Ezekiel 8 · 18 verses

यहेजकेल 8 Ezekiel 8 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahejkel 8.

1

फिर छठवें वर्ष के छठवें महीने के पांचवें दिन को जब मैं अपने घर में बैठा था, और यहूदियों के पुरनिये मेरे साम्हने बैठे थे, तब प्रभु यहोवा की शक्ति वहीं मुझ पर प्रगट हुई।

Phir chhathvein varsh ke chhathvein maheene ke panchvein din ko jab main apne ghar mein baitha tha, aur Yahudiyon ke purniye mere samhane baithe the, tab Prabhu Yahowa ki shakti vahi mujh par pragat hui.

2

और मैं ने देखा कि आग का सा एक रूप दिखाई देता है; उसकी कमर से नीचे की ओर आग है, और उसकी कमर से ऊपर की ओर झलकाए हुए पीतल की झलक सी कुछ है।

Aur main ne dekha ki aag ka sa ek roop dikhai deta hai; uski kamar se neeche ki or aag hai, aur uski kamar se oopar ki or jhalkaye hue peetal ki jhalak si kuchh hai.

3

उसने हाथ सा कुछ बढ़ा कर मेरे सिर के बाल पकड़े; तब आत्मा ने मुझे पृथ्वी और आकाश के बीच में उठा कर परमेश्वर के दिखाए हुए दर्शनों में यरूशलेम के मन्दिर के भीतर, आंगन के उस फाटक के पास पहुचा दिया जिसका मुंह उत्तर की ओर है; और जिस में उस जलन उपजाने वाली प्रतिमा का स्थान था जिसके कारण द्वेष उपजता है।

Usne haath sa kuchh badha kar mere sir ke baal pakde; tab aatma ne mujhe prithvi aur aakaash ke beech mein utha kar Parmeshwar ke dikhaye hue darshanon mein Yerushalem ke mandir ke bheetar, aangan ke us phatak ke paas pahucha diya jiska munh uttar ki or hai; aur jis mein us jalan upjane vali pratima ka sthaan tha jiske karan dwesh upajta hai.

4

फिर वहां इस्राएल के परमेश्वर का तेज वैसा ही था जैसा मैं ने मैदान में देखा था।

Phir vahan Israel ke Parmeshwar ka tej vaisa hi tha jaisa main ne maidaan mein dekha tha.

5

उसने मुझ से कहा, हे मनुष्य के सन्तान, अपनी आंखें उत्तर की ओर उठा कर देख। सो मैं ने अपनी आंखें उत्तर की ओर उठा कर देखा कि वेदी के फाटक की उत्तर की ओर उसके प्रवेश स्थान ही में वह डाह उपजाने वाली प्रतिमा है।

Usne mujh se kaha, he manushya ke santaan, apni aankhein uttar ki or utha kar dekh. So main ne apni aankhein uttar ki or utha kar dekha ki vedi ke phatak ki uttar ki or uske pravesh sthaan hi mein vah daah upjane vali pratima hai.

6

तब उसने मुझ से कहा, हे मनुष्य के सन्तान, क्या तू देखता है कि ये लोग क्या कर रहे हैं? इस्राएल का घराना क्या ही बड़े घृणित काम यहां करता है, ताकि मैं अपने पवित्र स्थान से दूर हो जाऊं; परन्तु तू इन से भी अधिक घृणित काम देखेगा।

Tab usne mujh se kaha, he manushya ke santaan, kya tu dekhta hai ki ye log kya kar rahe hain? Israel ka gharana kya hi bade ghrinit kaam yahan karta hai, taki main apne pavitra sthaan se door ho jaun; parantu tu in se bhi adhik ghrinit kaam dekhega.

7

तब वह मुझे आंगन के द्वार पर ले गया, और मैं ने देखा, कि भीत में एक छेद है।

Tab vah mujhe aangan ke dwaar par le gaya, aur main ne dekha, ki bheet mein ek chhed hai.

8

तब उसने मुझ से कहा, हे मनुष्य के सन्तान, भीत को फोड़; तो मैं ने भीत को फोड़कर क्या देखा कि एक द्वार है

Tab usne mujh se kaha, he manushya ke santaan, bheet ko phod; to main ne bheet ko phodkar kya dekha ki ek dwaar hai

9

उसने मुझ से कहा, भीतर जा कर देख कि ये लोग यहां कैसे कैसे और अति घृणित काम कर रहे हैं।

Usne mujh se kaha, bheetar ja kar dekh ki ye log yahan kaise kaise aur ati ghrinit kaam kar rahe hain.

