Isaiah 14 · 32 verses

यशायाह 14 Isaiah 14 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yashayaah 14.

1

यहोवा याकूब पर दया करेगा, और इस्राएल को फिर अपनाकर, उन्हीं के देश में बसाएगा, और परदेशी उन से मिल जाएंगे और अपने अपने को याकूब के घराने से मिला लेंगे।

Yahowa Yakub par daya karega, aur Israel ko phir apnakar, unhi ke desh mein basayega, aur pardeshi un se mil jayenge aur apne apne ko Yakub ke gharane se mila lenge.

2

और देश देश के लोग उन को उन्हीं के स्थान में पहुंचाएंगे, और इस्राएल का घराना यहोवा की भूमि पर उनका अधिकारी हो कर उन को दास और दासियां बनाएगा; क्योंकि वे अपने बंधुवाई में ले जाने वालों को बंधुआ करेंगे, और जो उन पर अत्याचार करते थे उन पर वे शासन करेंगे॥

Aur desh desh ke log un ko unhi ke sthaan mein pahunchayenge, aur Israel ka gharana Yahowa ki bhoomi par unka adhikari ho kar un ko daas aur dasiyan banayega; kyonki ve apne bandhuvai mein le jane valon ko bandhuaa karenge, aur jo un par atyachaar karte the un par ve shasan karenge.

3

और जिस दिन यहोवा तुझे तेरे सन्ताप और घबराहट से, और उस कठिन श्रम से जो तुझ से लिया गया विश्राम देगा,

Aur jis din Yahowa tujhe tere santaap aur ghabrahat se, aur us kathin shram se jo tujh se liya gaya vishraam dega,

4

उस दिन तू बाबुल के राजा पर ताना मार कर कहेगा कि परिश्रम कराने वाला कैसा नाश हो गया है, सुनहले मन्दिरों से भरी नगरी कैसी नाश हो गई है!

Us din tu babul ke raja par tana maar kar kahega ki parishram karane vala kaisa naash ho gaya hai, sunahle mandiron se bhari nagri kaisi naash ho gai hai!

5

यहोवा ने दुष्टों के सोंटे को और अन्याय से शासन करने वालों के लठ को तोड़ दिया है,

Yahowa ne dushton ke sonte ko aur anyaay se shasan karne valon ke lath ko tod diya hai,

6

जिस से वे मनुष्यों को लगातार रोष से मारते रहते थे, और जाति जाति पर क्रोध से प्रभुता करते और लगातार उनके पीछे पड़े रहते थे।

Jis se ve manushyon ko lagataar rosh se marte rahte the, aur jati jati par krodh se prabhuta karte aur lagataar unke peechhe pade rahte the.

7

अब सारी पृथ्वी को विश्राम मिला है, वह चैन से है; लोग ऊंचे स्वर से गा उठे हैं।

Ab sari prithvi ko vishraam mila hai, vah chain se hai; log oonche swar se ga uthe hain.

8

सनौवर और लबानोन के देवदार भी तुझ पर आनन्द कर के कहते हैं, जब से तू गिराया गया तब से कोई हमें काटने को नहीं आया।

Sanauvar aur labanon ke devdaar bhi tujh par aanand kar ke kahte hain, jab se tu giraya gaya tab se koi hamein katne ko nahi aaya.

9

पाताल के नीचे अधोलोक में तुझ से मिलने के लिये हलचल हो रही है; वह तेरे लिये मुर्दों को अर्थात पृथ्वी के सब सरदारों को जगाता है, और वह जाति जाति से सब राजाओं को उनके सिंहासन पर से उठा खड़ा करता है।

Pataal ke neeche adholok mein tujh se milne ke liye halchal ho rahi hai; vah tere liye murdon ko arthaat prithvi ke sab sardaron ko jagata hai, aur vah jati jati se sab rajaon ko unke sinhasan par se utha khada karta hai.

10

वे सब तुझ से कहेंगे, क्या तू भी हमारी नाईं निर्बल हो गया है? क्या तू हमारे समान ही बन गया?

Ve sab tujh se kahenge, kya tu bhi hamari nai nirbal ho gaya hai? Kya tu hamare samaan hi ban gaya?

