Ezekiel 38 · 23 verses

यहेजकेल 38 Ezekiel 38 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahejkel 38.

1

फिर यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Phir Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

2

हे मनुष्य के सन्तान, अपना मुंह मागोग देश के गोग की ओर कर के, जो रोश, मेशेक और तूबल का प्रधान है, उसके विरुद्ध भविष्यद्वाणी कर।

He manushya ke santaan, apna munh magog desh ke gog ki or kar ke, jo rosh, meshek aur toobal ka pradhaan hai, uske viruddh bhavishyadwani kar.

3

और यह कह, हे गोग, हे रोश, मेशेक, और तूबल के प्रधान, परमेश्वर यहोवा यों कहता है, देख, मैं तेरे विरुद्ध हूँ।

Aur yah kah, he gog, he rosh, meshek, aur toobal ke pradhaan, Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, dekh, main tere viruddh hoon.

4

मैं तुझे घुमा ले आऊंगा, और तेरे जबड़ों में आंकड़े डाल कर तुझे निकालूंगा; और तेरी सारी सेना को भी अर्थात घोड़ों और सवारों को जो सब के सब कवच पहिने हुए एक बड़ी भीड़ हैं, जो फरी और ढाल लिए हुए सब के सब तलवार चलाने वाले होंगे;

Main tujhe ghuma le aaoonga, aur tere jabdon mein aankde daal kar tujhe nikaloonga; aur teri sari sena ko bhi arthaat ghodon aur savaron ko jo sab ke sab kavach pahine hue ek badi bheed hain, jo phari aur dhaal liye hue sab ke sab talvaar chalane vale honge;

5

और उनके संग फारस, कूश और पूत को, जो सब के सब ढाल लिए और टोप लगाए होंगे;

Aur unke sang pharas, koosh aur poot ko, jo sab ke sab dhaal liye aur top lagaye honge;

6

और गोमेर और उसके सारे दलों को, और उत्तर दिशा के दूर दूर देशों के तोगर्मा के घराने, और उसके सारे दलों को निकालूंगा; तेरे संग बहुत से देशों के लोग होंगे।

Aur gomer aur uske sare dalon ko, aur uttar disha ke door door deshon ke togarma ke gharane, aur uske sare dalon ko nikaloonga; tere sang bahut se deshon ke log honge.

7

इसलिये तू तैयार हो जा; तू और जितनी भीड़ तेरे पास इकट्ठी हों, तैयार रहना, और तू उनका अगुवा बनना।

Isliye tu taiyaar ho ja; tu aur jitni bheed tere paas ikatthi hon, taiyaar rahna, aur tu unka aguva banna.

8

बहुत दिनों के बीतने पर तेरी सुधि ली जाएगी; और अन्त के वर्षों में तू उस देश में आएगा, जो तलवार के वश से छूटा हुआ होगा, और जिसके निवासी बहुत सी जातियों में से इकट्ठे होंगे; अर्थात तू इस्राएल के पहाड़ों पर आएगा जो निरन्तर उजाड़ रहे हैं; परन्तु वे देश देश के लोगों के वश से छुड़ाए जा कर सब के सब निडर रहेंगे।

Bahut dinon ke beetne par teri sudhi li jayegi; aur ant ke varshon mein tu us desh mein aayega, jo talvaar ke vash se chhoota huaa hoga, aur jiske nivasi bahut si jatiyon mein se ikatthe honge; arthaat tu Israel ke pahadon par aayega jo nirantar ujaad rahe hain; parantu ve desh desh ke logon ke vash se chhudaye ja kar sab ke sab nidar rahenge.

9

तू चढ़ाई करेगा, और आंधी की नाईं आएगा, और अपने सारे दलों और बहुत देशों के लोगों समेत मेघ के समान देश पर छा जाएगा।

Tu chadhai karega, aur aandhi ki nai aayega, aur apne sare dalon aur bahut deshon ke logon samet megh ke samaan desh par chha jayega.

