Ezekiel 9 · 11 verses

यहेजकेल 9 Ezekiel 9 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahejkel 9.

1

फिर उसने मेरे कानों में ऊंचे शब्द से पुकार कर कहा, नगर के अधिकारियों को अपने अपने हाथ में नाश करने का हथियार लिए हुए निकट लाओ।

Phir usne mere kanon mein oonche shabd se pukaar kar kaha, nagar ke adhikariyon ko apne apne haath mein naash karne ka hathiyaar liye hue nikat lao.

2

इस पर छ: पुरुष, उत्तर की ओर ऊपरी फाटक के मार्ग से अपने अपने हाथ में घात करने का हथियार लिए हुए आए; और उनके बीच सन का वस्त्र पहिने, कमर में लिखने की दवात बान्धे हुए एक और पुरुष था; और वे सब भवन के भीतर जा कर पीतल की वेदी के पास खड़े हुए।

Is par chha: purush, uttar ki or oopri phatak ke maarg se apne apne haath mein ghaat karne ka hathiyaar liye hue aaye; aur unke beech san ka vastra pahine, kamar mein likhne ki davaat bandhe hue ek aur purush tha; aur ve sab bhavan ke bheetar ja kar peetal ki vedi ke paas khade hue.

3

और इस्राएल के परमेश्वर का तेज करूबों पर से, जिनके ऊपर वह रहा करता था, भवन की डेवढ़ी पर उठ आया था; और उसने उस सन के वस्त्र पहिने हुए पुरुष को जो कमर में दवात बान्धे हुए था, पुकारा।

Aur Israel ke Parmeshwar ka tej karoobon par se, jinke oopar vah raha karta tha, bhavan ki devdhi par uth aaya tha; aur usne us san ke vastra pahine hue purush ko jo kamar mein davaat bandhe hue tha, pukara.

4

और यहोवा ने उस से कहा, इस यरूशलेम नगर के भीतर इधर उधर जा कर जितने मनुष्य उन सब घृणित कामों के कारण जो उस में किए जाते हैं, सांसें भरते और दु:ख के मारे चिल्लाते हैं, उनके माथों पर चिन्ह कर दे।

Aur Yahowa ne us se kaha, is Yerushalem nagar ke bheetar idhar udhar ja kar jitne manushya un sab ghrinit kamon ke karan jo us mein kiye jate hain, sansein bharte aur dukh ke mare chillate hain, unke mathon par chinh kar de.

5

तब उसने मेरे सुनते हुए दूसरों से कहा, नगर में उनके पीछे पीछे चल कर मारते जाओ; किसी पर दया न करना और न कोमलता से काम करना।

Tab usne mere sunte hue doosron se kaha, nagar mein unke peechhe peechhe chal kar marte jao; kisi par daya na karna aur na komalta se kaam karna.

6

बूढ़े, युवा, कुंवारी, बाल-बच्चे, स्त्रियां, सब को मार कर नाश करो, परन्तु जिस किसी मनुष्य के माथे पर वह चिन्ह हो, उसके निकट न जाना। और मेरे पवित्र स्थान ही से आरम्भ करो। और उन्होंने उन पुरनियों से आरम्भ किया जो भवन के साम्हने थे।

Boodhe, yuva, kunvari, baal-bachche, striyan, sab ko maar kar naash karo, parantu jis kisi manushya ke mathe par vah chinh ho, uske nikat na jana. Aur mere pavitra sthaan hi se aarambh karo. Aur unhonne un purniyon se aarambh kiya jo bhavan ke samhane the.

7

फिर उसने उन से कहा, भवन को अशुद्ध करो, और आंगनों को लोथों से भर दो। चलो, बाहर निकलो। तब वे निकल कर नगर में मारने लगे।

Phir usne un se kaha, bhavan ko ashuddh karo, aur aangnon ko lothon se bhar do. Chalo, bahar niklo. Tab ve nikal kar nagar mein marne lage.

8

जब वे मार रहे थे, और मैं अकेला रह गया, तब मैं मुंह के बल गिरा और चिल्लाकर कहा, हाय प्रभु यहोवा! क्या तू अपनी जलजलाहट यरूशलेम पर भड़का कर इस्राएल के सब बचे हुओं को भी नाश करेगा?

Jab ve maar rahe the, aur main akela rah gaya, tab main munh ke bal gira aur chillakar kaha, haay Prabhu Yahowa! Kya tu apni jalajlahat Yerushalem par bhadka kar Israel ke sab bache huon ko bhi naash karega?

9

तब उसने मुझ से कहा, इस्राएल और यहूदा के घरानों का अधर्म अत्यन्त ही अधिक है, यहां तक कि देश हत्या से और नगर अन्याय से भर गया है; क्योंकि वे कहते हें कि यहोवा ने पृथ्वी को त्याग दिया और यहोवा कुछ नहीं देखता।

Tab usne mujh se kaha, Israel aur Yahuda ke gharanon ka adharm atyant hi adhik hai, yahan tak ki desh hatya se aur nagar anyaay se bhar gaya hai; kyonki ve kahte hein ki Yahowa ne prithvi ko tyaag diya aur Yahowa kuchh nahi dekhta.

10

इसलिये उन पर दया न होगी, न मैं कोमलता करूंगा, वरन उनकी चाल उन्हीं के सिर लौटा दूंगा।

Isliye un par daya na hogi, na main komalta karoonga, varan unki chaal unhi ke sir lauta doonga.

11

तब मैं ने क्या देखा, कि जो पुरुष सन का वस्त्र पहिने हुए और कमर में दवात बान्धे था, उसने यह कह कर समाचार दिया, जैसे तू ने आज्ञा दी, मैं ने वैसे ही किया है।

Tab main ne kya dekha, ki jo purush san ka vastra pahine hue aur kamar mein davaat bandhe tha, usne yah kah kar samachaar diya, jaise tu ne aagya di, main ne vaise hi kiya hai.