फिर यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,
Phir Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,
Ezekiel 7 · 27 verses
फिर यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,
Phir Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,
हे मनुष्य के सन्तान, प्रभु यहोवा इस्राएल की भूमि के विषय में यों कहता है, कि अन्त हुआ; चारों कोनों समेत देश का अन्त आ गया है।
He manushya ke santaan, Prabhu Yahowa Israel ki bhoomi ke vishay mein yon kahta hai, ki ant huaa; charon konon samet desh ka ant aa gaya hai.
तेरा अन्त भी आ गया, और मैं अपना कोप तुझ पर भड़का कर तेरे चालचलन के अनुसार तुझे दण्ड दूंगा; और तेरे सारे घिनौने कामों का फल तुझे दूंगा।
Tera ant bhi aa gaya, aur main apna kop tujh par bhadka kar tere chalachlan ke anusaar tujhe dand doonga; aur tere sare ghinaune kamon ka phal tujhe doonga.
मेरी दयादृष्टि तुझ पर न होगी, और न मैं कोमलता करूंगा; और जब तक तेरे घिनौने पाप तुझ में बने रहेंगे तब तक मैं तेरे चालचलन का फल तुझे दूंगा। तब तू जान लेगा कि मैं यहोवा हूँ।
Meri dayadrishti tujh par na hogi, aur na main komalta karoonga; aur jab tak tere ghinaune paap tujh mein bane rahenge tab tak main tere chalachlan ka phal tujhe doonga. Tab tu jaan lega ki main Yahowa hoon.
प्रभु यहोवा यों कहता है, विपत्ति है, एक बड़ी विपत्ति है! देखो, वह आती है।
Prabhu Yahowa yon kahta hai, vipatti hai, ek badi vipatti hai! Dekho, vah aati hai.
अन्त आ गया है, सब का अन्त आया है; वह तेरे विरुद्ध जागा है। देखो, वह आता है।
Ant aa gaya hai, sab ka ant aaya hai; vah tere viruddh jaga hai. Dekho, vah aata hai.
हे देश के निवासी, तेरे लिये चक्र घूम चुका, समय आ गया, दिन निकट है; पहाड़ों पर आनन्द के शब्द का दिन नहीं, हुल्लड़ ही का होगा।
He desh ke nivasi, tere liye chakra ghoom chuka, samay aa gaya, din nikat hai; pahadon par aanand ke shabd ka din nahi, hullad hi ka hoga.
अब थोड़े दिनों में मैं अपनी जलजलाहट तुझ पर भड़काऊंगा, और तुझ पर पूरा कोप उण्डेलूंगा और तेरे चालचलन के अनुसार तुझे दण्ड दूंगा। और तेरे सारे घिनौने कामों का फल तुझे भुगताऊंगा।
Ab thode dinon mein main apni jalajlahat tujh par bhadkaoonga, aur tujh par poora kop undeloonga aur tere chalachlan ke anusaar tujhe dand doonga. Aur tere sare ghinaune kamon ka phal tujhe bhugtaoonga.
मेरी दयादृष्टि तुझ पर न होगी और न मैं तुझ पर कोमलता करूंगा। मैं तेरी चालचलन का फल तुझे भुगताऊंगा, और तेरे घिनौने पाप तुझ में बने रहेंगे। तब तुम जान लोगे कि मैं यहोवा दण्ड देने वाला हूँ।
Meri dayadrishti tujh par na hogi aur na main tujh par komalta karoonga. Main teri chalachlan ka phal tujhe bhugtaoonga, aur tere ghinaune paap tujh mein bane rahenge. Tab tum jaan loge ki main Yahowa dand dene vala hoon.
देखो, उस दिन को देखो, वह आता है! चक्र घूम चुका, छड़ी फूल चुकी, अभिमान फूला है।
Dekho, us din ko dekho, vah aata hai! Chakra ghoom chuka, chhadi phool chuki, abhimaan phoola hai.
उपद्रव बढ़ते बढ़ते दुष्टता का दण्ड बन गया; उन में से कोई न बचेगा, और न उनकी भीड़-भाड़, न उनके धन में से कुछ रहेगा; और न उन में से किसी के लिये विलाप सुन पड़ेगा।
Upadrav badhte badhte dushtata ka dand ban gaya; un mein se koi na bachega, aur na unki bheed-bhaad, na unke dhan mein se kuchh rahega; aur na un mein se kisi ke liye vilaap sun padega.
समय आ गया, दिन निकट आ गया है; न तो मोल लेने वाला आनन्द करे और न बेचने वाला शोक करे, क्योंकि उनकी सारी भीड़ पर कोप भड़क उठा है।
Samay aa gaya, din nikat aa gaya hai; na to mol lene vala aanand kare aur na bechne vala shok kare, kyonki unki sari bheed par kop bhadak utha hai.
चाहे वे जीवित रहें, तौभी बेचने वाला बेची हुई वस्तु के पास कभी लौटने न पाएगा; क्योंकि दर्शन की यह बात देश की सारी भीड़ पर घटेगी; कोई न लौटेगा; कोई भी मनुष्य, जो अधर्म में जीवित रहता है, बल न पकड़ सकेगा।
Chahe ve jeevit rahein, taubhi bechne vala bechi hui vastu ke paas kabhi lautne na payega; kyonki darshan ki yah baat desh ki sari bheed par ghategi; koi na lautega; koi bhi manushya, jo adharm mein jeevit rahta hai, bal na pakad sakega.
उन्होंने नरसिंगा फूंका और सब कुछ तैयार कर दिया; परन्तु युद्ध में कोई नहीं जाता क्योंकि देश की सारी भीड़ पर मेरा कोप भड़का हुआ है।
Unhonne narsinga phoonka aur sab kuchh taiyaar kar diya; parantu yuddh mein koi nahi jata kyonki desh ki sari bheed par mera kop bhadka huaa hai.
