फिर वह मुझ को उस फाटक के पास ले गया जो पूर्वमुखी था।
Phir vah mujh ko us phatak ke paas le gaya jo poorvamukhi tha.
Ezekiel 43 · 27 verses
फिर वह मुझ को उस फाटक के पास ले गया जो पूर्वमुखी था।
Phir vah mujh ko us phatak ke paas le gaya jo poorvamukhi tha.
तब इस्राएल के परमेश्वर का तेज पूर्व दिशा से आया; और उसकी वाणी बहुत से जल की घरघराहट सी हुई; और उसके तेज से पृथ्वी प्रकाशित हुई।
Tab Israel ke Parmeshwar ka tej poorva disha se aaya; aur uski vani bahut se jal ki gharaghrahat si hui; aur uske tej se prithvi prakashit hui.
और यह दर्शन उस दर्शन के तुल्य था, जो मैं ने उसे नगर के नाश करने को आते समय देखा था; और उस दर्शन के समान, जो मैं ने कबार नदी के तीर पर देखा था; और मैं मुंह के बल गिर पड़ा।
Aur yah darshan us darshan ke tulya tha, jo main ne use nagar ke naash karne ko aate samay dekha tha; aur us darshan ke samaan, jo main ne kabaar nadi ke teer par dekha tha; aur main munh ke bal gir pada.
तब यहोवा का तेज उस फाटक से हो कर जो पूर्वमुखी था, भवन में आ गया।
Tab Yahowa ka tej us phatak se ho kar jo poorvamukhi tha, bhavan mein aa gaya.
तब आत्मा ने मुझे उठा कर भीतरी आंगन में पहुंचाया; और यहोवा का तेज भवन में भरा था।
Tab aatma ne mujhe utha kar bheetri aangan mein pahunchaya; aur Yahowa ka tej bhavan mein bhara tha.
तब मैं ने एक जन का शब्द सुना, जो भवन में से मुझ से बोल रहा था, और वह पुरुष मेरे पास खड़ा था।
Tab main ne ek jan ka shabd suna, jo bhavan mein se mujh se bol raha tha, aur vah purush mere paas khada tha.
उसने मुझ से कहा, हे मनुष्य के सन्तान, यहोवा की यह वाणी है, यह तो मेरे सिंहासन का स्थान और मेरे पांव रखने की जगह है, जहां मैं इस्राएल के बीच सदा वास किए रहूंगा। और न तो इस्राएल का घराना, और न उसके राजा अपने व्यभिचार से, वा अपने ऊंचे स्थानों में अपने राजाओं की लोथों के द्वारा मेरा पवित्र नाम फिर अशुद्ध ठहराएंगे।
Usne mujh se kaha, he manushya ke santaan, Yahowa ki yah vani hai, yah to mere sinhasan ka sthaan aur mere paanv rakhne ki jagah hai, jahan main Israel ke beech sada vaas kiye rahoonga. Aur na to Israel ka gharana, aur na uske raja apne vyabhichaar se, va apne oonche sthanon mein apne rajaon ki lothon ke dwara mera pavitra naam phir ashuddh thahrayenge.
वे अपनी डेवढ़ी मेरी डेवढ़ी के पास, और अपने द्वार के खम्भे मेरे द्वार के खम्भों के निकट बनाते थे, और मेरे और उनके बीच केवल भीत ही थी, और उन्होंने अपने घिनौने कामों से मेरा पवित्र नाम अशुद्ध ठहराया था; इसलिये मैं ने कोप कर के उन्हें नाश किया।
Ve apni devdhi meri devdhi ke paas, aur apne dwaar ke khambhe mere dwaar ke khambhon ke nikat banate the, aur mere aur unke beech keval bheet hi thi, aur unhonne apne ghinaune kamon se mera pavitra naam ashuddh thahraya tha; isliye main ne kop kar ke unhein naash kiya.
