Ezekiel 3 · 27 verses

यहेजकेल 3 Ezekiel 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahejkel 3.

1

तब उसने मुझ से कहा हे मनुष्य के सन्तान, जो तुझे मिला है उसे खा ले; अर्थात इस पुस्तक को खा, तब जा कर इस्राएल के घराने से बातें कर।

Tab usne mujh se kaha he manushya ke santaan, jo tujhe mila hai use kha le; arthaat is pustak ko kha, tab ja kar Israel ke gharane se batein kar.

2

सो मैं ने मुंह खोला और उसने वह पुस्तक मुझे खिला दी।

So main ne munh khola aur usne vah pustak mujhe khila di.

3

तब उसने मुझ से कहा, हे मनुष्य के सन्तान, यह पुस्तक जो मैं तुझे देता हूँ उसे पचा ले, और अपनी अन्तड़ियां इस से भर ले। सो मैं ने उसे खा लिया; और मेरे मुंह में वह मधु के तुल्य मीठी लगी।

Tab usne mujh se kaha, he manushya ke santaan, yah pustak jo main tujhe deta hoon use pacha le, aur apni antadiyan is se bhar le. So main ne use kha liya; aur mere munh mein vah madhu ke tulya meethi lagi.

4

फिर उसने मुझ से कहा, हे मनुष्य के सन्तान, तू इस्राएल के घराने के पास जा कर उन को मेरे वचन सुना।

Phir usne mujh se kaha, he manushya ke santaan, tu Israel ke gharane ke paas ja kar un ko mere vachan suna.

5

क्योंकि तू किसी अनोखी बोली वा कठिन भाषा वाली जाति के पास नहीं भेजा जाता है, परन्तु इस्राएल ही के घराने के पास भेजा जाता है।

Kyonki tu kisi anokhi boli va kathin bhasha vali jati ke paas nahi bheja jata hai, parantu Israel hi ke gharane ke paas bheja jata hai.

6

अनोखी बोली वा कठिन भाषा वाली बहुत सी जातियों के पास जो तेरी बात समझ न सकें, तू नहीं भेजा जाता। नि:सन्देह यदि मैं तुझे ऐसों के पास भेजता तो वे तेरी सुनते।

Anokhi boli va kathin bhasha vali bahut si jatiyon ke paas jo teri baat samajh na sakein, tu nahi bheja jata. Nisandeh yadi main tujhe aison ke paas bhejta to ve teri sunte.

7

परन्तु इस्राएल के घराने वाले तेरी सुनने से इनकार करेंगे; वे मेरी भी सुनने से इनकार करते हैं; क्योंकि इस्राएल का सारा घराना ढीठ और कठोर मन का है।

Parantu Israel ke gharane vale teri sunne se inkaar karenge; ve meri bhi sunne se inkaar karte hain; kyonki Israel ka sara gharana dheeth aur kathor man ka hai.

8

देख, मैं तेरे मुख को उनके मुख के साम्हने, और तेरे माथे को उनके माथे के साम्हने, ढीठ कर देता हूँ।

Dekh, main tere mukh ko unke mukh ke samhane, aur tere mathe ko unke mathe ke samhane, dheeth kar deta hoon.

9

मैं तेरे माथे को हीरे के तुल्य कड़ा कर देता हूँ जो चकमक पत्थर से भी कड़ा होता है; सो तू उन से न डरना, और न उनके मुंह देख कर तेरा मन कच्चा हो; क्योंकि वे बलवई घराने के हैं।

Main tere mathe ko heere ke tulya kada kar deta hoon jo chakmak patthar se bhi kada hota hai; so tu un se na darna, aur na unke munh dekh kar tera man kachcha ho; kyonki ve balvai gharane ke hain.

10

फिर उसने मुझ से कहा, हे मनुष्य के सन्तान, जितने वचन मैं तुझ से कहूँ, वे सब हृदय में रख और कानों से सुन।

Phir usne mujh se kaha, he manushya ke santaan, jitne vachan main tujh se kahun, ve sab hriday mein rakh aur kanon se sun.

