मिस्र के विषय में भारी भविष्यवाणी। देखो, यहोवा शीघ्र उड़ने वाले बादल पर सवार हो कर मिस्र में आ रहा है;
Misr ke vishay mein bhari bhavishyavani. Dekho, Yahowa sheeghra udne vale badal par savaar ho kar Misr mein aa raha hai;
Isaiah 19 · 25 verses
मिस्र के विषय में भारी भविष्यवाणी। देखो, यहोवा शीघ्र उड़ने वाले बादल पर सवार हो कर मिस्र में आ रहा है;
Misr ke vishay mein bhari bhavishyavani. Dekho, Yahowa sheeghra udne vale badal par savaar ho kar Misr mein aa raha hai;
और मिस्र की मूरतें उसके आने से थरथरा उठेंगी, और मिस्रियों का हृदय पानी-पानी हो जाएगा। और मैं मिस्रियों को एक दूसरे के विरुद्ध उभारूंगा, और वे आपस में लड़ेंगे, प्रत्येक अपने भाई से और हर एक अपने पड़ोसी से लड़ेगा, नगर नगर में और राज्य राज्य में युद्ध छिड़ेंगा;
Aur Misr ki moortein uske aane se tharathra uthengi, aur misriyon ka hriday pani-pani ho jayega. Aur main misriyon ko ek doosre ke viruddh ubharoonga, aur ve aapas mein ladenge, pratyek apne bhai se aur har ek apne padosi se ladega, nagar nagar mein aur rajya rajya mein yuddh chhidenga;
और मिस्रियों की बुद्धि मारी जाएगी और मैं उनकी युक्तियों को व्यर्थ कर दूंगा; और वे अपनी मूरतों के पास और ओझों और फुसफुसाने वाले टोन्हों के पास जा जा कर उन से पूछेंगे;
Aur misriyon ki buddhi mari jayegi aur main unki yuktiyon ko vyarth kar doonga; aur ve apni moorton ke paas aur ojhon aur phusphusane vale tonhon ke paas ja ja kar un se poochhenge;
परन्तु मैं मिस्रियों को एक कठोर स्वामी के हाथ में कर दूंगा; और एक क्रूर राजा उन पर प्रभुता करेगा, प्रभु सेनाओं के यहोवा की यही वाणी है॥
Parantu main misriyon ko ek kathor swami ke haath mein kar doonga; aur ek kroor raja un par prabhuta karega, Prabhu senaon ke Yahowa ki yahi vani hai.
और समुद्र का जल सूख जाएगा, और महानदी सूख कर खाली हो जाएगी;
Aur samudra ka jal sookh jayega, aur mahandi sookh kar khali ho jayegi;
और नाले बसाने लगेंगे, और मिस्र की नहरें भी सूख जाएंगी, और नरकट और हूगले कुम्हला जाएंगे।
Aur nale basane lagenge, aur Misr ki nahrein bhi sookh jayengi, aur narkat aur hoogle kumhala jayenge.
नील नदी के तीर पर के कछार की घास, और जो कुछ नील नदी के पास बोया जाएगा वह सूखकर नष्ट हो जाएगा, और उसका पता तक न लगेगा।
Neel nadi ke teer par ke kachhaar ki ghaas, aur jo kuchh neel nadi ke paas boya jayega vah sookhkar nasht ho jayega, aur uska pata tak na lagega.
सब मछुवे जितने नील नदी में बंसी डालते हैं विलाप करेंगे और लम्बी लम्बी सासें लेंगे, और जो जल के ऊपर जाल फेंकते हैं वे निर्बल हो जाएंगे।
Sab machhuve jitne neel nadi mein bansi dalte hain vilaap karenge aur lambi lambi sasein lenge, aur jo jal ke oopar jaal phenkte hain ve nirbal ho jayenge.
फिर जो लोग धुने हुए सन से काम करते हैं और जो सूत से बुनते हैं उनकी आशा टूट जाएगी।
Phir jo log dhune hue san se kaam karte hain aur jo soot se bunte hain unki aasha toot jayegi.
मिस्र के रईस तो निराश और उसके सब मजदूर उदास हो जाएंगे॥
Misr ke rais to niraash aur uske sab majdoor udaas ho jayenge.
निश्चय सोअन के सब हाकिम मूर्ख हैं; और फिरौन के बुद्धिमान मन्त्रियों की युक्ति पशु की सी ठहरी। फिर तुम फिरौन से कैसे कह सकते हो कि मैं बुद्धिमानों का पुत्र और प्राचीन राजाओं की सन्तान हूं?
Nishchay soan ke sab hakim moorkh hain; aur Firaun ke buddhimaan mantriyon ki yukti pashu ki si thahri. Phir tum Firaun se kaise kah sakte ho ki main buddhimanon ka putra aur pracheen rajaon ki santaan hoon?
अब तेरे बुद्धिमान कहां है? सेनाओं के यहोवा ने मिस्र के विषय जो युक्ति की है, उसको यदि वे जानते हों तो तुझे बताएं।
Ab tere buddhimaan kahan hai? Senaon ke Yahowa ne Misr ke vishay jo yukti ki hai, usko yadi ve jante hon to tujhe batayen.
