलों के दल और सवारों समेत तर्कश बान्धे हुए है, और कीर ढाल खोले हुए है।

Aur elaam paidlon ke dal aur savaron samet tarkash bandhe hue hai, aur keer dhaal khole hue hai.

7

तेरी उत्तम उत्तम तराइयां रथों से भरी हुई होंगी और सवार फाटक के साम्हने पांति बान्धेंगे। उसने यहूदा का घूंघट खोल दिया है।

Teri uttam uttam taraiyan rathon se bhari hui hongi aur savaar phatak ke samhane panti bandhenge. Usne Yahuda ka ghoonghat khol diya hai.

8

उस दिन तू ने वन नाम भवन के अस्त्र-शस्त्र का स्मरण किया,

Us din tu ne van naam bhavan ke astra-shastra ka smaran kiya,

9

और तू ने दाऊदपुर की शहरपनाह की दरारों को देखा कि वे बहुत हैं, और तू ने निचले पोखरे के जल को इकट्ठा किया।

Aur tu ne daoodpur ki shahrapnaah ki dararon ko dekha ki ve bahut hain, aur tu ne nichle pokhre ke jal ko ikattha kiya.

10

और यरूशलेम के घरों को गिन कर शहरपनाह के दृढ़ करने के लिये घरों को ढा दिया।

Aur Yerushalem ke gharon ko gin kar shahrapnaah ke dridh karne ke liye gharon ko dha diya.

11

तू ने दोनों भीतों के बीच पुराने पोखरे के जल के लिये एक कुंड खोदा। परन्तु तू ने उसके कर्ता को स्मरण नहीं किया, जिसने प्राचीन काल से उसको ठहरा रखा था, और न उसकी ओर तू ने दृष्टि की॥

Tu ne donon bheeton ke beech purane pokhre ke jal ke liye ek kund khoda. Parantu tu ne uske karta ko smaran nahi kiya, jisne pracheen kaal se usko thahra rakha tha, aur na uski or tu ne drishti ki.

12

उस समय सेनाओं के प्रभु यहोवा ने रोने-पीटने, सिर मुंडाने और टाट पहिनने के लिये कहा था;

Us samay senaon ke Prabhu Yahowa ne rone-peetne, sir mundane aur taat pahinne ke liye kaha tha;

13

परन्तु क्या देखा कि हर्ष और आनन्द मनाया जा रहा है, गाय-बैल का घात और भेड़-बकरी का वध किया जा रहा है, मांस खाया और दाखमधु पीया जा रहा है। और कहते हैं, आओ खाएं-पीएं, क्योंकि कल तो हमें मरना है।

Parantu kya dekha ki harsh aur aanand manaya ja raha hai, gaay-bail ka ghaat aur bhed-bakri ka vadh kiya ja raha hai, maans khaya aur dakhamdhu peeya ja raha hai. Aur kahte hain, aao khayen-peeyen, kyonki kal to hamein marna hai.

14

सेनाओं के यहोवा ने मेरे कान में कहा और अपने मन की बात प्रगट की, निश्चय तुम लोगों के इस अधर्म का कुछ भी प्रायश्चित्त तुम्हारी मृत्यु तक न हो सकेगा, सेनाओं के प्रभु यहोवा का यही कहना है।

Senaon ke Yahowa ne mere kaan mein kaha aur apne man ki baat pragat ki, nishchay tum logon ke is adharm ka kuchh bhi prayashchitt tumhari mrityu tak na ho sakega, senaon ke Prabhu Yahowa ka yahi kahna hai.

15

सेनाओं का प्रभु यहोवा यों कहता है, शेबना नाम उस भण्डारी के पास जो राजघराने के काम पर नियुक्त है जा कर कह, यहां तू क्या करता है?

Senaon ka Prabhu Yahowa yon kahta hai, shebna naam us bhandari ke paas jo rajaghrane ke kaam par niyukt hai ja kar kah, yahan tu kya karta hai?