11

और उन बंधुओं के पास जा कर, जो तेरे जाति भाई हैं, उन से बातें करना और कहना, कि प्रभु यहोवा यों कहता है; चाहे वे सुनें, व न सुनें।

Aur un bandhuon ke paas ja kar, jo tere jati bhai hain, un se batein karna aur kahna, ki Prabhu Yahowa yon kahta hai; chahe ve sunein, va na sunein.

12

तब आत्मा ने मुझे उठाया, और मैं ने अपने पीछे बड़ी घड़घड़ाहट के साथ एक शब्द सुना, कि यहोवा के भवन से उसका तेज धन्य है।

Tab aatma ne mujhe uthaya, aur main ne apne peechhe badi ghadaghdahat ke saath ek shabd suna, ki Yahowa ke bhavan se uska tej dhanya hai.

13

और उसके साथ ही उन जीवधारियों के पंखों का शब्द, जो एक दूसरे से लगते थे, और उनके संग के पहियों का शब्द और एक बड़ी ही घड़घड़ाहट सुन पड़ी।

Aur uske saath hi un jeevdhariyon ke pankhon ka shabd, jo ek doosre se lagte the, aur unke sang ke pahiyon ka shabd aur ek badi hi ghadaghdahat sun padi.

14

सो आत्मा मुझे उठा कर ले गई, और मैं कठिन दु:ख से भरा हुआ, और मन में जलता हुआ चला गया; और यहोवा की शक्ति मुझ में प्रबल थी;

So aatma mujhe utha kar le gai, aur main kathin dukh se bhara huaa, aur man mein jalta huaa chala gaya; aur Yahowa ki shakti mujh mein prabal thi;

15

और मैं उन बंधुओं के पास आया जो कबार नदी के तीर पर तेलाबीब में रहते थे। और वहां मैं सात दिन तक उनके बीच व्याकुल हो कर बैठा रहा।

Aur main un bandhuon ke paas aaya jo kabaar nadi ke teer par telabeeb mein rahte the. Aur vahan main saat din tak unke beech vyakul ho kar baitha raha.

16

सात दिन के व्यतीत होने पर यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Saat din ke vyateet hone par Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

17

हे मनुष्य के सन्तान मैं ने तुझे इस्राएल के घराने के लिये पहरुआ नियुक्त किया है; तू मेरे मुंह की बात सुन कर, उन्हें मेरी ओर से चिताना।

He manushya ke santaan main ne tujhe Israel ke gharane ke liye pahruaa niyukt kiya hai; tu mere munh ki baat sun kar, unhein meri or se chitana.

18

जब मैं दुष्ट से कहूं कि तू निश्चय मरेगा, और यदि तू उसको न चिताए, और न दुष्ट से ऐसी बात कहे जिस से कि वह सचेत हो और अपना दुष्ट मार्ग छोड़ कर जीवित रहे, तो वह दुष्ट अपने अधर्म में फंसा हुआ मरेगा, परन्तु उसके खून का लेखा मैं तुझी से लूंगा।

Jab main dusht se kahun ki tu nishchay marega, aur yadi tu usko na chitaye, aur na dusht se aisi baat kahe jis se ki vah sachet ho aur apna dusht maarg chhod kar jeevit rahe, to vah dusht apne adharm mein phansa huaa marega, parantu uske khoon ka lekha main tujhi se loonga.

19

पर यदि तू दुष्ट को चिताए, और वह अपनी दुष्टता ओर दुष्ट मार्ग से न फिरे, तो वह तो अपने अधर्म में फंसा हुआ मर जाएगा; परन्तु तू अपने प्राणों को बचाएगा।

Par yadi tu dusht ko chitaye, aur vah apni dushtata or dusht maarg se na phire, to vah to apne adharm mein phansa huaa mar jayega; parantu tu apne pranon ko bachayega.

