Ezekiel 37 · 28 verses

यहेजकेल 37 Ezekiel 37 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahejkel 37.

1

यहोवा की शक्ति मुझ पर हुई, और वह मुझ में अपना आत्मा समवाकर बाहर ले गया और मुझे तराई के बीच खड़ा कर दिया; वह तराई हड्डियों से भरी हुई थी।

Yahowa ki shakti mujh par hui, aur vah mujh mein apna aatma samvakar bahar le gaya aur mujhe tarai ke beech khada kar diya; vah tarai haddiyon se bhari hui thi.

2

तब उसने मुझे उनके चारों ओर घुमाया, और तराई की तह पर बहुत ही हड्डियां थीं; और वे बहुत सूखी थीं।

Tab usne mujhe unke charon or ghumaya, aur tarai ki tah par bahut hi haddiyan thi; aur ve bahut sookhi thi.

3

तब उसने मुझ से पूछा, हे मनुष्य के सन्तान, क्या ये हड्डियां जी सकती हैं? मैं ने कहा, हे परमेश्वर यहोवा, तू ही जानता है।

Tab usne mujh se poochha, he manushya ke santaan, kya ye haddiyan ji sakti hain? Main ne kaha, he Parmeshwar Yahowa, tu hi janta hai.

4

तब उसने मुझ से कहा, इन हड्डियों से भविष्यद्वाणी कर के कह, हे सूखी हड्डियों, यहोवा का वचन सुनो।

Tab usne mujh se kaha, in haddiyon se bhavishyadwani kar ke kah, he sookhi haddiyon, Yahowa ka vachan suno.

5

परमेश्वर यहोवा तुम हड्डियों से यों कहता है, देखो, मैं आप तुम में सांस समवाऊंगा, और तुम जी उठोगी।

Parmeshwar Yahowa tum haddiyon se yon kahta hai, dekho, main aap tum mein saans samvaoonga, aur tum ji uthogi.

6

और मैं तुम्हारी नसें उपजा कर मांस चढ़ाऊंगा, और तुम को चमड़े से ढांपूंगा; और तुम में सांस समवाऊंगा और तुम जी जाओगी; और तुम जान लोगी कि मैं यहोवा हूँ।

Aur main tumhari nasein upja kar maans chadhaoonga, aur tum ko chamde se dhampoonga; aur tum mein saans samvaoonga aur tum ji jaogi; aur tum jaan logi ki main Yahowa hoon.

7

इस आज्ञा के अनुसार मैं भविष्यद्वाणी करने लगा; और मैं भविष्यद्वाणी कर ही रहा था, कि एक आहट आई, और भुईडोल हुआ, और वे हड्डियां इकट्ठी हो कर हड्डी से हड्डी जुड़ गई।

Is aagya ke anusaar main bhavishyadwani karne laga; aur main bhavishyadwani kar hi raha tha, ki ek aahat aai, aur bhuidol huaa, aur ve haddiyan ikatthi ho kar haddi se haddi jud gai.

8

और मैं देखता रहा, कि उन में नसें उत्पन्न हुई और मांस चढ़ा, और वे ऊपर चमड़े से ढंप गई; परन्तु उन में सांस कुछ न थी।

Aur main dekhta raha, ki un mein nasein utpann hui aur maans chadha, aur ve oopar chamde se dhamp gai; parantu un mein saans kuchh na thi.

9

तब उसने मुझ से कहा, हे मनुष्य के सन्तान सांस से भविष्यद्वाणी कर, और सांस से भविष्यद्वाणी कर के कह, हे सांस, परमेश्वर यहोवा यों कहता है कि चारों दिशाओं से आकर इन घात किए हुओं में समा जा कि ये जी उठें।

Tab usne mujh se kaha, he manushya ke santaan saans se bhavishyadwani kar, aur saans se bhavishyadwani kar ke kah, he saans, Parmeshwar Yahowa yon kahta hai ki charon dishaon se aakar in ghaat kiye huon mein sama ja ki ye ji uthein.