अब वे अपना व्यभिचार और अपने राजाओं की लोथें मेरे सम्मुख से दूर कर दें, तब मैं उनके बीच सदा वास किए रहूंगा।
Ab ve apna vyabhichaar aur apne rajaon ki lothein mere sammukh se door kar dein, tab main unke beech sada vaas kiye rahoonga.
हे मनुष्य के सन्तान, तू इस्राएल के घराने को इस भवन का नमूना दिखा कि वे अपने अधर्म के कामों से लज्जित हो कर उस नमूने को मापें।
He manushya ke santaan, tu Israel ke gharane ko is bhavan ka namoona dikha ki ve apne adharm ke kamon se lajjit ho kar us namoone ko mapein.
और यदि वे अपने सारे कामों से लज्जित हों, तो उन्हें इस भवन का आकार और स्वरूप, और इसके बाहर भीतर आने जाने के मार्ग, और इसके सब आकार और विधियां, और नियम बतलाना, और उनके साम्हने लिख रखना; जिस से वे इसका सब आकार और इसकी सब विधियां स्मरण कर के उनके अनुसार करें।
Aur yadi ve apne sare kamon se lajjit hon, to unhein is bhavan ka aakaar aur swaroop, aur iske bahar bheetar aane jane ke maarg, aur iske sab aakaar aur vidhiyan, aur niyam batlana, aur unke samhane likh rakhna; jis se ve iska sab aakaar aur iski sab vidhiyan smaran kar ke unke anusaar karein.
भवन का नियम यह है कि पहाड़ की चोटी के चारों ओर का सम्पूर्ण भाग परमपवित्र है। देख भवन का नियम यही है।
Bhavan ka niyam yah hai ki pahaad ki choti ke charon or ka sampoorn bhaag parmapvitra hai. Dekh bhavan ka niyam yahi hai.
और ऐसे हाथ के माप से जो साधारण हाथ से चौवा भर अधिक हो, वेदी की माप यह है, अर्थात उसका आधार एक हाथ का, और उसकी चौड़ाई एक हाथ की, और उसके चारों ओर की छोर पर की पटरी एक चौवे की। और वेदी की ऊंचाई यह है:
Aur aise haath ke maap se jo sadharan haath se chauva bhar adhik ho, vedi ki maap yah hai, arthaat uska aadhaar ek haath ka, aur uski chaudai ek haath ki, aur uske charon or ki chhor par ki patri ek chauve ki. Aur vedi ki oonchai yah hai:
भूमि पर धरे हुए आधार से ले कर निचली कुसीं तक दो हाथ की ऊंचाई रहे, और उसकी चौड़ाई हाथ भर की हो; और छोटी कुसीं से ले कर बड़ी कुसीं तक चार हाथ हों और उसकी चौड़ाई हाथ भर की हो;
Bhoomi par dhare hue aadhaar se le kar nichli kusi tak do haath ki oonchai rahe, aur uski chaudai haath bhar ki ho; aur chhoti kusi se le kar badi kusi tak chaar haath hon aur uski chaudai haath bhar ki ho;
और उपरला भाग चार हाथ ऊंचा हो; और वेदी पर जलाने के स्थान के चार सींग ऊपर की ओर निकले हों।
Aur uparla bhaag chaar haath ooncha ho; aur vedi par jalane ke sthaan ke chaar seeng oopar ki or nikle hon.
और वेदी पर जलाने का स्थान चौकोर अर्थात बारह हाथ लम्बा और बारह हाथ चौड़ा हो।
Aur vedi par jalane ka sthaan chaukor arthaat barah haath lamba aur barah haath chauda ho.
और निचली कुसीं चौदह हाथ लम्बी और चौदह चौड़ी हो, और उसके चारों ओर की पटरी आधे हाथ की हो, और उसका आधर चारों ओर हाथ भर का हो। उसकी सीढ़ी उसकी पूर्व ओर हो।
Aur nichli kusi chaudah haath lambi aur chaudah chaudi ho, aur uske charon or ki patri aadhe haath ki ho, aur uska aadhar charon or haath bhar ka ho. Uski seedhi uski poorva or ho.