11

तेरा वैभव और तेरी सारंगियों को शब्द अधोलोक में उतारा गया है; कीड़े तेरा बिछौना और केंचुए तेरा ओढ़ना हैं॥

Tera vaibhav aur teri sarangiyon ko shabd adholok mein utara gaya hai; keede tera bichhauna aur kenchue tera odhna hain.

12

हे भोर के चमकने वाले तारे तू क्योंकर आकाश से गिर पड़ा है? तू जो जाति जाति को हरा देता था, तू अब कैसे काट कर भूमि पर गिराया गया है?

He bhor ke chamakne vale tare tu kyonkar aakaash se gir pada hai? Tu jo jati jati ko hara deta tha, tu ab kaise kaat kar bhoomi par giraya gaya hai?

13

तू मन में कहता तो था कि मैं स्वर्ग पर चढूंगा; मैं अपने सिंहासन को ईश्वर के तारागण से अधिक ऊंचा करूंगा; और उत्तर दिशा की छोर पर सभा के पर्वत पर बिराजूंगा;

Tu man mein kahta to tha ki main swarg par chadhoonga; main apne sinhasan ko ishwar ke taragan se adhik ooncha karoonga; aur uttar disha ki chhor par sabha ke parvat par birajoonga;

14

मैं मेघों से भी ऊंचे ऊंचे स्थानों के ऊपर चढूंगा, मैं परमप्रधान के तुल्य हो जाऊंगा।

Main meghon se bhi oonche oonche sthanon ke oopar chadhoonga, main parmapradhaan ke tulya ho jaoonga.

15

परन्तु तू अधोलोक में उस गड़हे की तह तक उतारा जाएगा।

Parantu tu adholok mein us gadhe ki tah tak utara jayega.

16

जो तुझे देखेंगे तुझ को ताकते हुए तेरे विषय में सोच सोचकर कहेंगे, क्या यह वही पुरूष है जो पृथ्वी को चैन से रहने न देता था और राज्य राज्य में घबराहट डाल देता था;

Jo tujhe dekhenge tujh ko takte hue tere vishay mein soch sochkar kahenge, kya yah vahi puroosh hai jo prithvi ko chain se rahne na deta tha aur rajya rajya mein ghabrahat daal deta tha;

17

जो जगत को जंगल बनाता और उसके नगरों को ढा देता था, और अपने बंधुओं को घर जाने नहीं देता था?

Jo jagat ko jangal banata aur uske nagron ko dha deta tha, aur apne bandhuon ko ghar jane nahi deta tha?

18

जाति जाति के सब राजा अपने अपने घर पर महिमा के साथ आराम से पड़े हैं;

Jati jati ke sab raja apne apne ghar par mahima ke saath aaraam se pade hain;

19

परन्तु तू निकम्मी शाख की नाईं अपनी कबर में से फेंका गया; तू उन मारे हुओं की लोथों से घिरा है जो तलवार से बिधकर गड़हे में पत्थरों के बीच में लताड़ी हुई लोथ के समान पड़े है।

Parantu tu nikammi shaakh ki nai apni kabar mein se phenka gaya; tu un mare huon ki lothon se ghira hai jo talvaar se bidhkar gadhe mein pattharon ke beech mein latadi hui loth ke samaan pade hai.

20

तू उनके साथ कब्र में न गाड़ा जाएगा, क्योंकि तू ने अपने देश को उजाड़ दिया, और अपनी प्रजा का घात किया है। कुकर्मियों के वंश का नाम भी कभी न लिया जाएगा।

Tu unke saath kabra mein na gada jayega, kyonki tu ne apne desh ko ujaad diya, aur apni praja ka ghaat kiya hai. Kukarmiyon ke vansh ka naam bhi kabhi na liya jayega.

21

उनके पूर्वजों के अधर्म के कारण पुत्रों के घात की तैयारी करो, ऐसा न हो कि वे फिर उठ कर पृथ्वी के अधिकारी हो जाएं, और जगत में बहुत से नगर बसाएं॥

Unke poorvajon ke adharm ke karan putron ke ghaat ki taiyari karo, aisa na ho ki ve phir uth kar prithvi ke adhikari ho jayen, aur jagat mein bahut se nagar basayen.

22

सेनाओं के यहोवा की यह वाणी है कि मैं उनके विरुद्ध उठूंगा, और बाबुल का नाम और निशान मिटा डालूंगा, और बेटों-पोतों को काट डालूंगा, यहोवा की यही वाणी है।

Senaon ke Yahowa ki yah vani hai ki main unke viruddh uthoonga, aur babul ka naam aur nishaan mita daloonga, aur beton-poton ko kaat daloonga, Yahowa ki yahi vani hai.

