Ezekiel 44 · 31 verses

यहेजकेल 44 Ezekiel 44 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahejkel 44.

1

फिर वह मुझे पवित्र स्थान के उस बाहरी फाटक के पास लौटा ले गया, जो पूर्वमुखी है; और वह बन्द था।

Phir vah mujhe pavitra sthaan ke us bahri phatak ke paas lauta le gaya, jo poorvamukhi hai; aur vah band tha.

2

तब यहोवा ने मुझ से कहा, यह फाटक बन्द रहे और खेला न जाए; कोई इस से हो कर भीतर जाने न पाए; क्योंकि इस्राएल का परमेश्वर यहोवा इस से हो कर भीतर आया है; इस कारण यह बन्द रहे।

Tab Yahowa ne mujh se kaha, yah phatak band rahe aur khela na jaye; koi is se ho kar bheetar jane na paye; kyonki Israel ka Parmeshwar Yahowa is se ho kar bheetar aaya hai; is karan yah band rahe.

3

केवल प्रधान ही, प्रधान होने के कारण, मेरे साम्हने भोजन करने को वहां बैठेगा; वह फाटक के ओसारे से हो कर भीतर जाए, और इसी से हो कर निकले।

Keval pradhaan hi, pradhaan hone ke karan, mere samhane bhojan karne ko vahan baithega; vah phatak ke osare se ho kar bheetar jaye, aur isi se ho kar nikle.

4

फिर वह उत्तरी फाटक के पास हो कर मुझे भवन के साम्हने ले गया; तब मैं ने देखा कि यहोवा का भवन यहोवा के तेज से भर गया है; और मैं मुंह के बल गिर पड़ा।

Phir vah uttari phatak ke paas ho kar mujhe bhavan ke samhane le gaya; tab main ne dekha ki Yahowa ka bhavan Yahowa ke tej se bhar gaya hai; aur main munh ke bal gir pada.

5

तब यहोवा ने मुझ से कहा, हे मनुष्य के सन्तान, ध्यान देकर अपनी आंखों से देख, और जो कुछ मैं तुझ से अपने भवन की सब विधियों और नियमों के विषय में कहूं, वह सब अपने कानों से सुन; और भवन के पैठाव और पवित्र स्थान के सब निकासों पर ध्यान दे।

Tab Yahowa ne mujh se kaha, he manushya ke santaan, dhyaan dekar apni aankhon se dekh, aur jo kuchh main tujh se apne bhavan ki sab vidhiyon aur niymon ke vishay mein kahun, vah sab apne kanon se sun; aur bhavan ke paithaav aur pavitra sthaan ke sab nikason par dhyaan de.

6

और उन बलवाइयों अर्थात इस्राएल के घराने से कहना, परमेश्वर यहोवा यों कहता है, हे इस्राएल के घराने, अपने सब घृणित कामों से अब हाथ उठा।

Aur un balvaiyon arthaat Israel ke gharane se kahna, Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, he Israel ke gharane, apne sab ghrinit kamon se ab haath utha.

7

जब तुम मेरा भोजन अर्थात चर्बी और लोहू चढ़ाते थे, तब तुम बिराने लोगों को जो मन और तन दोनों के खतनाहीन थे, मेरे पवित्रस्थान में आने देते थे कि वे मेरा भवन अपवित्र करें; और उन्होंने मेरी वाचा को तोड़ दिया जिस से तुम्हारे सब घृणित काम बढ़ गए।

Jab tum mera bhojan arthaat charbi aur lohu chadhate the, tab tum birane logon ko jo man aur tan donon ke khatnaheen the, mere pavitrasthaan mein aane dete the ki ve mera bhavan apvitra karein; aur unhonne meri vacha ko tod diya jis se tumhare sab ghrinit kaam badh gaye.

8

और तूम ने मेरी पवित्र वस्तुओं की रक्षा न की, परन्तु तुम ने अपने ही मन से अन्य लोगों को मेरे पवित्र स्थान में मेरी वस्तुओं की रक्षा करने वाले ठहराया।

Aur toom ne meri pavitra vastuon ki raksha na ki, parantu tum ne apne hi man se anya logon ko mere pavitra sthaan mein meri vastuon ki raksha karne vale thahraya.

9

इसलिये परमेश्वर यहोवा यों कहता है, कि इस्राएलियों के बीच जितने अन्य लोग हों, जो मन और तन दोनों के खतनाहीन हैं, उन में से कोई मेरे पवित्र स्थान में न आने पाए।

Isliye Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, ki Israeliyon ke beech jitne anya log hon, jo man aur tan donon ke khatnaheen hain, un mein se koi mere pavitra sthaan mein na aane paye.

10

परन्तु लेवीय लोग जो उस समय मुझ से दूर हो गए थे, जब इस्राएली लोग मुझे छोड़ कर अपनी मूरतों के पीछे भटक गए थे, वे अपने अधर्म का भार उठाएंगे।

Parantu leveeya log jo us samay mujh se door ho gaye the, jab Israeli log mujhe chhod kar apni moorton ke peechhe bhatak gaye the, ve apne adharm ka bhaar uthayenge.

