इसके बाद मैं ने देखा कि करूबों के सिरों के ऊपर जो आकाशमण्डल है, उस में नीलमणि का सिंहासन सा कुछ दिखाई देता है।
Iske baad main ne dekha ki karoobon ke siron ke oopar jo aakashmandal hai, us mein neelamni ka sinhasan sa kuchh dikhai deta hai.
Ezekiel 10 · 22 verses
इसके बाद मैं ने देखा कि करूबों के सिरों के ऊपर जो आकाशमण्डल है, उस में नीलमणि का सिंहासन सा कुछ दिखाई देता है।
Iske baad main ne dekha ki karoobon ke siron ke oopar jo aakashmandal hai, us mein neelamni ka sinhasan sa kuchh dikhai deta hai.
तब यहोवा ने उस सन के वस्त्र पहिने हुए पुरुष से कहा, घूमने वाले पहियों के बीच करूबों के नीचे जा और अपनी दोनों मुट्ठियों को करूबों के बीच के अंगारों से भर कर नगर पर छितरा दे। सो वह मेरे देखते देखते उनके बीच में गया।
Tab Yahowa ne us san ke vastra pahine hue purush se kaha, ghoomne vale pahiyon ke beech karoobon ke neeche ja aur apni donon mutthiyon ko karoobon ke beech ke angaron se bhar kar nagar par chhitra de. So vah mere dekhte dekhte unke beech mein gaya.
जब वह पुरुष भीतर गया, तब वे करूब भवन की दक्खिन ओर खड़े थे; और बादल भीतर वाले आंगन में भरा हुआ था।
Jab vah purush bheetar gaya, tab ve karoob bhavan ki dakkhin or khade the; aur badal bheetar vale aangan mein bhara huaa tha.
तब यहोवा का तेज करूबों के ऊपर से उठ कर भवन की डेवढ़ी पर आ गया; और बादल भवन में भर गया; और वह आंगन यहोवा के तेज के प्रकाश से भर गया।
Tab Yahowa ka tej karoobon ke oopar se uth kar bhavan ki devdhi par aa gaya; aur badal bhavan mein bhar gaya; aur vah aangan Yahowa ke tej ke prakaash se bhar gaya.
और करूबों के पंखों का शब्द बाहरी आंगन तक सुनाई देता था, वह सर्वशक्तिमान् परमेश्वर के बोलने का सा शब्द था।
Aur karoobon ke pankhon ka shabd bahri aangan tak sunai deta tha, vah sarvashaktimaan Parmeshwar ke bolne ka sa shabd tha.
जब उसने सन के वस्त्र पहिने हुए पुरुष को घूमने वाले पहियों के भीतर करूबों के बीच में से आग लेने की आज्ञा दी, तब वह उनके बीच में जा कर एक पहिये के पास खड़ा हुआ।
Jab usne san ke vastra pahine hue purush ko ghoomne vale pahiyon ke bheetar karoobon ke beech mein se aag lene ki aagya di, tab vah unke beech mein ja kar ek pahiye ke paas khada huaa.
तब करूबों के बीच से एक करूब ने अपना हाथ बढ़ा कर, उस आग में से जो करूबों के बीच में थी, कुछ उठा कर सन के वस्त्र पहिने हुए पुरुष की मुट्ठी में दे दी; और वह उसे ले कर बाहर चला गया।
Tab karoobon ke beech se ek karoob ne apna haath badha kar, us aag mein se jo karoobon ke beech mein thi, kuchh utha kar san ke vastra pahine hue purush ki mutthi mein de di; aur vah use le kar bahar chala gaya.
करूबों के पंखों के नीचे तो मनुष्य का हाथ सा कुछ दिखाई देता था।
Karoobon ke pankhon ke neeche to manushya ka haath sa kuchh dikhai deta tha.
तब मैं ने देखा, कि करूबों के पास चार पहिये हैं; अर्थात एक एक करूब के पास एक एक पहिया है, और पहियों का रूप फीरोज़ा का सा है।
Tab main ne dekha, ki karoobon ke paas chaar pahiye hain; arthaat ek ek karoob ke paas ek ek pahiya hai, aur pahiyon ka roop pheeroza ka sa hai.
और उनका ऐसा रूप है, कि चारों एक से दिखाई देते हैं, जैसे एक पहिये के बीच दूसरा पहिया हो।
Aur unka aisa roop hai, ki charon ek se dikhai dete hain, jaise ek pahiye ke beech doosra pahiya ho.