फिर उसने मुझ से कहा, हे मनुष्य के सन्तान, परमेश्वर यहोवा यों कहता है, जिस दिन होमबलि चढ़ाने और लोहू छिड़कने के लिये वेदी बनाईं जाए, उस दिन की विधियां ये ठहरें:
Phir usne mujh se kaha, he manushya ke santaan, Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, jis din homabli chadhane aur lohu chhidakne ke liye vedi banai jaye, us din ki vidhiyan ye thahrein:
अर्थात लेवीय याजक लोग, जो सादोक की सन्तान हैं, और मेरी सेवा टहल करने को मेरे समीप रहते हैं, उन्हें तू पापबलि के लिये एक बछड़ा देना, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है।
Arthaat leveeya yajak log, jo sadok ki santaan hain, aur meri seva tahal karne ko mere sameep rahte hain, unhein tu papabli ke liye ek bachhda dena, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.
तब तू उसके लोहू में से कुछ ले कर वेदी के चारों सींगों और कुसीं के चारों कोनों और चारों ओर की पटरी पर लगाना; इस प्रकार से उसके लिये प्रायश्चित्त करने के द्वारा उसको पवित्र करना।
Tab tu uske lohu mein se kuchh le kar vedi ke charon seengon aur kusi ke charon konon aur charon or ki patri par lagana; is prakaar se uske liye prayashchitt karne ke dwara usko pavitra karna.
तब पापबलि के बछड़े को ले कर, भवन के पवित्रस्थान के बाहर ठहराए हुए स्थान में जला देना।
Tab papabli ke bachhde ko le kar, bhavan ke pavitrasthaan ke bahar thahraye hue sthaan mein jala dena.
और दूसरे दिन एक निर्दोष बकरा पापबलि कर के चढ़ाना; और जैसे बछड़े के द्वारा वेदी पवित्र की जाए, वैसे ही वह इस बकरे के द्वारा भी पवित्र की जाएगी।
Aur doosre din ek nirdosh bakra papabli kar ke chadhana; aur jaise bachhde ke dwara vedi pavitra ki jaye, vaise hi vah is bakre ke dwara bhi pavitra ki jayegi.
जब तू उसे पवित्र कर चुके, तब एक निर्दोष बछड़ा और एक निर्दोष मेढ़ा चढ़ाना।
Jab tu use pavitra kar chuke, tab ek nirdosh bachhda aur ek nirdosh medha chadhana.
तू उन्हें यहोवा के साम्हने ले आना, और याजक लोग उन पर लोन डाल कर उन्हें यहोवा को होमबलि कर के चढ़ाएं।
Tu unhein Yahowa ke samhane le aana, aur yajak log un par lon daal kar unhein Yahowa ko homabli kar ke chadhayen.
सात दिन तक तू प्रति दिन पापबलि के लिये एक बकरा तैयार करना, और निर्दोष बछड़ा और भेड़ों में से निर्दोष मेढ़ा भी तैयार किया जाए।
Saat din tak tu prati din papabli ke liye ek bakra taiyaar karna, aur nirdosh bachhda aur bhedon mein se nirdosh medha bhi taiyaar kiya jaye.
सात दिन तक याजक लोग वेदी के लिये प्रायश्चित्त कर के उसे शुद्ध करते रहें; इसी भांति उसका संस्कार हो।
Saat din tak yajak log vedi ke liye prayashchitt kar ke use shuddh karte rahein; isi bhanti uska sanskaar ho.
और जब वे दिन समाप्त हों, तब आठवें दिन के बाद से याजक लोग तुम्हारे होमबलि और मेलबलि वेदी पर चढ़ाया करें; तब मैं तुम से प्रसन्न हूंगा, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है।
Aur jab ve din samaapt hon, tab aathvein din ke baad se yajak log tumhare homabli aur melabli vedi par chadhaya karein; tab main tum se prasann hoonga, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.