और हे मनुष्य के सन्तान, तू एक ईंट ले और उसे अपने साम्हने रख कर उस पर एक नगर, अर्थात यरूशलेम का चित्र खींच;
Aur he manushya ke santaan, tu ek int le aur use apne samhane rakh kar us par ek nagar, arthaat Yerushalem ka chitra kheench;
Ezekiel 4 · 17 verses
और हे मनुष्य के सन्तान, तू एक ईंट ले और उसे अपने साम्हने रख कर उस पर एक नगर, अर्थात यरूशलेम का चित्र खींच;
Aur he manushya ke santaan, tu ek int le aur use apne samhane rakh kar us par ek nagar, arthaat Yerushalem ka chitra kheench;
तब उसे घेर अर्थात उसके विरुद्ध क़िला बना और उसके साम्हने दमदमा बान्ध; और छावनी डाल, और उसके चारों ओर युद्ध के यंत्र लगा।
Tab use gher arthaat uske viruddh qila bana aur uske samhane damadma baandh; aur chhavni daal, aur uske charon or yuddh ke yantra laga.
तब तू लोहे की थाली ले कर उसको लोहे की शहरपनाह मान कर अपने और उस नगर के बीच खड़ा कर; तब अपना मुंह उसके साम्हने कर के उसे घेरवा, इस रीति से तू उसे घेर रखना। यह इस्राएल के घराने के लिये चिन्ह ठहरेगा।
Tab tu lohe ki thali le kar usko lohe ki shahrapnaah maan kar apne aur us nagar ke beech khada kar; tab apna munh uske samhane kar ke use gherva, is reeti se tu use gher rakhna. Yah Israel ke gharane ke liye chinh thahrega.
फिर तू अपने बांयें पांजर के बल लेट कर इस्राएल के घराने का अधर्म अपने ऊपर रख; क्योंकि जितने दिन तू उस पांजर के बल लेटा रहेगा, उतने दिन तक उन लोगों के अधर्म का भार सहता रह।
Phir tu apne banyein panjar ke bal let kar Israel ke gharane ka adharm apne oopar rakh; kyonki jitne din tu us panjar ke bal leta rahega, utne din tak un logon ke adharm ka bhaar sahta rah.
मैं ने उनके अधर्म के वर्षों के तुल्य तेरे लिये दिन ठहराए हैं, अर्थात तीन सौ नब्बे दिन; उतने दिन तक तू इस्राएल के घराने के अधर्म का भार सहता रह।
Main ne unke adharm ke varshon ke tulya tere liye din thahraye hain, arthaat teen sau nabbe din; utne din tak tu Israel ke gharane ke adharm ka bhaar sahta rah.
और जब इतने दिन पूरे हो जाएं, तब अपने दाहिने पांजर के बल लेट कर यहूदा के घराने के अधर्म का भार सह लेना; मैं ने उसके लिये भी और तेरे लिये एक वर्ष की सन्ती एक दिन अर्थात चालीस दिन ठहराए हैं।
Aur jab itne din poore ho jayen, tab apne dahine panjar ke bal let kar Yahuda ke gharane ke adharm ka bhaar sah lena; main ne uske liye bhi aur tere liye ek varsh ki santi ek din arthaat chalees din thahraye hain.
और तू यरूशलेम के घेरने के लिये बांह उघाड़े हुए अपना मुंह उधर कर के उसके विरुद्ध भविष्यद्वाणी करना।
Aur tu Yerushalem ke gherne ke liye baanh ughade hue apna munh udhar kar ke uske viruddh bhavishyadwani karna.
और देख, मैं तुझे रस्सियों से जकडूंगा, और जब तक उसके घेरने के दिन पूरे न हों, तब तक तू करवट न ले सकेगा।
Aur dekh, main tujhe rassiyon se jakdoonga, aur jab tak uske gherne ke din poore na hon, tab tak tu karvat na le sakega.