चलने के समय वे अपनी चारों अलंगों के बल से चलते हैं; और चलते समय मुड़ते नहीं, वरन जिधर उनका सिर रहता है वे उधर ही उसके पीछे चलते हैं और चलते समय वे मुड़ते नहीं।
Chalne ke samay ve apni charon alangon ke bal se chalte hain; aur chalte samay mudte nahi, varan jidhar unka sir rahta hai ve udhar hi uske peechhe chalte hain aur chalte samay ve mudte nahi.
और पीठ हाथ और पंखों समेत करूबों का सारा शरीर और जो पहिये उनके हैं, वे भी सब के सब चारों ओर आंखों से भरे हुए हैं।
Aur peeth haath aur pankhon samet karoobon ka sara shareer aur jo pahiye unke hain, ve bhi sab ke sab charon or aankhon se bhare hue hain.
मेरे सुनते हुए इन पहियों को चक्कर कहा गया, अर्थात घूमने वाले पहिये।
Mere sunte hue in pahiyon ko chakkar kaha gaya, arthaat ghoomne vale pahiye.
और एक एक के चार चार मुख थे; एक मुख तो करूब का सा, दूसरा मनुष्य का सा, तीसरा सिंह का सा, और चौथा उकाब पक्षी का सा।
Aur ek ek ke chaar chaar mukh the; ek mukh to karoob ka sa, doosra manushya ka sa, teesra sinh ka sa, aur chautha ukaab pakshi ka sa.
और करूब भूमि पर से उठ गए। ये वे ही जीवधारी हैं, जो मैं ने कबार नदी के पास देखे थे।
Aur karoob bhoomi par se uth gaye. Ye ve hi jeevdhari hain, jo main ne kabaar nadi ke paas dekhe the.
और जब जब वे करूब चलते थे तब तब वे पहिये उनके पास पास चलते थे; और जब जब करूब पृथ्वी पर से उठने के लिये अपने पंख उठाते तब तब पहिये उनके पास से नहीं मुड़ते थे।
Aur jab jab ve karoob chalte the tab tab ve pahiye unke paas paas chalte the; aur jab jab karoob prithvi par se uthne ke liye apne pankh uthate tab tab pahiye unke paas se nahi mudte the.
जब वे खड़े होते तब ये भी खड़े होते थे; और जब वे उठते तब ये भी उनके संग उठते थे; क्योंकि जीवधारियों की आत्मा इन में भी रहती थी।
Jab ve khade hote tab ye bhi khade hote the; aur jab ve uthte tab ye bhi unke sang uthte the; kyonki jeevdhariyon ki aatma in mein bhi rahti thi.
यहोवा का तेज भवन की डेवढ़ी पर से उठ कर करूबों के ऊपर ठहर गया।
Yahowa ka tej bhavan ki devdhi par se uth kar karoobon ke oopar thahar gaya.
और करूब अपने पंख उठा कर मेरे देखते देखते पृथ्वी पर से उठ कर निकल गए; और पहिये भी उनके संग संग गए, और वे सब यहोवा के भवन के पूवीं फाटक में खड़े हो गए; और इस्राएल के परमेश्वर का तेज उनके ऊपर ठहरा रहा।
Aur karoob apne pankh utha kar mere dekhte dekhte prithvi par se uth kar nikal gaye; aur pahiye bhi unke sang sang gaye, aur ve sab Yahowa ke bhavan ke poovi phatak mein khade ho gaye; aur Israel ke Parmeshwar ka tej unke oopar thahra raha.
ये वे ही जीवधारी हैं जो मैं ने कबार नदी के पास इस्राएल के परमेश्वर के नीचे देखे थे; और मैं ने जान लिया कि वे भी करूब हैं
Ye ve hi jeevdhari hain jo main ne kabaar nadi ke paas Israel ke Parmeshwar ke neeche dekhe the; aur main ne jaan liya ki ve bhi karoob hain
हर एक के चार मुख और चार पंख और पंखों के नीचे मनुष्य के से हाथ भी थे।
Har ek ke chaar mukh aur chaar pankh aur pankhon ke neeche manushya ke se haath bhi the.
और उनके मुखों का रूप वही है जो मैं ने कबार नदी के तीर पर देखा था। और उनके मुख ही क्या वरन उनकी सारी देह भी वैसी ही थी। वे सीधे अपने अपने साम्हने ही चलते थे।
Aur unke mukhon ka roop vahi hai jo main ne kabaar nadi ke teer par dekha tha. Aur unke mukh hi kya varan unki sari deh bhi vaisi hi thi. Ve seedhe apne apne samhane hi chalte the.