Daniel 1 · 21 verses

दानिय्येल 1 Daniel 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Daniyyel 1.

1

यहूदा के राजा यहोयाकीम के राज्य के तीसरे वर्ष में बाबुल के राजा नबूकदनेस्सर ने यरूशलेम पर चढ़ाई कर के उसको घेर लिया।

Yahuda ke raja yahoyakeem ke rajya ke teesre varsh mein babul ke raja nabookadnessar ne Yerushalem par chadhai kar ke usko gher liya.

2

तब परमेश्वर ने यहूदा के राजा यहोयाकीम को परमेश्वर के भवन के कई पात्रों सहित उसके हाथ में कर दिया; और उसने उन पात्रों को शिनार देश में अपने देवता के मन्दिर में ले जा कर, अपने देवता के भण्डार में रख दिया।

Tab Parmeshwar ne Yahuda ke raja yahoyakeem ko Parmeshwar ke bhavan ke kai patron sahit uske haath mein kar diya; aur usne un patron ko shinaar desh mein apne devta ke mandir mein le ja kar, apne devta ke bhandaar mein rakh diya.

3

तब उस राजा ने अपने खोजों के प्रधान अशपनज को आज्ञा दी कि इस्राएली राजपुत्रों और प्रतिष्ठित पुरूषों में से ऐसे कई जवानों को ला,

Tab us raja ne apne khojon ke pradhaan ashapnaj ko aagya di ki Israeli rajputron aur pratishthit purooshon mein se aise kai javanon ko la,

4

जो निर्दोष, सुन्दर और सब प्रकार की बुद्धि में प्रवीण, और ज्ञान में निपुण और विद्वान् और राजमन्दिर में हाजिर रहने के योग्य हों; और उन्हें कसदियों के शास्त्र और भाषा की शिक्षा दे।

Jo nirdosh, sundar aur sab prakaar ki buddhi mein praveen, aur gyaan mein nipun aur vidwaan aur rajmandir mein hajir rahne ke yogya hon; aur unhein kasdiyon ke shastra aur bhasha ki shiksha de.

5

और राजा ने आज्ञा दी कि उसके भोजन और पीने के दाखमधु में से उन्हें प्रतिदिन खाने-पीने को दिया जाए। इस प्रकार तीन वर्ष तक उनका पालन पोषण होता रहे; तब उसके बाद वे राजा के साम्हने हाजिर किए जाएं।

Aur raja ne aagya di ki uske bhojan aur peene ke dakhamdhu mein se unhein pratidin khane-peene ko diya jaye. Is prakaar teen varsh tak unka palan poshan hota rahe; tab uske baad ve raja ke samhane hajir kiye jayen.

6

उन में यहूदा की सन्तान से चुने हुए, दानिय्येल, हनन्याह, मीशाएल, और अजर्याह नाम यहूदी थे।

Un mein Yahuda ki santaan se chune hue, daniyyel, hananyaah, meeshayel, aur ajaryaah naam Yahudi the.

7

और खोजों के प्रधान ने उनके दूसरे नाम रखे; अर्थात दानिय्येल का नाम उसने बेलतशस्सर, हनन्याह का शद्रक, मीशाएल का मेशक, और अजर्याह का नाम अबेदनगो रखा॥

Aur khojon ke pradhaan ne unke doosre naam rakhe; arthaat daniyyel ka naam usne belatshassar, hananyaah ka shadrak, meeshayel ka meshak, aur ajaryaah ka naam abedango rakha.

8

परन्तु दानिय्येल ने अपने मन में ठान लिया कि वह राजा का भोजन खाकर, और उसके पीने का दाखमधु पीकर अपवित्र न होए; इसलिये उसने खोजों के प्रधान से बिनती की कि उसे अपवित्र न होना पड़े।

Parantu daniyyel ne apne man mein thaan liya ki vah raja ka bhojan khakar, aur uske peene ka dakhamdhu peekar apvitra na hoye; isliye usne khojon ke pradhaan se binti ki ki use apvitra na hona pade.

9

परमेश्वर ने खोजों के प्रधान के मन में दानिय्येल के प्रति कृपा और दया भर दी।

Parmeshwar ne khojon ke pradhaan ke man mein daniyyel ke prati kripa aur daya bhar di.

