Ezekiel 36 · 38 verses

यहेजकेल 36 Ezekiel 36 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahejkel 36.

1

फिर हे मनुष्य के सन्तान, तू इस्राएल के पहाड़ों से भविष्यद्वाणी कर के कह, हे इस्राएल के पहाड़ो, यहोवा का वचन सुनो।

Phir he manushya ke santaan, tu Israel ke pahadon se bhavishyadwani kar ke kah, he Israel ke pahado, Yahowa ka vachan suno.

2

परमेश्वर यहोवा यों कहता है, शत्रु ने तो तुम्हारे विषय में कहा है, आहा! प्राचीनकाल के ऊंचे स्थान अब हमारे अधिकार में आ गए।

Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, shatru ne to tumhare vishay mein kaha hai, aaha! Pracheenkaal ke oonche sthaan ab hamare adhikaar mein aa gaye.

3

इस कारण भविष्यद्वाणी कर के कह, परमेश्वर यहोवा यों कहता हे, लोगों ने जो तुम्हें उजाड़ा और चारों ओर से तुम्हें ऐसा निगल लिया कि तुम बची हुई जातियों का अधिकार हो जाओ, और लुतरे तुम्हारी चर्चा करते और साधारण लोग तुम्हारी निन्दा करते हैं;

Is karan bhavishyadwani kar ke kah, Parmeshwar Yahowa yon kahta he, logon ne jo tumhein ujada aur charon or se tumhein aisa nigal liya ki tum bachi hui jatiyon ka adhikaar ho jao, aur lutre tumhari charcha karte aur sadharan log tumhari ninda karte hain;

4

इस कारण, हे इस्राएल के पहाड़ो, परमेश्वर यहोवा का वचन सुनो, परमेश्वर यहोवा तुम से यों कहता है, अर्थात पहाड़ों और पहाड़ियों से और नालों और तराइयों से, और उजड़े हुए खण्डहरों और निर्जन नगरों से जो चारों ओर की बची हुई जातियों से लुट गए और उनके हंसने के कारण हो गए हैं;

Is karan, he Israel ke pahado, Parmeshwar Yahowa ka vachan suno, Parmeshwar Yahowa tum se yon kahta hai, arthaat pahadon aur pahadiyon se aur nalon aur taraiyon se, aur ujde hue khandahron aur nirjan nagron se jo charon or ki bachi hui jatiyon se lut gaye aur unke hansne ke karan ho gaye hain;

5

परमेश्वर यहोवा यों कहता है, निश्चय मैं ने अपनी जलन की आग में बची हुई जातियों के और सारे एदोम के विरुद्ध में कहा है कि जिन्होंने मेरे देश को अपने मन के पूरे आनन्द और अभिमान से अपने अधिकार में किया है कि वह पराया हो कर लूटा जाए।

Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, nishchay main ne apni jalan ki aag mein bachi hui jatiyon ke aur sare edom ke viruddh mein kaha hai ki jinhonne mere desh ko apne man ke poore aanand aur abhimaan se apne adhikaar mein kiya hai ki vah paraya ho kar loota jaye.

6

इस कारण इस्राएल के देश के विषय में भविष्यद्वाणी कर के पहाड़ों, पहाड़ियों, नालों, और तराइयों से कह, परमेश्वर यहोवा यों कहता है, देखो, तुम ने जातियों की निन्दा सही है, इस कारण मैं अपनी बड़ी जलजलाहट से बोला हूँ।

Is karan Israel ke desh ke vishay mein bhavishyadwani kar ke pahadon, pahadiyon, nalon, aur taraiyon se kah, Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, dekho, tum ne jatiyon ki ninda sahi hai, is karan main apni badi jalajlahat se bola hoon.

7

परमेश्वर यहोवा यों कहता है, मैं ने यह शपथ खाई है कि नि:सन्देह तुम्हारे चारों ओर जो जातियां हैं, उन को अपनी निन्दा आप ही सहनी पड़ेगी।

Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, main ne yah shapath khai hai ki nisandeh tumhare charon or jo jatiyan hain, un ko apni ninda aap hi sahni padegi.

8

परन्तु, हे इस्राएल के पहाड़ो, तुम पर डालियां पनपेंगी और उनके फल मेरी प्रजा इस्राएल के लिये लगेंगे; क्योंकि उसका लौट आना निकट है।

Parantu, he Israel ke pahado, tum par daliyan panpengi aur unke phal meri praja Israel ke liye lagenge; kyonki uska laut aana nikat hai.

