Ezekiel 48 · 35 verses

यहेजकेल 48 Ezekiel 48 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahejkel 48.

1

गोत्रें के भाग ये हों; उत्तर सिवाने से लगा हुआ हेतलोन के मार्ग के पास से हमात की घाटी तक, और दमिश्क के सिवाने के पास के हमरेनान से उत्तर ओर हमात के पास तक एक भाग दान का हो; और उसके पूवीं और पश्चिमी सिवाने भी हों।

Gotrein ke bhaag ye hon; uttar sivane se laga huaa hetlon ke maarg ke paas se hamaat ki ghati tak, aur damishk ke sivane ke paas ke hamrenaan se uttar or hamaat ke paas tak ek bhaag daan ka ho; aur uske poovi aur pashchimi sivane bhi hon.

2

दान के सिवाने से लगा हुआ पूर्व से पश्चिम तक आशेर का एक भाग हो।

Daan ke sivane se laga huaa poorva se pashchim tak aasher ka ek bhaag ho.

3

आशेर के सिवाने से लगा हुआ, पूर्व से पश्चिम तक नप्ताली का एक भाग हो।

Aasher ke sivane se laga huaa, poorva se pashchim tak naptali ka ek bhaag ho.

4

नप्ताली के सिवाने से लगा हुआ पूर्व से पश्चिम तक मनश्शे का एक भाग।

Naptali ke sivane se laga huaa poorva se pashchim tak manashshe ka ek bhaag.

5

मनश्शे के सिवाने से लगा हुआ पूर्व से पच्छिम तक एप्रैम का एक भाग हो।

Manashshe ke sivane se laga huaa poorva se pachchhim tak epraim ka ek bhaag ho.

6

एप्रैम के सिवाने से लगा हुआ पूर्व से पच्छिम तक रूबेन का एक भाग हो।

Epraim ke sivane se laga huaa poorva se pachchhim tak rooben ka ek bhaag ho.

7

और रूबेन के सिवाने से लगा हुआ, पूर्व से पच्छिम तक यहूदा का एक भाग हो।

Aur rooben ke sivane se laga huaa, poorva se pachchhim tak Yahuda ka ek bhaag ho.

8

यहूदा के सिवाने से लगा हुआ पूर्व से पच्छिम तक वह अर्पण किया हुआ भाग हो, जिसे तुम्हें अर्पण करना होगा, वह पच्चीस हजार बांस चौड़ा और पूर्व से पच्छिम तक किसी एक गोत्र के भाग के तुल्य लम्बा हो, और उसके बीच में पवित्र स्थान हो।

Yahuda ke sivane se laga huaa poorva se pachchhim tak vah arpan kiya huaa bhaag ho, jise tumhein arpan karna hoga, vah pachchees hajaar baans chauda aur poorva se pachchhim tak kisi ek gotra ke bhaag ke tulya lamba ho, aur uske beech mein pavitra sthaan ho.

9

जो भाग तुम्हें यहोवा को अर्पण करना होगा, उसकी लम्बाई पच्चीस हजार बांस और चौड़ाई दस हजार बांस की हो।

Jo bhaag tumhein Yahowa ko arpan karna hoga, uski lambai pachchees hajaar baans aur chaudai das hajaar baans ki ho.

10

यह अर्पण किया हुआ पवित्र भाग याजकों को मिले; वह उत्तर ओर पच्चीस हजार बांस लम्बा, पच्छिम ओर दस हजार बांस चौड़ा, पूर्व ओर दस हजार बांस चौड़ा और दक्खिन ओर पच्चीस हजार बांस लम्बा हो; और उस के बीचों-बीच यहोवा का पवित्र स्थान हो।

Yah arpan kiya huaa pavitra bhaag yajkon ko mile; vah uttar or pachchees hajaar baans lamba, pachchhim or das hajaar baans chauda, poorva or das hajaar baans chauda aur dakkhin or pachchees hajaar baans lamba ho; aur us ke beechon-beech Yahowa ka pavitra sthaan ho.

11

यह विशेष पवित्र भाग सादोक की सन्तान के उन याजकों का हो जो मेरी आज्ञाओं को पालते रहे, और इस्राएलियों के भटक जाने के समय लेवियों की नाईं न भटके थे।

Yah vishesh pavitra bhaag sadok ki santaan ke un yajkon ka ho jo meri aagyaon ko palte rahe, aur Israeliyon ke bhatak jane ke samay leviyon ki nai na bhatke the.