10

उसकी इस आज्ञा के अनुसार मैं ने भविष्यद्वाणी की, तब सांस उन में आ गई, और वे जीकर अपने अपने पांवों के बल खड़े हो गए; और एक बहुत बड़ी सेना हो गई।

Uski is aagya ke anusaar main ne bhavishyadwani ki, tab saans un mein aa gai, aur ve jeekar apne apne panvon ke bal khade ho gaye; aur ek bahut badi sena ho gai.

11

फिर उसने मुझ से कहा, हे मनुष्य के सन्तान, ये हड्डियां इस्राएल के सारे घराने की उपमा हैं। वे कहते हैं, हमारी हड्डियां सूख गई, और हमारी आशा जाती रही; हम पूरी रीति से कट चुके हैं।

Phir usne mujh se kaha, he manushya ke santaan, ye haddiyan Israel ke sare gharane ki upma hain. Ve kahte hain, hamari haddiyan sookh gai, aur hamari aasha jati rahi; ham poori reeti se kat chuke hain.

12

इस कारण भविष्यद्वाणी कर के उन से कह, परमेश्वर यहोवा यों कहता है, हे मेरी प्रजा के लोगो, देखो, मैं तुम्हारी कबरें खोल कर तुम को उन से निकालूंगा, और इस्राएल के देश में पहुंचा दूंगा।

Is karan bhavishyadwani kar ke un se kah, Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, he meri praja ke logo, dekho, main tumhari kabrein khol kar tum ko un se nikaloonga, aur Israel ke desh mein pahuncha doonga.

13

सो जब मैं तुम्हारी कबरें खोलूं, और तुम को उन से निकालूं, तब हे मेरी प्रजा के लोगो, तुम जान लोगे कि मैं यहोवा हूँ।

So jab main tumhari kabrein kholun, aur tum ko un se nikalun, tab he meri praja ke logo, tum jaan loge ki main Yahowa hoon.

14

और मैं तुम में अपना आत्मा समवाऊंगा, और तुम जीओगे, और तुम को तुम्हारे निज देश में बसाऊंगा; तब तुम जान लोगे कि मुझ यहोवा ही ने यह कहा, और किया भी है, यहोवा की यही वाणी है।

Aur main tum mein apna aatma samvaoonga, aur tum jeeoge, aur tum ko tumhare nij desh mein basaoonga; tab tum jaan loge ki mujh Yahowa hi ne yah kaha, aur kiya bhi hai, Yahowa ki yahi vani hai.

15

फिर यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Phir Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

16

हे मनुष्य के सन्तान, एक लकड़ी ले कर उस पर लिख, यहूदा की और उसके संगी इस्राएलियों की; तब दूसरी लकड़ी ले कर उस पर लिख, यूसुफ की अर्थात एप्रैम की, और उसके संगी इस्राएलियों की लकड़ी।

He manushya ke santaan, ek lakdi le kar us par likh, Yahuda ki aur uske sangi Israeliyon ki; tab doosri lakdi le kar us par likh, Yusuf ki arthaat epraim ki, aur uske sangi Israeliyon ki lakdi.

17

फिर उन लकड़ियों को एक दूसरी से जोड़ कर एक ही कर ले कि वे तेरे हाथ में एक ही लकड़ी बन जाएं।

Phir un lakdiyon ko ek doosri se jod kar ek hi kar le ki ve tere haath mein ek hi lakdi ban jayen.

18

और जब तेरे लोग तुझ से पूछें, क्या तू हमें न बताएगा कि इन से तेरा क्या अभिप्राय है?

Aur jab tere log tujh se poochhein, kya tu hamein na batayega ki in se tera kya abhipraay hai?

19

तब उन से कहना, परमेश्वर यहोवा यों कहता है, देखो, मैं यूसुफ की लकड़ी को जो एप्रैम के हाथ में है, और इस्राएल के जो गोत्र उसके संगी हैं, उन को ले कर यहूदा की लकड़ी से जोड़ कर उसके साथ एक ही लकड़ी कर दूंगा; और दोनों मेरे हाथ में एक ही लकड़ी बनेंगी।

Tab un se kahna, Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, dekho, main Yusuf ki lakdi ko jo epraim ke haath mein hai, aur Israel ke jo gotra uske sangi hain, un ko le kar Yahuda ki lakdi se jod kar uske saath ek hi lakdi kar doonga; aur donon mere haath mein ek hi lakdi banengi.