23

मैं उसको साही की मान्द और जल की झीलें कर दूंगा, और मैं उसे सत्यानाश के झाड़ू से झाड़ डालूंगा, सेनाओं के यहोवा की यही वाणी है॥

Main usko sahi ki maand aur jal ki jheelein kar doonga, aur main use satyanaash ke jhadu se jhaad daloonga, senaon ke Yahowa ki yahi vani hai.

24

सेनाओं के यहोवा ने यह शपथ खाई है, नि:सन्देह जैसा मैं ने ठाना है, वैसा ही हो जाएगा, और जैसी मैं ने युक्ति की है, वैसी ही पूरी होगी,

Senaon ke Yahowa ne yah shapath khai hai, nisandeh jaisa main ne thana hai, vaisa hi ho jayega, aur jaisi main ne yukti ki hai, vaisi hi poori hogi,

25

कि मैं अश्शूर को अपने ही देश में तोड़ दूंगा, और अपने पहाड़ों पर उसे कुचल डालूंगा; तब उसका जूआ उनकी गर्दनों पर से और उसका बोझ उनके कंधों पर से उतर जाएगा।

Ki main ashshoor ko apne hi desh mein tod doonga, aur apne pahadon par use kuchal daloonga; tab uska jooaa unki gardanon par se aur uska bojh unke kandhon par se utar jayega.

26

यही युक्ति सारी पृथ्वी के लिये ठहराई गई है; और यह वही हाथ है जो सब जातियों पर बढ़ा हुआ है।

Yahi yukti sari prithvi ke liye thahrai gai hai; aur yah vahi haath hai jo sab jatiyon par badha huaa hai.

27

क्योंकि सेनाओं के यहोवा ने युक्ति की है और कौन उसका टाल सकता है? उसका हाथ बढ़ाया गया है, उसे कौन रोक सकता है?

Kyonki senaon ke Yahowa ne yukti ki hai aur kaun uska taal sakta hai? Uska haath badhaya gaya hai, use kaun rok sakta hai?

28

जिस वर्ष में आहाज राजा मर गया उसी वर्ष यह भारी भविष्यद्वाणी हुई:

Jis varsh mein aahaaj raja mar gaya usi varsh yah bhari bhavishyadwani hui:

29

हे सारे पलिश्तीन तू इसलिये आनन्द न कर, कि तेरे मारने वाले की लाठी टूट गई, क्योंकि सर्प की जड़ से एक काला नाग उत्पन्न होगा, और उसका फल एक उड़ने वाला और तेज विष वाला अग्निसर्प होगा।

He sare palishteen tu isliye aanand na kar, ki tere marne vale ki lathi toot gai, kyonki sarp ki jad se ek kala naag utpann hoga, aur uska phal ek udne vala aur tej vish vala agnisarp hoga.

30

तब कंगालों के जेठे खाएंगे और दरिद्र लोग निडर बैठने पाएंगे, परन्तु मैं तेरे वंश को भूख से मार डालूंगा, और तेरे बचे हुए लोग घात किए जाएंगे।

Tab kangalon ke jethe khayenge aur daridra log nidar baithne payenge, parantu main tere vansh ko bhookh se maar daloonga, aur tere bache hue log ghaat kiye jayenge.

31

हे फाटक, तू हाय हाय कर; हे नगर, तू चिल्ला; हे पलिश्तीन तू सब का सब पिघल जा! क्योंकि उत्तर से एक धूआं उठेगा और उसकी सेना में से कोई पीछे न रहेगा॥

He phatak, tu haay haay kar; he nagar, tu chilla; he palishteen tu sab ka sab pighal ja! Kyonki uttar se ek dhooaan uthega aur uski sena mein se koi peechhe na rahega.

32

तब अन्यजातियों के दूतों को क्या उत्तर दिया जाएगा? यह कि यहोवा ने सिय्योन की नेव डाली है, और उसकी प्रजा के दीन लोग उस में शरण लेंगे॥

Tab anyajatiyon ke dooton ko kya uttar diya jayega? Yah ki Yahowa ne siyyon ki nev dali hai, aur uski praja ke deen log us mein sharan lenge.