11

परन्तु वे मेरे पवित्रस्थान में टहलुए हो कर भवन के फाटकों का पहरा देने वाले और भवन के टहलुए रहें; वे होमबलि और मेलबलि के पशु लोगों के लिये वध करें, और उनकी सेवा टहल करने को उनके साम्हने खड़े हुआ करें।

Parantu ve mere pavitrasthaan mein tahlue ho kar bhavan ke phatkon ka pahra dene vale aur bhavan ke tahlue rahein; ve homabli aur melabli ke pashu logon ke liye vadh karein, aur unki seva tahal karne ko unke samhane khade huaa karein.

12

क्योंकि इस्राएल के घराने की सेवा टहल वे उनकी मूरतों के साम्हने करते थे, और उनके ठोकर खाने और अधर्म में फंसने का कारण हो गए थे; इस कारण मैं ने उनके विषय में शपथ खाई है कि वे अपने अधर्म का भार उठाएं, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है।

Kyonki Israel ke gharane ki seva tahal ve unki moorton ke samhane karte the, aur unke thokar khane aur adharm mein phansne ka karan ho gaye the; is karan main ne unke vishay mein shapath khai hai ki ve apne adharm ka bhaar uthayen, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.

13

वे मेरे समीप न आएं, और न मेरे लिये याजक का काम करें; और न मेरी किसी पवित्र वस्तु, वा किसी परमपवित्र वस्तु को छूने पाएं; वे अपनी लज्जा का और जो घृणित काम उन्होंने किए, उनका भी भार उठाएं। तौभी मैं उन्हें भवन में की सौंपी हुई वस्तुओं का रक्षक ठहराऊंगा;

Ve mere sameep na aayen, aur na mere liye yajak ka kaam karein; aur na meri kisi pavitra vastu, va kisi parmapvitra vastu ko chhoone payen; ve apni lajja ka aur jo ghrinit kaam unhonne kiye, unka bhi bhaar uthayen. Taubhi main unhein bhavan mein ki saumpi hui vastuon ka rakshak thahraoonga;

14

उस में सेवा का जितना काम हो, और जो कुछ उस में करना हो, उसके करने वाले वे ही हों

Us mein seva ka jitna kaam ho, aur jo kuchh us mein karna ho, uske karne vale ve hi hon

15

फिर लेवीय याजक जो सादोक की सन्तान हैं, और जिन्होंने उस समय मेरे पवित्र स्थान की रक्षा की जब इस्राएली मेरे पास से भटक गए थे, वे मेरी सेवा टहल करने को मेरे समीप आया करें, और मुझे चर्बी और लोहू चढ़ाने को मेरे सम्मुख खड़े हुआ करें, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है।

Phir leveeya yajak jo sadok ki santaan hain, aur jinhonne us samay mere pavitra sthaan ki raksha ki jab Israeli mere paas se bhatak gaye the, ve meri seva tahal karne ko mere sameep aaya karein, aur mujhe charbi aur lohu chadhane ko mere sammukh khade huaa karein, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.

16

वे मेरे पवित्र स्थान में आया करें, और मेरी मेज़ के पास मेरी सेवा टहल करने को आएं और मेरी वस्तुओं की रक्षा करें।

Ve mere pavitra sthaan mein aaya karein, aur meri mez ke paas meri seva tahal karne ko aayen aur meri vastuon ki raksha karein.

17

और जब वे भीतरी आंगन के फाटकों से हो कर जाया करें, तब सन के वस्त्र पहिने हुए जाएं, और जब वे भीतरी आंगन के फाटकों में वा उसके भीतर सेवा टहल करते हों, तब कुछ ऊन के वस्त्र न पहिनें।

Aur jab ve bheetri aangan ke phatkon se ho kar jaya karein, tab san ke vastra pahine hue jayen, aur jab ve bheetri aangan ke phatkon mein va uske bheetar seva tahal karte hon, tab kuchh oon ke vastra na pahinein.

18

वे सिर पर सन की सुन्दर टोपियां पहिनें और कमर में सन की जांघिया बान्धें हों; किसी ऐसे कपड़े से वे कमर न बांधें जिस से पसीना होता है।

Ve sir par san ki sundar topiyan pahinein aur kamar mein san ki janghiya bandhein hon; kisi aise kapde se ve kamar na bandhein jis se paseena hota hai.

19

और जब वे बाहरी आंगन में लोगों के पास निकलें, तब जो वस्त्र पहिने हुए वे सेवा टहल करते थे, उन्हें उतार कर और पवित्र कोठरियों में रख कर दूसरे वस्त्र पहिनें, जिस से लोग उनके वस्त्रों के कारण पवित्र न ठहरें।

Aur jab ve bahri aangan mein logon ke paas niklein, tab jo vastra pahine hue ve seva tahal karte the, unhein utaar kar aur pavitra kothriyon mein rakh kar doosre vastra pahinein, jis se log unke vastron ke karan pavitra na thahrein.