और तू गेहूं, जव, सेम, मसूर, बाजरा, और कठिया गेहूं ले कर, एक बासन में रख कर उन से रोटी बनाया करना। जितने दिन तू अपने पांजर के बल लेटा रहेगा, उतने अर्थात तीन सौ नब्बे दिन तक उसे खाया करना।
Aur tu gehun, jav, sem, masoor, bajra, aur kathiya gehun le kar, ek basan mein rakh kar un se roti banaya karna. Jitne din tu apne panjar ke bal leta rahega, utne arthaat teen sau nabbe din tak use khaya karna.
और जो भोजन तू खाए, उसे तौल तौलकर खाना, अर्थात प्रति दिन बीस बीस शेकेल भर खाया करना, और उसे समय समय पर खाना।
Aur jo bhojan tu khaye, use taul taulkar khana, arthaat prati din bees bees shekel bhar khaya karna, aur use samay samay par khana.
पानी भी तू माप कर पिया करना, अर्थात प्रति दिन हीन का छठवां अंश पीना; और उसको समय समय पर पीना।
Pani bhi tu maap kar piya karna, arthaat prati din heen ka chhathvan ansh peena; aur usko samay samay par peena.
और अपना भोजन जव की रोटियों की नाईं बना कर खाया करना, और उसको मनुष्य की बिष्ठा से उनके देखते बनाया करना।
Aur apna bhojan jav ki rotiyon ki nai bana kar khaya karna, aur usko manushya ki bishtha se unke dekhte banaya karna.
फिर यहोवा ने कहा, इसी प्रकार से इस्राएल उन जातियों के बीच अपनी अपनी रोटी अशुद्धता से खाया करेंगे, जहां में उन्हें बरबस पहुंचाऊंगा।
Phir Yahowa ne kaha, isi prakaar se Israel un jatiyon ke beech apni apni roti ashuddhata se khaya karenge, jahan mein unhein barbas pahunchaoonga.
तब मैं ने कहा, हाय, यहोवा परमेश्वर देख, मेरा मन कभी अशुद्ध नहीं हुआ, और न मैं ने बचपन से ले कर अब तक अपनी मृत्यु से मरे हुए वा फाड़े हुए पशु का मांस खाया, और न किसी प्रकार का घिनौना मांस मेरे मुंह में कभी गया है।
Tab main ne kaha, haay, Yahowa Parmeshwar dekh, mera man kabhi ashuddh nahi huaa, aur na main ne bachpan se le kar ab tak apni mrityu se mare hue va phade hue pashu ka maans khaya, aur na kisi prakaar ka ghinauna maans mere munh mein kabhi gaya hai.
तब उसने मुझ से कहा, देख, मैं ने तेरे लिये मनुष्य की विष्ठा की सन्ती गोबर ठहराया है, और उसी से तू अपनी रोटी बनाना।
Tab usne mujh se kaha, dekh, main ne tere liye manushya ki vishtha ki santi gobar thahraya hai, aur usi se tu apni roti banana.
फिर उसने मुझ से कहा, हे मनुष्य के सन्तान, देख, मैं यरूशलेम में अन्नरूपी आधार को दूर करूंगा; सो वहां के लोग तौल तौलकर और चिन्ता कर कर के रोटी खाया करेंगे; और माप मापकर और विस्मित हो हो कर पानी पिया करेंगे।
Phir usne mujh se kaha, he manushya ke santaan, dekh, main Yerushalem mein annaroopi aadhaar ko door karoonga; so vahan ke log taul taulkar aur chinta kar kar ke roti khaya karenge; aur maap mapkar aur vismit ho ho kar pani piya karenge.
और इस से उन्हें रोटी और पानी की घटी होगी; और वे सब के सब घबराएंगे, और अपने अधर्म में फंसे हुए सूख जाएंगे।
Aur is se unhein roti aur pani ki ghati hogi; aur ve sab ke sab ghabrayenge, aur apne adharm mein phanse hue sookh jayenge.