10

परमेश्वर यहोवा यों कहता है, उस दिन तेरे मन में ऐसी ऐसी बातें आएंगी कि तू एक बुरी युक्ति भी निकालेगा;

Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, us din tere man mein aisi aisi batein aayengi ki tu ek buri yukti bhi nikalega;

11

और तू कहेगा कि मैं बिन शहरपनाह के गांवों के देश पर चढ़ाई करूंगा; मैं उन लोगों के पास जाऊंगा जो चैन से निडर रहते हैं; जो सब के सब बिना शहरपनाह ओर बिना बेड़ों और पल्लों के बसे हुए हैं;

Aur tu kahega ki main bin shahrapnaah ke ganvon ke desh par chadhai karoonga; main un logon ke paas jaoonga jo chain se nidar rahte hain; jo sab ke sab bina shahrapnaah or bina bedon aur pallon ke base hue hain;

12

ताकि छीन कर तू उन्हें लूटे और अपना हाथ उन खण्डहरों पर बढ़ाए जो फिर बसाए गए, और उन लोगों के विरुद्ध फेरे जो जातियों में से इकट्ठे हुए थे और पृथ्वी की नाभी पर बसे हुए ढोर और और सम्पत्ति रखते हैं।

Taki chheen kar tu unhein loote aur apna haath un khandahron par badhaye jo phir basaye gaye, aur un logon ke viruddh phere jo jatiyon mein se ikatthe hue the aur prithvi ki nabhi par base hue dhor aur aur sampatti rakhte hain.

13

शबा और ददान के लोग और तर्शीश के व्योपारी अपने देश के सब जवान सिंहों समेत तुझ से कहेंगे, क्या तू लूटने को आता है? क्या तू ने धन छीनने, सोना-चाँदी उठाने, ढोर और और सम्पत्ति ले जाने, और बड़ी लूट अपना लेने को अपनी भीड़ इकट्ठी की है?

Shaba aur dadaan ke log aur tarsheesh ke vyopari apne desh ke sab javaan sinhon samet tujh se kahenge, kya tu lootne ko aata hai? Kya tu ne dhan chheenne, sona-chandi uthane, dhor aur aur sampatti le jane, aur badi loot apna lene ko apni bheed ikatthi ki hai?

14

इस कारण, हे मनुष्य के सन्तान, भविष्यद्वाणी कर के गोग से कह, परमेश्वर यहोवा यों कहता है, जिस समय मेरी प्रजा इस्राएल निडर बसी रहेगी, क्या तुझे इसका समाचार न मिलेगा?

Is karan, he manushya ke santaan, bhavishyadwani kar ke gog se kah, Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, jis samay meri praja Israel nidar basi rahegi, kya tujhe iska samachaar na milega?

15

और तू उत्तर दिशा के दूर दूर स्थानों से आएगा; तू और तेरे साथ बहुत सी जातियों के लोग, जो सब के सब घोड़ों पर चढ़े हुए होंगे, अर्थात एक बड़ी भीड़ और बलवन्त सेना।

Aur tu uttar disha ke door door sthanon se aayega; tu aur tere saath bahut si jatiyon ke log, jo sab ke sab ghodon par chadhe hue honge, arthaat ek badi bheed aur balvant sena.

16

और जैसे बादल भूमि पर छा जाता है, वैसे ही तू मेरी प्रजा इस्राएल के देश पर ऐसे चढ़ाई करेगा। इसलिये हे गोग, अन्त के दिनों में ऐसा ही होगा, कि मैं तुझ से अपने देश पर इसलिये चढ़ाई कराऊंगा, कि जब मैं जातियों के देखते तेरे द्वारा अपने को पवित्र ठहराऊं, तब वे मुझे पहिचान लेंगे।

Aur jaise badal bhoomi par chha jata hai, vaise hi tu meri praja Israel ke desh par aise chadhai karega. Isliye he gog, ant ke dinon mein aisa hi hoga, ki main tujh se apne desh par isliye chadhai karaoonga, ki jab main jatiyon ke dekhte tere dwara apne ko pavitra thahraun, tab ve mujhe pahichaan lenge.