12

सो देश के अर्पण किए हुए भाग में से यह उनके लिये अर्पण किया हुआ भाग, अर्थात् परमपवित्र देश ठहरे; और लेवियों के सिवाने से लगा रहे।

So desh ke arpan kiye hue bhaag mein se yah unke liye arpan kiya huaa bhaag, arthaat parmapvitra desh thahre; aur leviyon ke sivane se laga rahe.

13

और याजकों के सिवाने से लगा हुआ लेवियों का भाग हो, वह पच्चीस हजार बांस लम्बा और दस हजार बांस चौड़ा हो। सारी लम्बाई पच्चीस हजार बांस की और चौड़ाई दस हजार बांस की हो।

Aur yajkon ke sivane se laga huaa leviyon ka bhaag ho, vah pachchees hajaar baans lamba aur das hajaar baans chauda ho. Sari lambai pachchees hajaar baans ki aur chaudai das hajaar baans ki ho.

14

वे उस में से न तो कुछ बेचें, न दूसरी भूमि से बदलें; और न भूमि की पहिली उपज और किसी को दी जाए। क्योंकि वह यहोवा के लिये पवित्र है।

Ve us mein se na to kuchh bechein, na doosri bhoomi se badlein; aur na bhoomi ki pahili upaj aur kisi ko di jaye. Kyonki vah Yahowa ke liye pavitra hai.

15

और चौड़ाई के पच्चीस हजार बांस के साम्हने जो पांच हजार बचा रहेगा, वह नगर और बस्ती और चराई के लिये साधारण भाग हो; और नगर उसके बीच में हो।

Aur chaudai ke pachchees hajaar baans ke samhane jo paanch hajaar bacha rahega, vah nagar aur basti aur charai ke liye sadharan bhaag ho; aur nagar uske beech mein ho.

16

और नगर की यह माप हो, अर्थात उत्तर, दक्खिन, पूर्व और पच्छिम ओर साढ़े चार चार हजार हाथ।

Aur nagar ki yah maap ho, arthaat uttar, dakkhin, poorva aur pachchhim or sadhe chaar chaar hajaar haath.

17

और नगर के पास उत्तर, दक्खिन, पूर्व, पच्छिम, चराइयां हों जो अढ़ाई अढ़ाई सौ बांस चौड़ी हों।

Aur nagar ke paas uttar, dakkhin, poorva, pachchhim, charaiyan hon jo adhai adhai sau baans chaudi hon.

18

और अर्पण किए हुए पवित्र भाग के पास की लम्बाई में से जो कुछ बचे, अर्थात पूर्व और पच्छिम दोनों ओर दस दस बांस जो अर्पण किए हुए भाग के पास हो, उसकी उपज नगर में परिश्रम करने वालों के खाने के लिये हो।

Aur arpan kiye hue pavitra bhaag ke paas ki lambai mein se jo kuchh bache, arthaat poorva aur pachchhim donon or das das baans jo arpan kiye hue bhaag ke paas ho, uski upaj nagar mein parishram karne valon ke khane ke liye ho.

19

और इस्राएल के सारे गोत्रों में से जो नगर में परिश्रम करें, वे उसकी खेती किया करें।

Aur Israel ke sare gotron mein se jo nagar mein parishram karein, ve uski kheti kiya karein.

20

सारा अर्पण किया हुआ भाग पच्चीस हजार बांस लम्बा और पच्चीस हजार बांस चौड़ा हो; तुम्हें चौकोना पवित्र भाग अर्पण करना होगा जिस में नगर की विशेष भूमि हो।

Sara arpan kiya huaa bhaag pachchees hajaar baans lamba aur pachchees hajaar baans chauda ho; tumhein chaukona pavitra bhaag arpan karna hoga jis mein nagar ki vishesh bhoomi ho.

21

और जो भाग रह जाए, वह प्रधान को मिले। पवित्र अर्पण किए हुए भाग की, और नगर की विशेष भूमि की दोनों ओर अर्थात उनकी पूर्व और पच्छिम अलंगों के पच्चीस पच्चीस हजार बांस की चौड़ाई के पास, जो ओर गोत्रों के भागों के पास रहे, वह प्रधान को मिले। और अर्पण किया हुआ पवित्र भाग और भवन का पवित्र स्थान उनके बीच में हो।

Aur jo bhaag rah jaye, vah pradhaan ko mile. Pavitra arpan kiye hue bhaag ki, aur nagar ki vishesh bhoomi ki donon or arthaat unki poorva aur pachchhim alangon ke pachchees pachchees hajaar baans ki chaudai ke paas, jo or gotron ke bhagon ke paas rahe, vah pradhaan ko mile. Aur arpan kiya huaa pavitra bhaag aur bhavan ka pavitra sthaan unke beech mein ho.