20

और न तो वे सिर मुण्डाएं, और न बाल लम्बे होने दें; वे केवल अपने बाल कटाएं।

Aur na to ve sir mundayen, aur na baal lambe hone dein; ve keval apne baal katayen.

21

और भीतरी आंगन में जाने के समय कोई याजक दाखमधु न पीए।

Aur bheetri aangan mein jane ke samay koi yajak dakhamdhu na peeye.

22

वे विधवा वा छोड़ी हुई स्त्री को ब्याह न लें; केवल इस्राएल के घराने के वंश में से कुंवारी वा ऐसी विधवा ब्याह लें जो किसी याजक की स्त्री हुई हो।

Ve vidhva va chhodi hui stri ko byaah na lein; keval Israel ke gharane ke vansh mein se kunvari va aisi vidhva byaah lein jo kisi yajak ki stri hui ho.

23

वे मेरी प्रजा को पवित्र अपवित्र का भेद सिखाया करें, और शुद्ध अशुद्ध का अन्तर बताया करें।

Ve meri praja ko pavitra apvitra ka bhed sikhaya karein, aur shuddh ashuddh ka antar bataya karein.

24

और जब कोई मुक़द्दमा हो तब न्याय करने को भी वे ही बैठें, और मेरे नियमों के अनुसार न्याय करें। मेरे सब नियत पर्वों के विषय भी वे मेरी व्यवस्था और विधियां पालन करें, और मेरे विश्राम दिनों को पवित्र मानें।

Aur jab koi muqaddama ho tab nyaay karne ko bhi ve hi baithein, aur mere niymon ke anusaar nyaay karein. Mere sab niyat parvon ke vishay bhi ve meri vyavastha aur vidhiyan palan karein, aur mere vishraam dinon ko pavitra manein.

25

वे किसी मनुष्य की लोथ के पास न जाएं कि अशुद्ध हो जाएं; केवल माता-पिता, बेटे-बेटी; भाई, और ऐसी बहिन की लोथ के कारण जिसका विवाह न हुआ हो वे अपने को अशुद्ध कर सकते हैं।

Ve kisi manushya ki loth ke paas na jayen ki ashuddh ho jayen; keval mata-pita, bete-beti; bhai, aur aisi bahin ki loth ke karan jiska vivaah na huaa ho ve apne ko ashuddh kar sakte hain.

26

और जब वे अशुद्ध हो जाएं, तब उनके लिये सात दिन गिने जाएं और तब वे शुद्ध ठहरें,

Aur jab ve ashuddh ho jayen, tab unke liye saat din gine jayen aur tab ve shuddh thahrein,

27

और जिस दिन वे पवित्रस्थान अर्थात भीतरी आंगन में सेवा टहल करने को फिर प्रवेश करें, उस दिन अपने लिये पापबलि चढ़ाएं, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी हे।

Aur jis din ve pavitrasthaan arthaat bheetri aangan mein seva tahal karne ko phir pravesh karein, us din apne liye papabli chadhayen, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani he.

28

और उनका एक ही निज भाग होगा, अर्थात उनका भाग मैं ही हूँ; तुम उन्हें इस्राएल के बीच कुछ ऐसी भूमि न देना जो उनकी निज हो; उनकी निज भूमि मैं ही हूँ।

Aur unka ek hi nij bhaag hoga, arthaat unka bhaag main hi hoon; tum unhein Israel ke beech kuchh aisi bhoomi na dena jo unki nij ho; unki nij bhoomi main hi hoon.

29

वे अन्नबलि, पापबलि और दोषबलि खाया करें; और इस्राएल में जो वस्तु अर्पण की जाए, वह उन को मिला करे।

Ve annabli, papabli aur doshabli khaya karein; aur Israel mein jo vastu arpan ki jaye, vah un ko mila kare.

30

और सब प्रकार की सब से पहिली उपज और सब प्रकार की उठाई हुई वस्तु जो तुम उठा कर चढ़ाओ, याजकों को मिला करे; और नये अन्न का पहिला गूंधा हुआ आटा भी याजक को दिया करना, जिस से तुम लोगों के घर में आशीष हो।

Aur sab prakaar ki sab se pahili upaj aur sab prakaar ki uthai hui vastu jo tum utha kar chadhao, yajkon ko mila kare; aur naye ann ka pahila goondha huaa aata bhi yajak ko diya karna, jis se tum logon ke ghar mein aasheesh ho.

31

जो कुछ अपने आप मरे वा फाड़ा गया हो, चाहे पक्षी हो या पशु उसका मांस याजक न खाए।

Jo kuchh apne aap mare va phada gaya ho, chahe pakshi ho ya pashu uska maans yajak na khaye.