17

परमेश्वर यहोवा यों कहता है, क्या तू वही नहीं जिसकी चर्चा मैं ने प्राचीनकाल में अपने दासों के, अर्थात इस्राएल के उन भविष्यद्वक्ताओं द्वारा की थी, जो उन दिनों में वर्षों तक यह भविष्यद्वाणी करते गए, कि यहोवा गोग से इस्राएलियों पर चढ़ाई कराएगा?

Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, kya tu vahi nahi jiski charcha main ne pracheenkaal mein apne dason ke, arthaat Israel ke un bhavishyadwaktaon dwara ki thi, jo un dinon mein varshon tak yah bhavishyadwani karte gaye, ki Yahowa gog se Israeliyon par chadhai karayega?

18

और जिस दिन इस्राएल के देश पर गोग चढ़ाई करेगा, उसी दिन मेरी जलजलाहट मेरे मुख से प्रगट होगी, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है।

Aur jis din Israel ke desh par gog chadhai karega, usi din meri jalajlahat mere mukh se pragat hogi, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.

19

और मैं ने जलजलाहट और क्रोध की आग में कहा कि नि:सन्देह उस दिन इस्राएल के देश में बड़ा भुईंडोल होगा।

Aur main ne jalajlahat aur krodh ki aag mein kaha ki nisandeh us din Israel ke desh mein bada bhuindol hoga.

20

और मेरे दर्शन से समुद्र की मछलियां और आकाश के पक्षी, मैदान के पशु और भूमि पर जितने जीव-जन्तु रेंगते हैं, और भूमि के ऊपर जितने मनुष्य रहते हैं, सब कांप उठेंगे; और पहाड़ गिराए जाएंगे; और चढ़ाइयां नाश होंगी, और सब भीतें गिर कर मिट्टी में मिल जाएंगी।

Aur mere darshan se samudra ki machhliyan aur aakaash ke pakshi, maidaan ke pashu aur bhoomi par jitne jeev-jantu rengte hain, aur bhoomi ke oopar jitne manushya rahte hain, sab kaamp uthenge; aur pahaad giraye jayenge; aur chadhaiyan naash hongi, aur sab bheetein gir kar mitti mein mil jayengi.

21

परमेश्वर यहोवा की यह वाणी है कि मैं उसके विरुद्ध तलवार चलाने के लिये अपने सब पहाड़ों को पुकारूंगा और हर एक की तलवार उसके भाई के विरुद्ध उठेगी।

Parmeshwar Yahowa ki yah vani hai ki main uske viruddh talvaar chalane ke liye apne sab pahadon ko pukaroonga aur har ek ki talvaar uske bhai ke viruddh uthegi.

22

और मैं मरी और खून के द्वारा उस से मुकद्दमा लड़ूंगा; और उस पर और उसके दलों पर, और उन बहुत सी जातियों पर जो उसके पास होंगी, मैं बड़ी झड़ी लगाऊंगा, और ओले और आग और गन्धक बरसाऊंगा।

Aur main mari aur khoon ke dwara us se mukaddama ladoonga; aur us par aur uske dalon par, aur un bahut si jatiyon par jo uske paas hongi, main badi jhadi lagaoonga, aur ole aur aag aur gandhak barsaoonga.

23

इस प्रकार मैं अपने को महान और पवित्र ठहराऊंगा और बहुत सी जातियों के साम्हने अपने को प्रगट करूंगा। तब वे जान लेंगी कि मैं यहोवा हूँ।

Is prakaar main apne ko mahaan aur pavitra thahraoonga aur bahut si jatiyon ke samhane apne ko pragat karoonga. Tab ve jaan lengi ki main Yahowa hoon.