20

और जिन लकड़ियों पर तू ऐसा लिखेगा, वे उनके साम्हने तेरे हाथ में रहें।

Aur jin lakdiyon par tu aisa likhega, ve unke samhane tere haath mein rahein.

21

और तू उन लोगों से कह, परमेश्वर यहोवा यों कहता है, देखो, मैं इस्राएलियों को उन जातियों में से ले कर जिन में वे चले गए हैं, चारों ओर से इकट्ठा करूंगा; और उनके निज देश में पहुचाऊंगा।

Aur tu un logon se kah, Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, dekho, main Israeliyon ko un jatiyon mein se le kar jin mein ve chale gaye hain, charon or se ikattha karoonga; aur unke nij desh mein pahuchaoonga.

22

और मैं उन को उस देश अर्थात इस्राएल के पहाड़ों पर एक ही जाति कर दूंगा; और उन सभों का एक ही राजा होगा; और वे फिर दो न रहेंगे और न दो राज्यों में कभी बटेंगे।

Aur main un ko us desh arthaat Israel ke pahadon par ek hi jati kar doonga; aur un sabhon ka ek hi raja hoga; aur ve phir do na rahenge aur na do rajyon mein kabhi batenge.

23

वे फिर अपनी मूरतों, और घिनौने कामों वा अपने किसी प्रकार के पाप के द्वारा अपने को अशुद्ध न करेंगे; परन्तु मैं उन को उन सब बस्तियों से, जहां वे पाप करते थे, निकाल कर शुद्ध करूंगा, और वे मेरी प्रजा होंगे, और मैं उनका परमेश्वर हूंगा।

Ve phir apni moorton, aur ghinaune kamon va apne kisi prakaar ke paap ke dwara apne ko ashuddh na karenge; parantu main un ko un sab bastiyon se, jahan ve paap karte the, nikaal kar shuddh karoonga, aur ve meri praja honge, aur main unka Parmeshwar hoonga.

24

मेरा दास दाऊद उनका राजा होगा; सो उन सभों का एक ही चरवाहा होगा। वे मेरे नियमों पर चलेंगे और मेरी विधियों को मान कर उनके अनुसार चलेंगे।

Mera daas Daud unka raja hoga; so un sabhon ka ek hi charvaha hoga. Ve mere niymon par chalenge aur meri vidhiyon ko maan kar unke anusaar chalenge.

25

वे उस देश में रहेंगे जिसे मैं ने अपने दास याकूब को दिया था; और जिस में तुम्हारे पुरखा रहते थे, उसी में वे और उनके बेटे-पोते सदा बसे रहेंगे; और मेरा दास दाऊद सदा उनका प्रधान रहेगा।

Ve us desh mein rahenge jise main ne apne daas Yakub ko diya tha; aur jis mein tumhare purkha rahte the, usi mein ve aur unke bete-pote sada base rahenge; aur mera daas Daud sada unka pradhaan rahega.

26

मैं उनके साथ शान्ति की वाचा बान्धूंगा; वह सदा की वाचा ठहरेगी; और मैं उन्हें स्थान देकर गिनती में बढ़ाऊंगा, और उनके बीच अपना पवित्र स्थान सदा बनाए रखूंगा।

Main unke saath shanti ki vacha bandhoonga; vah sada ki vacha thahregi; aur main unhein sthaan dekar ginti mein badhaoonga, aur unke beech apna pavitra sthaan sada banaye rakhoonga.

27

मेरे निवास का तम्बू उनके ऊपर तना रहेगा; और मैं उनका परमेश्वर हूंगा, और वे मेरी प्रजा होंगे।

Mere nivaas ka tambu unke oopar tana rahega; aur main unka Parmeshwar hoonga, aur ve meri praja honge.

28

और जब मेरा पवित्र स्थान उनके बीच सदा के लिये रहेगा, तब सब जातियां जान लेंगी कि मैं यहोवा इस्राएल का पवित्र करने वाला हूँ।

Aur jab mera pavitra sthaan unke beech sada ke liye rahega, tab sab jatiyan jaan lengi ki main Yahowa Israel ka pavitra karne vala hoon.