सोअन के हाकिम मूढ़ बन गए हैं, नोप के हाकिमों ने धोखा खाया है; और जिन पर मिस्र के गोत्रों के प्रधान लोगों का भरोसा था उन्होंने मिस्र को भरमा दिया है।
Soan ke hakim moodh ban gaye hain, nop ke hakimon ne dhokha khaya hai; aur jin par Misr ke gotron ke pradhaan logon ka bharosa tha unhonne Misr ko bharma diya hai.
यहोवा ने उस में भ्रमता उत्पन्न की है; उन्होंने मिस्र को उसके सारे कामों में वमन करते हुए मतवाले की नाईं डगमगा दिया है।
Yahowa ne us mein bhramta utpann ki hai; unhonne Misr ko uske sare kamon mein vaman karte hue matvale ki nai dagamga diya hai.
और मिस्र के लिये कोई ऐसा काम न रहेगा जो सिर वा पूंछ से अथवा प्रधान वा साधारण से हो सके॥
Aur Misr ke liye koi aisa kaam na rahega jo sir va poonchh se athva pradhaan va sadharan se ho sake.
उस समय मिस्री, स्त्रियों के समान हो जाएंगे, और सेनाओं का यहोवा जो अपना हाथ उन पर बढ़ाएगा उसके डर के मारे वे थरथराएंगे और कांप उठेंगे।
Us samay misri, striyon ke samaan ho jayenge, aur senaon ka Yahowa jo apna haath un par badhayega uske dar ke mare ve tharathrayenge aur kaamp uthenge.
ओर यहूदा का देश मिस्र के लिये यहां तक भय का कारण होगा कि जो कोई उसकी चर्चा सुनेगा वह थरथरा उठेगा; सेनाओं के यहोवा की उस युक्ति का यही फल होगा जो वह मिस्र के विरुद्ध करता है॥
Or Yahuda ka desh Misr ke liye yahan tak bhay ka karan hoga ki jo koi uski charcha sunega vah tharathra uthega; senaon ke Yahowa ki us yukti ka yahi phal hoga jo vah Misr ke viruddh karta hai.
उस समय मिस्र देश में पांच नगर होंगे जिनके लोग कनान की भाषा बोलेंगे और यहोवा की शपथ खायेंगे। उन में से एक का नाम नाशनगर रखा जाएगा॥
Us samay Misr desh mein paanch nagar honge jinke log kanaan ki bhasha bolenge aur Yahowa ki shapath khayenge. Un mein se ek ka naam nashangar rakha jayega.
उस समय मिस्र देश के बीच में यहोवा के लिये एक वेदी होगी, और उसके सिवाने के पास यहोवा के लिये एक खंभा खड़ा होगा।
Us samay Misr desh ke beech mein Yahowa ke liye ek vedi hogi, aur uske sivane ke paas Yahowa ke liye ek khambha khada hoga.
वह मिस्र देश में सेनाओं के यहोवा के लिये चिन्ह और साक्षी ठहरेगा; और जब वे अंधेर करने वाले के कारण यहोवा की दोहाई देंगे, तब वह उनके पास एक उद्धारकर्ता और रक्षक भेजेगा, और उन्हें मुक्त करेगा।
Vah Misr desh mein senaon ke Yahowa ke liye chinh aur sakshi thahrega; aur jab ve andher karne vale ke karan Yahowa ki dohai denge, tab vah unke paas ek uddharkarta aur rakshak bhejega, aur unhein mukt karega.
तब यहोवा अपने आप को मिस्रियों पर प्रगट करेगा; और मिस्री उस समय यहोवा को पहिचानेंगे और मेलबलि और अन्नबलि चढ़ा कर उसकी उपासना करेंगे, और यहोवा के लिये मन्नत मान कर पूरी भी करेंगे।
Tab Yahowa apne aap ko misriyon par pragat karega; aur misri us samay Yahowa ko pahichanenge aur melabli aur annabli chadha kar uski upasna karenge, aur Yahowa ke liye mannat maan kar poori bhi karenge.
और यहोवा मिस्रियों को मारेगा, वह मारेगा और चंगा भी करेगा, और वे यहोवा की ओर फिरेंगे और वह उनकी बिनती सुनकर उन को चंगा करेगा॥
Aur Yahowa misriyon ko marega, vah marega aur changa bhi karega, aur ve Yahowa ki or phirenge aur vah unki binti sunkar un ko changa karega.
उस समय मिस्र से अश्शूर जाने का एक राजमार्ग होगा, और अश्शूरी मिस्र में आएंगे और मिस्री लोग अश्शूर को जाएंगे, और मिस्री अश्शूरियों के संग मिलकर आराधना करेंगे॥
Us samay Misr se ashshoor jane ka ek rajmaarg hoga, aur ashshoori Misr mein aayenge aur misri log ashshoor ko jayenge, aur misri ashshooriyon ke sang milkar aaradhna karenge.
उस समय इस्राएल, मिस्र और अश्शूर तीनों मिलकर पृथ्वी के लिये आशीष का कारण होंगे।
Us samay Israel, Misr aur ashshoor teenon milkar prithvi ke liye aasheesh ka karan honge.
क्योंकि सेनाओं का यहोवा उन तीनों को यह कह कर आशीष देगा, धन्य हो मेरी प्रजा मिस्र, और मेरा रचा हुआ अश्शूर, और मेरा निज भाग इस्राएल॥
Kyonki senaon ka Yahowa un teenon ko yah kah kar aasheesh dega, dhanya ho meri praja Misr, aur mera racha huaa ashshoor, aur mera nij bhaag Israel.