बाहर तलवार और भीतर महंगी और मरी हैं; जो मैदान में हो वह तलवार से मरेगा, और जो नगर में हो वह भूख और मरी से मारा जाएगा।
Bahar talvaar aur bheetar mahangi aur mari hain; jo maidaan mein ho vah talvaar se marega, aur jo nagar mein ho vah bhookh aur mari se mara jayega.
और उन में से जो बच निकलेंगे वे बचेंगे तो सही परन्तु अपने अपने अधर्म में फंसे रहकर तराइयों में रहने वाले कबूतरों की नाईं पहाड़ों के ऊपर विलाप करते रहेंगे।
Aur un mein se jo bach niklenge ve bachenge to sahi parantu apne apne adharm mein phanse rahkar taraiyon mein rahne vale kabootron ki nai pahadon ke oopar vilaap karte rahenge.
सब के हाथ ढीले और सब के घुटने अति निर्बल हो जाएंगे।
Sab ke haath dheele aur sab ke ghutne ati nirbal ho jayenge.
और वे कमर में टाट कसेंगे, और उनके रोए खड़े होंगे; सब के मुंह सूख जाएंगे और सब के सिर मूंड़े जाएंगे।
Aur ve kamar mein taat kasenge, aur unke roye khade honge; sab ke munh sookh jayenge aur sab ke sir moonde jayenge.
वे अपनी चान्दी सड़कों में फेंक देंगे, और उनका सोना अशुद्ध वस्तु ठहरेगा; यहोवा की जलन के दिन उनका सोना चान्दी उन को बचा न सकेगी, न उस से उनका जी सन्तुष्ट होगा, न उनके पेट भरेंगे। क्योंकि वह उनके अधर्म के ठोकर का कारण हुआ है।
Ve apni chandi sadkon mein phenk denge, aur unka sona ashuddh vastu thahrega; Yahowa ki jalan ke din unka sona chandi un ko bacha na sakegi, na us se unka ji santusht hoga, na unke pet bharenge. Kyonki vah unke adharm ke thokar ka karan huaa hai.
उनका देश जो शोभायमान और शिरोमणि था, उसके विषय में उन्होंने गर्व ही गर्व कर के उस में अपनी घृणित वस्तुओं की मूरतें, और घृणित वस्तुएं बना रखीं, इस कारण मैं ने उसे उनके लिये अशुद्ध वस्तु ठहराया है।
Unka desh jo shobhaymaan aur shiromni tha, uske vishay mein unhonne garva hi garva kar ke us mein apni ghrinit vastuon ki moortein, aur ghrinit vastuein bana rakhi, is karan main ne use unke liye ashuddh vastu thahraya hai.
और मैं उसे लूटने के लिये परदेशियों के हाथ, और धन छीनने के लिये पृथ्वी के दुष्ट लोगों के वश में कर दूंगा; और वे उसे अपवित्र कर डालेंगे।
Aur main use lootne ke liye pardeshiyon ke haath, aur dhan chheenne ke liye prithvi ke dusht logon ke vash mein kar doonga; aur ve use apvitra kar dalenge.
मैं उन से मुंह फेर लूंगा, तब वे मेरे रक्षित स्थान को अपवित्र करेंगे; डाकू उस में घुस कर उसे अपवित्र करेंगे;
Main un se munh pher loonga, tab ve mere rakshit sthaan ko apvitra karenge; daku us mein ghus kar use apvitra karenge;
एक सांकल बना दे, क्योंकि देश अन्याय की हत्या से, और नगर उपद्रव से भरा हुआ है।
Ek sankal bana de, kyonki desh anyaay ki hatya se, aur nagar upadrav se bhara huaa hai.
मैं अन्यजातियों के बुरे से बुरे लोगों को लाऊंगा, जो उनके घरों के स्वामी हो जाएंगे; और मैं सामर्थियों का गर्व तोड़ दूंगा और उनके पवित्र स्थान अपवित्र किए जाएंगे।
Main anyajatiyon ke bure se bure logon ko laoonga, jo unke gharon ke swami ho jayenge; aur main samarthiyon ka garva tod doonga aur unke pavitra sthaan apvitra kiye jayenge.
सत्यानाश होने पर है तब ढूंढ़ने पर भी उन्हें शान्ति न मिलेगी।
Satyanaash hone par hai tab dhoondhne par bhi unhein shanti na milegi.
विपत्ति पर विपत्ति आएगी और उड़ती हुई चर्चा पर चर्चा सुनाई पड़ेगी; और लोग भविष्यद्वक्ता से दर्शन की बात पूछेंगे, परन्तु याजक के पास से व्यवस्था, और पुरनिये के पास से सम्मति देने की शक्ति जाती रहेगी।
Vipatti par vipatti aayegi aur udti hui charcha par charcha sunai padegi; aur log bhavishyadwakta se darshan ki baat poochhenge, parantu yajak ke paas se vyavastha, aur purniye ke paas se sammati dene ki shakti jati rahegi.
राजा तो शोक करेगा, और रईस उदासी रूपी वस्त्र पहिनेंगे, और देश के लोगों के हाथ ढीले पड़ेंगे। मैं उनके चलन के अनुसार उन से बर्ताव करूंगा, और उनकी कमाई के समान उन को दण्ड दूंगा; तब वे जान लेंगे कि मैं यहोवा हूँ।
Raja to shok karega, aur rais udasi roopi vastra pahinenge, aur desh ke logon ke haath dheele padenge. Main unke chalan ke anusaar un se bartaav karoonga, aur unki kamai ke samaan un ko dand doonga; tab ve jaan lenge ki main Yahowa hoon.