22

जो प्रधान का भाग होगा, वह लेवियों के बीच और नगरों की विशेष भूमि हो। प्रधान का भाग यहूदा और बिन्यामीन के सिवाने के बीच में हो।

Jo pradhaan ka bhaag hoga, vah leviyon ke beech aur nagron ki vishesh bhoomi ho. Pradhaan ka bhaag Yahuda aur binyameen ke sivane ke beech mein ho.

23

अन्य गोत्रों के भाग इस प्रकार हों: पूर्व से पच्छिम तक बिन्यामीन का एक भाग हो।

Anya gotron ke bhaag is prakaar hon: poorva se pachchhim tak binyameen ka ek bhaag ho.

24

बिन्यामीन के सिवाने से लगा हुआ पूर्व से पच्छिम तक शिमोन का एक भाग।

Binyameen ke sivane se laga huaa poorva se pachchhim tak shimon ka ek bhaag.

25

शिमोन के सिवाने से लगा हुआ पूर्व से पच्छिम तक इस्साकार का एक भाग।

Shimon ke sivane se laga huaa poorva se pachchhim tak issakaar ka ek bhaag.

26

इस्साकार के सिवाने से लगा हुआ पूर्व से पच्छिम तक जबूलून का एक भाग।

Issakaar ke sivane se laga huaa poorva se pachchhim tak jabooloon ka ek bhaag.

27

जबूलून के सिवाने से लगा हुआ पूर्व से पच्छिम तक गाद का एक भाग।

Jabooloon ke sivane se laga huaa poorva se pachchhim tak gaad ka ek bhaag.

28

और गाद के सिवाने के पास दक्खिन ओर का सिवाना तामार से ले कर कादेश के मरीबोत नाम सोते तक, और मिस्र के नाले ओर महासागर तक पहुंचे।

Aur gaad ke sivane ke paas dakkhin or ka sivana tamaar se le kar kadesh ke mareebot naam sote tak, aur Misr ke nale or mahasagar tak pahunche.

29

जो देश तुम्हें इस्राएल के गोत्रों को बांटना होगा वह यही है, और उनके भाग भी ये ही हैं, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है।

Jo desh tumhein Israel ke gotron ko bantna hoga vah yahi hai, aur unke bhaag bhi ye hi hain, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.

30

नगर के निकास ये हों, अर्थात उत्तर की अलंग जिसकी लम्बाई साढ़े चार हजार बांस की हो।

Nagar ke nikaas ye hon, arthaat uttar ki alang jiski lambai sadhe chaar hajaar baans ki ho.

31

उस में तीन फाटक हों, अर्थात एक रूबेन का फाटक, एक यहूदा का फाटक, और एक लेवी का फाटक हो; क्योंकि नगर के फाटकों के नाम इस्राएल के गोत्रों के नामों पर रखने होंगे।

Us mein teen phatak hon, arthaat ek rooben ka phatak, ek Yahuda ka phatak, aur ek levi ka phatak ho; kyonki nagar ke phatkon ke naam Israel ke gotron ke namon par rakhne honge.

32

और पूरब की अलंग साढ़े चार हजार बांस लम्बी जो, और उस में तीन फाटक हों; अर्थात एक यूसुफ का फाटक, एक बिन्यामीन का फाटक, और एक दान का फाटक हो।

Aur poorab ki alang sadhe chaar hajaar baans lambi jo, aur us mein teen phatak hon; arthaat ek Yusuf ka phatak, ek binyameen ka phatak, aur ek daan ka phatak ho.

33

और दक्खिन की अलंग साढ़े चार हजार बांस लम्बी हो, और उस में तीन फाटक हों; अर्थात एक शिमोन का फाटक, एक इस्साकार का फाटक, और एक जबूलून का फाटक हो।

Aur dakkhin ki alang sadhe chaar hajaar baans lambi ho, aur us mein teen phatak hon; arthaat ek shimon ka phatak, ek issakaar ka phatak, aur ek jabooloon ka phatak ho.

34

और पश्चिम की अलंग साढ़े चार हजार बांस लम्बी हो, और उस में तीन फाटक हों; अर्थात एक गाद का फाटक, एक आशेर का फाटक और नप्ताली का फाटक हो।

Aur pashchim ki alang sadhe chaar hajaar baans lambi ho, aur us mein teen phatak hon; arthaat ek gaad ka phatak, ek aasher ka phatak aur naptali ka phatak ho.

35

नगर की चारों अलंगों का घेरा अठारह हजार बांस का हो, और उस दिन से आगे को नगर का नाम “यहोवा शाम्मा” रहेगा।

Nagar ki charon alangon ka ghera atharah hajaar baans ka ho, aur us din se aage ko nagar ka naam “Yahowa shamma” rahega.