20

फिर जब धर्मी जन अपने धर्म से फिर कर कुटिल काम करने लगे, और मैं उसके साम्हने ठोकर रखूं, तो वह मर जाएगा, क्योंकि तू ने जो उसको नहीं चिताया, इसलिये वह अपने पाप में फंसा हुआ मरेगा; और जो धर्म के कर्म उसने किए हों, उनकी सुधि न ली जाएगी, पर उसके खून का लेखा मैं तुझी से लूंगा।

Phir jab dharmi jan apne dharm se phir kar kutil kaam karne lage, aur main uske samhane thokar rakhun, to vah mar jayega, kyonki tu ne jo usko nahi chitaya, isliye vah apne paap mein phansa huaa marega; aur jo dharm ke karm usne kiye hon, unki sudhi na li jayegi, par uske khoon ka lekha main tujhi se loonga.

21

परन्तु यदि तू धर्मी को ऐसा कह कर चिताए, कि वह पाप न करे, और वह पाप से बच जाए, तो वह चितौनी को ग्रहण करने के कारण निश्चय जीवित रहेगा, और तू अपने प्राण को बचाएगा।

Parantu yadi tu dharmi ko aisa kah kar chitaye, ki vah paap na kare, aur vah paap se bach jaye, to vah chitauni ko grahan karne ke karan nishchay jeevit rahega, aur tu apne praan ko bachayega.

22

फिर यहोवा की शक्ति वहीं मुझ पर प्रगट हुई, और उसने मुझ से कहा, उठ कर मैदान में जा; और वहां मैं तुझ से बातें करूंगा।

Phir Yahowa ki shakti vahi mujh par pragat hui, aur usne mujh se kaha, uth kar maidaan mein ja; aur vahan main tujh se batein karoonga.

23

तब मैं उठ कर मैदान में गया, और वहां क्या देखा, कि यहोवा का प्रताप जैसा मुझे कबार नदी के तीर पर, वैसा ही यहां भी दिखाई पड़ता है; और मैं मुंह के बल गिर पड़ा।

Tab main uth kar maidaan mein gaya, aur vahan kya dekha, ki Yahowa ka prataap jaisa mujhe kabaar nadi ke teer par, vaisa hi yahan bhi dikhai padta hai; aur main munh ke bal gir pada.

24

तब आत्मा ने मुझ में समाकर मुझे पांवों के बल खड़ा कर दिया; फिर वह मुझ से कहने लगा, जा अपने घर के भीतर द्वार बन्द कर के बैठ रह।

Tab aatma ne mujh mein samakar mujhe panvon ke bal khada kar diya; phir vah mujh se kahne laga, ja apne ghar ke bheetar dwaar band kar ke baith rah.

25

और हे मनुष्य के सन्तान, देख; वे लोग तुझे रस्सियों जकड़ कर बान्ध रखेंगे, और तू निकल कर उनके बीच जाने नहीं पाएगा।

Aur he manushya ke santaan, dekh; ve log tujhe rassiyon jakad kar baandh rakhenge, aur tu nikal kar unke beech jane nahi payega.

26

और मैं तेरी जीभ तेरे तालू से लगाऊंगा; जिस से तू मौन रह कर उनका डांटने वाला न हो, क्योंकि वे बलवई घराने के हैं।

Aur main teri jeebh tere talu se lagaoonga; jis se tu maun rah kar unka dantne vala na ho, kyonki ve balvai gharane ke hain.

27

परन्तु जब जब मैं तुझ से बातें करूं, तब तब तेरे मुंह को खोलूंगा, और तू उन से ऐसा कहना, कि प्रभु यहोवा यों कहता है, जो सुनता है वह सुन ले और जो नहीं सुनता वह न सुने, वे तो बलवई घराने के हैं ही।

Parantu jab jab main tujh se batein karun, tab tab tere munh ko kholoonga, aur tu un se aisa kahna, ki Prabhu Yahowa yon kahta hai, jo sunta hai vah sun le aur jo nahi sunta vah na sune, ve to balvai gharane ke hain hi.