10

सो मैं ने भीतर जा कर देखा कि चारों ओर की भीत पर जाति जाति के रेंगने वाले जन्तुओं और घृणित पशुओं और इस्राएल के घराने की सब मूरतों के चित्र खिंचे हुए हैं।

So main ne bheetar ja kar dekha ki charon or ki bheet par jati jati ke rengne vale jantuon aur ghrinit pashuon aur Israel ke gharane ki sab moorton ke chitra khinche hue hain.

11

और इस्राएल के घराने के पुरनियों में से सत्तर पुरुष जिन के बीच में शापान का पुत्र याजन्याह भी है, वे उन चित्रों के साम्हने खड़े हैं, और हर एक पुरुष अपने हाथ में धूपदान लिए हुए है; और धूप के धूएं के बादल की सुगन्ध उठ रही है।

Aur Israel ke gharane ke purniyon mein se sattar purush jin ke beech mein shapaan ka putra yajanyaah bhi hai, ve un chitron ke samhane khade hain, aur har ek purush apne haath mein dhoopdaan liye hue hai; aur dhoop ke dhooyen ke badal ki sugandh uth rahi hai.

12

तब उसने मुझ से कहा, हे मनुष्य के सन्तान, क्या तू ने देखा है कि इस्राएल के घराने के पुरनिये अपनी अपनी नक्काशी वाली कोठरियों के भीतर अर्थात अन्धियारे में क्या कर रहे हैं? वे कहते हैं कि यहोवा हम को नहीं देखता; यहोवा ने देश को त्याग दिया है।

Tab usne mujh se kaha, he manushya ke santaan, kya tu ne dekha hai ki Israel ke gharane ke purniye apni apni nakkashi vali kothriyon ke bheetar arthaat andhiyare mein kya kar rahe hain? Ve kahte hain ki Yahowa ham ko nahi dekhta; Yahowa ne desh ko tyaag diya hai.

13

फिर उसने मुझ से कहा, तू इन से और भी अति घृणित काम देखेगा जो वे करते हैं।

Phir usne mujh se kaha, tu in se aur bhi ati ghrinit kaam dekhega jo ve karte hain.

14

तब वह मुझे यहोवा के भवन के उस फाटक के पास ले गया जो उत्तर की ओर था और वहां स्त्रियाँ बैठी हुई तम्मूज के लिये रो रही थीं।

Tab vah mujhe Yahowa ke bhavan ke us phatak ke paas le gaya jo uttar ki or tha aur vahan striyan baithi hui tammooj ke liye ro rahi thi.

15

तब उसने मुझ से कहा, हे मनुष्य के सन्तान, क्या तू ने यह देखा है? फिर इन से भी बड़े घृणित काम तू देखेगा।

Tab usne mujh se kaha, he manushya ke santaan, kya tu ne yah dekha hai? Phir in se bhi bade ghrinit kaam tu dekhega.

16

तब वह मुझे यहोवा के भवन के भीतरी आंगन में ले गया; और वहां यहोवा के भवन के द्वार के पास ओसारे और वेदी के बीच कोई पच्चीस पुरुष अपनी पीठ यहोवा के भवन की ओर और अपने मुख पूर्व की ओर किए हुए थे; और वे पूर्व दिशा की ओर सूर्य को दण्डवत कर रहे थे।

Tab vah mujhe Yahowa ke bhavan ke bheetri aangan mein le gaya; aur vahan Yahowa ke bhavan ke dwaar ke paas osare aur vedi ke beech koi pachchees purush apni peeth Yahowa ke bhavan ki or aur apne mukh poorva ki or kiye hue the; aur ve poorva disha ki or soorya ko dandavat kar rahe the.

17

तब उसने मुझ से कहा, हे मनुष्य के सन्तान, क्या तू ने यह देखा? क्या यहूदा के घराने के लिये घृणित कामों का करना जो वे यहां करते हैं छोटी बात है? उन्होंने अपने देश को उपद्रव से भर दिया, और फिर यहां आकर मुझे रिस दिलाते हैं। वरन वे डाली को अपनी नाक के आगे लिए रहते हैं।

Tab usne mujh se kaha, he manushya ke santaan, kya tu ne yah dekha? Kya Yahuda ke gharane ke liye ghrinit kamon ka karna jo ve yahan karte hain chhoti baat hai? Unhonne apne desh ko upadrav se bhar diya, aur phir yahan aakar mujhe ris dilate hain. Varan ve dali ko apni naak ke aage liye rahte hain.

18

इसलिये मैं भी जलजलाहट के साथ काम करूंगा, न मैं दया करूंगा और न मैं कोमलता करूंगा; और चाहे वे मेरे कानों में ऊंचे शब्द से पुकारें, तौभी मैं उनकी बात न सुनूंगा।

Isliye main bhi jalajlahat ke saath kaam karoonga, na main daya karoonga aur na main komalta karoonga; aur chahe ve mere kanon mein oonche shabd se pukarein, taubhi main unki baat na sunoonga.