दमिश्क के विषय भारी भविष्यवाणी। देखो, दमिश्क नगर न रहेगा, वह खंडहर ही खंडहर हो जाएगा।
Damishk ke vishay bhari bhavishyavani. Dekho, damishk nagar na rahega, vah khandhar hi khandhar ho jayega.
Isaiah 17 · 14 verses
दमिश्क के विषय भारी भविष्यवाणी। देखो, दमिश्क नगर न रहेगा, वह खंडहर ही खंडहर हो जाएगा।
Damishk ke vishay bhari bhavishyavani. Dekho, damishk nagar na rahega, vah khandhar hi khandhar ho jayega.
अरोएर के नगर निर्जन हो जाएंगे, वे पशुओं के झुण्ड़ों की चराई बनेंगे; पशु उन में बैठेंगे और उनका कोई भगाने वाला न होगा।
Aroyer ke nagar nirjan ho jayenge, ve pashuon ke jhundon ki charai banenge; pashu un mein baithenge aur unka koi bhagane vala na hoga.
एप्रैम के गढ़ वाले नगर, और दमिश्क का राज्य और बचे हुए अरामी, तीनों भविष्य में न रहेंगे; और जो दशा इस्राएलियों के वैभव की हुई वही उनकी होगी; सेनाओं के यहोवा की यही वाणी है॥
Epraim ke gadh vale nagar, aur damishk ka rajya aur bache hue arami, teenon bhavishya mein na rahenge; aur jo dasha Israeliyon ke vaibhav ki hui vahi unki hogi; senaon ke Yahowa ki yahi vani hai.
और उस समय याकूब का वैभव घट जाएगा, और उसकी मोटी देह दुबली हो जाएगी।
Aur us samay Yakub ka vaibhav ghat jayega, aur uski moti deh dubli ho jayegi.
और ऐसा होगा जैसा लवने वाला अनाज काट कर बालों को अपनी अंकवार में समेटे वा रपाईम नाम तराई में कोई सिला बीनता हो।
Aur aisa hoga jaisa lavne vala anaaj kaat kar balon ko apni ankvaar mein samete va rapaim naam tarai mein koi sila beenta ho.
तौभी जैसे जलपाई वृक्ष के झाड़ते समय कुछ फल रह जाते हैं, अर्थात फुनगी पर दो-तीन फल, और फलवन्त डालियों में कहीं कहीं चार-पांच फल रह जाते हैं, वैसे ही उन में सिला बिनाई होगी, इस्राएल के परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है॥
Taubhi jaise jalpai vriksh ke jhadte samay kuchh phal rah jate hain, arthaat phungi par do-teen phal, aur phalvant daliyon mein kahi kahi chaar-paanch phal rah jate hain, vaise hi un mein sila binai hogi, Israel ke Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.
उस समय मनुष्य अपने कर्ता की ओर दृष्टि करेगा, और उसकी आंखें इस्राएल के पवित्र की ओर लगी रहेंगी;
Us samay manushya apne karta ki or drishti karega, aur uski aankhein Israel ke pavitra ki or lagi rahengi;
वह अपनी बनाई हुई वेदियों की ओर दृष्टि न करेगा, और न अपनी बनाई हुई अशेरा नाम मूरतों वा सूर्य की प्रतिमाओं की ओर देखेगा।
Vah apni banai hui vediyon ki or drishti na karega, aur na apni banai hui ashera naam moorton va soorya ki pratimaon ki or dekhega.
उस समय उनके गढ़ वाले नगर घने वन, और उनके निर्जन स्थान पहाड़ों की चोटियों के समान होंगे जो इस्राएलियों के डर के मारे छोड़ दिए गए थे, और वे उजाड़ पड़े रहेंगे॥
Us samay unke gadh vale nagar ghane van, aur unke nirjan sthaan pahadon ki chotiyon ke samaan honge jo Israeliyon ke dar ke mare chhod diye gaye the, aur ve ujaad pade rahenge.
क्योंकि तू अपने उद्धारकर्ता परमेश्वर को भूल गया और अपनी दृढ़ चट्टान का स्मरण नहीं रखा; इस कारण चाहे तू मनभावने पौधे लगाए और विदेशी कलम जमाए,
Kyonki tu apne uddharkarta Parmeshwar ko bhool gaya aur apni dridh chattaan ka smaran nahi rakha; is karan chahe tu manbhavne paudhe lagaye aur videshi kalam jamaye,
चाहे रोपने के दिन तू उनके चारों और बाड़ा बान्धे, और बिहान ही को उन में फूल खिलने लगें, तौभी सन्ताप और असाध्य दु:ख के दिन उसका फल नाश हो जायेगा॥
Chahe ropne ke din tu unke charon aur bada bandhe, aur bihaan hi ko un mein phool khilne lagein, taubhi santaap aur asadhya dukh ke din uska phal naash ho jayega.
हाय, हाय! देश देश के बहुत से लोगों का कैसा नाद हो रहा है, वे समुद्र की लहरों की नाईं गरजते हैं। राज्य राज्य के लोगों का कैसा गर्जन हो रहा है, वे प्रचण्ड धारा के समान नाद करते हैं!
Haay, haay! Desh desh ke bahut se logon ka kaisa naad ho raha hai, ve samudra ki lahron ki nai garajte hain. Rajya rajya ke logon ka kaisa garjan ho raha hai, ve prachand dhara ke samaan naad karte hain!
राज्य राज्य के लोग बाढ़ के बहुत से जल की नाईं नाद करते हैं, परन्तु वह उन को घुड़केगा, और वे दूर भाग जाएंगे, और ऐसे उड़ाए जाएंगे जैसे पहाड़ों पर की भूसी वायु से, और धूलि बवण्डर से घुमाकर उड़ाई जाती है।
Rajya rajya ke log baadh ke bahut se jal ki nai naad karte hain, parantu vah un ko ghudkega, aur ve door bhaag jayenge, aur aise udaye jayenge jaise pahadon par ki bhoosi vayu se, aur dhooli bavandar se ghumakar udai jati hai.
सांझ को, देखो, घबराहट है! और भोर से पहिले, वे लोप हो गए हैं! हमारे नाश करने वालों का भाग और हमारे लूटने वाले की यही दशा होगी॥
Saanjh ko, dekho, ghabrahat hai! Aur bhor se pahile, ve lop ho gaye hain! Hamare naash karne valon ka bhaag aur hamare lootne vale ki yahi dasha hogi.