16

और यहां तेरा कौन है कि तू ने अपनी कबर यहां खुदवाई है? तू अपनी कबर ऊंचे स्थान में खुदवाता और अपने रहने का स्थान चट्टान में खुदवाता है?

Aur yahan tera kaun hai ki tu ne apni kabar yahan khudvai hai? Tu apni kabar oonche sthaan mein khudvata aur apne rahne ka sthaan chattaan mein khudvata hai?

17

देख, यहोवा तुझ को बड़ी शक्ति से पकड़ कर बहुत दूर फेंक देगा।

Dekh, Yahowa tujh ko badi shakti se pakad kar bahut door phenk dega.

18

वह तुझे मरोड़ कर गेन्द की नाईं लम्बे चौड़े देश में फेंक देगा; हे अपने स्वामी के घराने को लज्जित करने वाले वहां तू मरेगा और तेरे वैभव के रथ वहीं रह जाएंगे।

Vah tujhe marod kar gend ki nai lambe chaude desh mein phenk dega; he apne swami ke gharane ko lajjit karne vale vahan tu marega aur tere vaibhav ke rath vahi rah jayenge.

19

मैं तुझ को तेरे स्थान पर से ढकेल दूंगा, और तू अपने पद से उतार दिया जायेगा।

Main tujh ko tere sthaan par se dhakel doonga, aur tu apne pad se utaar diya jayega.

20

उस समय मैं हिल्कियाह के पुत्र अपने दास एल्याकीम को बुलाकर, उसे तेरा अंगरखा पहनाऊंगा,

Us samay main hilkiyaah ke putra apne daas elyakeem ko bulakar, use tera angarkha pahnaoonga,

21

और उसकी कमर में तेरी पेटी कसकर बान्धूंगा, और तेरी प्रभुता उसके हाथ में दूंगा। और वह यरूशलेम के रहने वालों और यहूदा के घराने का पिता ठहरेगा।

Aur uski kamar mein teri peti kaskar bandhoonga, aur teri prabhuta uske haath mein doonga. Aur vah Yerushalem ke rahne valon aur Yahuda ke gharane ka pita thahrega.

22

और मैं दाऊद के घराने की कुंजी उसके कंधे पर रखूंगा, और वह खोलेगा और कोई बन्द न कर सकेगा; वह बन्द करेगा और कोई खोल न सकेगा।

Aur main Daud ke gharane ki kunji uske kandhe par rakhoonga, aur vah kholega aur koi band na kar sakega; vah band karega aur koi khol na sakega.

23

और मैं उसको दृढ़ स्थान में खूंटी की नाईं गाडूंगा, और वह अपने पिता के घराने के लिये वैभव का कारण होगा।

Aur main usko dridh sthaan mein khoonti ki nai gadoonga, aur vah apne pita ke gharane ke liye vaibhav ka karan hoga.

24

और उसके पिता से घराने का सारा वैभव, वंश और सन्तान, सब छोटे-छोटे पात्र, क्या कटोरे क्या सुराहियां, सब उस पर टांगी जाएंगी।

Aur uske pita se gharane ka sara vaibhav, vansh aur santaan, sab chhote-chhote patra, kya katore kya surahiyan, sab us par tangi jayengi.

25

सेनाओं के यहोवा की यह वाणी है कि उस समय वह खूंटी जो दृढ़ स्थान में गाड़ी गई थी, वह ढीली हो जाएगी, और काट कर गिराई जाएगी; और उस का बोझ गिर जाएगा, क्योंकि यहोवा ने यह कहा है।

Senaon ke Yahowa ki yah vani hai ki us samay vah khoonti jo dridh sthaan mein gadi gai thi, vah dheeli ho jayegi, aur kaat kar girai jayegi; aur us ka bojh gir jayega, kyonki Yahowa ne yah kaha hai.