9

और देखो, मैं तुम्हारे पक्ष में हूँ, और तुम्हारी ओर कृपादृष्टि करूंगा, और तुम जोते-बोए जाओगे;

Aur dekho, main tumhare paksh mein hoon, aur tumhari or kripadrishti karoonga, aur tum jote-boye jaoge;

10

और मैं तुम पर बहुत मनुष्य अर्थात इस्राएल के सारे घराने को बसाऊंगा; और नगर फिर बसाए और खण्डहर फिर बनाएं जाएंगे।

Aur main tum par bahut manushya arthaat Israel ke sare gharane ko basaoonga; aur nagar phir basaye aur khandahar phir banayen jayenge.

11

और मैं तुम पर मनुष्य और पशु दोनों को बहुत बढ़ाऊंगा; और वे बढ़ेंगे और फूलें-फलेंगे; और मैं तुम को प्राचीनकाल की नाईं बसाऊंगा, और पहिले से अधिक तुम्हारी भलाई करूंगा। तब तुम जान लोगे कि मैं यहोवा हूँ।

Aur main tum par manushya aur pashu donon ko bahut badhaoonga; aur ve badhenge aur phoolein-phalenge; aur main tum ko pracheenkaal ki nai basaoonga, aur pahile se adhik tumhari bhalai karoonga. Tab tum jaan loge ki main Yahowa hoon.

12

और मैं ऐसा करूंगा कि मनुष्य अर्थात मेरी प्रजा इस्राएल तुम पर चले-फिरेगी; और वे तुम्हारे स्वामी होंगे, और तुम उनका निज भाग होंगे, और वे फिर तुम्हारे कारण निर्वंश न हो जाएंगे।

Aur main aisa karoonga ki manushya arthaat meri praja Israel tum par chale-phiregi; aur ve tumhare swami honge, aur tum unka nij bhaag honge, aur ve phir tumhare karan nirvansh na ho jayenge.

13

परमेश्वर यहोवा यों कहता हे, जो लोग तुम से कहा करते हैं, कि तू मनुष्यों का खाने वाला है, और अपने पर बसी हुई जाति को निर्वंश कर देता है,

Parmeshwar Yahowa yon kahta he, jo log tum se kaha karte hain, ki tu manushyon ka khane vala hai, aur apne par basi hui jati ko nirvansh kar deta hai,

14

सो फिर तू मनुष्यों को न खाएगा, और न अपने पर बसी हुई जाति को निर्वंश करेगा, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है।

So phir tu manushyon ko na khayega, aur na apne par basi hui jati ko nirvansh karega, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.

15

और मैं फिर जाति-जाति के लोगों से तेरी निन्दा न सुनवाऊंगा, और तुझे जाति-जाति की ओर से फिर नामधराई न सहनी पड़ेगी, और तुझ पर बसी हुई जाति को तू फिर ठोकर न खिलाएगा, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है।

Aur main phir jati-jati ke logon se teri ninda na sunvaoonga, aur tujhe jati-jati ki or se phir namadhrai na sahni padegi, aur tujh par basi hui jati ko tu phir thokar na khilayega, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.

16

फिर यहोवा का यह वचन मेरे पास पहुंचा,

Phir Yahowa ka yah vachan mere paas pahuncha,

17

हे मनुष्य के सन्तान, जब इस्राएल का घराना अपने देश में रहता था, तब अपनी चालचलन और कामों के द्वारा वे उसको अशुद्ध करते थे; उनकी चालचलन मुझे ऋतुमती की अशुद्धता सी जान पड़ती थी।

He manushya ke santaan, jab Israel ka gharana apne desh mein rahta tha, tab apni chalachlan aur kamon ke dwara ve usko ashuddh karte the; unki chalachlan mujhe ritumti ki ashuddhata si jaan padti thi.

18

सो जो हत्या उन्होंने देश में की, और देश को अपनी मूरतों के द्वारा अशुद्ध किया, इसके कारण मैं ने उन पर अपनी जलजलाहट भड़काई।

So jo hatya unhonne desh mein ki, aur desh ko apni moorton ke dwara ashuddh kiya, iske karan main ne un par apni jalajlahat bhadkai.

19

और मैं ने उन्हें जाति-जाति में तितर-बितर किया, और वे देश देश में छितर गए; उनके चालचलन और कामों के अनुसार मैं ने उन को दण्ड दिया।

Aur main ne unhein jati-jati mein titar-bitar kiya, aur ve desh desh mein chhitar gaye; unke chalachlan aur kamon ke anusaar main ne un ko dand diya.

