जिस वर्ष में अश्शूर के राजा सर्गोन की आज्ञा से तर्तान ने अशदोद आकर उस से युद्ध किया और उसको ले भी लिया,
Jis varsh mein ashshoor ke raja sargon ki aagya se tartaan ne ashdod aakar us se yuddh kiya aur usko le bhi liya,
Isaiah 20 · 6 verses
जिस वर्ष में अश्शूर के राजा सर्गोन की आज्ञा से तर्तान ने अशदोद आकर उस से युद्ध किया और उसको ले भी लिया,
Jis varsh mein ashshoor ke raja sargon ki aagya se tartaan ne ashdod aakar us se yuddh kiya aur usko le bhi liya,
उसी वर्ष यहोवा ने आमोस के पुत्र यशायाह से कहा, जा कर अपनी कमर का टाट खोल और अपनी जूतियां उतार; सो उसने वैसा ही किया, और वह नंगा और नंगे पांव घूमता फिरता था।
Usi varsh Yahowa ne aamos ke putra yashayaah se kaha, ja kar apni kamar ka taat khol aur apni jootiyan utaar; so usne vaisa hi kiya, aur vah nanga aur nange paanv ghoomta phirta tha.
और यहोवा ने कहा, जिस प्रकार मेरा दास यशायाह तीन वर्ष से उघाड़ा और नंगे पांव चलता आया है, कि मिस्र और कूश के लिये चिन्ह और चमत्कार हो,
Aur Yahowa ne kaha, jis prakaar mera daas yashayaah teen varsh se ughada aur nange paanv chalta aaya hai, ki Misr aur koosh ke liye chinh aur chamatkaar ho,
उसी प्रकार अश्शूर का राजा मिस्री और कूश के लोगों को बंधुआ कर के देश-निकाल करेगा, क्या लड़के क्या बूढ़े, सभों को बंधुए कर के उघाड़े और नंगे पांव और नितम्ब खुले ले जाएगा, जिस से मिस्र लज्जित हो।
Usi prakaar ashshoor ka raja misri aur koosh ke logon ko bandhuaa kar ke desh-nikaal karega, kya ladke kya boodhe, sabhon ko bandhue kar ke ughade aur nange paanv aur nitamb khule le jayega, jis se Misr lajjit ho.
तब वे कूश के कारण जिस पर उनकी आशा थी, और मिस्र के हेतु जिस पर वे फूलते थे व्याकुल और लज्जित हो जाएंगे।
Tab ve koosh ke karan jis par unki aasha thi, aur Misr ke hetu jis par ve phoolte the vyakul aur lajjit ho jayenge.
और समुद्र के इस पार के बसने वाले उस समय यह कहेंगे, देखो, जिन पर हम आशा रखते थे ओर जिनके पास हम अश्शूर के राजा से बचने के लिये भागने को थे उनकी ऐसी दशा हो गई है। तो फिर हम लोग कैसे बचेंगे?
Aur samudra ke is paar ke basne vale us samay yah kahenge, dekho, jin par ham aasha rakhte the or jinke paas ham ashshoor ke raja se bachne ke liye bhagne ko the unki aisi dasha ho gai hai. To phir ham log kaise bachenge?