10

और खोजों के प्रधान ने दानिय्येल से कहा, मैं अपने स्वामी राजा से डरता हूं, क्योंकि तुम्हारा खाना-पीना उसी ने ठहराया है, कहीं ऐसा न हो कि वह तेरा मुंह तेरे संगी के जवानों से उतरा हुआ और उदास देखे और तुम मेरा सिर राजा के साम्हने जाखिम में डालो।

Aur khojon ke pradhaan ne daniyyel se kaha, main apne swami raja se darta hoon, kyonki tumhara khana-peena usi ne thahraya hai, kahi aisa na ho ki vah tera munh tere sangi ke javanon se utra huaa aur udaas dekhe aur tum mera sir raja ke samhane jakhim mein dalo.

11

तब दानिय्येल ने उस मुखिये से, जिस को खोजों के प्रधान ने दानिय्येल, हनन्याह, मीशाएल, और अजर्याह के ऊपर देखभाल करने के लिये नियुक्त किया था, कहा,

Tab daniyyel ne us mukhiye se, jis ko khojon ke pradhaan ne daniyyel, hananyaah, meeshayel, aur ajaryaah ke oopar dekhbhaal karne ke liye niyukt kiya tha, kaha,

12

मैं तेरी बिनती करता हूं, अपने दासों को दस दिन तक जांच, हमारे खाने के लिये सागपात और पीने के लिये पानी ही दिया जाए।

Main teri binti karta hoon, apne dason ko das din tak jaanch, hamare khane ke liye sagpaat aur peene ke liye pani hi diya jaye.

13

फिर दस दिन के बाद हमारे मुंह और जो जवान राजा का भोजन खाते हैं उनके मुंह को देख; और जैसा तुझे देख पड़े, उसी के अनुसार अपने दासों से व्यवहार करना।

Phir das din ke baad hamare munh aur jo javaan raja ka bhojan khate hain unke munh ko dekh; aur jaisa tujhe dekh pade, usi ke anusaar apne dason se vyavhaar karna.

14

उनकी यह बिनती उसने मान ली, और दास दिन तक उन को जांचता रहा।

Unki yah binti usne maan li, aur daas din tak un ko janchta raha.

15

दस दिन के बाद उनके मुंह राजा के भोजन के खाने वाले सब जवानों से अधिक अच्छे और चिकने देख पड़े।

Das din ke baad unke munh raja ke bhojan ke khane vale sab javanon se adhik achchhe aur chikne dekh pade.

16

तब वह मुखिया उनका भोजन और उनके पीने के लिये ठहराया हुआ दाखमधु दोनों छुड़ा कर, उन को सागपात देने लगा॥

Tab vah mukhiya unka bhojan aur unke peene ke liye thahraya huaa dakhamdhu donon chhuda kar, un ko sagpaat dene laga.

17

और परमेश्वर ने उन चारों जवानों को सब शास्त्रों, और सब प्रकार की विद्याओं में बुद्धिमानी और प्रवीणता दी; और दानिय्येल सब प्रकार के दर्शन और स्वपन के अर्थ का ज्ञानी हो गया।

Aur Parmeshwar ne un charon javanon ko sab shastron, aur sab prakaar ki vidyaon mein buddhimani aur praveenta di; aur daniyyel sab prakaar ke darshan aur swapan ke arth ka gyani ho gaya.

18

तब जितने दिन के बाद नबूकदनेस्सर राजा ने जवानों को भीतर ले आने की आज्ञा दी थी, उतने दिन के बीतने पर खोजों का प्रधान उन्हें उसके सामने ले गया।

Tab jitne din ke baad nabookadnessar raja ne javanon ko bheetar le aane ki aagya di thi, utne din ke beetne par khojon ka pradhaan unhein uske samne le gaya.

19

और राजा उन से बातचीत करने लगा; और दानिय्येल, हनन्याह, मीशाएल, और अजर्याह के तुल्य उन सब में से कोई न ठहरा; इसलिये वे राजा के सम्मुख हाजिर रहने लगे।

Aur raja un se batcheet karne laga; aur daniyyel, hananyaah, meeshayel, aur ajaryaah ke tulya un sab mein se koi na thahra; isliye ve raja ke sammukh hajir rahne lage.

20

और बुद्धि और हर प्रकार की समझ के विषय में जो कुछ राजा उन से पूछता था उस में वे राज्य भर के सब ज्योतिषयों और तन्त्रियों से दस गुणे निपुण ठहरते थे।

Aur buddhi aur har prakaar ki samajh ke vishay mein jo kuchh raja un se poochhta tha us mein ve rajya bhar ke sab jyotishyon aur tantriyon se das gune nipun thaharte the.

21

और दानिय्येल कुस्रू राजा के पहिले वर्ष तक बना रहा॥

Aur daniyyel kusru raja ke pahile varsh tak bana raha.