20

परन्तु जब वे उन जातियों में पहुंचे जिन में वे पहुंचाए गए, तब उन्होंने मेरे पवित्र नाम को अपवित्र ठहराया, क्योंकि लोग उनके विषय में यह कहने लगे, ये यहोवा की प्रजा हैं, परन्तु उसके देश से निकाले गए हैं।

Parantu jab ve un jatiyon mein pahunche jin mein ve pahunchaye gaye, tab unhonne mere pavitra naam ko apvitra thahraya, kyonki log unke vishay mein yah kahne lage, ye Yahowa ki praja hain, parantu uske desh se nikale gaye hain.

21

परन्तु मैं ने अपने पवित्र नाम की सुधि ली, जिसे इस्राएल के घराने ने उन जातियों के बीच अपवित्र ठहराया था, जहां वे गए थे।

Parantu main ne apne pavitra naam ki sudhi li, jise Israel ke gharane ne un jatiyon ke beech apvitra thahraya tha, jahan ve gaye the.

22

इस कारण तू इस्राएल के घराने से कह, परमेश्वर यहोवा यों कहता है, हे इस्राएल के घराने, मैं इस को तुम्हारे निमित्त नहीं, परन्तु अपने पवित्र नाम के निमित्त करता हूँ जिसे तुम ने उन जातियों में अपवित्र ठहराया जहां तुम गए थे।

Is karan tu Israel ke gharane se kah, Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, he Israel ke gharane, main is ko tumhare nimitt nahi, parantu apne pavitra naam ke nimitt karta hoon jise tum ne un jatiyon mein apvitra thahraya jahan tum gaye the.

23

और मैं अपने बड़े नाम को पवित्र ठहराऊंगा, जो जातियों में अपवित्र ठहराया गया, जिसे तुम ने उनके बीच अपवित्र किया; और जब मैं उनकी दृष्टि में तुम्हारे बीच पवित्र ठहरूंगा, तब वे जातियां जान लेंगी कि मैं यहोवा हूँ, परमेश्वर यहोवा की यही वाणी है।

Aur main apne bade naam ko pavitra thahraoonga, jo jatiyon mein apvitra thahraya gaya, jise tum ne unke beech apvitra kiya; aur jab main unki drishti mein tumhare beech pavitra thahroonga, tab ve jatiyan jaan lengi ki main Yahowa hoon, Parmeshwar Yahowa ki yahi vani hai.

24

मैं तुम को जातियों में से ले लूंगा, और देशों में से इकट्ठा करूंगा; और तुम को तुम्हारे निज देश में पहुंचा दूंगा।

Main tum ko jatiyon mein se le loonga, aur deshon mein se ikattha karoonga; aur tum ko tumhare nij desh mein pahuncha doonga.

25

मैं तुम पर शुद्ध जल छिड़कूंगा, और तुम शुद्ध हो जाओगे; और मैं तुम को तुम्हारी सारी अशुद्धता और मूरतों से शुद्ध करूंगा।

Main tum par shuddh jal chhidkoonga, aur tum shuddh ho jaoge; aur main tum ko tumhari sari ashuddhata aur moorton se shuddh karoonga.

26

मैं तुम को नया मन दूंगा, और तुम्हारे भीतर नई आत्मा उत्पन्न करूंगा; और तुम्हारी देह में से पत्थर का हृदय निकाल कर तुम को मांस का हृदय दूंगा।

Main tum ko naya man doonga, aur tumhare bheetar nai aatma utpann karoonga; aur tumhari deh mein se patthar ka hriday nikaal kar tum ko maans ka hriday doonga.

27

और मैं अपना आत्मा तुम्हारे भीतर देकर ऐसा करूंगा कि तुम मेरी विधियों पर चलोगे और मेरे नियमों को मान कर उनके अनुसार करोगे।

Aur main apna aatma tumhare bheetar dekar aisa karoonga ki tum meri vidhiyon par chaloge aur mere niymon ko maan kar unke anusaar karoge.

28

तुम उस देश में बसोगे जो मैं ने तुम्हारे पितरों को दिया था; और तुम मेरी प्रजा ठहरोगे, और मैं तुम्हारा परमेश्वर ठहरूंगा।

Tum us desh mein basoge jo main ne tumhare pitron ko diya tha; aur tum meri praja thahroge, aur main tumhara Parmeshwar thahroonga.

29

और मैं तुम को तुम्हारी सारी अशुद्धता से छुड़ाऊंगा, और अन्न उपजने की आज्ञा देकर, उसे बढ़ाऊंगा और तुम्हारे बीच अकाल न डालूंगा।

Aur main tum ko tumhari sari ashuddhata se chhudaoonga, aur ann upajne ki aagya dekar, use badhaoonga aur tumhare beech akaal na daloonga.

30

मैं वृक्षों के फल और खेत की उपज बढ़ाऊंगा, कि जातियों में अकाल के कारण फिर तुम्हारी नामधराई न होगी।

Main vrikshon ke phal aur khet ki upaj badhaoonga, ki jatiyon mein akaal ke karan phir tumhari namadhrai na hogi.

31

तब तुम अपने बुरे चालचलन और अपने कामों को जो अच्छे नहीं थे, स्मरण कर के अपने अधर्म और घिनौने कामों के कारण अपने आप से घृणा करोगे।

Tab tum apne bure chalachlan aur apne kamon ko jo achchhe nahi the, smaran kar ke apne adharm aur ghinaune kamon ke karan apne aap se ghrina karoge.

32

परमेश्वर यहोवा की यह वाणी है, तुम जान लो कि मैं इस को तुम्हारे निमित्त नहीं करता। हे इस्राएल के घराने अपने चालचलन के विषय में लज्जित हो और तुम्हारा मुख काला हो जाए।

Parmeshwar Yahowa ki yah vani hai, tum jaan lo ki main is ko tumhare nimitt nahi karta. He Israel ke gharane apne chalachlan ke vishay mein lajjit ho aur tumhara mukh kala ho jaye.

33

परमेश्वर यहोवा यों कहता है, जब मैं तुम को तुम्हारे सब अधर्म के कामों से शुद्ध करूंगा, तब तुम्हारे नगरों को बसाऊंगा; और तुम्हारे खण्डहर फिर बनाए जाएंगे।

Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, jab main tum ko tumhare sab adharm ke kamon se shuddh karoonga, tab tumhare nagron ko basaoonga; aur tumhare khandahar phir banaye jayenge.

34

और तुम्हारा देश जो सब आने जाने वालों के साम्हने उजाड़ है, वह उजाड़ होने की सन्ती जोता बोया जाएगा।

Aur tumhara desh jo sab aane jane valon ke samhane ujaad hai, vah ujaad hone ki santi jota boya jayega.

35

और लोग कहा करेंगे, यह देश जो उजाड़ था, सो एदेन की बारी सा हो गया, और जो नगर खण्डहर और उजाड़ हो गए और ढाए गए थे, सो गढ़ वाले हुए, और बसाए गए हैं।

Aur log kaha karenge, yah desh jo ujaad tha, so eden ki bari sa ho gaya, aur jo nagar khandahar aur ujaad ho gaye aur dhaye gaye the, so gadh vale hue, aur basaye gaye hain.

36

तब जो जातियां तुम्हारे आस पास बची रहेंगी, सो जान लेंगी कि मुझ यहोवा ने ढाए हुए को फिर बनाया, और उजाड़ में पेड़ रोपे हैं, मुझ यहोवा ने यह कहा, और ऐसा ही करूंगा।

Tab jo jatiyan tumhare aas paas bachi rahengi, so jaan lengi ki mujh Yahowa ne dhaye hue ko phir banaya, aur ujaad mein ped rope hain, mujh Yahowa ne yah kaha, aur aisa hi karoonga.

37

परमेश्वर यहोवा यों कहता है, इस्राएल के घराने में फिर मुझ से बिनती की जाएगी कि मैं उनके लिये यह करूं; अर्थात मैं उन में मनुष्यों की गिनती भेड़-बकरियों की नाईं बढ़ाऊं।

Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, Israel ke gharane mein phir mujh se binti ki jayegi ki main unke liye yah karun; arthaat main un mein manushyon ki ginti bhed-bakriyon ki nai badhaun.

38

जैसे पवित्र समयों की भेड़-बकरियां, अर्थात नियत पर्वों के समय यरूशलेम में की भेड़-बकरियां अनगिनित होती हैं वैसे ही जो नगर अब खण्डहर हैं वे अनगिनित मनुष्यों के झुण्डों से भर जाएंगे। तब वे जान लेंगे कि मैं यहोवा हूँ।

Jaise pavitra samyon ki bhed-bakriyan, arthaat niyat parvon ke samay Yerushalem mein ki bhed-bakriyan anginit hoti hain vaise hi jo nagar ab khandahar hain ve anginit manushyon ke jhundon se bhar jayenge. Tab ve jaan lenge ki main Yahowa hoon.